Tuesday, July 27, 2010

Tere Ghum Ko Jaan Ki Talashi Thi, Tere Jaan Nisar Chale Gaye



Tere Ghum Ko Jaan Ki Talashi Thi, Tere Jaan Nisar Chale Gaye
Teri Raah Mein Karte The Sar Talab Sar-E-Rehguzar Chale Gaye,

Teri Kal Adayi Se Haar Ke Shab-E-Intezar Chali Gayi,
Mere Zabt Haal Se Rooth Kar Mere Gamgusaar Chale Gaye,

Na Sawal-E-Wasl, Na Arz-E-Gam, Na Hikaitein Na Shikayatein,
Tere Ahd Mein Dil-E-Zaar Ke Sabhi Akhtiyar Chale Gaye,

Ye Hamein The Jinke Lubas Par Sar-E-Raah Siyahi Likhi Gayi,
Yehi Daag The Jo Saja Ke Hum Sar-E-Bazm-E-Yaar Chale Gaye,

Na Raha Junoon-E-Rukh-E-Wafa, Ye Rasan Ye Daar Karoge Kiya,
Jinhe Jurm-E-IshQ Pe Naaz Tha Wo Gunahgaar Chale Gaye...

Kisi Ko Apna Keh Kar Phir Ussey Tanha Nahin Karna


Kisi Ko Apna Keh Kar Phir Ussey Tanha Nahin Karna
Ye Ruswaai Hai Apneypan Ki Tum Aisa Nahin Karna

Shararey Phir Shararey Hain Tujhey Bhi Raakh Kar Dein Gey
Mairey Humdum Shararon Say Kabhi Khaila Nahin Karna

Mohabbat Mein Nahin Dastoor Shikwey Aur Shikayat Ka
Gila Kar Ke Mohabbat Ko Kabhi Ruswa Nahin Karna

Kahin Aisa Na Ho Woh Na-samajh Gumrah Ho Jaaye
Kisi Ka Saath Rastey Mein Kabhi Chorra Nahin Karna

Ye Na Ho Uss Ki Yaadein Rooh Ka Sartan Ban Jayein
Kabhi Had Say Ziyada Tum Ussey Socha Nahin Karna

Mohabbat Jiss Ko Kehtey Hain Woh Ikk Be-los Si Shai Hai
Siley Ki Aarzoo! Toba 'Sarosh' Aisa Nahin Karna …!

mohabbat ka meri mujse hisab mangta hai



mohabbat ka meri mujse hisab mangta hai
tamam umr ka mujse nisab mangta hai

jin loogo ko mein janta nai
un loogo ke mujse ilqaab mangta hai

unke qadmoon mein khushyoon ko dher kardya
pagal un chezzon ka jawaz mangta hai


hazaar baar kaha sirf tumse pyar hai
mere pyar ka mujse iqrar mangta hai

har sawal ko jante hue bi
apne har ik sawal ka jawab mangta hai

ajeeb shakhs hai khushyoon ko daman mein leke
khushyoon ki bhik sar-e-bazar mangta hai

hum maut ki dehleez par hai,janta hai jana hai humein
pagal hai mere rukne ki dua mangta hai

Humse Yun Na Mila Karo Aye Tanhayi


Humse Yun Na Mila Karo Aye Tanhayi,
Shayad Hai Itni Kurbat Mein Ruswayi,

Tanha Bethi Baatein Karti Hoon,
Tanha Hoon Magar Saath Hai Tanhayi,

Bethi Rehti Hoon Sath Uske Baatein Karte,
Ke Kabhi Apni Si Lagti Hai Tanhayi,

Humse Yun Na Mila Karo Aye Tanhayi
Shayad Hai Itni Kurbat Mein Ruswayi,

Waqt Guzarte Malum Nai Hota,
Baatein Karte Karte Sula Deti Hai Tanhayi,

Hansta Rehta Hoon Sath Uske,
Ke Hansti Hai Tanha Dekhkar Meri Tanhayi,

Kuch Kehti Nahi Mere Baare Mein,
Bina Kahe Kuch Keh Jaati Hai Meri Tanhayi,

Tanha Baithe Baatein Karti Hoon,
Tanha Hoon Magar Sath Hai Tanhayi,

Humse Yun Na Mila Karo Aye Tanhayi,
Shayad Hai Itni Kurbat Mein Ruswayi...

Jo Subah Ki Pehli Kiran Bane Mere Dilka Aangan Nikhar De


Jo Subah Ki Pehli Kiran Bane,
Mere Dilka Aangan Nikhar De,
Jo Mohababton Ki Ravayatein,
Lahoo Ki Bali Se Sanwar De,
Mujhe Us Wafa Ki Talash Hai,
Mujhe Us Wafa Ki Talash Hai,

Magar Is Jahan-E-Kharab Mein,
Yahan Khwahishon Ke Saraab Mein,
Mujhe Kaun De Aisi Wafa,
Main Kahan Se Laun Wo Wafa,
Inhi Uljhano Mein Ghira Hua,
Yehi Sochta Main Chala Gaya...

Kya Hua Jo Tumhara Saath Nahi


Kya Hua Jo Tumhara Saath Nahi,
Mere Haathon Mein Tumhara Haath Nahi,

Mere Liye Tumhari Yaadein Hi Kafi Hai,
Mohabbat Mein Zaroori Mulakat Nahi,

Main Saari Umar Tarsi Hoon Chahat Ke Liye,
Mere Naseeb Mein Shayad Ye Saugaat Nahi,

Is Andaz Se Bikhar Kar Phir Simat Na Saki,
Mujhe Sametne Wale Hi Koi Haath Nahi,

Jiski Dosti Pe Naaz Tha, Wo Dost Bhi Gaya,
Kis Qarb Se Kaha Ayaz Ne Koi Baat Nahi...

Koi To Guftagoo Karoo Shaam Bahut Udaas Hai


Koi To Guftagoo Karoo, Shaam Bahut Udaas Hai
Tum Meray Pass Hi Raho, Shaam Bahut Udaas Hai

Kuch Bhi To Bolte Nahi, Khauf Ye Todte Nahi
Main Ne Kaha Zara Suno, Shaam Bahut Udaas Hai

Mujh Se Na Tum Miloge Magar, Mujh Se Na Kuch Kaho Magar
Shaam Se Aa Kar Kuch Kaho, Shaam Bahut Udaas Hai

Dekho Bahut Hai Ranjeeda, Umar Rawa Ki Dastan
Is Mein Na Aur Dukh Bharo, Shaam Bahut Udaas Hai

Itna Hai Iztiraab Kyon, Karb Mein Hain Janab Kyon
Milna Hai Gar To Aa Milo, Shaam Bahut Udaas Hai

Mana Ke Tum Khafa Nahi, Kehne Ko Kuch Bacha Nahi
Achha Sa Sher Hi Parho, Shaam Bahut Udaas Hai

Koi Nahi Idhar Udhar, Sare Khamosh Bam-O-Dar
Kisse Kahein Dua Karo, Shaam Bahut Udaas Hai

Kuch To Ilaaj-E-Gum Karo, Sabr-E-Khasta Jaan Suno
Aaj Kisi Ko Khatt Likho, Shaam Bahut Udaas Hai

Jis Tarah Daaman-E-Mashriq Mein Sahar Hoti Hai


Jis Tarah Daaman-E-Mashriq Mein Sahar Hoti Hai,
Zarre Zarre Ko Tajalli Ki Khabar Hoti Hai,
Aur Jab Noor Ka Sailaab Guzar Jaata Hai,
Raat Bhar Ek Andhere Mein Basar Hoti Hai,
Kuch Isi Tarah Se Hai Yaad Ke Tum Aaye The,

Jaise Gulshan Mein Dabe Paanv Bahar Aati Hai,
Patti Patti Ke Liye Leke Nikhaar Aati Hai,
Aur Phir Waqt Wo Aata Hai Ke Har Mauj-E-Sabaa,
Apne Daaman Mein Liye Gard-O-Gubaar Aati Hai,
Kuch Isi Tarahse Hai Yaad Ke Tum Aaye The,

Jis Tarah Mahv-E-Safar Ho Koi Veerane Mein,
Aur Raaste Mein Kahin Koi Khiyaabaan Aa Jaye,
Chand Lamhon Mein Khiyaabaan Ke Guzar Jaane Par,
Saamne Phir Wohi Duniya-E-Biyaabaan Aa Jaaye,
Kuch Isi Tarah Se Hai Yaad Ke Tum Aaye The...

Sochon To Wo Saath Chal Raha Hai


Sochon To Wo Saath Chal Raha Hai,
Dekhun To Nazar Badal Raha Hai,

Kyon Baat Zabeen Se Keh Ke Koi
Dil Aaj Bhi Haath Mal Raha Hai,

Raaton Ke Safar Mein Wahen Sa Hai,
Ye Main Hoon Ke Chand Chal Raha Hai,

Hum Bhi Tere Baad Jee Rahe Hai,
Aur Tu Bhi Kahin Behal Raha Hai,

Samjha Ke Abhi Gaye Hai Sakhyaan
Aur Dil Hai Ke Phir Machal Raha Hai,

Pehle Se Wo Roshni Nahi Ab,
Kya Dard Ka Chand Dhal Raha Hai...

Sach To Ye Hai Ke Mere Humdam


Sach To Ye Hai Ke Mere Humdam
Kiye The Aansu Jo Naam Tere,
Unhe Main Chupke Se Rat Bhar Ko
Khud Apni Aankhon Mein Dhundta Hoon,

Tumhe Bhulane Ke Baad Apne
Wajood Ke Har Paich-O-Kham Mein,
Tumhari Khushbu Ko Dhundta Hoon,

Apne Chehre Se Gard-E-Ulfat
Mita Sakunga Batao Kaise,
Tumhe Main Ab Bhi Har Ek Pal Mein,
Dayar-E-Naqis Mein Dhundta Hoon,
Dil-E-Hawadis Mein Dhundta Hoon...

Mana Ke Tere Dil Mein Koi Aur Makien Hai


Mana Ke Tere Dil Mein Koi Aur Makien Hai
Tu Bhi To Mera Ghum Hai Aqeeda Hai Yakeen Hai,

Main Jabr Ke Sajdon Mein Giron Toot Na Jaun,
Pathar Ke Khudao Meri Sheeshe Ki Jabeen Hai,

Aayne Tujhe Teri Khabar De Na Sakenge,
Aa Dekh Meri Aankh Mein Tu Kitna Haseen Hai,

Deewar Mein Chunwa Ke Mujhe Jurm-E-Wafa Par,
Aye Mere Shahenshan Tu Pareshan To Nahi Hai,

Palkon Se Tarasha Tha Humne Jo Wo Heera
Mat Puchh Ke Wo Kiski Angoothi Ka Nageen Hai...

Aankhien Dekhe Aur Kisike Khwab


Aankhein Dekhe Khwab,
Aankhien Dekhe Aur Kisike Khwab,
Apni Aankhein Jab Dekhe Kisi Aur Ke Khwab
Kaun Bane Phir Khwab Hamare Shikwe Kaun Sune,
Kaante Kaun Chune,
Dil Ko Hai Bas Ek Uljhan
Man Chahi Tabeer Se Roshan Sapna Kaise Ho?
Aankhon Me Jo Khwab Basa Hai Apna Kasie Ho?
Tum Dekho Ek Khwab
Apni Aankhonse Tum Dekho Mera Khwab
Apni Aankhonse Tum Dekho Khas Ek Mera Khwab
Shikwon Ki Parchhaiya Ude Mujhse Karo Phir Baat,
Mujhse Karo Ye Baat!
Dil Ko Hai Bas Ek Hi Uljhan
Man Chahi Tabeer Se Roshan Sapna Kaise Ho?
Aankhon Mein Jo Khwab Tera Hai Apna Kaise Ho???

Khud Duriyon Ka Hai Talabgaar To Main Kya Karun



Khud Duriyon Ka Hai Talabgaar To Main Kya Karun,
Mohabbat Se Hai Be-Zaar To Main Kya Karun,

Aaina Khane Mein Mang Kar Baseerat Ki Aziyat,
Ab Rota Hai Zaar-Zaar To Main Kya Karun,

Kisne Kaha Tha Ke Gulabon Ki Ummid Rakh,
Ab Jo Aya Mukaddar Mein Khaar To Main Kya Karun,

Tujhe Hi Lahak Tha Wafa Ka Marz Bahut,
Ab Ruswa Hai Sar-E-Bazaar To Main Kya Karun,

Main Tamam Umar Dhundta Hi Raha,
Mila Na Wafa Ka Koi Kharidaar To Main Kya Karun...

Tumhe Pata Hai Mohabbat Hai Kya



Tumhe Pata Hai Mohabbat Hai Kya
Kehte Hain Isko Kya
Chalo !!
Batate Hain Hum Tum Ko
Hum Ne Kiya Hai Jana Isko
Mohabbat Ko Baad-E-Saba Mana
Kis Tarah Hai Isko Pehchaana....
Jo Lamhe Bhar Ko Zeest Bakhshti Hai
Zindagi Ka Pata Deti Hai....
Nahi Mohabbat Ye Hoti Nahin Hai..
Haan !!
Mohabbat To Mehaz Lehar Hai...
Jo Sang Sang Saath Hoti Hai...
Nahi Mohabbat To Ye Hoti Nahi Hai....
Haan!!
Mohabbat To Mausam Ki Manind Hai
Jo Har Bashr Ko Sawan Se Zyada Bhata Hai...
Lekin......
Mausam To Apni Muddat Poori
Kar K Guzar Jata Hai
Aisi To Nahin Hoti Mohabbat
To Kya Hai Yeh???
Kya Sawan???
Kya Mausam???
Kya Haqeeqi??
Kya Majaazi??
Haan
Bus Hai Itna Pata
Jan'ne Ko Hai Is Zeest Se Gila
Hai Mukhtasir Yeh Zindagee
Mohabbat Ko Samajhne
Parakhne K Wastay...
Choro Is Qisse Ko
Jano Itna
Jo Samjha Jo Mana
Dasht-E-Talab Isko Gardana........

So Wo Aansu Hamare Akhri Aansu Thay



So Wo Aansu Hamare Akhri Aansu Thay
Jo Humne Gale Milkar Bahaye Thay
Na Jane Waqt Un Aansuon Se Kis Taur Pesh Aya,
Magar Meri Fareb-E-Waqtki Behki Hui Aankhon Ne,
Uske Baad Bhi,
Aansu Bahaye Hain,
Mere Dil Ne
Bahut Se Dukh Rachaaye Hain,
Magar Yun Hai Ke
Mah-O-Saal Ki Is Rayeigaani Mein,
Meri Aankhein,
Gale Milte Hue Rishton Ki Furqat Ke Wo Aansu,
Shayad,
Phir Na Ro Paayein...

Tere Chehre Pe Sukoon Khel Raha Hai Lekin


Tere Chehre Pe Sukoon Khel Raha Hai Lekin,
Tere Seene Mein To Toofan Garajte Honge,
Bazm-E-Kaunain Teri Aankh Mein Veeran Sahi,
Tere Khwabon Ke Mehalaat To Sajte Honge,
Garcha Ab Koi Nahi Koi Nahi Ayega,
Phir Bhi Aahat Pe Tere Kaan To Bajte Honge...

Waqt Hai Naag Tere Jism Ko Dasta Hoga,
Dekh Kar Tujhko Hawayein Bhi Bhaparaati Hongi,
Sab Tere Saye Ko Aasaib Samajhte Honge,
Tujhse Humjoliyan Katra Ke Guzarti Hongi,
Tu Jo Tanhayi Ke Ehsaas Se Roti Hogi,
Kitni Yaadein Tere Ashkon Se Ubharti Hongi,

Zindagi Har Naye Andaaz Ko Apnati Hai,
Ye Fareb Apne Liye Jaal Naye Bunta Hai,
Raqs Karti Hai Tere Honthon Pe Halki Si Hansi,
Aur Jo Ko Kio Royi Ki Tarah Dhundta Hai,
Laakh Pardon Mein Chupa Shor-E-Azihat Lekin,
Dil Tere Dhadakne Ki Sada Sunat Hai,
Tera Gam Jaagta Hai Dilke Nehan Khano Mein,
Teri Awaz Se Seene Mein Fughaan Paida Hai,
Teri Aankhon Ki Udaaso Mujhe Karti Hai Udaas,
Teri Tanhayi Ke Ehsaas Se Dil Tanha Hai,
Jaagti To Hai To Thak Jaat Hai Aankhein Meri,
Zakham Jalte Hai Tere Dard Mujhe Hota Hai...

Mere Labon Pe Saji Hai Dua Kisike Liye


Mere Labon Pe Saji Hai Dua Kisike Liye,
Mere Khuda Mujhe Hansna Sikha Kisike Liye,

Mujhe Yaqeen Hai Ye Mujhse Na Ho Sakega Magar,
Main Kar Raha Hoon Kisise Wafa Kisike Liye,

Nahi Milunga Agar Kho Diya Tune
Na Apne Haath Se Ganwa Mujhe Kisike Liye,

Mere Janoon Ko To Ye Baat Bhi Ganwara Hai,
Mere Liye Na Sahi Phir Bhi Aa Kisike Liye,

Main Saath Saath Hoon Uske Baadbaan Ki Tarah,
Mere Khuda Meri Saansein Badha Kisike Liye...

Chalo Is Shaam Koi Aur Hi Kissa Sunate Hain


Chalo Is Shaam Koi Aur Hi Kissa Sunate Hain
Chalo Is Shaam Usko Hum Sire Se Bhool Jaate Hain,
Chalo Is Shaam Koi Aane Wala Khwab Bunte Hai,
Chalo Is Shaam Kaliyan Nahi Kaanto Ko Chunte Hain,
Chalo Is Shaam Jashn-E-Tergi Hans Kar Manayein Hum,
Chalo Is Shaam Usko Phir Sire Se Bhul Jayein Hum...

Mere Liye Namumkin Hai Par Tum Bhi Nahi Kar Paaoge


Mere Liye Namumkin Hai Par Tum Bhi Nahi Kar Paaoge
Hum Judaa Ho Jayeinge To Dil Ko Kya Samjhaaoge

Khushi Ka Yeh Mauqa Ke Tum Manzil Ko Paa Rahe Ho
Par Yeh Gham Zaroor Hai Ke Mujh Se Door Jaa Rahe Ho

Dekho Jaate Jaate Tum Meri Simt Na Dekhna
Aur Na Hi Koi Khayaal Mera Apne Dil Mein Uss Pal Rakhna

Warna Tum Bhi Ro Doge Aur Mujh Ko Bhi Rulaaoge
Hum Judaa Ho Jayeinge Tau Dil Ko Kya Samjhaaoge

Jo Pal Sath Bitaaye Woh Yaad Yaqeenan Aayenge
Kabhi Karenge Namm Naina, Aur Kabhi Hansayenge

Jab Yaad Meri Aayegi To Tum Chaand Ko Dekha Karna
Meri Nazar Hai Waheen Kahin Bas Yeh Socha Karna

Koi Bhi Halaat Ho Aise Mein Tum Muskuraoge
Hum Judaa Ho Jayenge To Tum Dilko Kya Samjhaoge

Kya Muqaddar Se Shikwa Karte Rahe


Kya Muqaddar Se Shikwa Karte Rahe,
Jo Kismat Me Tha Wohi Kuch To Paya,

Ye Kis Mod Pe Aa Gayi Hai Ummidein,
Ke Saaya-E-Manzil Nazar Mein Na Aaya,

Apno Ne Palat Ke Dekha Tak Nahi,
Gairon Ne Aakar Gale Se Lagaya,

Achha Hua Ke Raaz Khul Hi Gaya,
Dil-E-Nadaan Pe Khanajr Kisne Chalaya,

Shab-O-Roz Chahat Sila Yeh Hai,
Dil Ke Tukde Hue Wo Chunne Na Aya...

Shaher Ki Raat Aur Main Naashaad O Nakara Phiroon



Shaher Ki Raat Aur Main Naashaad O Nakara Phiroon,
Jagmagati Jaagti Sadkon Pe Aawara Phiroon,
Gair Ki Basti Me Kab Tak Darbadar Maara Phiroon,
Aye Gam-E-Dil Kya Karun Aye Vehshat-E-Dil Kya Karun,

Jhilmilate Qumqamon Ki Raah Mein Zanjeer Si,
Raat Ke Haathon Mein Din Ki Mohni Tasveer Si,
Mere Seene Par Dil Dhaki Hui Shamsheer Si,
Aye Gam-E-Dil Kya Karun, Aye Vehshat-E-Dil Kya Karun...

Ye Rupehli Chhanv Ye Aakash Par Taaron Ka Jaal,
Jaise Soofi Ka Tasavvur Jaise Aashiq Ka Khayal,
Aah Lekin Kaun Jaane Kaun Samjhe Jee Ka Haal,
Aye Gam-E-Dil Kya Karun, Aye Vehshat-E-Dil Kya Karun...

Phir Wo Toota Ek Sitara Phir Wo Chhuti Phooljhadi,
Jaane Kiski God Mein Aayi Ye Moti Ki Ladi,
Hook Si Seene Mein Uthi, *** Si Dil Par Padi,
Aye Gam-E-Dil Kya Karun, Aye Vehshat-E-Dil Kya Karun...

Raat Hans Kar Ye Kehti Hai Ke Maikhane Mein Chal,
Phir Kisi Shehnaaz Lala Rukh Ke Kaashaane Mein Chal,
Ye Nahi Lekin To Phri Aye Dost Veerane Mein Chal
Aye Gam-E-Dil Kya Karun, Aye Vehshat-E-Dil Kya Karun...

Raaste Mein Ruk Ke Dam Loon Ye Meri Aadat Nahi,
Laut Ke Wapas Chala Jaun Meri Fitrat Nahi,
Aur Koi Humnava Mil Jaye Ye Kismat Nahi,
Aye Gam-E-Dil Kya Karun, Aye Vehshat-E-Dil Kya Karun...

Muntazir Hai Ek Toofan-E-Bala Mere Liye,
Ab Bhi Jaane Kitne Darwaze Hai Wahan Mere Liye,
Par Museebat Hi Mera Ahd-E-Wafa Mere Liye,
Aye Gam-E-Dil Kya Karun, Aye Vehshat-E-Dil Kya Karun...

Jee Mein Aata Hai Ke Ab Ahd-E-Wafa Bhi Tod Dun,
Unko Paa Sakta Hoon Main Ye Aasra Bhi Tod Dun,
Haan Munasib Hai Ye Zanjeer-E-Hawa Bhi Dun,
Aye Gam-E-Dil Kya Karun, Aye Vehshat-E-Dil Kya Karun...

Ek Mahel Ki Aad Se Nikla Wo Peela Mehtaab,
Jaise Mulla Ka Amaama Jiase Banye Ki Kitaab,
Jaise Muflis Ki Jawani Jaise Bewa Ka Shabab,
Aye Gam-E-Dil Kya Karun, Aye Vehshat-E-Dil Kya Karun...

Dil Mein Ek Shola Bhadak Utha Hai Aakhir Kya Karun,
Mera Paimana Chhalak Utha Hai Aakhir Kya Karun,
Zakhm Seene Ka Mehek Utha Hai Aakhir Kya Karun,
Aye Gam-E-Dil Kya Karun, Aye Vehshat-E-Dil Kya Karun...

Jee Mein Aata Hai Ye Murda Chand Taare Noch ****,
Is Kinaare Noch Loon Aur Us Kinaare Noch ****,
Ek Do Ek Zikr Kya, Saare Ke Saare Noch ****,
Aye Gam-E-Dil Kya Karun, Aye Vehshat-E-Dil Kya Karun...

Muflisi Aur Ye Mazaahir Hai Nazar Ke Samne,
Sainkdo Sultaan-O-Jaabir Hai Nazar Ke Samne,
Sainkdo Changaiz-O-Naadir Hai Nazar Ke Samne,
Aye Gam-E-Dil Kya Karun, Aye Vehshat-E-Dil Kya Karun...

Le Ke Ek Changaiz Ke Haathon Se Khanjar Tod Dun,
Taaj Par Uske Damakta Hai Jo Pathar Tod Dun,
Koi Tode Ya Na Tode Main Hi Badh Kar Tod Dun,
Aye Gam-E-Dil Kya Karun, Aye Vehshat-E-Dil Kya Karun...

Badh Ke Is Andar Sabha Ka Saaz-O-Samaan Phoonk Dun,
Is Ka Gulshan Phoonk Dun, Uska Shabistaan Phoonk Dun,
Takht-E-Sultaan Kya, Main Sara Qisr-E-Sultan Phoonk Dun,
Aye Gam-E-Dil Kya Karun, Aye Vehshat-E-Dil Kya Karun...

Guzar Jaate Hia Kitne Pal Kitne Suraj Jaate Hai Dhal



Guzar Jaate Hia Kitne Pal
Kitne Suraj Jaate Hai Dhal

Guzar Jaye Jitne Bhi Saal
Kuch Log HaMesha Rehte Hai Bekal,

Dekh **** Main Bas Ek Baar Aankehin Gayi Hai Taras,
Aati Hia Yaad Bahut Guzar Gaye Kitne Baras,

Ye To Hai IlM Ki MuMkin Nahi Mulaqat
Phir Bhi HaMesha Rahegi Sath Aap Ki Baat,

Shikwa Main Nahi Karungi Allah Se,
Kuch LaMhe Hi Likhe The Mere Sath Aap Ke Liye,

Aap Ke Sath Kitne Achhe Din Guzre Jab The HuM Bachhe,
Laut Aaye Wo Din Pal The Wo Bahut Hi Achhe,

Main Ro Jaati Thi Chhoti Chhoti Baat Par,
Has Jaati Thi Aap Ke Manane Par,

Chale Gaye Aap Chupke Se
Ke Na Ki Wafa Zindagi Ne Mujhse,

Jo Roungi Main Ab
To Kuch Pochhega Mere Aansu Tab,

Thi Na Bahut Jaldi Har KaaM Ki Aapko,
Mera Dil Todne Me 2 Pal Na Lage Aapko,

Yahan Nahi Miloge Lekin Miloge Wahan,
Khoob Main Ro Lungi, Kyon Chhod Gaye Aap Is Tarah...

Ek tum Ho Ke Dil Mein Dard Kisi Gair Ke Liye


Ek TuM Ho Ke Dil Mein Dard Kisi Gair Ke Liye
Ek HuM Ke Dard Ban Gaye Khud Apne Aap Ke Liye,

HuM Apne Aashiyaane Mein Tere Muntazir,
TuM Tine Chun Rahe The Kisi Aur Ke Liye,

HuM Jante Hai Dil Mein TuMhare Nahi Hia HuM,
Jo Khat TuMhari Aankhon Mein The HuMne Padh Liye,

GaM Hai Ke Tu Ne Loot Liya Mere Wajood Ko,
Ek Daag De Diya Hai HaMein UMar Bhar Ke Liye,

Qaatil Ki Is Ada Pe Bhi Qurbaan Jaaye,
Khud De Ke Zeher Aankhon Mein Aansu Bhi Bhar Liye,

Thi Kaunsi Khata Ke Mili Jiski Ye Saza,
HaMne To UMr Bhar Tere Naqsh-E-QadaM Liye,

Ye Maana Bojh Hai Ab Tujh Pe Zindagi,
Par Zindagi Meri To Nahi Hai Tere Liye...

Kuch Tabiyat Hi Mili Thi Aisi Chain Se Jeene Ki Surat Na Hui


Kuch Tabiyat Hi Mili Thi Aisi Chain Se Jeene Ki Surat Na Hui,
Jisko Chaha Use Apna Na Sake Jo Mila Usse Mohabbat Na Hui,

Jisse Jab Tak Mile Dil Hi Se Mile Dil Jo Badla To Fasana Badla,
RasMein Duniya Ki Nibhane Ke Liye HuMse Rishton Ki Tijarat Na Hui,

Dur Se Tah Wo Kayi Chehron Me Paas Se Koi Bhi Waisa Na Laga,
Bewafai Bhi Usi Ka Tha Chalan Phir Kisise Hi Shikayat Na Hui,

Waqt Rutha Raha Bachhe Ki Tarah Raah Mein Koi Khilauna Na Mila,
Dosti Bhi To Nibhayi Na Gayi, DushMani Mein Bhi Adaavat Na Hui...

Jab Ghum Meri Dhadkan Meri Baaton Se Bayan Tha


Jab Ghum Meri Dhadkan Meri Baaton Se Bayan Tha,
Tu Kahan Tha...

Jab Chaaron Taraf Dard Ke Dariya Ka SaMaan Tha,
Tu Kahan Tha...

Ab Aaya Hai Jab Dhal Gaye Hai Sabhi MausaM Mere HuMdaM,
Jab Tere Liye Mera Ehsaas Jawaan Tha,
Tu Kahan Tha,

AB Aaya Hai Jab KaaM Dikha Gaya Saawan Mere Saajan,
Jab Chaar Soo Mere Liye Khushiyon Ka SaMaan Tha,
Tu Kahan Tha.....

Dard mera kahin nasoor na ho jaye


Dard mera kahin nasoor na ho jaye,
ye zameen aasman na ho jaye,

dil mein dooba hua nashtar hai,
mere dil ki zubaan na ho jaye

Dil ko le lijiye jo lena hai,
phir ye sauda giraan na ho jaye,

Aah kijiye magar latiof-tareen
lab tak aa kar dhuan na ho jaye...

Ghum Bade Aate Hain Qaatil Ki Nigahon Ki Tarah


Ghum Bade Aate Hain Qaatil Ki Nigahon Ki Tarah,
TuM Chhipa Lo Mujhe Aye Dost Gunahon Ki Tarah,

Apni Nazron Mein Gunehgaar Na Hote, Kyon Kar
Dil Hi DushMan Hai MujriMon Ke Gawahon Ki Tarah,

Har Taraf Zist Ki Raahon Mein Kadi Dhoop Hai Dost,
Bas Teri Yaad Ke Saaye Hai Panahon Ki Tarah,

Jinki Khatir Kabhi IlzaaM Uthaye,
Wo Bhi Pesh Aye Hai Insaaf Ke Shaahon Ki Tarah...

Phir Wahi Dard Sa Jaga Hai Ragon Mein Meri



Phir Wahi Dard Sa Jaga Hai Ragon Mein Meri
Phir Wahi Aah Si Nikli Hai Mere Seene Se
Phir Wahi Khwab Se Toote Hai Meri Aankhon Mein,
Phir Wahi Dard Ki Talkhi Hai Meri Baaton Mein,
Phir Wahi Ishq Se Thehre Hai Meri Palkon Par,
Phir Wahi Raat Si Jeeavn Mein Utar Aayi Hai,
Aaj Phir Wahi Aakhri Manzar Hai Meri Aankhon Mein,
Aaj Phir ShaaM Dhale Mujhe TuM Yaad Aaye Ho...

HaMein Jis ZaMeen Par Utara Gaya Hai,


HaMein Jis ZaMeen Par Utara Gaya Hai,
Kahin Parvaton Ki Hai Unchayi IsMein,
Kahin Vaadiyon Si Hia Neechai IsMein,

Yahan Se Jo Aakash Ka Faasla Hai,
Kahin Se Hia Chhota,
Kahin Se Bada Hai,

Kisike KadaM-Do-KadaM Par Sitare,
Kisiko Sada Yun Hi Chalna Padta Hai,

Isi Door-O-Nazdeek Ke Faaslon Mein,
Koi Paa Ke Aakash Ko Kho Raha Hai,
Koi Kho Ke Aakash Ko Ro Raha Hai...

Hamari Mohabbat Par Wo Waqt Bhi Aaye Hain


Hamari Mohabbat Par Wo Waqt Bhi Aaye Hain
Khud Qatal Hue Aur Khud Qaatil Kehlaye Hain,

Roye To Hai Ruswai Chup Rehne Pe DaM Toote,
Phoolon Ke Haathon HuMne Wo ZakhaM Bhi Khaye Hain,

Apno Ki Mohabbat Ki Itni Si Haqeeqat Hai,
Jitna Bhi Gale Mile Utne Hi Paraye Hain,

Is Daur Me Bach Kar Bhi Kahan Jayein,
Jo Aag Barsate Hai Wo Apno Ke Hi Saaye Hain...

Dhoop Ki Shiddat Kya Hai Pairon Se Koi Puchhe


Dhoop Ki Shiddat Kya Hai Pairon Se Koi Puchhe,
Lafzon Ki Chubhan Kya Hai HuMse Koi Puchhe,

Kya Sunayein TuMhe Apne GaM Ki Kahani,
Yaadon Ki Tadap Kya Hai HuMse Koi Puchhe,

Kis Tarah HuMne Khaye Hai Yahan Dhoke
Judayi Kise Kehte Hai HuMse Koi Puchhe,

Haal-E-Dil Bayan To Karte Hai Sab Hi Magar,
Bayan Karne Ka Saliqa Kya Hai HuMse Koi Puchhe..

Badli Badli Si Fiza Lagti Hai Saari Duniya Hi Khafa Lagti Hai



Badli Badli Si Fiza Lagti Hai,
Saari Duniya Hi Khafa Lagti Hai,

Dilka Darwaza Khula Chhod Diya,
Tere QadMon Ki Sada Lagti Hai,

Saikdon Chhed Hai IsMe Lekin,
Kitni Achhi Ye Chunri Lag Rahi Hai,

Chand Ho Jaise Sitaron Se Alag,
Aise Naino Me Haya Lagti Hai,

Teri Qurbat Me Jhuki Si Ye Nazar,
Ek MasooM Dua Lagti Hai,

Marhalla Maut Ka Mushkil Hai Magar,
Zindagi Isse Siwa Lagti Hai,

Ab Ke Ruthe, Na Manaya TuMne,
Ye Bichhadne Ki Ada Lagti Hai,

Kiski Aankhon Ka Asar Hai Ye
Kali Kali Si Ghata Lagti Hai...

HaMara Lab Mohabbat Mein Sile The


HaMara Lab Mohabbat Mein Sile The,
Warna TuMse To Kitne Gile The,

Dilon Mein Doriyan Itni Nahi Thi,
Na-Khuda HuM Me Jitne Faasle The,

HaMare Hi Lahoo Se Jal Rahe The,
Teri Raahon Mein Jitne Bhi Diye The,

Mohabbat Ke Safar Mein Kya Bataun,
Safar Kya Bas Junoon Ke Silsile The,

Usse MaluM Hai HuM Uski Khatir
Chiragon Ki Tarah Shab Bhar Jale The,

Judai HuM Par Bhi Aasan Nahi Thi,
HuM Apne Aap Se Bichhde Hue The...

Lab pe tere iqrar e mohabbat sher Gazal ka lagta hai


Lab pe tere iqrar e mohabbat sher Gazal ka lagta hai
Sharm se chehra laal gulabi phool kamal ka lagta hai

Dil ko nazar se Takraye bhi ek zamana beet gya
Choutt magar hai itni taza hadsa kal ka lagta hai

Bekhud ho kar mast hawayain aise kab lahrati theen
Ye jadu to halka halka us anchal ka lagta hai

Hum samjhe the bhool gye hain wo chahat ka afsana
Aj magar phir dard sa dil may halka halka lagta hai

Ek Raat Hoi Barsat Bohat


Ek Raat Hoi Barsat Bohat.....

Me Roya Sari Raat Bohat.....

Har Ghum Thai Zamaney K Lekin.....

Me Tanha Tha us Raat Bohat.....

Phir Aankh Se Ek Sawan Barsa.....

Jab Seher Hoi Tu Kheyal Aya.....

Wo Badal Kitna Tanha Tha.....

Jo Barsa Sari Raat Bohat....

Chahat ki Rehguzar mein Tijaaret Nahi Karo



Chahat ki Rehguzar mein Tijaaret Nahi Karo
Aisa hi Shoq hai to Mohabbat Nahi Karo

Jab Dil Se har Qasoor ko Tasleem kar Liya
Lafzoo'n mein Baar Baar Wazaahat Nahi Karo

Saansein meri na Qaid Karo Sood ke Ewaz
Mujh se Waool Jeeney ki Qeemat Nahi Karo

Naqsha Merey Bazurgoo'n ne Iss ka Banaya tha
Taqseem Baam-o-Dar ki yeh Jannat Nahi Karo

Ik Aakhri Panaah to rehney do Merey Paas
Mujh se Juda yeh ghar , yeh meri Chat nahi Karo

Tum Zar-Khareed Munsif-o-Aadil ho , Iss liye
Merey Muaamley ki Samaa'at nahi Karo

Kia Karo Ab Koee Bhi Acha Nahi Lagta Mujhay


Kia Karo Ab Koee Bhi Acha Nahi Lagta Mujhay
Tu Bhi Pehlay Ke Tarah Apna Nahi Lagta Mujhay


Ab Teri Baatay Meray Dil Main Utarti He Nahi
Tu Wahi Hai Per Tera Lehja Nahi Lagta Mujhay


Tou Tu Ab Aadhay Badan Say Sath Chalta Hai Meray
Teray Shanoo Pay Tera Chera Nahi Lagta Mujhay


Tu Kabhi Taqseem Karta Tha Hawaeen Chaar Soo
Ab Taray Paas Ak Jhonka Nahi Lagta Mujhay


Ab Lefafay Say Teri Khushboo Nahi Aati Mujhay
Khat Bhi Teray Haath Ka Likha Nahi Lagta Mujhay

Ye Zindagi Kuch Yun Basar Ho Rahi Hai



Ye Zindagi Kuch Yun Basar Ho Rahi Hai,
Jaise Koi Shama Shaam-O-Seher Jal Ke Raakh Ho Rahi Hai,

Jin Raaston Par Chale The Tum Saath Mere,
Wo Raah Abhi Tak Nishan Dhund Rahi Hai,

Faasle Itne Badhenge Ye Kabhi Socha Na Tha,
Aaj Meri Har Saans Jaise Ghoot Ke Dam Tod Rahi Hai,

Na Jane Kab Milenge Ab Hum Apni Zindagi Se,
Abhi To Ek Aas Thi Wo Bhi Meri Aankhon Ke Sath Num Ho Rahi Hia,

Ye Zindagi Kuch Yun Basar Ho Rahi Hia,
Jaise Koi Shama Shaam-O-Seher Jal Ke Raakh Ho Rahi Hai...

Dard Ki Barish Sahi Maddham Zara Aahista Chal


Dard Ki Barish Sahi Maddham Zara Aahista Chal
Dil Ki Mitti Hai Abhi Tak Nam Zara Aashista Chal,

Tere Milne Aur Phir Tere Bichhad Jane Ke Bich,
Faasla Ruswai Ka Hai Zara Aahista Chal,

Apne Dil Hi Mein Nahi Hai Uski Mehrumi Ki Yaad,
Uski Aankhon Mein Bhi Hai Shabnam Zara Aahista Chal,

Koi Hi Ho Humsafar Na Ho Khush Is Qadar,
Ab Ke Logon Mein Wafa Hia Kam Zara Aahista Chal...

Udaas Aankhon Se Aansu Nahi Niklate Hain


Udaas Aankhon Se Aansu Nahi Niklate Hain
Ye Motiyon Ki Tarah Seepiyon Mein Palte Hain,

Ghane Dhuwein Mein Farishte Bhi Aankh Malte Hain,
Tamam Raat Tamannaon Ke Ped Jalte Hain,

Main Phool Nahi Raaste Ka Patthar Hoon,
Yahan Se Sawaar Bhi Paidal Chalte Hain,

Unhein Kabhi Na Batana Main Unki Aankhein Hoon,
Wo Log Phool Samajh Kar Mujhe Masalte Hain,

Ye Ek Ped Hai Aa Isse Milkar Ro Lein Hum,
Yahan Se Tere Mere Raaste Badalte Hain,

Kayi Sitaron Ko Main Jaanti Hoon Bachpan Se,
Kahin Bhi Jaun Mere Sath Sath Chalte Hain...

Mere Mehboob.Meri Taraf Na Dekh


Mere Mehboob.
Meri Taraf Na Dekh
Meri Aankhon Ko Bhi Nam Rehne De,
Tark-E-Khwahish Ka Bharam Rehne De,
Phir Pighal Jaye Na Seene Me Ye Dil,
Kitni Muddat Me Bhulaya Tha Machalna Isko,
Kitni Mushkil Se Sikhaya Tha Ke Jine Ke Liye,
Yun Mohabbat Se Dhadakne Ka Hunar
Nadani Ke Siwa Kuch Bhi Nahi,
Ek Tamasha Hai Wo Saare Manzar
Jinke Chehre Pe Ho Taqdeeer Ke Nazar Naqsh
Ab To Tu Khudse Mukarne De Mujhe,
Mere Mehboob Nahi......Aur Nahi,
Jism Ko Rakh Na Kar Rooh Ko Shola Na Bana,
Yun Meri Taraf Na Dekh...

Jane Kya Kya Mujhe Sunata Tha Ye Dil


Jane Kya Kya Mujhe Sunata Tha Ye Dil
Khud Bhi Rota Tha Mujhko Bhi Rulata Tha Ye Dil,

Ab Ye Isse Kaun Puchhe Hai Ye Kis Haal Mein,
Hum Jo Rote The To Tum Par Muskurata Tha Ye Dil,

Bewafa Ki *** Se Ab Tak Magar Sambhla Nahi,
Shok Se Hi Chahaton Ke Zakham Khata Tha Ye Dil,

Ab To Muddat Se Is Ka Bhi Pata Nahi,
Aur Tab Meri Gali Tak Roz Aata Tha Ye Dil,

Roshni Ki Ek Kiran Is Ke Mukaddar Me Na Thi,
Chand Taaron Ke Liye Gul Machata Tha Ye Dil,

Rote Rote Aap Hi Khamosh Ho Jata Hai Ab,
Wo Bhi Din The Jab Hamare Naaz Uthata Tha Ye Dil...

Kyon Namumkin Si Lagti Hai Ye Zindagi Tumhare Bina



Kyon Namumkin Si Lagti Hai Ye Zindagi
Tumhare Bina
Kyon Har Khwab Lagta Hai Adhura,
Tumhare Bina.....

Kyon Ye Din Lagte Hai Sadiyan,
Tumhare Bina.....

Tum Mere Kuch Bhi Nahi,
Mera Tumhara Koi Rishta Nahi
Magar Phir Bhi Kyon
Har Apna Lagta Hai Paraya
Tumhare Bina.....

Mumkin To Nahi Magar,
Kaatni To Padegi Ye Zindagi,
Tumhare Bina.....

Thami Hai Saansein
Dhadkan Bhi Hai Ashkon Mein Bhigi
Rooh Kho Gayi Hai Hamari
Tumhare Bina.....

Khwaabon se Banjar Be noor Aankhein


Khwaabon se Banjar Be noor Aankhein
Har ShaaM Naye Manzar Chhayein,
Bechain Badan, Pyaasi Raahein,
Har Aan Naye Paikkar Chahein

Tadapta Hai Lahoo
Andekhe Sapno Ki Khatir
Jane Anjane Raaston Par
Kuch Naqsh Banana Chahta Hai,
Banjar PaaMaal ZaMino Mein,
Kuch Phool Khilana Chahta Hai,

Yun Naksh Kahan Ban Paate Hai,
Yun Phool Kahan Khilne Wale Hai,
Yun ZakhMon Se Chhalni Roohon Ke
Yun Chaak Kahan Silne Wale...

Tadapte Lahoo Ko Behne Ke Adab Sikhane Padte Hai
Tab Mitti Mauj Me Aati Hai,
Tab Khwab Ke Mayne Bante Hai
Tab Khushbu Rang Dikhati Hai...

Chandni Tera Naam Aur Chandki RonaQ Tu Hai


Chandni Tera Naam Aur Chandki RonaQ Tu Hai
Rashk Khud Par Hai Mujhe Meri Mohabbat Tu Hai,

Jab Bhi Sochun To Khayalon Mein Tujhe Hi Sochun,
Meri Soch Samundar Aur Is Ki Halchal Tu Hai,

Tujhse Qayam Hai Mere Khwaabon Ki Mehfil,
Shab Ki Rahon Mein Mera Sath Mera Humdam Tu Hai,

Qayam Hai Tere Hone Se Meri Saanson Ka Rishta,
Mera Saya Hai Meri Zaat Ka Hissa Tu Hai,

Saath Chhute Tera Is Tasavvur Se Hi Mar Jaunga,
Mere Humdam, Mere Jeene Ka Sahara Tu Hai...

Gulaab Chehre Pe Muskurahat Chamakti Aankhon Mein Shokh Jazbe


Gulaab Chehre Pe Muskurahat
Chamakti Aankhon Mein Shokh Jazbe
Wo Jab Bhi College Ki Sidiyon Se
Saheliyon Ke Liye Utarti
To Aisa Lagta Tha Jaise Mere Dil Mein Utar Rahi Ho,
Kuch Is YaQeen Se Baat Karti Thi Ke Jaise Duniya
Uski Aankhon Se Dekhti Ho
Wo Apne Raste Mein Dil Bichati Hui Nigahon Se Hans Ke Kehti
"Tumahre Jaise Bahut Se Ladkon Se Main Ye Baatein
Bahut Se Barson Se Sun Rahi Hoon
Main Sahilon Ki Hawa Hoon, Neele Samundaron Ke Liye Bani Hoon"
Aye Tamanna-E-Jaan!
Ajnabiyat Ke Is Sheher Mein Gumnaam Mein
Main Tere Naam Ka Ek Masloob Hoon,
Wapsi Ke Liye Koi Rasta Nahi, Tu Bhi Milta Nahi,
Ho Mubarak Tujhe Teri Kamgooiyaan, Tujhko Dhundun Kahan
Mere Ehsaas-E-Jaan Ki Namu Tujhse Hai,
Main Agar Seep Hoon Aabru Tujhse Hai,
Phool Hoon Main Agar Rang-O-Boo Tujhse Hai,
Aur Agar Jism Hoon Main To Lahoo Tujhse Hai...

Manzar Ke Ird Gird Bhi Aur Aar Paar Dhundh


Manzar Ke Ird Gird Bhi Aur Aar Paar Dhundh
Aayi Kahanse Aankh Mein Ye Beshumar Dhundh,

Kaise Na Uska Sara Safar Raaygan Rahe,
Jis Karwan-E-ShauQ Ki Hai Rehguzar Dhundh,

Hai Ye Jo Maah-O-Saal Ka Mela Laga Hua,
Karti Hai Ismein Chhup Ke Mera Intezar Dhundh,

Aankhein Wo Bazm, Jiska Nishaan Dolte Chirag,
Dil Wo Chaman Ke Jiska Hai Rang-E-Bahar Dhundh,

Kamre Mein Mere Gam Ke Siwa Aur Kuch Nahi,
Khidki Se Jhankti Hai Kise Baar Baar Dhundh,

Firdaus-E-Gosh Thehra Hai Mubham Sa Koi Shor,
Nazaargi Ka Sheher Mein Hai Aitbar Dhundh,

Naatak Mein Jaise Bikhre Ho Kirdaar Ja-Ba-Ja,
"Amjad" Fiza-E-Jaan Mein Hai Yun Be-Karar Dhundh,

Karta Hoon Jaama Mein To Bikharti Hai Zaar Aur


Karta Hoon Jaama Mein To Bikharti Hai Zaar Aur
BaaQi Hai Kitni Aye Mere Maula Ye Raat Aur,

Leti Hai Jaldi Shamma Bhi Bujhne Mein WaQt
Hai Aadmi Sa Koi Kahan Besabaat Aur,

Sailab Jaise Leta Hai Deewar Ke Qadam,
Karta Hai Gam Bhi Dilse Koi Vaardaat Aur,

Yun To Huzoor-E-Paak Ke Lakhon Hai Maddakhwaan,
Taa'ib Sa Likh Raha Hai Magar Kaun Na'at Aur,

Mazhar Az'l Ke Husn Ke "Amjad" Hai Beshumar,
Lekin Jo Dekhiye To Hai Baarish Ki Baat Aur...

Popular Posts