zulmatkade mein mere shab-e-gam ka josh hai
ik shamma hai dalil-e-sahar, so khamosh hai
na muzda-e-wisal na nazara-e-jamal
muddat hui k ashti-e-chashm-o-gosh hai
mai ne kiya hai husn-e-khudara ko behijab
ae shauq yan ijazat-e-taslim-e-hosh hai
gauhar ko ikd-e-gardan-e-khuban mein dekhna
kya auj par sitara-e-gauharfarosh hai
didar, wada, hosla, saqi, nigah-e-mast
bazm-e-khayal maikada-e-bekharosh hai
ae taza waridan-e-bisat-e-hawa-e-dil
zinhar gar tumhen hawas-e-nao-nosh hai
dekho mujhe jo dida-e-ibaratnigah ho
meri suno jo gosh-e-nasihat niyosh hai
saqi bajalwa dushman-e-iman-o-agahi
mutarib banagma rahzan-e-tamkin-o-hosh hai
ya shab ko dekhte the ki har gosha-e-bisat
daman-e-bagban-o-kaf-e-gulfarosh hai
lutf-e-khiram-e-saqi-o-zauq-e-sada-e-chang
ye jannat-e-nigah wo firdus-e-gosh hai
ya subh dam jo dekhiye akar to bazm mein
na wo surur-o-soz na josh-o-khrosh hai
dag-e-firaq-e-sohbat-e-shab ki jali hui
ik shamma rah gai hai so wo bhi khamosh hai
ate hain gaib se ye mazamin khayal mein
'Ghalib', sarir-e-khama nawa-e-sarosh hai