Thursday, June 10, 2010

Wo roz dekhta hai dobty hoye suraj ko


Wo roz dekhta hai dobty hoye suraj ko Wasi
Kash main bhi kisi sham ka manzar hota

Bikhar Rahay Hen Meri


Bikhar Rahay Hen Meri Zindagi k Tamaam Warq
Na-Janay Kab koi Aandhi Ura k Le Jaye
Mein Dosron k Dukh Kab Tak Sambhal k Rakhon
Jis Jis k Hen Wo Nishani Bata k Le Jaye

Is qadar sakhi k bantata tha mohabbatein

Is qadar sakhi k bantata tha mohabbatein
Na janay ye dil khud hi faqeer kab huwa

Woh BeWafa Hargiz na tha Unhi Badnaam

Woh BeWafa Hargiz na tha Unhi Badnaam Ho giya Faraz
Hazaaron Chaahne Wale They Kis Kis se Wafa Kerta

Ik ajab Rishta hai meray or un k Dermiyan

Ik ajab Rishta hai meray or un k Dermiyan
wo hamaray sab kuch hain hum un k kuch bhi nahi

Kheerat me milli kushi mujhe achi nahin


Kheerat me milli kushi mujhe achi nahin lagtai Faraz
Me apne dukhoon me kush hoon nawaboo ki tarhha

Mere Haathon Ki Lakeeron Main yeh Aieb


Mere Haathon Ki Lakeeron Main yeh Aieb Chupa Hai  MOHSIN
main Jis ko bhi Choo loon Woh mera Nahin Rehta

Us shakhs se faqat itna taluq hai

Us shakhs se faqat itna taluq hai Faraz 
Wo pareshan ho to hamain neend nahi aati

mujh se kehti hai tere saath rahun gi sada

mujh se kehti hai tere saath rahun gi sada
bahot piyar karti hai mujhse UDAASI meri

Ub be na ho qabool to qismat ke baat hai

Ub be na ho qabool to qismat ke baat hai
Aameen keh rahay hain woh meri dua k sath

Faqat Is Liye Main Ne Usay Chor Diya

Faqat Is Liye Main Ne Usay Chor Diya
Kaun Kay Usay Is Baat Ki Umeed Bohat Thee

ARZOO KI SHIDDT KO KASH TUM SAMAJH SKTAY

ARZOO KI SHIDDT KO KASH TUM SAMAJH SKTAY
MERY DIL KI CHAHAT KO KASH TUM SAMAJH SKTAY
KIS TRHA JALATI HY YAAD HR PAL JUDAI KI
HIJAR KI QAYAMAT KO KASH TUM SAMAJH SAKTY

Tu katib-e-Taqdeer se israr to karta

Tu katib-e-Taqdeer se israr to karta
Shayad wo tere haath pe likhta mera naam.

Inhi pathron pe chal k aa sako to aao

Inhi pathron pe chal k aa sako to aao
Mere ghar k raastay mein koi kehkshan nahin hai

Hum musafir hain muhabat ke kathan rahoon k

Hum musafir hain muhabat ke kathan rahoon k 
thuk be jatay hain to kertay hain basaray dil main

Kuch likh nahin pate kuch keh nahin pate

Kuch likh nahin pate kuch keh nahin pate
Hal-e-dil hum zuban pe la nahin pate
wo utar gay hain dil ki gehraion men
wo samajh nahin sakte hum samjha nahin pate

Tujh Say Lafzoo Ka Nahi Rooh

Tujh Say Lafzoo Ka Nahi Rooh Ka Rishta Hei Mera
Tu To Tehlil Hei Mujh Mei Meri Khushbu Ki Tarhaa

Tu Badalta Hai to Be Saakhta Meri Aankhain

Tu Badalta Hai to Be Saakhta Meri Aankhain
Mere Haathon ki Lakeeron se Ulajh jaati Hain

Tum Takaluff Ko Bhi Ikhlaas Samajhte Ho

Tum Takaluff Ko Bhi Ikhlaas Samajhte Ho Faraaz
Dost Hota Nahin her Haath Milane Wala

akhlas kay amrit ki taseer hi ulti hai


akhlas kay amrit ki taseer hi ulti hai
jis ko bhi pilaya hai wo zehr ugalta hai

unse khedo hamari taqdeer se


unse khedo hamari taqdeer se jalna chor de
are hum to wo badnaseeb hain
jo kafan ki dukan kholle
to log marna chor dain

Tu to suraj hai tujhe kya maloom raat ka dukh


Tu to suraj hai tujhe kya maloom raat ka dukh
kisi roz utr mere aangan mein shaam k baad

Wo janta hy k mujh sy sabar nhi hoga

Wo janta hy k mujh sy sabar nhi hoga
Wo mere dard sy to bekhabar nhi hoga
Main do qadam jo chalon to dil pukarta hy yehi
K us ka sath na ho to safar nahi hoga

Dil-O-Nazar Se Kuch Dair juda Rakhon

Dil-O-Nazar Se Kuch Dair juda Rakhon
Ye Mere Bas Mein Nahi Usko Khafa Rakhon
Nahi Hai Kuch Bhi Mere Zehan Mein Siwa Us Ke
Mein Us ki Yaad Bhola Don To Yaad Kiya Rakhon

kaya dhond rahy ho ab is dill main


kaya dhond rahy ho ab is dill main FARAZ
unwan thy jes k hum wo afsana he jal gaya

Ham nay ye soch k hansnay ka hunar


Ham nay ye soch k hansnay ka hunar seekh lya
Dard rakhna hay to deeda-e-tar kya rakhna

sochti hun kabhi tere dil me utar kar


sochti hun kabhi tere dil me utar kar dekh lun 
kon basa hai tere dil me jo mujhay basnay nahi deta

Main neend ka shoqeen ziada nahin lekin


Main neend ka shoqeen ziada nahin lekin 
Kuch khawab na dekhoon to guzara nahin hota.

Aaj uski Aankho main raaz wohi tha


Aaj uski Aankho main raaz wohi tha
Chehra bhe wohi tha libas wohi tha
Usse bewafa kesay keh du Furqan
Aaj bhi uske dekhne ka andaz wohi tha

KOI TUMHAIN BHOOL JAE TO KIA KARO GE


KOI TUMHAIN BHOOL JAE TO KIA KARO GE
SARI YADAIN MIT JAEN TO KIA KAROO GE
KISI KO CHORNEY SE PEHLEY YE SOCH LENA
KOI TUMHAIN CHOR JAE TO KIA KARO GE 

SAB HE KO SAB KUCH NAHIN MILTA


SAB HE KO SAB KUCH NAHIN MILTA
SAMUNDAR KI HAR LEHAR KO SAHIL NAHIN MILTA
YEH DIL WALOON KI DUNYA HEY DOST
KISI KO DIL NAHIN MILTA TO KOI DIL SE NAHI MILTA

Tu lafzon ki tarhan muj se ktabon main mila ker


Tu lafzon ki tarhan muj se ktabon main mila ker 
logon ka tujhe dar to khawabon main mila ker
phool ka khushboo se taluk hi zarori
tu mehak ban ker muj se ghulabon main mila ker
jise chu ker main mehsoos ker sakoon 
tu masti ki tarhan muj se sharabon main mila ker

Muhabbat apni b asar rakhti hai


Muhabbat apni b asar rakhti hai 
Bohat yaad ayenge zara bhool ker to dekh

Jis sham barastay hain tere hijr k badal


Jis sham barastay hain tere hijr k badal
Us shab koi hijr ka tara nahi hota
Yun hi mere pehlu mein chala ata hai aksar
Wo dard jisy main ne pukara b nahi hota

Mere haathon ki lakeeron k izafay hain gawa


Mere haathon ki lakeeron k izafay hain gawa
Main ne pathar ki tarha khud ko tarasha hai bohat

najanay kis bat ki humien wo saza deta hai

najanay kis bat ki humien wo saza deta hai
meri hansti aankhon ko rula deta hai
ab muddat say khabar nahe aati unki
kia is taraha koi apno ko bhula deta hai

Meri Muhabbat ki app kya aazmaish kar sako gay

Meri Muhabbat ki app kya aazmaish kar sako gay
Jaan se ziada kya farmaish kar sako gay
Meri mohabbat hai samunder k pani ki manind
Kya samunder k pani ki pemaish kar sako gay

Mana k aboor hai app ko

Mana k aboor hai app ko ilme-Riazi per
Tool-e-shab-e-faraq zara maap dijiye.

Ye zaroori to nahin k aag se jal jaye


Ye zaroori to nahin k aag se jal jaye bashar
Baaz cheezon ko muqadar b jala detay hain

asaib zada ghar ka main wo dar hun


asaib zada ghar ka main wo dar hun FARAZ
deemak ki tarah kha gai jise dastak ki tamana

main us k Haathon ma tha tute hue Sheshe ki tara


main us k Haathon ma tha tute hue Sheshe ki tara Faraz
Bari umeed thi k Bikhrny nehi dy ga
bas giraya kuch iss ada say k 
phir simatny ki Aaas hi na rahi 

Shaam din ko dalhna Sikha daiti hy


Shaam din ko dalhna Sikha daiti hy 
Shama Parwany ko jalna sikha daiti hy 
Girny sy Choot tu lagti hy mager 
Thokrain Insan ko Chalna sikha daiti hy 

Sawal paani ka nahi piyass ka ha


Sawal paani ka nahi piyass ka ha
sawaal mout ka nahi sanss ka ha
dost too duniya ma bohat hain mager 
SAWAL dost ka nahi ATBAAR ka hai

kaanon main bohat dair talak


kaanon main bohat dair talak gonj rahay gi
khamoosh chitanon say kabhi bool k daikho

kahin tanha na kar de tujhe


kahin tanha na kar de tujhe MUNFARID Rehne ka SHOQ FARAZ
Jub Din Dhale Tu Kisi Se HAAl-E-DIL Keh Diya Kar 

APNI HALAT KA B EHSAS NHI HAI MUJKO


APNI HALAT KA B EHSAS NHI HAI MUJKO FARAZ
OURON SAY SUNA HAI K PERSHAN HOON MAIN

Dil to kya cheez hai Hum Rooh mein


Dil to kya cheez hai Hum Rooh mein Otray hotay
Tum ne Chaha hi Nahi Chaahnay walon ki tarha

INSAN ki azmat ko

INSAN ki azmat ko tarazoo mein na tolo
INSAN tou hur daur mein anmool raha hai

Kabi Fursatein jo naseeb hon

Kabi Fursatein jo naseeb hon tou chalay aana mere pass tum 
Hein aaduray kinte mamlay meri zat k teri zat tak

Mana k guftagu k mahir ho tum


Mana k guftagu k mahir ho tum FARAZ
Wafa k lafz pay aatko tou humko yaad ker lena

Ub to tanhai ka yeh aalam hay


Ub to tanhai ka yeh aalam hay faraz
koi hans k bhi dakhay to muhaabat ka guman hota hay 

Taalloq is tarah toora nahin kartay

Taalloq is tarah toora nahin kartay
Keh phir say jorna dushwaar ho jaye
Hayat ik zehar main dobi hoi talwaar ki manind
Mohabbat is tarah chora nahin kartay
Rawadari ka hergiz rasta chora nahin kartay
Mohabbat main sabhi aik dosray ko aazmatay hain
Magar aisa nahin kartay
Keh her omeed her imkaan toot jaye
Kahan tak khinchi ho dory yeh andaza rakhtay hain
Hamesha char deewari main ik darwaza rakhtay hain
Judai mustaqil ho tu zindgee zindaan ho jaye
Tu sonno !
Jeenay say moon mora nahin kartay
Mohabbat is tarah chora nahin kartay….

Shagaf nahi tha zara b mujhe perhanay main


Shagaf nahi tha zara b mujhe perhanay main 
magar wo rooz sar e sham us ka aa jana 
kitab le ke mere samnay bahanay se 
koi too soch thi jo sochti wo rehti thi 
jhuka ke sir ko mere pass aa ke kehti thi 
kai sawal samjhnay hain aap se main nay 
na hoo ke aap mujhe lajawab hi ker dain 
meri nigah ko pamal e khawab hi ker dain 
haseen aankhon main wo aarzoo ke doray thay 
wo us ke gaal thay ya khoon ke katooray thay 
paseena tha ka tapakta tha us ke pathay se 
nigahain ashk e haya se bhari bhari us ki 
wafoor e sharm se wo hont kapkapatay thay 
qadam zamee-n pe jo dharti too larkharatay hoay 
kitab mujh ko thama ker wo samnay baithi 
thamai mujh ko laboon se nikal ker pencil 
nahitha farq kitaab aur us ke cheray main 
main us ko dekhta aur dekhta hi reh gia tha 
wo us ka dast e gulabi warq palat-ta hoa 
wo aanchal us ka mere samnay sarakta hoa 
haroof bhi meri nadanion pe hastay thay 
wo apnay seenay se note book hata leti 
ik aarzoo meri aaghoosh main lata deti 
khala main taktay hoay rukh jab us nay moora tha 
khamosh tha main usi nay sakoot tora tha 
hisaab aap ko aata nahi ye janti hon main 
sawal chorainkoi shair hi karain tehreer 
yehi hai mera assasa yahi meri taqdeer 
main us ki batoon ki gehraian samjta tha 
sawad e bazm main tanhaian samjhta tha 
qalam, kitab sabhi main nay us ko lootaya 
ke jaise paishkash e aaroo ko thukraya 
chali gai wo kisi khawab e khoobroo ki tarah 
kai baras hoay is ko  
main us ko yaad b kerta hoon aur sochta hoon 
hazaa shair ki aik ghazal likhon us per 
mainapnay yaad khazanay fida karon us per 
jo sochta hoon too dil se jawab aata hai 
usay too mujh se ziada hisaab aata hai

Ji To Karta Hay Usay Muft Main Jan Day Dain


Ji To Karta Hay Usay Muft Main Jan Day Dain MOHSIN
Itnay Masoom Khareedar Say Kya Laina Daina


Woh Ankh Bhi Jhupkay Laraz Jata Hoon


Woh Ankh Bhi Jhupkay Laraz Jata Hoon
Mujhay Us Say Zeyada Zarorut Hai Uski

Badla Jo Waqt Gheri Rafaqat Badal Gayi



Badla Jo Waqt Gheri Rafaqat Badal Gayi
Suraj Dhala To Saye ki Surat Badal Gayi
Ek Umar tak Mein Uski Zarorat Bana Raha
Phir Yun Hua k Uski Zarorat Badal Gayi

Ajeeb Sheeshagar Hain Tare Shehr K Log



Ajeeb Sheeshagar Hain Tare Shehr K Log 'FARAZ'
Murammat KAnch Ke KArte Hain Pathar K Ouzaron Se

Popular Posts