tohmaten chand apne zimme dhar chale
jis liye aye the so ham kar chale
zindagi hai ya koi tufan hai
ham to is jine ke hathon mar chale
kya hamain kam is gulon se ai saba
ek dam aye idhar udhar chale
dosto dekha tamasha yan ka sab
tum raho khush ham to apne ghar chale
ah bas ji mat jala tab janiye
jab koi afsun tera us par chale
shama ki manind ham is bazm main
chashm-nam aye the daman-tar chale
dhundte hain ap se usko pare
sheikh sahib chor ghar bahar chale
ham jahan main aye the tanhawale
sath apne ab use lekar chale
jun sharar ai hasti-e-bebud yan
bare ham bhi apni bari bhar chale
ek main dil resh hun waisa hi dost
zakhm kitnon ka suna hai bhar chale
ham na jane paye bahar ap se
wo bhi are a gaya jidhar chale
saqiya yan lag raha hai chal chalo
jab talak bas chal sake sagar chale
"Dard" kuch malum hai ye log sab
kis taraf se aye the kidhar chale
No comments:
Post a Comment