dil ki bat labon par lakar ab tak ham dukh sahte hain
ham ne suna tha is basti mein dil wale bhi rahte hain
bit gaya sawan ka mahina mausam ne nazren badli
lekin in pyasi ankhon mein ab tak ansu bahte hain
ek hamein awara kahna koi bara ilzam nahin
dunya wale dil walon ko aur bahut kuch kahte hain
jis ki khatir shahar bhi chora jis k liye badnam hue
aj wahi ham se begane begane se rahte hain
wo jo abhi rahguzar se chak-e-gareban guzra tha
us awara diwane ko 'Jalib'-'Jalib' kahte hain
No comments:
Post a Comment