Tuesday, February 9, 2010

hai bas ki har ik unke ishaare meiN nishaaN aur

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~ *~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~ *~*




       hai  bas ki har ik unke ishaare meiN nishaaN aur
        karte haiN  muhobbat to guzarata hai  gumaaN aur

      

      yaarab ! wo na samjhe haiN na samjheNge meree baat
        de  aur  dil  unko, jo  na de  mujhko  zubaaN  aur


      abroo se hai  kya us nigah-e-naaz ko paiwand
        hai teer muqarrar magar uskee hai kamaaN aur

       

      tum shahar meiN ho to hameiN kya GHam ? jab uTHeNge
        le  aayenge   baazaar  se  jaakar  dil-o-jaaN   aur


      harchand   subak_dast    hue   but_shikanee   meiN
        ham haiN, to abhee raah meiN hai sang-e-giraaN aur

       

      hai KHoon-e-jigar josh meiN dil khol ke rota
        hote  kaee jo deeda-e-KHooNnaaba_fishaaN aur

       

      marta hooN is aawaaz pe  harchand sar uD jaay
        jallaad ko lekin wo kahe jaayaiN ki 'haaN aur'

       

      logoN  ko hai KHursheed-e-jahaaN  taab  ka dhoka
        har roz dikhaata hooN maiN ik daaGH-e-nihaaN aur

       

      leta, na agar dil tumhe deta,  koee dam cheiNn
        karta, jo na marta koee din, aah-o-fuGHaaN aur

       

     paate naheeN jab raah, to chaD jaate haiN naale
        ruktee hai meree tab'a  to hotee hai ravaaN aur

      

     haiN aur bhee duniya  meiN suKHanwar bohot achche
        kehte haiN ki 'GHalib' ka hai andaaz-e-bayaaN aur



~*~*~*~*~*~*~*~*~*~ *~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~ *~*


No comments:

Popular Posts