ai dost mit gaya hun fana ho gaya hun main
is daur-e-dosti ki dawa ho gaya hun main
qayam kiya hai maine adam k wajud ko
dunya samajh rahi hai fana ho gaya hun main
himmat buland thi magar uftad dekhna
chupchap aj mahw-e-dua ho gaya hun main
ye zindagi fareb-e-musalsal na ho kahin
shayad asir-e-dam-e-bala ho gaya hun main
han kaif-e-bekhudi ki wo saat bhi yad hai
mahsus kar raha tha Khuda ho gaya hun main
No comments:
Post a Comment