hum hi mein thi na koi bat, yad na tum ko a sake
tumne hamein bhula diya, ham na tumhen bhula sake
tum hi na sun sake agar, qissa-e-gam sunega kaun
kis ki zuban khulegi phir, ham na agar suna sake
hosh mein a chuke the ham josh mein a chuke the ham
bazm ka rang dekh kar sar na magar utha sake
shauq-e-wisal hai yahan, lab pe sawal hai yahan
kis ki majal hai yahan, ham se nazar mila sake
raunaq-e-bazm ban gae lab pe hikayaten rahin
dil mein shikayaten rahin lab na magar hila sake
aisa bhi koi namabar bat pe kan dhar sake
sun kar yakin kar sake ja ke unhen suna sake
ahl-e-zaban to hain bahut koi nahin hai ahal-e-dil
kaun teri tarah "Hafeez" dard ke geet ga sake
No comments:
Post a Comment