husn-e-mah garche bahangam-e-kamal acha hai
us se mera mah-e-khurshid-e-jamal acha hai
bosa dete nahi aur dil pe hai har lahja nigah
ji mein kahte hain muft aye to mal acha hai
aur bazar se le ayen agar tut gaya
sagar-e-jam se mera jam-e-sifal acha hai
betalab den to maza usmen siwa milta hai
wo gada jisko na ho khu-e-sawal acha hai
un k dekhe se jo a jati hai munh par raunaq
wo samajhte hain k bimar ka hal acha hai
dekhiye pate hain ushshaq buton se kya faiz
ik birahman ne kaha hai k ye sal acha hai
hamsukhan teshe ne farhad ko shirin se kiya
jis tarah ka bhi kisi mein ho kamal acha hai
qatra darya mein jo mil jaye to darya ho jaye
kam acha hai wo jiska maal acha hai
khijr sultan ko rakhe khaliq-e-akbar sarsabz
shah k bag main ye taza nihal acha hai
hamko malum hai jannat ki haqiqat lekin
dil k khush rakhne ko Ghalib ye khayal acha hai
No comments:
Post a Comment