ye ab khula hai k koi bhi manzar mera na tha
main jis mein rah raha tha wahi ghar mera na tha
main jis ko ek umr sambhale phira kiya
mitti bata rahi wo paikar mera na tha
mauj-e-hawa-e-shahar-e-muqaddar jawab de
dariya mere na the k samandar mera na tha
phir bhi to sangsar kiya ja raha hun main
kahte hain nam tak sar-e-mahzar mera na tha
sab log apne apne qabilon k sath the
ek main hi tha k koi bhi lashkar mera na tha
No comments:
Post a Comment