Jab Use Nigahon Ne
Pehli Baar Dekha Tha,
Usse Guftugu Ki Thi,
Dilko Uski Soorat Ne,
Apni Or Khincha Tha,
Phir Ehed Mohababt Ka,
Maine Usse Bandha Tha,
Jab Wo Narm Lehje Mein
Dilki Bekarari Ki,
Neend Se Bichhadne Ki,
Muntazir Nigahon Ki,
Karvatein Badalne Ki,
Daastan Sunata Tha,
Aarzu Ye Hoti Thi,
Hashr Tak Ki Fursat Ho,
Dard-E-Dil Ki Baatein Ho,
Uska Narm Lehja Ho,
Aur Meri Samaat Ho,
Haan Magar Samaat Ko,
Uski Is Kahani Se,
Ab Nahi Hai Dilchaspi,
Kyonke Aaj Kal Dilko
Ek Aur Soorat Ka,
Bhol-Pan Bulata Hai,
Dhadkanein Badhata Hai,
Aur Udhar Wo Bechara,
Ab Bhi Apne Seene Mein,
Pyar Ka Diya Lekar,
Bekarar Phirta Hai,
Ab Kabhi Jo Milneko,
Wo Mujhe Bulata Hai,
Sochti Hoon Ukta Ke,
"Phir Wohi Mohabbat Ki
Raagini Sunayega,
Phir Mujhe Batayega,
Intezaar Kitna Tha"...
No comments:
Post a Comment