Tuesday, July 27, 2010

Gulaab Chehre Pe Muskurahat Chamakti Aankhon Mein Shokh Jazbe


Gulaab Chehre Pe Muskurahat
Chamakti Aankhon Mein Shokh Jazbe
Wo Jab Bhi College Ki Sidiyon Se
Saheliyon Ke Liye Utarti
To Aisa Lagta Tha Jaise Mere Dil Mein Utar Rahi Ho,
Kuch Is YaQeen Se Baat Karti Thi Ke Jaise Duniya
Uski Aankhon Se Dekhti Ho
Wo Apne Raste Mein Dil Bichati Hui Nigahon Se Hans Ke Kehti
"Tumahre Jaise Bahut Se Ladkon Se Main Ye Baatein
Bahut Se Barson Se Sun Rahi Hoon
Main Sahilon Ki Hawa Hoon, Neele Samundaron Ke Liye Bani Hoon"
Aye Tamanna-E-Jaan!
Ajnabiyat Ke Is Sheher Mein Gumnaam Mein
Main Tere Naam Ka Ek Masloob Hoon,
Wapsi Ke Liye Koi Rasta Nahi, Tu Bhi Milta Nahi,
Ho Mubarak Tujhe Teri Kamgooiyaan, Tujhko Dhundun Kahan
Mere Ehsaas-E-Jaan Ki Namu Tujhse Hai,
Main Agar Seep Hoon Aabru Tujhse Hai,
Phool Hoon Main Agar Rang-O-Boo Tujhse Hai,
Aur Agar Jism Hoon Main To Lahoo Tujhse Hai...

No comments:

Popular Posts