Thursday, May 27, 2010

Paa-Ba-Gil Sab Hai Rihayi Ki Kare Tadbir Kaun

Paa-Ba-Gil Sab Hai Rihayi Ki Kare Tadbir Kaun, 
Dast-Basta Sheher Mein Khole Meri Zanjeer Kaun, 

Mera Sar Haazir Hai Lekin Mera Munsif Dekh Le, 
Kar Raha Hai Mere Fard-E-JurM Ki Tehreer Kaun, 

Aaj Darwazon Pe Dastak Jaani Pehchani Si Hai, 
Aaj Mera NaaM Leta Hai Meri Taazir Kaun,

Neend Jab Khwaabon Se Pyaari Ho To Aise Ahad Mein,
Khwaab Dekhe Kaun Aur Khwabon Ko De Taabir Kaun, 

Ret Abhi Pichhle Makano Ki Na Wapas Aayi Thi, 
Phir Lab-E-Saahil Gharaunda Kar Gaya TaaMir Kaun, 

Saare Rishte Hijraton Mein Saath Dete Hai To Phir, 
Sheher Se Jaate Hue Hota Hai DaaMan-Geer Kaun, 

Meri Chadar To Chhini Thi ShaaM Ki Tanhayi Ne, 
Beridayi Ko Meri Phir De Gaya Tashahir Kaun, 

DushMano Ke Sath Mere Dost Bhi Aazad Hai, 
Dekhna Hai Khinchta Hai Mujhpe Pehla Teer Kaun...

No comments:

Popular Posts