Tuesday, July 27, 2010

Jis Tarah Daaman-E-Mashriq Mein Sahar Hoti Hai


Jis Tarah Daaman-E-Mashriq Mein Sahar Hoti Hai,
Zarre Zarre Ko Tajalli Ki Khabar Hoti Hai,
Aur Jab Noor Ka Sailaab Guzar Jaata Hai,
Raat Bhar Ek Andhere Mein Basar Hoti Hai,
Kuch Isi Tarah Se Hai Yaad Ke Tum Aaye The,

Jaise Gulshan Mein Dabe Paanv Bahar Aati Hai,
Patti Patti Ke Liye Leke Nikhaar Aati Hai,
Aur Phir Waqt Wo Aata Hai Ke Har Mauj-E-Sabaa,
Apne Daaman Mein Liye Gard-O-Gubaar Aati Hai,
Kuch Isi Tarahse Hai Yaad Ke Tum Aaye The,

Jis Tarah Mahv-E-Safar Ho Koi Veerane Mein,
Aur Raaste Mein Kahin Koi Khiyaabaan Aa Jaye,
Chand Lamhon Mein Khiyaabaan Ke Guzar Jaane Par,
Saamne Phir Wohi Duniya-E-Biyaabaan Aa Jaaye,
Kuch Isi Tarah Se Hai Yaad Ke Tum Aaye The...

No comments:

Popular Posts