Shaher Ki Raat Aur Main Naashaad O Nakara Phiroon,
Jagmagati Jaagti Sadkon Pe Aawara Phiroon,
Gair Ki Basti Me Kab Tak Darbadar Maara Phiroon,
Aye Gam-E-Dil Kya Karun Aye Vehshat-E-Dil Kya Karun,
Jhilmilate Qumqamon Ki Raah Mein Zanjeer Si,
Raat Ke Haathon Mein Din Ki Mohni Tasveer Si,
Mere Seene Par Dil Dhaki Hui Shamsheer Si,
Aye Gam-E-Dil Kya Karun, Aye Vehshat-E-Dil Kya Karun...
Ye Rupehli Chhanv Ye Aakash Par Taaron Ka Jaal,
Jaise Soofi Ka Tasavvur Jaise Aashiq Ka Khayal,
Aah Lekin Kaun Jaane Kaun Samjhe Jee Ka Haal,
Aye Gam-E-Dil Kya Karun, Aye Vehshat-E-Dil Kya Karun...
Phir Wo Toota Ek Sitara Phir Wo Chhuti Phooljhadi,
Jaane Kiski God Mein Aayi Ye Moti Ki Ladi,
Hook Si Seene Mein Uthi, *** Si Dil Par Padi,
Aye Gam-E-Dil Kya Karun, Aye Vehshat-E-Dil Kya Karun...
Raat Hans Kar Ye Kehti Hai Ke Maikhane Mein Chal,
Phir Kisi Shehnaaz Lala Rukh Ke Kaashaane Mein Chal,
Ye Nahi Lekin To Phri Aye Dost Veerane Mein Chal
Aye Gam-E-Dil Kya Karun, Aye Vehshat-E-Dil Kya Karun...
Raaste Mein Ruk Ke Dam Loon Ye Meri Aadat Nahi,
Laut Ke Wapas Chala Jaun Meri Fitrat Nahi,
Aur Koi Humnava Mil Jaye Ye Kismat Nahi,
Aye Gam-E-Dil Kya Karun, Aye Vehshat-E-Dil Kya Karun...
Muntazir Hai Ek Toofan-E-Bala Mere Liye,
Ab Bhi Jaane Kitne Darwaze Hai Wahan Mere Liye,
Par Museebat Hi Mera Ahd-E-Wafa Mere Liye,
Aye Gam-E-Dil Kya Karun, Aye Vehshat-E-Dil Kya Karun...
Jee Mein Aata Hai Ke Ab Ahd-E-Wafa Bhi Tod Dun,
Unko Paa Sakta Hoon Main Ye Aasra Bhi Tod Dun,
Haan Munasib Hai Ye Zanjeer-E-Hawa Bhi Dun,
Aye Gam-E-Dil Kya Karun, Aye Vehshat-E-Dil Kya Karun...
Ek Mahel Ki Aad Se Nikla Wo Peela Mehtaab,
Jaise Mulla Ka Amaama Jiase Banye Ki Kitaab,
Jaise Muflis Ki Jawani Jaise Bewa Ka Shabab,
Aye Gam-E-Dil Kya Karun, Aye Vehshat-E-Dil Kya Karun...
Dil Mein Ek Shola Bhadak Utha Hai Aakhir Kya Karun,
Mera Paimana Chhalak Utha Hai Aakhir Kya Karun,
Zakhm Seene Ka Mehek Utha Hai Aakhir Kya Karun,
Aye Gam-E-Dil Kya Karun, Aye Vehshat-E-Dil Kya Karun...
Jee Mein Aata Hai Ye Murda Chand Taare Noch ****,
Is Kinaare Noch Loon Aur Us Kinaare Noch ****,
Ek Do Ek Zikr Kya, Saare Ke Saare Noch ****,
Aye Gam-E-Dil Kya Karun, Aye Vehshat-E-Dil Kya Karun...
Muflisi Aur Ye Mazaahir Hai Nazar Ke Samne,
Sainkdo Sultaan-O-Jaabir Hai Nazar Ke Samne,
Sainkdo Changaiz-O-Naadir Hai Nazar Ke Samne,
Aye Gam-E-Dil Kya Karun, Aye Vehshat-E-Dil Kya Karun...
Le Ke Ek Changaiz Ke Haathon Se Khanjar Tod Dun,
Taaj Par Uske Damakta Hai Jo Pathar Tod Dun,
Koi Tode Ya Na Tode Main Hi Badh Kar Tod Dun,
Aye Gam-E-Dil Kya Karun, Aye Vehshat-E-Dil Kya Karun...
Badh Ke Is Andar Sabha Ka Saaz-O-Samaan Phoonk Dun,
Is Ka Gulshan Phoonk Dun, Uska Shabistaan Phoonk Dun,
Takht-E-Sultaan Kya, Main Sara Qisr-E-Sultan Phoonk Dun,
Aye Gam-E-Dil Kya Karun, Aye Vehshat-E-Dil Kya Karun...
No comments:
Post a Comment