Tuesday, July 27, 2010

Tere Chehre Pe Sukoon Khel Raha Hai Lekin


Tere Chehre Pe Sukoon Khel Raha Hai Lekin,
Tere Seene Mein To Toofan Garajte Honge,
Bazm-E-Kaunain Teri Aankh Mein Veeran Sahi,
Tere Khwabon Ke Mehalaat To Sajte Honge,
Garcha Ab Koi Nahi Koi Nahi Ayega,
Phir Bhi Aahat Pe Tere Kaan To Bajte Honge...

Waqt Hai Naag Tere Jism Ko Dasta Hoga,
Dekh Kar Tujhko Hawayein Bhi Bhaparaati Hongi,
Sab Tere Saye Ko Aasaib Samajhte Honge,
Tujhse Humjoliyan Katra Ke Guzarti Hongi,
Tu Jo Tanhayi Ke Ehsaas Se Roti Hogi,
Kitni Yaadein Tere Ashkon Se Ubharti Hongi,

Zindagi Har Naye Andaaz Ko Apnati Hai,
Ye Fareb Apne Liye Jaal Naye Bunta Hai,
Raqs Karti Hai Tere Honthon Pe Halki Si Hansi,
Aur Jo Ko Kio Royi Ki Tarah Dhundta Hai,
Laakh Pardon Mein Chupa Shor-E-Azihat Lekin,
Dil Tere Dhadakne Ki Sada Sunat Hai,
Tera Gam Jaagta Hai Dilke Nehan Khano Mein,
Teri Awaz Se Seene Mein Fughaan Paida Hai,
Teri Aankhon Ki Udaaso Mujhe Karti Hai Udaas,
Teri Tanhayi Ke Ehsaas Se Dil Tanha Hai,
Jaagti To Hai To Thak Jaat Hai Aankhein Meri,
Zakham Jalte Hai Tere Dard Mujhe Hota Hai...

No comments:

Popular Posts