kuch is tarah se nazar se guzar gaya koi
k dil ko gam ka sazawar kar gaya koi
dil-sitam-zada ko jaise kuch hua hi nahin
khud apne husn se yun bekhabar gaya koi
nigah-e-shauq ki mahrumiyon se nawaqif
nigah-e-shauq pe ilzam dhar gaya koi
ab unke husn mein husn-e-nazar bhi shamil hai
kuch aur meri nazar se sanwar gaya koi
kisi k paon ki ahat, k dil ki dharkan thi
hazar bar utha su-e-dar gaya koi
nasib-e-ahl-e-wafa ye sukun-e-dil to na tha
zarur nala-e-dil be-asar gaya koi
No comments:
Post a Comment