Bachpan Ke Dukh Kitne Achhe Hote The,
Tab To Sirf Khilone Toota Karte The,
Wo Khushiyan Jane Kaisi Khushiyan Thi,
Titli Ke Par Noch Kar Uchhla Karte The,
Maar Kar Paanv Jo Barish Mein,
Apni Naav Khud Aap Duboya Karte The,
Sochte Hai To *** Si Dil Par Padti Hai,
Aap Banane Aap Gharonde Toda Karte The,
Apne Jal Jane Ka Kuch Ehsaas Na Tha,
Jalte Hue Sholon Ko Chheda Karte The,
Khushbuke Udte Hi Kyon Murjhate Hai Phool,
Kitne Bholepan Se Puchha Karte The,
Aaj Inki Taabeerein Aur Rulati Hai,
Bachpan Mein Hum Jo Sapne Dekha Karte The,
Ab To Aansu Ka Ek Qatra Bhi Ruswa Kar Jata Hai,
Bachpan Mein Hum Jee Bhar Kar Roya Karte The...
No comments:
Post a Comment