Tuesday, July 27, 2010

Manzar Ke Ird Gird Bhi Aur Aar Paar Dhundh


Manzar Ke Ird Gird Bhi Aur Aar Paar Dhundh
Aayi Kahanse Aankh Mein Ye Beshumar Dhundh,

Kaise Na Uska Sara Safar Raaygan Rahe,
Jis Karwan-E-ShauQ Ki Hai Rehguzar Dhundh,

Hai Ye Jo Maah-O-Saal Ka Mela Laga Hua,
Karti Hai Ismein Chhup Ke Mera Intezar Dhundh,

Aankhein Wo Bazm, Jiska Nishaan Dolte Chirag,
Dil Wo Chaman Ke Jiska Hai Rang-E-Bahar Dhundh,

Kamre Mein Mere Gam Ke Siwa Aur Kuch Nahi,
Khidki Se Jhankti Hai Kise Baar Baar Dhundh,

Firdaus-E-Gosh Thehra Hai Mubham Sa Koi Shor,
Nazaargi Ka Sheher Mein Hai Aitbar Dhundh,

Naatak Mein Jaise Bikhre Ho Kirdaar Ja-Ba-Ja,
"Amjad" Fiza-E-Jaan Mein Hai Yun Be-Karar Dhundh,

No comments:

Popular Posts