Tuesday, February 9, 2010

dekhna qismat ki aap apne pe rashk aajaaye hai

 dekhna  qismat  ki aap  apne  pe  rashk  aajaaye hai
        maiN use; dekhooN, bhalaa kab mujhse dekha jaaye hai

       

      haath dho dil se yahee garmee gar andeshe meiN hai
        aabgeena  tundee-e-sahbaa   se  pighla  jaaye  hai

       
      GHair ko yaarab ! woh kyoNkar mana'a-e-gustaaKHee kare ?
       gar haya  bhee  usko  aatee  hai  to sharma  jaaye hai


      shauq ko ye lat ke hardam  naala KheeNche jaayiye
        dil ki woh haalat ki dam lene se ghabra jaaye hai


      door chashm-e-bad ! teree bazm-e-tarab se waah-waah
        naGHma ho  jaata hai waaN  gar naala mera jaaye hai

      

      GHarche hai tarz-e-taGHaaful, pardaadaar-e-raaz-e-ishq
        par ham  'eise  khoye jaate  haiN ki woh paa jaaye hai

       

      uskee bazm_aaraaiyaaN sunkar dil-e-raNjoor yaaN
        misl-e-naqsh-e-muddaa-e-GHair baiTHa jaaye  hai

       

      hoke aashiq woh  paree_ruKH aur naazuk ban gaya
        rang khulta jaaye hai, jitna ki uData jaaye hai

       

      naqsh  ko uske  musawwir  par bhee  kya-kya  naaz hai
        kheeNchta hai jis qadar, utana hee khiNchta jaaye hai

       

     saaya meraa mujhse  misl-e-dood bhaage hai 'faysal'
        paas mujh aatish_bazaaN ke kisse Thahra jaaye hai



No comments:

Popular Posts