Thursday, May 27, 2010

Tanhayi Ka Apni Nishaan Chhod Aaye


Tanhayi Ka Apni Nishaan Chhod Aaye, 
WarQ Dar WarQ Dastan Chhod Aaye, 

Har Ek Ajnabee Se Puchhte Hai, 
Tujhe Zindagi Hum Kahan Chhod Aaye, 

Wohi Log Jeene Ka Fan Jaante Hai, 
Jo Ehsaas-E-Sood-O-Ziyaan Chhod Aaye, 

Nikal Aaye Tanha Teri Rehguzar Par, 
Bhatakne Ko Hum Karvan Chhod Aaye...

Badan ke dono kinaaro se jal raha hoon main

Badan ke dono kinaaro se jal raha hoon main,
ke chhu raha hoon tujhe, aur pighal raha hoon main, 

Tujhi pe khatam hai jaana mere zawal ki raat, 
tu ab tulu bhi ho jaa, ke dhal raha hoon main,

Bula raha hai mera jama-zeb milneko, 
to aaj pairhaan-e-jaan badal raha hoon main,

Gubaar-e-rehguzar ka ye hausla bhi to dekh,
hawa-e-taaza tere saath chal raha hoon main,

main khwaab dekh raha hoon ke wo pukarta hai, 
aur apne jism se bahar nikal raha hoon main...

Tujhse pyar kiya to kya gunah kiya

Tujhse pyar kiya to kya gunah kiya, 
tujhe dil diya to kya gunah kiya, 
wo kaunsi kami reh gayi mujhme 
jisse main tujhe apna na bana saka, 
wo kaunsa gunah kiya maine, 
tu mujhe bas mera gunah bata de, 
to phir mautko bhi khushi khushi kabul kar lenge, 
yahan tak ki apni rooh bhi tere hawale kar denge...

Zindagi Tujhko Bhala Kya Apna Banayein Hum


Zindagi Tujhko Bhala Kya Apna Banayein Hum, 
Maut Se Khud Baithe Hai Dil Lagaye Hum, 

Kadmon Ki Aahat Ho To Lagta Hai Wo Aaye, 
Rakhte Hai Khud Apna Kafan Sajaye Hum, 

Koi Aayega Aur Phir Kahega Bewafa Hamein,
Baithe Hai Dekho Apna Sar Jhukaye Hum, 

Likh De Koi Kahani Meri Chahe Adhuri Sahi, 
Phirte Hai Haath Mein Kora Kaagaz Uthaye Hum, 

Har Shakhs Ke Do Chehre Nazar Aate Hai Hamein,
Ab Kisko Dein Dua Aur Kise Baddua Hum...

Kar Na Sake Hum Pyar Ka Sauda



Kar Na Sake Hum Pyar Ka Sauda, 
Qeemat Hi Kuch Aisi Thi, 
Jeeti Baazi Haar Gaye Hum, 
Kismat Hi Kuch Aisi Thi, 

Duniya Sach Hi Pathar Maare, 
Laila Tere Majnoo Ko, 
IshQ Mein Us Deewane Ki Bhi
Halat Hi Kuch Aisi Thi, 

Ek Jhalak Hi Dekhi To Hum,
Pyar Ke Dhoke Kha Baithe, 
Yaaron Unki Bholi Bhali
Soorat Hi Kuch Aisi Thi, 

Humne Apni Aankh Mein Aksar, 
Khoon Ke Aansu Dekhe Hai, 
Bakshi Hai Jo Pyar Ne Humko,
Nemat Hi Kuch Aisi Thi, 

Dekhke Heere Moti Humse, 
Pyar Ka Naata Tod Gaye, 
Sona Chandi Jaisi Shay Mein,
TaQat Hi Kuch Aisi Thi, 

SaadiQ Ne Kar Shikwa Inse, 
Zakhm Diye Gar Kaantone, 
Is Gulshan Ke Phoolonki Bhi, 
Aadat Hi Kuch Aisi Thi, 

Kar Na Sake Hum Pyar Ka Sauda, 
Qeemat Hi Kuch Aisi Thi, 
Jeeti Baazi Haar Gaye Hum, 
Kismat Hi Kuch Aisi Thi...



_________________

Main Bhi Tishna-E-Mohabbat, Tu Bhi Tishna-E-Wafa Hai

Main Bhi Tishna-E-Mohabbat, Tu Bhi Tishna-E-Wafa Hai, 
Meri Jaan Mujhse Mil Jaa, Tujhe Kaun Rokta Hai, 

Mujhe Aur Ki Tamanna, Tujhe Aur Ki Tamanna, 
Unhe Aur Ki Tamanna, Yehi Dil Ka Silsila Hai,

Tere Dil Se, Jaanta Hoon, Kayi Doriyaan Bandhi Hai, 
Nayi Doriyon Mein Bandh Ja, Yehi Rasm Hai, Ada Hai, 

Tere Gham Samet Loon To Mere Gam Nazar Na Aaye, 
Inhe Sonp De Jo Mujh Ko, Meri Jaan To Kya Bura Hai,

Ye MuQaddaron Ke Heele, Ye Wafaaon K Bahaane, 
Mujhe Mat Suna, HaQeeQat Mera Dil Bhi Jaanta Hai, 

Mere Baazuon Mein Dam Hai, Rukh-E-WaQt Mod Doonga,
Tere Dil Ko Jod Dunga Mere Paas Wo Dawa Hai,

Kisi Khush-Nazar Ko Kya Ke Teri Shiddaton Ko Samjhe, 
Mere Dil Ki Kuch Qadar Kar Ke Ye Dard-Aashna Hai, 

Tujhe Aaj Lag Raha Hai, Hai Bada Kathin Badalna, 
Sabhi Zakhm Bhar Hi Degi Ye Jo WaQt Ki Hawa Hai, 

Tere Choor Choor Dil Par Mera Dil Tadap Utha Hai, 
Meri Jaan Mujhse Mil Jaa, Tujhe Kaun Rokta Hai...

Mohabbat Rog Hoti Hai Kaha Bhi Tha

Mohabbat Rog Hoti Hai Kaha Bhi Tha, 
Rula Kar Khud Bhi Roti Hai Kaha Bhi Tha, 

Kinaare Ke Kareeb Le Jaa Kar, 
Ye Kashti Ko Duboti Hai Kaha Bhi Tha, 

Ise Tum Dilki Dharti Ka Pata Mat Do, 
Ye Is Mein Dard Boti Hai Kaha Bhi Tha, 

Mohabbat Mein Khushi Ke Baad Gam Ki Rutt, 
Bahut Nazdeek Hoti Hai Kaha Bhi Tha, 

Loota Kar Dilko, Rone Se Bhi Kya Haasil, 
Bahut Nayaab Moti Hai Kaha Bhi Tha, 

Azal Se Iski Fitrat Hai Zamane Ko, 
Jaga Kar Khud Ye Soti Hai Kaha Bhi Tha, 

Ye Sar Se Paanv Tak Pas Raakh Kar Degi, 
Bahut Bedard Hoti Hai Kaha Bhi Tha...

Kachhi Deewar Hoon Thokar Na Lagana Mujhko


Kachhi Deewar Hoon Thokar Na Lagana Mujhko,
Apni Nazron Mein Basa Kar Na Girana Mujhko, 

Tumko Aankhon Mein Tasavvur Ki Tarah Rakhta Hoon, 
Dil Mein Dhadkan Ki Tarah Tum Bhi Basana Mujhko, 

Baat Karne Mein Jo Mushkil Ho Tumhe Mehfil Mein,
Main Samajh Jaunga Nazron Se Batana Mujhko, 

Waada Utna Hi Karo Jitna Nibha Sakte Ho, 
Khwab Pura Jo Na Ho Wo Na Dikhana Mujhko, 

Apne Rishte Ki Nazaakat Ka Bharam Rakh Lena, 
Main To AashiQ Hoon Deewana Na Banana Mujhko, 

Kachhi Deewar Hoon Thokar Na Lagana Mujhko,
Apni Nazron Mein Basa Kar Na Girana Mujhko... 

Saal Bete Dilse Mere Jaa Na Paye Tum

Saal Bete Dilse Mere Jaa Na Paye Tum, 
Shaam Ki Tnahayi Mein Phir Yaad Aaye Tum, 

Har Subah Paya Tumhe Khayalon Mein Apne Paas, 
Raatonko Khwabon Mein Mere Muskuraye Tum, 

Lagte Ho Mere Apne Tum Jabse Ho Door, 
Na Jaane Kyon Lagte The Pehle Kuch Paraye Tum, 

Pyaar Humse Behisab Tha Tumhe Phir Bhi, 
Jaane Kyon Rahe Humse Nazrein Churaye Tum, 

Jab Talak Tum Sath The Shikwe Bhi Saat The, 
Kuch Bhi Nahi Ho Ab Mohabbat Ke Siwa Tum, 

Thak Gaye Hum Zinagi Ki Raah Mein, 
Ke Mil Jaate Kahin Haath Badhaye Tum...

Jab Use Nigahon Ne Pehli Baar Dekha Tha

Jab Use Nigahon Ne
Pehli Baar Dekha Tha, 
Usse Guftugu Ki Thi, 
Dilko Uski Soorat Ne, 
Apni Or Khincha Tha, 
Phir Ehed Mohababt Ka, 
Maine Usse Bandha Tha, 
Jab Wo Narm Lehje Mein
Dilki Bekarari Ki, 
Neend Se Bichhadne Ki, 
Muntazir Nigahon Ki, 
Karvatein Badalne Ki, 
Daastan Sunata Tha, 
Aarzu Ye Hoti Thi, 
Hashr Tak Ki Fursat Ho, 
Dard-E-Dil Ki Baatein Ho, 
Uska Narm Lehja Ho, 
Aur Meri Samaat Ho, 
Haan Magar Samaat Ko,
Uski Is Kahani Se, 
Ab Nahi Hai Dilchaspi, 
Kyonke Aaj Kal Dilko
Ek Aur Soorat Ka, 
Bhol-Pan Bulata Hai, 
Dhadkanein Badhata Hai, 
Aur Udhar Wo Bechara, 
Ab Bhi Apne Seene Mein,
Pyar Ka Diya Lekar, 
Bekarar Phirta Hai, 
Ab Kabhi Jo Milneko, 
Wo Mujhe Bulata Hai, 
Sochti Hoon Ukta Ke, 
"Phir Wohi Mohabbat Ki
Raagini Sunayega, 
Phir Mujhe Batayega, 
Intezaar Kitna Tha"...

Tumko Malum Hi Hoga Zamane Ka Chalan

Tumko Malum Hi Hoga Zamane Ka Chalan, 
"Jaane Wale Ko Bhulana", Hum Bhi Sikhenge Ye Fan, 

Mera Kissa Ho Ya Meri Wafa Ki Daastan, 
IshQ Ki Shiddat Wohi Hai, Sheher Ho Chahe Ho Ban, 

Wo Bechara Bhi Amawas Ki Shabon Mein Bujh Gaya, 
Chand Jo Khud Ko Kaha Karta Tha, "Main Hoon Shab-Shikan", 

Zindagi Ki Aakhri Ayyaam, Yaadon Ke Azaab, 
Aur Badh Jaati Hai Yaaro Umr-E-Rafta Ki Thakan, 

Hamari Zindagi Mein Hai Hi Kya Iske Siwa,   
Chand Sapne, Chand Dhoke Aur Nazron Ki Chubhan...

Kehne Ko Wo Pehli Chahat Thi


Kehne Ko Wo Pehli Chahat Thi, 
Wo Jis Mein Junoon Tha, Shiddat Thi, 
Pakeeza Thi, Anmol Thi Wo, 
Khwabon Ke Jahan Ki Ulfat Thi, 
Mehboob Ko Bhi Malum Na Tha, 
Aisi Khamosh Mohabbat Thi, 
Khamosh Rahi Bekaar Hui, 
Na Jeet Hui Na Haar Hui, 
Phir WaQt Ne Apni Chaal Chali, 
Wo FurQat Se Do-Chaar Hui, 
Kaisi Khamosh Mohabbat Thi, 
Gulzaar Se Phir Wo Khaar Hui, 
FurQat Se Junoon Mein Aag Lagi, 
Is Dilke Sukoon Mein Aag Lagi, 
AshQon Ki Ladi Aankhon Se Bandhi, 
Is Jism Ke Khoon Mein Aag Lagi, 
Phir WaQt Ne Apni Chaal Chali, 
Dilse Wo Khumaar-E-Preet Gaya, 
Honthon Se Wafa Ka Geet Gaya, 
Kehne Ko Wo Pehli Chahat Thi, 
Uska Bhi Zamana Beet Gaya, 
Hijraan Ki Shabon Se Lad Lad Kar, 
Dil Haar Gaya, Gam Jeet Gaya...

Kabhi Dukh Ki Aanch Kisi Pe Na Aane Dena

Kabhi Dukh Ki Aanch Kisi Pe Na Aane Dena, 
Aaya Hai Mehmaan Koi To Na Jaane Dena, 

Har Ghadi Khud Se Ulajh Jaata Hoon Main,
Agar Koi Manaye To Manane Dena, 

Main Jo Aksar Tanhayi Mein Ro Padta Hoon, 
Qissa-E-Gam Sunaun To Sunane Dena, 

Usne Bheja Hai Ye Paigam Bazoor, 
Hawa Zulf Tumhari Lehraye To Lehrane Dena, 

Har Baat Ka Matlab Galat Na Nikala Karo, 
Jab Main Samjhaun To Samjhane Dena...

Khamosh Se Lab Aankhon Mein Nami Hoti Hai


Khamosh Se Lab Aankhon Mein Nami Hoti Hai, 
Teri Yaad Jo Aati Hai To Kuch Aisi Ada Hota Hai, 

Aankhon Ko Band Karke Usko Main Sochun To, 
Khamosh Andhere Mein Bas Uski Nigah Hoti Hai, 

Ab Ya Duniya Mere Maula Veeran Si Lagti Hai, 
Khushbu Teri Na Hoti Hai Na Teri Sada Hoti Hai, 

Jis Des Bhi Jao Tum Wo Des Tumhara Ho, 
Ab Haath Jo Uthta Hai To Yehi Dua Hoti Hai...

Mujhe Zindagi Ki Talab Nahi


Mujhe Zindagi Ki Talab Nahi, 
Mujhe Zindagi Se Gila Nahi, 
Jise Paa Kar Kho Diya, 
Wo Naseeb Tha Mila Nahi, 
Jise Chaha Wo Badal Gaya, 
Jise Maanga Wo Bichhad Gaya, 
Main Ab Jee Kar Kya Karun,
Jab Zindagi Mein Sila Nahi, 
Jis Wafa Ki Aas Mein Jal Gaya,
Wo Khushi Ka Deep Jala Nahi...

Tumhe Jafa Se Yun Na Baaz Aana Chahiye Tha

Tumhe Jafa Se Yun Na Baaz Aana Chahiye Tha, 
Abhi Kuch Aur Mera Dil Dukhana Chahiye Tha, 

Taveel Raat Ke Pehloo Mein Kab Se Soye Hai, 
Naveed-E-Subah Tujhe Jaag Jaana Chahiye Tha, 

Bujhe Chiragon Mein Kitne Hai Jo Jale Hi Nahi, 
Savaad-E-WaQt Inhe Jagmagana Chahiye Tha, 

Ajab Na Tha Ke Qafas Saath Le Ke Ud Jaate, 
Tadapna Chahiye Tha Pharpharana Chahiye Tha, 

Ye Meri Haar Ke Karya-E-Jaan Se Haara Magar, 
Bichhadnewale Tujhe Yaad Aana Chahiye Tha, 

Tamam Umar Ki Aasudgi-E-Visal Ke Baad, 
FiraaQ Aakhri Dhoka Tha Khana Chahiye Tha...

Aaj To Be-Sabab Udaas Hai Jee

Aaj To Be-Sabab Udaas Hai Jee, 
IshQ Hota To Koi Baat Bhi Thi, 

Jalta Phirta Hoon Kyon Dopeheron Mein, 
Jaane Kya Chiz Kho Gayi Meri, 

Wahin Phirta Hoon Main Bhi Khaak Ba-Sar, 
Is Bhare Shaher Mein Hai Ek Gali, 

Chhupata Phirta Hai IshQ Duniya Se, 
Phail Jaa Rahi Hai Ruwayi, 

Hamnasheen Kya Kahoon Ke Wo Kya Hai, 
Chhod Ye Baat Neend Udane Lagi, 

Aaj To Wo Bhi Kuchh Khaamosh Sa Tha, 
Maine Bhi Usse Koi Baat Na Ki, 

Ek Dam Uske Haath Chum Liye, 
Ye Mujhe Baithe Baithe Kya Sujhi...

Jab Zindagi Hi Nasoor Ban Jaye

Jab Zindagi Hi Nasoor Ban Jaye,
To Bas Maut Hi Saroor Ban Jaye, 

Kya Rakhna Ilzaam Sar Kisike, 
Jab Ilteja Bhi Kasoor Ban Jaye, 

Aazmayish Shart Hai Ya Kehna Kisika, 
Be-Wajah Ka Garoor Ban Jaye, 

Bhasm Kar Do Naam-E-Mohabbat Jahan Se, 
Ke Aur Hi Na Fatoor Ban Jaye, 

Ye Qayamat Tha Mera Chahna Itna, 
Ke Wo Mera Zaroor Ban Jaye...

Wo Nadaan Bholi Si Ladki Nahi Jaanti Ke Kya Hai

Wo Nadaan Bholi Si Ladki Nahi Jaanti Ke Kya Hai, 
Uska Roop Saroop Kundan Nahi To Kya Hai, 

Usko Nahi Khabar Ke Uski Nahi Misaal, 
Bahisht Ka Husn Bhi Uske Aage Kya Hai, 

Wo Apna Paak Daaman Nachod De To Hoorein,
Hasool-E-Aab Ki Khatir Na Lad Pade To Aru Kya Hai, 

Wo Nawlon Mein Gum Kone Mein Simti Baithi, 
Usko Nahi Khabar Ke HaQeeQat Aur Kya Hai, 

Uski Ada Hai Aisi Ke Mausam Badal Ke Rakh De, 
Wo Hanste Hanste Ro De Koi Puchhe Aakhir Kya Hai, 

Sharmili To Aisi Ke Khud Se Bhi Sharma Si Jaye, 
Palloo Daba Ke Muh Mein Ghabra Ke Bole Kya Hai, 

Usko Kahein Pari To Uski Toheen Hogi, 
Par Pariyan Chehek Uthengi Wah Unka Naseeb Kya Hai, 

Seerat To Aisi Ke Qurbaan Ho Jaye Har Shakhs, 
Ya Mere Khuda Ka Us Par Inaam Nahi To Kya Hai, 

Ye HaQeeQat Hai Ke TarQ-E-Deeda-E-Zan Se Hoorein Hamein Milegi, 
Wo Samne Jo Aaye To Hooron Ki Talab Kya Hai, 

Dam Aakhir Agar Wo Haath Mere Haath Mein Thama De To, 
Ye Zindagi Hai Kya Aur Ye Kaza Kya Hai...

Bachpan Ke Dukh Kitne Achhe Hote The

Bachpan Ke Dukh Kitne Achhe Hote The, 
Tab To Sirf Khilone Toota Karte The, 

Wo Khushiyan Jane Kaisi Khushiyan Thi, 
Titli Ke Par Noch Kar Uchhla Karte The, 

Maar Kar Paanv Jo Barish Mein,
Apni Naav Khud Aap Duboya Karte The, 

Sochte Hai To *** Si Dil Par Padti Hai, 
Aap Banane Aap Gharonde Toda Karte The, 

Apne Jal Jane Ka Kuch Ehsaas Na Tha, 
Jalte Hue Sholon Ko Chheda Karte The, 

Khushbuke Udte Hi Kyon Murjhate Hai Phool, 
Kitne Bholepan Se Puchha Karte The, 

Aaj Inki Taabeerein Aur Rulati Hai, 
Bachpan Mein Hum Jo Sapne Dekha Karte The, 

Ab To Aansu Ka Ek Qatra Bhi Ruswa Kar Jata Hai, 
Bachpan Mein Hum Jee Bhar Kar Roya Karte The...

Jaan Ko Ye Kaise Rog Laga Liya Hai


Jaan Ko Ye Kaise Rog Laga Liya Hai, 
Kyon Humne Gamon Se Rishte Badha Liye Hai, 

Baat Be Baat Par Purnam Ho Jana, 
Humne Ye Kaisa Miyaaj Bana Liya Hai, 

Khudse Berukhi Ki Wajah Malum Nahi, 
Haan Bechainiyon Se Marasim Bana Liye Hai, 

Jabse Thehra Man Pyaase Sehra Ki Tarah, 
Humne Aankhon Mein Samundar Basa Liye Hai, 

Behisi Hi Behisi Phaili Hai Har Taraf, 
Yun Lagta Hai Logone Dil Pathar Bana Liye Hai, 

Phir Bhi Shikwa Nahi Kisi Baat Ka Zamane Se, 
Humne Hothon Par Taale Laga Liye Hai, 

Dhundne Nikloge To Khabar Hogi, 
Kuch Log Jo Bekhabri Be Ganwa Liye Hai, 

Uktaaye Se Phirte Hai Mehfil-E-Yaran Se Hum, 
Jab Se Shehr-E-Dil Ne Weerano Me Ghar Bana Liye Hai...

Kasam Se Zara Bhi Tera Intezar Nahi Ab

Kasam Se Zara Bhi Tera Intezar Nahi Ab, 
Dil-E-Nadan Mein Koi Aas Nahi Ab, 

Mohabbat Ke Saude Mein Saare Hasaare Hamare, 
Baaqi Tujhse Koi Hisab Kitab Nahi Ab, 

Neend Koson Door Hai Aankhonse Meri Ab, 
Shabnami Palkon Mein Koi Khwab Nahi Ab, 

Mashgala Hai Tera Mere Dilse Khelna, 
Is Dil Mein Lekin Koi Jazbaat Nahi Ab, 

Khatam Hui Saari Sazayein Hamari, 
Yaar Baaqi Tera Koi Azaab Nahi Ab, 

Chhod Ke Tujhe Jaun Bhi To Kahan?
Waapsi Ka Koi Imkaan Nahi Ab, 

Kyon Khade Ho Sar Ko Jhukaye, 
Tujhse Mera Koi Sawal Nahi Ab, 

Khatam Hui Saari Ranjishein Tere Mere Darmiyan,
Ke Ladne Ka Tujhse Koi Jawaaz Nahi Ab...

Usne Ek Baar Mujhse Puchha, Ke Batao

Usne Ek Baar Mujhse Puchha,
Ke Batao,
Tum Mujhe Kitna Yaad Karte Ho, 
Maine Kaha Bahut Zyada,
Usne Dobara Sawal Kiya,
Phir Bhi Batao To Sahi Aakhir Kitna,
Maine Kaha Bahut, Bahut Bahut Zyada, 
Mera Jawab Sunkar, 
Wo Zair-E-Lab Dhire Se Muskurayi Aur Kaha, 
Ab Mujhse Bhi To Puchho
Aur Jab Maine Puchha, 
To Uski Muskurahat Gehri Hoti Chali Gayi, 
Aur Halka Sa Gulabi Rang Uske Chehre Pe Aakar Guzar Gaya, 
Usne Mujhe Doobi Hui Nazron Se Dekha,
Aur Phir Palkein Jhuka Kar Boli, 
"Pagal Yaad To Unhe Kiya Jaata Hai Jinhe Aadmi Bhul Jaye"...

Jab Mere Man-Mandir Mein Tune

Jab Mere Man-Mandir Mein Tune, 
Apne PreM Deep Jalaye The, 
Mat Puchho Ke HuM Kaise Kaise
Aur Kitne Ghabraye The, 
Tujhse Faqt Yehi Kaha Tha, 
Is PreM Deep Ki Lau Ko
Kabhi Na Bujhne Dena O Sajan, 
Jis Baat Se HuM Darte The, 
Aakhir Wohi Baat Hui, 
TuM HuMko Chhod Gaye Aakhir, 
Aur Jeevan Andheri Raat Hui, 
Yaad Kar HuMne Tujhse Kitna Kaha Tha, 
HaMare Dilko Na Tod Jaana O Sajan! 
Dil Kaanch Ka Pyaala O Sajan!!!

Wo Aankh Ke Kehne Pe Safaarat Nahi Karta

Wo Aankh Ke Kehne Pe Safaarat Nahi Karta, 
Dil Hai Ke Abhi Uski Himayat Nahi Karta, 

Kis Baat Pe Rootha Hai Pata Ho To Manaun,
Wo Rooth To Jata Hai Shikayat Nahi Karta, 

Har Baat Mein Hai Uske Sau Sau Matlab,
Wo Baat To Karta Hai Wazaahat Nahi Karta, 

Us Shakhs Ke Waadon Mein Wafa Aaye Kidhar Se, 
Waade Bhi Jo Az Rah-E-Mohabbat Nahi Karta, 

Main Usse Rooth Kar Jaati Nahi Ke Aksar, 
Roothun To Manane Ki Zehmat Nahi Karta, 

Main Uske Liye Saare Zamane Se Buri Hoon, 
Wo Shakhs Jo Khud Se Bhi Bagawat Nahi Karta...

Jab TuM HaMare Dilke Dard Ko Na SaMajh Sake


Jab TuM HaMare Dilke Dard Ko Na SaMajh Sake, 
TuMhare SaMne Phir HuM Dukh Ka Izhaar Kya Karte, 

Aankhon Mein Aansuon Ki Barf Si JaM Gayi, 
Phir Ungliyon Par HuM Apne Dukh Ka ShuMar Kya Karte, 

Har Shakhs Ne Jinko Nafrat Di Har Pal, 
Bhala Batao Wo Log Khudi Se Pyar Kya Karte, 

Har Karz Hai Jab Apni Jaan Par Bujh Hua Thehra, 
Tu Rakh Ke Kisi Ki Yaadon Ka Audhaar Kya Karte, 

Bhanwar Ne Likh Diya Ho Jaan Ne Jinki KisMat NeMin,
Wo Log Phir Auter Ke Par Kya Karte, 

Jinke Dukhon Mein Dilka Sukoon Hi Punhaan Thehra, 
Nikal Kar Pair Apne Dilse Unka Khair Kya Karte, 

Jab Yaadein Teri Mere Dilki Makeen Ho Gayi, 
Suno.....Jana Phir Inse HuM Farar Kya Karte, 

TuM Us Din Hi Aankhon Mein Bas Gayi, 
HuM Isse Badh Kar Khudi Ko Tere Liye Bekarar Kya Karte, 

Jaan TuM Kisi Aur Manzil Ke Musafir Hi Thehre, 
To Rah Mein Ruk Kar HuM Tera Intezar Kya Karte, 

HuM To Fareb De Kar Khushi Mein Kho Gaye, 
HuM Apne Dilki Khushi Se Beraaz Kya Karte, 

Sar Par GaMon Ki Dhoop Hai Bahut Kadi, 
Aur Khudi Ko Phir La Kar HuM Saya Deewar Kya Karte, 

Jis Mein Khasara Hai HuM Muqaddar Ho Thehra, 
Tu Jana! Aisa Ghate Ka Karobar HuM Kya Karte, 

Wo Dost Jo HuMko Chhod Gaye Hai Sar-E-Raah, 
Inko ZaMane Ki Bhid Mein Pukar Kar Kya Karte...

Jo Bhi Dilke Kareeb Hota Hai

Jo Bhi Dilke Kareeb Hota Hai, 
Ek Naya ZakhaM Deke Jaata Hai, 

Jab Ke Milti Nahi Khushi Mein Khushi, 
Phir Kyon Har GaM Mujhe Rulata Hai, 

Jo Tha Sab Kuch Luta Baithe Hai, 
Aur Ab Kya Wo HuMse Chahta Hai, 

Ab Bhi Age Ki Sochne Baithun, 
Mera Maazi Mujhe Bulata Hai, 

De De Thodi Si Mohabbat Mujhko, 
Is Mein Aakhir Kya Uska Jaata Hai,

Pyar Hota Nahi Sada Ke Liye, 
Phool Kaisa Bhi Ho Murjha Jata Hai, 

Ke Mohababt Hai Ya Koi Ehsaan, 
Jab Bhi Milta Hai Wo Jataata Hai, 

Main Na Chahte Hue Bhi Chahun Use, 
Kya Kya KaMbakht Dil Karaata Hai...

Chand Taron Mein Nazar Aaye Chehra Tera


Dil Ke Aayine Mein Mujhko Saja Liya, 
Jabse Maine Tujhko Apna Bana Liya, 

Chand Taaron Mein Nazar Aye Chehra Tera, 
Jab Se Mere Dil Pe Hua Hai SanaM Pehra Tera, 

Ek Dooje Ke Dil Mein Apna Ghar Banana Hai, 
Teri Khatir Sab Hi Hadon Se Guzar Jana Hai, 

Tujhse Lipta Rahunga Bankar Kangna Tera, 
Chand Taron Mein Nazar Aaye Chehra Tera, 

Pyaar Mein HuM SanaM Ye Sara Jag Bhula Denge, 
Mar Ke Waade Chahaton Ke HuM Nibha Denge, 

Jaanse Bhi Mujhe Hai Pyara Sajna Mera, 
Chand Taron Mein Nazar Aaye Chehra Tera...

Dil Jalon Se Dil Jalon Ka Rabta Achha Laga

Dil Jalon Se Dil Jalon Ka Rabta Achha Laga, 
Jo Ghadi Mil Baithne Ka Silsila Achha Laga, 

Koi Khoobi To Na Thi MujhMe Ke Chaha Jaun Main, 
Phir Na Jaane Kyon Use Chehra Mera Achha Laga, 

Raat Saari Jagne Ke Baad Mujhko Suab DaM, 
NeeM Baaz Aankhon Se Uska Dekhna Achha Laga, 

Sar Mere Seene Par Rakh Ka Rusne SharMate Hue, 
Saath Jeene Marne Ka Waada Kiya Achha Laga, 

Apne Chehre Pe Jo Dekhe Unke Honthon Ke Naqsh, 
Muddaton Ke Baad Mujhe Aayina Achha Laga, 

UMar Bhar Jage Magar Rehan Us Shab Ki KasaM, 
Saath Unko Bhi Jaga Kar Jaagna Achha Laga...

Dil Hai Ke Manta Nahi

Dil Hai Ke Manta Nahi, 
Ke Jab TuMhe Izhaar Karne Lagta Hoon
To Najane Yon Mujhe TuMhari Aankhon Mein, 
Kisi Aur Ke Liye Pyaar Nazar Aata Hai, 
Ye Mera WaheM Hai Ya Waqayi TuM Kisi Aur Se Pyaar Karti Ho, 
Ye Soch Kar Sochta Hoon Ke Izhaar Karun Ya Na Karun 
Ke Kahin TuM Inkaar Na Karo, 
Ye Sochta Hoon To
Dil Hai Ke Maanta Nahi...

Ishq Mein Jaane Kaise Dil Deewana Hogaya

Ishq Mein Jaane Kaise Dil Deewana Hogaya, 
Mera Hoke Mujhse Hi Anjana Hogaya, 

Lipatne Ko Bekarar Jalti ShaMa Ke Seene Se, 
Bhool Ke Dil AnjaaM Ko Parwana Hogaya, 

Rehta Tha Sab Se Door Tanhayi Thi Pasand, 
Udke Aanchal Ulfat Ka Afsana Hogaya, 

Koi Mehfil Jachi Nahi Koi Mela Haseen Nahi, 
Dil Mein Basaya Pyaar Jahan Begana Hogaya, 

Nazuk Kali Si Thi Kal Tak Meri Nazar, 
Ab To Sara Badan Hi Aashiqana Hogaya, 

Khulte Nahi The Lab Lagta Tha Sil Gaye, 
Bas Apna Use Batana Mera Muskurana Hogaya, 

Sehra Thi Zindagi Warna Tha SaMan,
MausaM Badal Gaya ChaMan Aashiyana Hogaya, 

Udta Phire Hai Dil Rukta Nahi Kahin, 
Har Soo Mera Safar Bhi Aazadana Hogaya...

Dil Chah Raha Hai Aaj Ke Janab Likhein

Dil Chah Raha Hai Aaj Ke Janab Likhein, 
HuM Inki Adaon Par Ek Kitaab Likhein, 
Aaj Likhenge Ise Aur Ab Kahenge, 
Magar Pehle Ise Adaab Likhenge, 

Jab Ziqr Chhedenge Inki Aankhon Ka, 
To In Aankhonko Sharab Likhenge, 
Aayegi Baat Jab Inke Galon Ki, 
To Inke Gulabi Galon Ko Gulaab Likhenge, 

Jab Karenge Baat Inke Honthon Ka, 
To Abke Satar Nahi Pura Baab Likhenge, 

Is Mein Likhenge HuM Apna Haal-E-Dil, 
Aur Jab Bhi Likhenge HuM To Betaab Likhenge...

Dil Behelta Hai Kaha AnjaaM-O-Mehtaab Se Bhi


Dil Behelta Hai Kaha AnjaaM-O-Mehtaab Se Bhi, 
Ab To HuM Log Gaye Deeda-E-Khwaab Se Bhi, 

Ro Pada Hoon To Koi Baat Hi Aisi Hogi, 
Main Ke Wakif Tha Tere Hijr Ki Aadab Se, 

Kuch To Us Aankh Ka Shewa Hai Khafa Ho Jana, 
Aur Kuch Bhool Hui Hai Dil-E-Betaab Se Bhi, 

Aye SaMundar Ki Hawa Tera KaraM Bhi MaluM, 
Pyaas Sahil Ki To Bujhti Nahi Sailaab Se Bhi, 

Kuch To Is Husn Ko Jaane Hai ZaMana Saara, 
Aur Kuch Baat Chali Hai Mere Ehbaab Se Bhi...

Kuch To Duniya Ki Inayat Ne Dil Tod Diya

Kuch To Duniya Ki Inayat Ne Dil Tod Diya, 
Aur Kuch Talkhi-E-Halaat Ne Dil Tod Diya, 

HuM To SaMjhe The Ke Barsat Mein Barsegi Sharab, 
Aayi Barsaat To Barsaat Ne Dil Tod Diya, 

Dil To Rota Rahe Aur Aankh Se Aansu Na Bahe, 
Ishq Ki Aisi Rawayat Ne Dil Tod Diya, 

Wo Mere Hai Mujhe Mil Jayenge Aa Jayenge, 
Aise Bekaar Khayalaat Ne Dil Tod Diya, 

Aapko Pyaar Hai Mujhse Ke Nahi Hai Mujhse, 
Jaane Kyon Aise Sawalaat Ne Dil Tod Diya...

Dil ZakhaM ZakhaM Hai To Aankhein Bhi Ashq-Baar Hai

Dil ZakhaM ZakhaM Hai To Aankhein Bhi Ashq-Baar Hai, 
Kitna Fareb Khaye Mohabbat-O-Pyaar Mein AadMi, 

Aankhein Dasht Dasht Hai Dil Bhi Dukha Hua, 
Guzra Tha Aaj Wo Bhi HaMein Dekhta Hua, 

Honthon Pe Muskurahat Aankhon Mein Hai NaMi Si, 
Wo SaMne Hai Phir Bhi Hai Kuch KaMi Si, 

TuM Munhse Na Bolo Aankhein To Batati Hai, 
Kya Jee Mein TuMhare Hai HuM Khoob SaMajte Hai, 

Aankhein Hazar Sabar Ki Koshish Ke Bawajood, 
Ruk Ruk Ke Baar Baar Barasti Hai Aaj Bhi, 

Khush Aankhon Ki Lakeerein Pe Pata Deti Hai, 
Karwan-E-GaM Ka Isi Raah Se Guzar Hoga...

Tera Yun Sanwar Ke Aana Mere Dil

Tera Yun Sanwar Ke Aana Mere Dil,
Aur DheeMe Se Muskurana Mere Dil, 

Mere JisM Se Rooh Ko Khich Leta Hai, 
Tera Madhoo Aankhonse Mujhe Dekhna Mere Dil, 

Main Un Aankhon Ki Tareef Kaise Likhun, 
Muddaton Sochna Padega Mujhe Mere Dil, 

Ek Hasrat Thi Uska Hath ChuMne Ki, 
Kar Dala Us Butt Ko Bhi Usne Nishana Mere Dil, 

Main Kahin Bhi Chala Jaun Agar, 
Mere Mehboob Ke Paas Rahega Mera Dil...

Usne Ek ShaaM Mere NaaM Ki Thi

Usne Ek ShaaM Mere NaaM Ki Thi, 
Maine Us ShaaM Apni Zindagani Di Thi, 

Usse Jeet Jaana Mere Bas Mein Na Tha, 
Aur Mera Haarna Mera Muqaddar Tha, 

Wo Apne Andar Ki Aag Bujhata Gaya, 
Main Apne Hi Andar Jalte Gaya, 

Bas Us ShaaM Ko Main Bhula Na Saka, 
Kyonke Us ShaaM Mujhe Mila Tha Koi, 

Jo Raat Ke Andhere Mein Kho Gaya Kahin, 
Jise Dhundna Mere Hisab Mein Na Tha...

Paa-Ba-Gil Sab Hai Rihayi Ki Kare Tadbir Kaun

Paa-Ba-Gil Sab Hai Rihayi Ki Kare Tadbir Kaun, 
Dast-Basta Sheher Mein Khole Meri Zanjeer Kaun, 

Mera Sar Haazir Hai Lekin Mera Munsif Dekh Le, 
Kar Raha Hai Mere Fard-E-JurM Ki Tehreer Kaun, 

Aaj Darwazon Pe Dastak Jaani Pehchani Si Hai, 
Aaj Mera NaaM Leta Hai Meri Taazir Kaun,

Neend Jab Khwaabon Se Pyaari Ho To Aise Ahad Mein,
Khwaab Dekhe Kaun Aur Khwabon Ko De Taabir Kaun, 

Ret Abhi Pichhle Makano Ki Na Wapas Aayi Thi, 
Phir Lab-E-Saahil Gharaunda Kar Gaya TaaMir Kaun, 

Saare Rishte Hijraton Mein Saath Dete Hai To Phir, 
Sheher Se Jaate Hue Hota Hai DaaMan-Geer Kaun, 

Meri Chadar To Chhini Thi ShaaM Ki Tanhayi Ne, 
Beridayi Ko Meri Phir De Gaya Tashahir Kaun, 

DushMano Ke Sath Mere Dost Bhi Aazad Hai, 
Dekhna Hai Khinchta Hai Mujhpe Pehla Teer Kaun...

Zindagi Jaise Ek Saza Si Ho Gayi Hai

Zindagi Jaise Ek Saza Si Ho Gayi Hai, 
Dekhte Dekhte Kya Se Kya Ho Gayi Hai, 

Jab Se Chhoda Hai Tune Mere Dilka Nagar, 
Dhool Se Har Gali Aashna Ho Gayi Hai, 

Sar Khushi Ki Kaifiyat Teri Rehti Thi HardaM, 
Wo Bhi HuMse Na Jaane Kahan Kho Gayi Hai, 

Tu Jo Rootha Hai Mujhse To Ye To Bata, 
Meri Kya Thi Khata Jo Saza Ho Gayi Hai, 

Mere Lafzon Ki Taqat Na Tere Lehje Ki Chahat, 
Lagta Hai Har Sada Be-Sada Ho Gayi Hai...

Har Aahat Par Chonk Jaane Ki Aadat Nahi Rahi Mujh Mein

Har Aahat Par Chonk Jaane Ki Aadat Nahi Rahi Mujh Mein, 
Kisi Se Chahe Jaane Ki Chahat Nahi Rahi Mujh Mein, 

Behti Thi Jin Aankhon Se Ashqon Ki Nadiyan, 
Ab Ek Aansu Aur Bahane Ki HiMMat Nahi Rahi Mujh Mein, 

Jalti Thi Aaftab Ki Tapish Bhi Jin Jazbaat Se, 
Pehle Jaise Jazbaat Ki Hidat Nahi Rahi Mujh Mein, 

SaMeta Tha Jis Dil Mein Awazon Ka Toofan,
Ab Kisi Patte Ki Sarsarahat Bhi Nahi Rahi Mujh Mein, 

Jiya Kaise Ghayal Kiya Aye Bewafa Tune, 
Wo Pehle Si Ab Shokh Muskurahat Nahi Rahi Mujh Mein...

Aao Ke Zindagi Mein HuM Phir Se Laut Jayein

Aao Ke Zindagi Mein HuM Phir Se Laut Jayein, 
Sab Ranjishon Ko Aao Ek Baar Bhool Jayein, 

Chand Roz Zindagi Mein Koi Kiska Hua Hai, 
Aao Ke Phri Se Milkar Duniya Nayi Banaye, 

Wo Sab Gile Shikwe Jo TuM Ko Rahe The Mujhse, 
Aao Ke Phirse Milke HuM Unko Bhool Jayein, 

Abhi Kuch Pal Baaqi Hai Mohabbat Ke Liye, 
Ek Baar Phir Se Milke HuM Unko Jee Hi Jayein...

Kis Tarah Rokta Hoon Ashqon Ko



Kis Tarah Rokta Hoon Ashqon Ko, 
Kis Tarh Dil Pe Jabar Karta Hoon,
Aaj Bhi Karzar-E-Hasti Mein,
Jab Tere Sheher Se Guzarta Hoon, 

Haal-E-Dil Bhi Na Keh Saka, Garcha, 
Tu Rahi Muddaton Kareeb Mere, 
Kuch Teri AzMaton Ka Dar Bhi Tha, 
Kuch Khayalat The Ajeeb Mere, 
Akhar-E-Kar Wo Ghadi Aayi, 
Bar-War Ho Gaye Raqeeb Mere, 
Tu Mujhe Chhod Kar Chali Bhi Gyai, 
Khair........KisMat Meri, Naseeb Mere, 
Ab Main Kyon Tujhse Pyaar Karta Hoon, 
Jab Tere Sheher Se Guzarta Hoon, 

Jo ZaMana Teri Mohabbat Ka, 
Ek Bhooli Kahani Hai, 
Tere Kooche Mein UMar Bhar Na Gaye, 
Saari Duniya Ki Khaak Chhani Hai, 
Lazzat-E-Kurab Ho Ke ZaMana-E-Firak, 
Jo Bhi Hai Teri Meherbani Hai, 
Kis TaManna Se Tujhko Chaha Tha, 
Kis Mohabbat Se Haar Maani Hai, 
Apni KisMat Pe Naaz Karta Hoon, 
Jab Tere Sheher Se Guzarta Hoon, 

Ashq Palkon Pe Aa Nahi Sakte, 
Dil Mein Hai Teri Aabru Ab Bhi, 
Tujhse Roshan Hai Qaaynat Meri, 
Tere Jalwe Hai Chaar-Soo Ab Bhi, 
Apne GaM Khan-E-Takheeol Mein, 
Tujhse Hoti Hai Guftagu Ab Bhi, 
Main To Mushkil Se Aah Bharta Hoon, 
Jab Tere Sheher Se Guzarta Hoon...



_________________

Patjhad Ka MausaM Chala Bahar Aayi Hai


Patjhad Ka MausaM Chala Bahar Aayi Hai, 
Is Dilke Aangan Mein Nikhar Laayi Hai, 

Qatra Qatra Moti Banke ChaMakne Laga Hai, 
Na Jaane Kaisi Ye Barsaat Aayi Hai, 

Jaise Ho Koi Dilka MehMaan Aane Wala, 
Hawa Mein Kuch Aisi Mehek Aayi Hai, 

Wo Jiski Yaad Se Chehra ChaMakne Lage, 
Meri Chudiyon Mein Uski Jhankar Aayi Hai, 

Patjhad Ka MausaM Chala Bahar Aayi Hai, 
Is Dilke Aangan Mein Nikhar Layi Hai...

Fizaon Mein Phaili Kyon Phir Wo Manoos Ki Khushboo

Fizaon Mein Phaili Kyon Phir Wo Manoos Ki Khushbu, 
Dilko GuMaan Kyon Hai Wo Phir Se Milne Aayega, 

Jisne Dil Mein Reh Kar Dil Ke Sau Tukde Kar Dale, 
Ab Bhala Kyon Kar In Tukdonko Jodne Aayega, 

Ye Bhi Nahi Ke Uske Bagair Jee Na Payenge HuM, 
Lekin Bin Uske Saans Bhi Ek Pal Na HuMko Aayega, 

Wo Bhi Khush Nahi Hoga Aankh Se Tapke Honge Aansu, 
Yaad Jab Usko Aati Hogi Chain Usko Bhi Na Aayega, 

Pyara Sa Bandhan Tha Wo Dil Se Bandha Tha Wo Rishta, 
Na Jaana Tha Dilka Rishta Khoon Ke Aansu Rulayega...

Dua Hai Ke Is Saal Tujhe Sab Kuch Mil Jaye

Dua Hai Ke Is Saal Tujhe Sab Kuch Mil Jaye, 
Dil Par Jo Laga Hai Tere Wo ZakhM Sil Jaye,  

Tere Sehraon Mein Bhi Baharon Ka Daur Ho, 
UMMidon Ki, Khwaab Ki Har Kali Khil Jaye,  

Aankhein Na Rahein Ab Ke Saal Ashq Se Aashna, 
Furqat Na Rahe Koi, Dard Ka Suraj Dhal Jaye,  

Teri Tehreer Mein Sirf Lafz-E-Wisl Nazar Aye, 
GaM-E-Tanhayi Mein Likhe Qaseede Tu Bhool Jaye,  

Main Kuch Na Kar Saki Par Itna To Karungi, 
Dua Hai Ke Is Saal Tujhe Sab Kuch Mil Jaye...

Aisa Kabhi Ho Sakta Nahi

Aisa Kabhi Ho Sakta Nahi, 
Toota Hua Sheesha Phir Joda Nahi Jata, 
Aankh Se Nikla Hua Aansu Phir Wapas Nahi Aata, 
TuM To Keh Ke Bhool Chuke Ho Sab Kuch, 
Lekin Mujhse Wo Pal Bhulaye Nahi Jaate, 
Teri Mohabbat Ne Zanjeerein Dali Hai Aisi, 
Ke Chhodna Bhi Chahun To Chhudaya Nahi Jaata, 
Mehfil Mein Bhi Mujhko Tanhayi Nazar Aati Hai, 
Tere Bin Ye Dil Kahin Aur Lagaya Nahi Jaata, 
Mere Dilki Deewaron Par Sifar Tera Hi NaaM Likha Hai, 
Mitana Bhi Chahun To Mitaya Nahi Jata, 
Saans Rokn Se Pehle Ek Jhalak Dikha Jana, 
Bewafa Zindagi Ka Aitbaar Kiya Nahi Jaata...

Utha Ke Haath Khuda Se Bas Maangi Yehi Dua

Utha Ke Haath Khuda Se Bas Maangi Yehi Dua, 
Naseeb Ho Khushiyaan TuMhe TuM Khush Raho Sada, 
TuMhe Rahat Mile, TuMhe Chahat Mile, 
TuMhe Saare Jahan Ki Mohabbat Mile, 
Jahan Main Sabse Ho Achhe TuMhare Naseeb, 
Koi Dukh Kabhi Bhi Na Aaye Qaree, 
TuMhare Dilki Har Aarzu Puri Khuda Kare, 
TuMhare Chahne Walon Ko Kabhi Na Juda Kare, 
Mil Jaye TuMko Mere Bhi Naseeb Ki Khushiyan,
Dua Hai Bas TuMhe Kabhi GaM Na Mile Yahan, 
Allah TuMhari Zindagi Ko Chaar Chand Lagaye, 
Kyon Ke Zindagi Se Badh Kar Aur Koi Shay Nahi, 
"Zindagi" Hai To Sab Kuch Hai Na Ho To Kuch Bhi Nahi...

Woh Baarish Ki Khushboo


Woh Baarish Ki Khushboo, 
Wo Thandi Hawa, 
Lagti Hai KaMi Sirf Ek Chiz Ki, 
Ke Ho TuM Bhi Mere Sath, 

Wo Bachhon Ki Tarah Muskurana, 
Mujhe Pyaar Se Yun Bulana, 
Yun Kar Dena Mujhe Na Deewana, 
Mujhe Yun Na Satana, 

Yaad Aati Hai Wo Baatein, 
Wo Bheegi Bheegi Raatein, 
Jab Tha Main Tanha, 
Wahi Yaad Tha Jo TuMne Kaha, 

Bhool Na Jana Mujhe, 
Ke Main Gar Hoon Na TuMhare Sath, 
Maut Kya Door Karegi HaMein,
Ke Khuda Ne Milaya HaMein...

Mere Zehen Mein Tere Chehre Ka Naqsh Banta Hai

Mere Zehen Mein Tere Chehre Ka Naqsh Banta Hai, 
Dil Mein UMMidon Ka Ek Diya Bhi Jalta Hai, 
Teri Baaton Se Ek Aisi Khushboo Aati Hai, 
Ke Jaise Gulshan Ke Kisi Daali Par Phool Mehekta Hai, 
To Kuch Yun ShaMil Aye Zindagi Hua Hai Mujh Mein, 
Jis Tara Sang Mere Mera Ye Saya Chalta Hai, 
Aur Shayad Ye Teri Aankhon Ki Hi Kashish Hai, 
Ke KhurraM Dard Uska Meri Aankhonse Jhalakta Hai...

Dhund Chhayi Hui Hai Jheelo Par

Dhund Chhayi Hui Hai Jheelo Par, 
Aur Rahe Hai Parand Telo Par, 
Sab Ka Rukh Hai NasheMo Ki Taraf, 
Bastiyon Ki Taraf Dono Ki Taraf, 
Apne Galo Ko Le Kar Charwahe, 
Sarhade Bastiyon Mein Jaa Pahuche, 
Dil NakaM! Main Kahan Jaun? 
Ajnabi ShaaM! Main Kahan Jaun???

Kaise Bataun Kaise Guzara Maine Wo Din


Kaise Bataun Kaise Guzara Maine Wo, 
Din TuM Bin Kaise Bataun Kaise Guzara Maine, 
Wo Pal TuM Bin Har Pal Mein TuMhari Yaadein, 
TuMhari Justuju Thi, Ye TuMhari Ana Ki UMMid, 
Thi Ye Socho Kaise Guzara Hoon Jiye Maine,
Wo Intezar Ki Ghadiyan TuM Bin Aaj Bhi
Un Raaston Sa Jab Guzarta Hoon Main TuMbin
To Wo Rasta Bhi Mujhse Kehta Hai Ke Kya
Zindagi Ye Guzarunga Uske Bin Phir Main Unko
Kehta Hoon Ke Ab Bhi Reh Raha Hoon TuMbin, 
Ana Ki UMMid Hai Uski Wo Aaye Gaye Lekin Kya
Karein Ye Maut Bhi Kehti Hai Ke Ab Chalo 
Khdua Ke Paas Ke TuM Zinda Nahi Reh Sakte, 
Uske Bin Aaj Bhi Par Zinda Hoon TuM Bin Ana Ki
UMMid Hai TuMhare Ke TuM Zaroor Aaoge, 
Ek Din...

Tanhayi Bich Gayi Thi Raaston Ke Bich


Tanhayi Bich Gayi Thi Raaston Ke Bich, 
Ek Shakhs Kho Gaya Tha Kaaflon Ke Bich, 

Wo Aakhri Wisl Tha Aur ShaaM Thi Udaas, 
Phir Chand Chhup Gaya Tha Badlon Ke Bich, 

Aahat Bhi Ghar Mein Hoti Rahi Aur Wo Door Tha, 
Koi Chhupa Hua Tha Shayad Meri Dhadkano Ke Bich, 

Sochti Hoon Duwaon Ko Khwabon Ko Kya Karein, 
Bichhde Hue Agar Mile Ho Mehfilon Ke Bich, 

Aankhon Mein Jal Uthe Kayi Jugnoo Shab-E-Firaq, 
Aur Chehre Chhup Gaye The Inhi Jugnouon Ke Bich, 

HuM TuM Ana Parast The Zinda Hi Mar Gaye, 
Kiska Kasor Tha Na Khula Faislon Ke Bich, 

Aao Yahin Par KhataM Karein Sab MaaMle, 
Chhota Sa Ek Gurez Hai Ab Chahaton Ke Bich...

Khwabon Ke Nagar Ko Kho Kar

Khwabon Ke Nagar Ko Kho Kar, 
Ek Mohabbat Bhara Dil, 
Hijr Ke Dard Mein Dibo Kar
Door Desh Ko Jaane Wala, 
Wo Musafir.......
Ab Laut Bhi Aaye Agar, 
To Mohabbat Ki Basti Mein, 
Ajnabi Hi Rahega, 
Jo Dard-E-Naarsayi, 
Kisiko Baksh Gaya Tha, 
Usi Dard Ko, 
Ab HuM Bhi Sahenge...

Wo Khaloos Tha Ke KhuMar Tha

Wo Khaloos Tha Ke KhuMar Tha, 
Wo Junoon Tha Ke Saraab Tha, 
Mujhe Sochne Mein ZaMana Laga, 
Mujhe Manzilon Ne Bhula Diya, 
Mujhe Jis Masiha Pe Maan Tha, 
Mujhe Usne Sooli Chada Diya, 

Kayi HaMsafar Kayi Rehguzar, 
Mujhe Raste Mein Mile Magar, 
Meri Tashnagi Kuch Aur Hai, 
Meri Justajoo Koi Aur Hai, 

Wo Jo Roshni Ki Tarah Badhe, 
Magar Aansuon Mein SaMa Sake, 

Jo Subah Ki Pehli Kiran Bane, 
Mere Dilka Aangan Nikhaar De, 
Jo Mohabbaton Ki Ravayatein, 
Lahoo Ki Bali Se Sanwar De, 
Mujhe Us Wafa Ki Talash Hai, 
Mujhe Us Wafa Ki Talash Hai, 

Magar Is Jahan-E-Kharab Mein,
Yahan Khwahishon Ke Sarab Mein,
Mujhe Kaun De Aisi Wafa, 
Main Kahan Se Laun Wo Wafa, 
Inhi Uljhano Mein Ghira Hua, 
Yehi Sochta Main Chala Gaya...

Tooti Hia Meri Nind Magar, TuMko Isse Kya


Tooti Hia Meri Nind Magar, TuMko Isse Kya, 
Bajte Rahe Hawaon Se Dar, TuMko Isse Kya, 

TuM Mauj Mauj Misl-E-Saba GhuMte Raho, 
Kat Jaye Mere Soch Ke Par, TuMko Isse Kya, 

Auron Ka Haath ThaMo, Unhe Rasta Dikhao, 
Main Bhul Jaun Apna Ghar, TuMko Isse Kya, 

Le Jaaye Mujhko Maal-E-GaMinat Ke Sath Koi, 
TuMne To Daal Di Hai Seper, TuMko Isse Kya, 

TuMne To Thak Ke Dasht Mein KhaMein Laga Liye, 
Tanha Gaya Kisika Safar, TuMko Isse Kya...

Popular Posts