jog bijog ki baten jhuti sab ji ka bahlana ho
phir bhi ham se jate jate ek gazal sun jana ho
sari duniya aql ki bairi kaun yahan par sayana ho
nahaq nam dharen sab ham ko diwana diwana ho
tum ne to ik rit bana li sun lena sharmana ho
sab ka ek na ek thikana apna kaun thikana ho
nagri ngari lakhon dware har dware par lakh sukhi
lekin jab ham bhul chuk hain daman ka phailana ho
tere ye kya ji main ai khinch liye sharma kar hont
ham ko zahar pilane wali amrit bhi pilwana ho
ham bhi jhute tum bhi jhute ek isi ka sacha nam
jis se dipak jalana sikha parwana mar jana ho
sidhe man ko an daboche mithi baten sundar log
'Meer', 'Nazeer', 'kabir' aur 'Insha' sab ka ek gharana ho
No comments:
Post a Comment