Friday, May 14, 2010

koi dawa na de sake, mashwara dua diya

koi dawa na de sake, mashwara dua diya 
charagaron ne aur bhi dil ka dard barha diya 

zauq-e-nigah k siwa shauq-e-gunah k siwa 
mujhko Khuda se kya mila mujhko buton ne kya diya 

thi na khizan ki rok-tham daman-e-ikhtiyar mein 
hamne bhari bahar mein apna chaman luta diya 

husn-e-nazar ki abaru sanat-e-brahaman se hai 
jisko sanam samajh liya usko Khuda bana diya 

dag hai mujhpe ishq ka mera gunah bhi to dekh 
uski nigah bhi to dekh jisne ye gul khila diya

No comments:

Popular Posts