Sunday, April 4, 2010

Dil ka tumharay jo safhaa hai

Dil ka tumharay jo safhaa hai...

 
Wo aaj bilkul Sadaa hai..!!

 
Is per bhi toa likha tha HUM NE...

 
Aik Naam Kabhi...!!

Paighaam Kabhi...!!

 
Ashaar Kabhi..!!

 
Sarkaar Kabhi..!!

 
Wo Safhaa....

 
Tum ne DHO DALA

 
Wo Safhaa....

 
BILKUL KHALI HAI...!!

 
Ab kaghaz kay is safhay ko...

 
Kion Aagay Laa Kay Rakhtay Ho??

 
Kion Naam,
Paighaam,

 
Ashaar

 
Likhain...!!!

 
Hum Loag to jo Sarkar Likhain...............

 
Aik baar LIKHAIN...!!!!

Agar kabhi zindagi mile to humein bhi kehna

Agar kabhi zindagi mile to humein bhi kehna

K yahan to sirf sansein chal rahi hain

 
Sari umangein, sari tarangein

 
Mit chuki hain

 
Munafiqat ki siah, andheri taveel shab hai

 
Na chal rahi hai, na kat rahi hai

 
Agar kabhi roshni mile to humein bhi kehna

 
K apna sara safar to aise hai

 
Jese daire mein guzer raha hai

 
Na koi manzil na rasta hai,

 
Na koi jugnu na rahnuma hai

 
Agar kabhi rasta mile to humein bhi kehna

 
Agar kabhi rahnuma mile to humein bhi kehna

 
Agar kabhi roshni mile to humein bhi kehna...!!!

Kisi haath nay kisi loh pay jo nahi likha

Kisi haath nay kisi loh pay jo nahi likha

 
Wohi aik hurf-e-guman hain hum

 
Khat-e-gumshuda main likhi gaiee

 
Koi ajnabi si zuban hain hum

 
Kisi aur khita-e-dard par jo guzar gaya

 
Usi waqt ki tag-o-taaz ka

 
Koi be nishan sa nishan hain hum

 
Kabhi apnay wahimay say nikal k dunia ko deakha

 
To na khul sakay k kahan hain hum

 
Meri jaan humari yeh dastaan

 
Isi aasmaan ki chat talay

 
Isi kahkashaan k darmiyan

 
Kaien baar likhi gaiee kaien bar suni gaiee

 
Yeh hadees naghm-e-be sada

 
Kabhi surkh phoolon ki taiz khushbo'on main ruk gaiee

 
Kabhi aanso'on main rawan huwee

 
Yeh woh shame-e-sham-e-wisal ha

 
Jo tamaam raat jali kabhi

 
Kabhi aik pal main dhuwan huwee

Kabhi roshni ka yakeen bani

 
Kabhi tarikee ki gumaan huwee

 
To jo hogaya usay maan lay

 
K wo daagh wo hain jo saath behroon

 
K panioon say na dhul sakain gain

 
Hwa k rastay main urnay walay udas lamhay

Na ruk sakay hain na ruk sakain gain

 
Tu jo hogaya usay maan lay...........!!


"WaQt"

SahiL Sumander Per....!!!

Aik Shakhs BaithA Hay....!!

Aur Usk Hath Mein....!!!

Aik Dairy Bhi Hay...............

Dairy K SafhOon Ko..!!

Aik Aik Phaarr Ker

Is Terha URratA Hai....!!!

JiS TerhA Koi QaidI

QaiD Say Rihaee Per.........!!



QaiD Fakhtaa'aOn Ko....!!!

Aasmaa'n DikhaTa Hay......!!!!

Main Tanhayee pehan'ta hoon

Main Tanhayee pehan'ta hoon...!!!

Udaasi K ujaar angaan main mehroomiy'un K zard patty chunta hon...!!!

Meri ankhooon mein eik muddat se jug'ratey bharay hain..!

Mery hontooon pe chispaa hein chitakh'tii hichkiyaan...!!

Chehry pe dukhtii hasrateen hain.............!!!

Main apni zaat mein ujray huay gaoon ka mela hon...!!!!!!!!!!

Mery yaroo..!!

Tumharya sath reh kar bhi akaila hon...!!!

Tumhain tu khud sanwarnaa hy

Tumhari khuahishoon k baam-o-dar py roshni k phool khilany hain...!!!

Tumahin likhna hy apni saans ki garmi sy.!!

Neendoon ka safar-nama................

Meri sangat main mat baitho...!!!

K..mian pathhar ka mahbas hon...!!!

K..main mehroomiyoo k shehr ka basii.....................!!

Meri kismat..udasi,kum libasi,na-shanasii hai!!!!!!!

Meri sangat mein mat betho,mujhy milnay se katraao

Khud apnay dil ko smjhaoo....


Mery nazdeek mut aoo....!!!!!!

Mery dil main andheera hy...!!!!!!

Aur....
YEH ANDHEERA SIRF MERA HAY.........!!!

Baat thi mohabat ki

Baat thi mohabat ki

Omer bhar ki chahat ki

Bheer me zamaney ki

sath sath chalna tha

Imteha'n bhe aney they

Zindagi key sab hee pal

Sath hee bitaaney they

Janey tum ne kya socha

Bas Ek pal me hee

Bat khatm ker dali

Zindagi jo poori thi

Wo Adhoori ker dali

Per kon tum ko samjhaye

keh mohabato'n ke mosam bhe

Roz to nhi atey

You'n Zindagi me apno ko

Chor to nhi jatey...!!!



*******************

Mohabbat harf-e-awwal hai

Mohabbat harf-e-awwal hai

 
Mohabbat harf-e-aakhir hai

 
yeh hai ik aisa jazba jo

 
zahoor main apney mahir hai

 
zamane main udasi b

 
mohabbat baant sakti hai

 
kisi k dil se nafrat ko

 
mohabbat chaant sakti hai

 
mohabbat ba-wafa b hai

 
mohabbat dil-ruba b hai

 
mohabbat karne walon ko

 
mohabbat se gila b hai

 
mohabbat main jo hote hain

 
giley woh sub mohabbat hain

 
lagan chahat wafadari

 
yeh saare dhabb mohabbat hain

 
mohabbat aan jesi hai

 
mohabbat maan jesi hai

 
mohabbat phool jesi hai

 
mohabbat jan jesi hai

 
mohabbat jan leti hai

 
mohabbat jan deti hai

 
mohabbat sarfaroshi ko

 
hamesha man leti hai

 
mohabbat ik tabbasum hai

 
jo pholoon main b khilta hai

 
kabi titli k pankhoon main

 
kabi mumta main milta hai

 
mohabbat sans leti hai

 
mohabbat dekh sakti hai

 
mohabbat sath chalti hai

 
mohabbat rah badalti hai

 
kisi ki shadmani ko

 
mohabbat soch sakti hai

 
ye sari zidgaani k

 
ghamon ko noch sakti hai

 
mohabbat ik nageena hai

 
yeh jeene ka qareena hai

 
kabi jo nah doob paye

 
mohabbat wo safeena hai

 
jahan k sub mazahib main

 
mohabbat ka taqqadus hai

 
yehi insan k jazbon main

 
ataa sub se muqqadus hai

 
mohabbat ka yeh jazaba abb

 
bara pamaal hota hai

 
yeh jis k dil main bus jaey

bahut be-haal hota hai

 
mohabbat kal b hoti thi

 
mohabbat abb b hoti hai

 
magar apne muqqadar per

 
mohabbat aaj roti hai ...!!!

 
_________________

Tum Mere Hoke Raho

Tum Mere Hoke Raho


Apni Khatir Jagey Ho Soye Ho

Apni Khatir Hansey Ho Roye Ho

Kis Liye, Aaj Khoi Khoi Ho

Tum Ne Ansoo Bohat Piye Apne

Tum Bohut Saal Reh Liye Apne

Tum Azal Se Dokhoon Ke Derey Ho

Chahey Khud Ko Ghumoon Main Gehero Ho

Jub Se Paida Hoye Ho Mere Ho

Aaj Kholengey Lab Siye Apne

Tum Bohut Saal Reh Liye Apne

Ab Mere, Sirf Mere Hoke Raho

Aab Mujhe Apne Dard Sane Do

Dil Ki Or Baat Dil Se Kehne Do

Meri Bahoon Main Khud Ko Beney Do

Moddaton Zakham Khud Siye Apne

Tum Bohut Saal Reh Liye Apne

Ab Mere Sirf Mere Hoke Raho



Husn He Husn Ho, Zahnat Ho

Ishq Hon Main Tu Tum Muhabbat Ho

Tum Meri Bus Meri Amanat Ho

Jee Liye, Jis Qader Jiye Apne

Tum Bohut Saal Reh Liye Apne

Ab Mere Sirf Mere Hoke Raho

Rehte Ho Ranj-O-Gham Ke Gheron Main

Dukh Ke, Aasaib Ke Baseron Main

Kaise Choron Tumey Andhero Main

Tum Ko De Donga Sub Diye Apne

Tum Bohut Saal Reh Liye Apne

Ab Mere Sirf Mere Hoke Raho

Tum Bohut Saal Reh Liye Apne

Aab Mere Sirf Mere Hoke Raho



Mere Ho ke Rahoo

__________________

Yakeen Ki Aakhri Had Tak

Yakeen Ki Aakhri Had Tak, Yakeen Hai Aur Daawa Bhi,



Ke Rukhsat Kar Ke Bhi Aksar

Nazar Ki Aakhri Had Tak Mujhe To Dekhta Hoga,

Magar Itne Yakeen Ke Baad Bhi Maine

Kabhi Mud Kar Nahi Dekha,

Bas Ek Gehra Sa Dar Hai

Kahin Aisa Na Ho Jaye

Palat Kar Main Use Dekhun



To Wapis Ja Chuka Ho Wo...!!



*************


Mohabat Rait Jaisey thi

: Mohabat Rait Jaisey thi :

 
Mujy ye Ghalt-Fehmi thi

 
keh mohabat Dher sari thi

 
Dono haatho'n me bhar ker

 
Tamam Omer sambhaalo'n ga

 
Kabi Khoney nhi don ga

 
Mohabat khoney ke Dar se

 
Muthiya'n Bhench lein main ne

 
mgr jab muthiya'n kholei'n

 
To dono haath khali thay

 
kyon keh...

 
Mohabat Rait jaisey thi.

wadon ki zanjeer se

main ne

tumhen

apni mohabbat ke saher

wafaon ki jageer

aur

wadon ki zanjeer se

azaad kiya

!Khudaaraa......

ye mat poochna ke

main ne khud ko

tumhari qaid se

azad kiya ya nahen

! yaqeen jano....

main

in qaidiyon mein se hon

jo khule darwaze dekh kar

!!!!! farar nahen hote.....
_________________

Kal Rat Janey kya hoa

Kal Rat Janey kya hoa



Kuch Der Pehlay Neend sey



Kuch Ashq milney aa gaye



Kuch Khowab bhe totay hoy



Kuch log bhe Bholay hoy



Kuch Rasta Bhatkay hoy



Kuch Gard me Liptay hoy



Kuch khaaol me simtay hoy



Be-Rabt si sochen kaheen



Bhooli hoyi Baten kaheen



Ek shakhs ki Yaade'n kaheen



Phir Der tak Jaaga raha



Soch me Gum behta raha



Ungli se Thanday Farsh per



Ek Naam bas Likhta raha



Kal Rat bhe wo Rat thi



Kuch Der Pehlay Neend sey



Main Der tak Rota raha...!!!



*****************

Kaho to Laot jatey hen

Kaho to Laot jatey hen



Abi to Bat Lamho'n tak hai, Saddio'n tak nhi Ayi..



Abi Muskan ki Nobat bhe, Honto'n tak nhi Ayi...



Abi tak koi Majbori Kheyaalo'n tak nhi Ayi...



Abi to Gard Pairo'n tak hai, Baalo'n tak nhi Ayi..



Kaho to Laot jatey hen...



Tumara sath gar mil jaye...



To Zamaney se Olajhana, Bat he kya hai...



Agr tum chor do mujh ko, meri Aokaat he kya hai..



Meray Barey me na socho...



Tum apni Bat batlaao...



Kaho to chaltey rehtey hen...



Kaho to Laot jatey hen...!!!



******************

Dard phail jaye tu aik waqat aata hay

Dard phail jaye tu aik waqat aata hay

Dil dharakta rehta hay

Arzoo gazidoon kay hoslay nahi chaltay



Dasht-e-bay yaqeeni main

asray nahi chaltay

Rah-ro-on ki ankoon main

Manzilen na jab tak hoon,

qaflay nahi chaltay,



Ik zara tavajo say daikhiye tu khulta hay

Log in per chaltay hain,

rastay nahi chaltay



Sochnay samajhnay say,

saath saath chalnay say

Doriyan smat’ti hain, faslay nahi chaltay



Khwab khwab aankoon main ratjagay nahi chaltay

Darguzar kay halqay main masalay nahi chaltay



Do diloon ki qurbat main teesra nahi hota

Vastay nahi chaltay



Bakht sathh chalta hay taal-e-azmaon kay

Waqat raam kernay main tujzeeon kay dao kya

Tajrabay nahi chaltay



Ishaq kay ilaqay main hukm-e- yar chalta hay

Zaabtay nahi chaltay



Husan ki adalat main aajzi tu chalti hay

Mertabay nahi chaltay



Dosti kay rishtoon ki perwarish zarori hay

Silsalay ta’aluq kay,

khud say ban tu jatay hain

Lakin in shagofoon ko totnay bikharnay say

Rokna bhi perta hay



Chahatoon ki matti ko,

arzo kay poday ko

Senchna bhi perta hay



Ranjishon ki baton ko

bolna bhi perta hay



Dard phail jaye tu aik waqat aata hay

Dil dharakta rehta hay

Arzoo gazidoon kay hoslay nahi chaltay


*******************

La-Elmi

La-Elmi
Wo kehta tha

 
Sonoo!!

 
Mohabatoon mein doriyan

 
Mohabatoon ko aur mazbot bna dety hain

 
lakin

 
Usy shayed yeh khabar nahi ha

 
K fasily

 
Dilon per bany naqsh bhi to dhondla dety hain.


 
******************

sans lena aik adat hai

sans lena aik adat hai

warna zindagi to ab be jaan si hoye

ankhon mein na umiidi ki roshni

na hi maazi mein kuch tatolne ki justujo

ye qadam na hamwar rahon ke itne adi hoye

ke hamwaq rah guzar par bhi aik jhatka laga

sans lena bhi aik adat hai

aur yon kuch adaten mar kar bhi chutt'ti nahen

woh jis main tum ne pocha hay

woh jis main tum ne pocha hay

k ab halaat kaisa hain?

mare din raat kaisay hain?



meherbani tumhari hai.....



keh tum ne is trah mare halaat pochay hain

mare din raat pochay hain

tumhain sab kuch bta doonga



mujhe itna bata do keh

kabhi saager kinare per kisi machli ko dekha hay?

keh jis ko Lehrain pani k kinare tak to laati hain

magar phir chor jati hain



mare halaat aise hain !

mare din raat aise hain...!





****************

Mohabbat key sabhi jazboo ko

Mohabbat key sabhi jazboo ko

Dil ki khoobsurat shakh pe

Tahreer karna

Aur tumharey geet gana

Kiya faqt merey fara'iz main hi shamil hai?

Key tum se rabton ki pasdari ko nibhana

Gar kisi ka farz hai tu!

Sirf mera hai?

Agar tum se kabhi milney ki khwaish ho tu!!

Darwaza sawali ki tarha khat khatana

Sirf meri zim'medari hai?

Tumhari koi khwaish!

Tashna rah jae

Tu us pe ghamzada hona

Bohat rona!

meri qismat main likha hai?

ke aae jan-e-wafa!

Tum ko

Mere jazbat ka ahsaah hi kab hai?

Mere jiwan ke is sahra se

Tum ko rabt rakhney ki

Zaroorat hai na parwah hai

meri sanso pe har lakhta udasi karhney wali

Mujhe bas itna batla dey

key kiya?

Khwaboo ke is vera'n jazerey ki hifazat

Ek bas!

Mujhe per hi lazim hai?

Khudaoo ki tarha se be-niyazi oorhney wali

Mohabbat ki ye sari palna bhi

Bus mujhe per farz hai?

AUR TUM!!!

Aur tum FALAK PE BAITH KAR

Sara tamasha dekhti jao!

Bhool jain aaj to Behter hi

Bhool jain aaj to Behter hi



Silsaley Qurb key, Judai key



Bujh chuki Khowishon ki Qandeelen



Lut chukay shehr shansaai key



Raaigaan saa'aton se kya Lena



Zakham hon, Phool hon, Sitarey hon



Jis ne Jaisey bhe Din guzaarey hon



Zindagi se shikayaten kaisy



Ab nhi hen agr Giley they kabhi



Bhool jain keh Ham miley they kabhi



Bhool jain keh jo howa so howa



Aksar-Ao-kaat chahney per bhe



Faaslon mein kami nhi hoti



Baz-Ao-kaat Janey walon ki



Waapsi se khushi nhi hoti....!!!



************

wohh log bahot khush.kismat the

wohh log bahot khush.kismat the ,

jo kaam se aashquee karte the,

yaa ishq ko kaam samajhte the



Hum Jeete jee masroof rahe

kutch ishq kiya

kutch kaam kiya



kaam Ishq ke aadey aata raha

aur ishq se kaam bigadte rahe...



Aakhir tang aakar dono ko

humne adhoora chorh diya...

Meri Jalti Aankhen

Meri Jalti Aankhen...

 
Ek Siyaah Raat...

Ek Qalam...

 
aur...

 
Ek Kitaab...

 
Ek Dairy ke Chund...

 
Urtey hoye Warq...

 
Meray Haathon mein...

 
Odaasi ki kuch Lakeeren...

 
Meri Bheegi Palkon mein...

 
Chund Aansoo...

 
Meray Malgajey sey...

 
Daman mein kuch Murjhaye hoye...

 
Phoool...

 
Guzrey Mazi key Rang....

 
Aaney waley Dino ki...

Aas...

 
Aur....

Jalta-Bujta aik Diya...

Bas Yahi to hey...

Meri Duniya ki kul Aabadi.....!!!

Mohabbat Maqsad Hai Zindagi Ka

Mohabbat Maqsad Hai Zindagi Ka

Mohabbat Muqaddar Hai Her Kisi Ka

Mohabbat Her Khushi Ka Peghaam Hai

Mohabbat Hai To Rehmat Hai

Mohabbat Hai To Chahat Hai

Mohabbat Pyar Ishq-o-Lagan Hai

Mohabbat Main Her Shakhs Magan Hai

Mohabbat Main Zindagi Kho Jati Hai

Mohabbat Haar Hai Mohabbat Jeet Hai

Mohabbat Hi Dil Ka Sacha Meet Hai

Mohabbat Phoolon Ko Hui Kantoon Sey

Mohabbat Palkoon Ko Hui Aankhoon Sey

Mohabbat Chand Ko Hui Chandni Sey

Mohabbat Rooh Ko Hui Ragni Sey

Mohabbat Subha Ki Pehli Kiran Hai

Mohabbat Do Diloon Ka Millan Hai

Mohabbat Hi Meri Manzil Hai

Mohabbat Hi Mera Dil Hai...!!!



Mere Naam Say Pehlay

Ab K Us Ki Ankhoon Main

Bay'Sabab Udasi Thi

Ab K Us K Cheray Par

Dukh Tha Bad'Hawasi Thi



Ab K Yoon Mila Mujh Say

Yoon Ghazal Sone Jaisay

Main Bhi Na'shana'sa Hon

Wo B

Ajnabi Jaisay



Zard Khal'o'khad Us K

Sogawar Damam Tha

Ab K Us K Lehjay Main

Kitna Khud'raa'Pan Tha



Wo K Umer Bhar Jis Ne

Shehr Bhar K Logoon Main

Mujh Ko Hum'sukhan Jana

Dil Say Ashnaa Likha

Khud Say Mehar'ban Samjha

Mujh Ko Dil'robaa Likhaa



Ab K Sada Ka'Ghaaz Par

Surkh Rosh'nayee Say

Us Ne Tal'kh Lehjay Main

Mere Naam Say Pehlay

Sirf Bewafa Likha.....!



Shayad ye sach hey

Shayad ye sach hey..

keh Bicherney se koi Martta nahi...

Lekin Ek Din...

Main ney Phool ko Tehnii se Juda kia to...

Phool chand saaniyo'n mein Murjhaa kr Dam tor gia...

Tab main ney Jana...

Keh...

Agr Jazbay sachay aur Be-laos hon...

To...
Bicharney se koi Mar bhe sakta hey....!!!!

********************

un kahi batoon ko

un kahi batoon ko

un sunay lafzoon ko

qaid say rehaey do

ke warna .....

guzrya hoyay kal ki

chubhan ki bazgasht ....

mairi koey unkahi

tumhari koey unsuni

aanay walay kal main

achanak kabhi takrai to

ankhain khoon rooain gi

zubaan laRkharaey gi

samAt kalbalaey gi .

zindigi dagmagaey gi.

jis chubhan pe zinda thay

ik pal main na rahi

to

usi pal mar jao gay

Haath ki Lakeeron mein

Haath ki Lakeeron me



kya Tilash krtay ho..



En Fazool Baton me...



Kis ley Ulajtay ho...



Jis ko milna hota hi..



Bin Lakeer dekhay hee...



Zindagi ke Raston per...



Sath Sath chalta hi..



Phir kahan Bicherta hi...



Jo nhi moqadar me...



Kab Hamen wo milta hi...



Kab wo sath chalta hi...



Hath ki Lakeeron me...



Kya Tilash krtay ho....!!!





***************

Jaltay Diye ke samnay

Jaltay Diye ke samnay

Jhonka Hawa ka Dekh ker

Tum kyon Odaas ho gaye

Mosam khizaa'n ka Dekh ker

Tum, Dukho'n ke soz ka

Mosamo'n ke Rog ka

Dard mat saha kro

Udaas mat raha kro

Ye Dard hen Hayyat ke

Kuch Rang kainaat ke

Kuch Dukh ki tez barshe'n

Kuch phool hen Nishaat ke

Tum Phool bas chuna kro



"Udaas mat raha kro...!!!"





*******************

Har roz dekhta hu tumhe naino ke jharokhon se

Har roz dekhta hu tumhe naino ke jharokhon se,

Har roz iss dil ko tum naye hi nazar aate ho..



Kya bat hai tere husn mein samjhaye koi mujhe,

Kyu har baar aur bekarar mujhe kar jaate ho..



Kehna chahte hai kitni batein tumse dil ki apne,

Par tum toh nigahen milane se bhi katrate ho..



Dekha hai tumhe chupke chupke mujhe dekhte hue,

Phir pas aane se mere kyu ghabraate ho..



Aise na karo, izhaar-e-dil mushkil hua jaate hai,

Kyu dil ki mere uljhano ko tum badhate ho..



Jo bat tere dil mein hai, wahi hai bat idhar bhi,

Keh bhi do usse, kyu dil ko itna tadpate ho..



Lab khamosh hain khamosh sahi, parwah kisko hai,

Nigahon se kaho kab mujhe haal-e-dil sunate ho..

Kaho ab kia kahoon tum se

Kaho ab kia kahoon tum se



Batao kia likhoon tum ko



Mujhe tamheed do koi mujhe umeed do koi



Naya ik lafz ho koi



Jahan se baat chal nikle meri mushkil ka hul nikle



Batao lehja kaisa ho



K tum se baat kerni hai



Mujhe thora ujala do baser ik raat kerni hai



Tum apni roshan aankhon ko



Ager kholo to mein likhoon



Tumhaare lub se aaye ga sukhan mein ik kateela pun



Tumhaari aankh de de gi takhatub ko nasheela pun



Kaho ab kia irada hai



Mujhe izhaar kerna hai



K beytaabi ziada hai



Kaho....ab....kia kahoon....tum se....!!!!





****************

Woh jiske chehre mein mujhe chaand dikha karta thaa

Woh jiske chehre mein mujhe chaand dikha karta thaa

Woh shakhs jo meri her baat pe maraa karta thaa

Apni hatheli mein mera naam padha karta thaa

Uss per phir sapno ka ik mahal khada kerta thaa

Haan usske mere beech akser aisa hua karta thaa

Woh bewajah hee apni zidd pe adhaa kerta thaa

Har baat per mujhko shaq-e-nigaah se dekha karta

Waise Woh mujh pe yakeen badaa kerta thaa

Jab bhee usko meri shakl ki yaad aaya kerti

Chaand dekhne ko Woh raaton mein utha kerta thaa

Usske saath sadak per aksar chalte chalte

Main duur kaheen badalon per udaa kerta thaa



Woh kabhi mujhse ek pal ki duuri na saha kerta thaa

Woh jo mere liye saari duniya se ladaa kerta thaa

Aaj Woh shakhs mere bin hee jiye jaata hai

Ye baat aur hai ke humko yaad bada aata hai

Ye na poocho ke sanam kitna yaad aata hai

Hum toh kehte hain ke khuda jitna yaad aata hai





"Kacchi kaliyon ki aashiqi se phool ki dillagi behtar

Phool maraa kerte hain,badla nahi karte"

dafn seene meN rakheN wasl ke armaaN kab tak

dafn seene meN rakheN wasl ke armaaN kab tak

aatish e hijr jalayegi miri jaan kab tak

tangi e zeest ka ho jaye use kaash ahsaas

ghaflat e yaar kahaN tak shab e hijraaN kab tak

aaeenah bandi e dil kaGHzi gul se kijaaye

aik seHraa meN tamanna e gulistaaN kab tak

aoj per aaj he tuGHyani e beHr e jazbaat

aik kooze meN daba rakkhenge toofaaN kab tak

her ghaRi dil pay diye jaate heN dastak aalaam

bin bulaye chale aayenge yeh mehmaaN kab tak

ab woh KHamosh he , tha shab meN shareek e maatam

saath deta mira aaKHir dil e naalaaN kab tak

daafa e naar e shikam Arq e badan he jiska

pet per bandhega patthar wahi dehqaaN kab tak

le liya qatl ka ilzaam hameeN ne sar per

husn ko dekhte ab aur paraishaaN kab tak

jo nah milti hameN GHurbat meN husaini manzil

koo ba koo phirte younhi be sar o saamaaN kab tak

Mein kuch kuch bhoolta jaata hoon

Mein kuch kuch bhoolta jaata hoon

ab tujhko,

Tera chehra bhi dhundhlaane laga hai

ab takhayuul mein...

Badalne lag gaya hai ab

woh subah-o-shaam ka mamool,

Jismein tujhse milne ka bhi ek mamool shamil tha

Tere khat aate rehte the,

toh mujhko yaad rehte the...

teri aawaaz ke sur bhi,

Teri awaaz ko kaagaz per rakh ke meine

chaaha tha ke pin ker loon,

Woh jaise titliyon ke per laga leta hai koii

apni album mein...

tera "be" ko daba ke baat karna

"wa" per hothon ka challa gol ho ker ghoom jaata tha

bahut din ho gaye dekha nahin...

na khat mila koii...

bahut din ho gaye...sachhi

teri awaaz ki bauchaar mein bheega nahin hoon mein...

Mein kuch kuch bhoolta jaata hoon ab tujhko...

Kuch bhee nahi

" Kuch bhee nahee"

......

tutee huwee tasweer....

soya huwa zameer....

kuch purani yaadain...

aik saaz..

meree awaaz..

yeh kamra...

khalee burtun...

meri muskaan..

pyar mohabbat...

ajeeb baatain..

jaagtee raatain...

aansoo...

khushiaan...

murjhaye huwe phool...

dhool...

meraa dil...

soch....

pashemaanee..

khayaal...

udaasi...

bay saakhta mazaak...

ik khazana....



mere paas..

buhut kuch hai...

magar dekho to...

kuch bhee nahee..



kabhee koi aaye to...

kabhee koi dekhay to..

kuch bhee nahee..



buhut kuch...

magar kuch bhee nahee...



aao to..

dekho to..

kuch bhee nahee...



KHUDKUSHI

Bas Ek lamhay Ka jaghra Tha

Dar-o-Dewaar Pay easay Chanaakay Say Geri Awaaz

Jesay kaanch Girta Hay

Har Ek Shay Mein Gaein

Urti Hui, Jalti Hui Kirchein

Nazar Mein, Baat mein, Lehjay Mein

Soach Or Saans Kay Andar

Lahoo Hona Tha Aik Rishtay ka

So Who Ho Gya US Din

Usi Awaaz Kay Tukray Utha Kar Farsh Say Us Shab

Kesi Nay Kaat Lein Nabzein

Na Ki Awaaz Tak Kuch Bhi

Keh Koi Jaag Na Jaye

Bas Aik Lamhay Ka Jaghra Tha

Bas Aik Lamhay Ka Jaghra Tha

Ya Phir Say Mera ho Jaye

Usay Kehna

Keh Raat Ka Pichla Pehar Hay

Our Abhi Hum Jagtay Hein

Hamari Ankhon Say Neend Koso'n Door Hay Abhi

Hamaray Lab Ab bhi

Teray Nagmay Gaatay Hein

Hamara Zehan Ab Bhi

Teri Batein Soochta Hay

To Kabhi Hum hans Detay Hein

Kabhi Udaas Hotay Hein

Shab-E-Tanhaai Ki Yakh Basta Hawao Usay Kehna

Hum Ab Bhi Baa Wazoo Ho Kar Tumhara Naam Letay Hein

Usay Kehna

Yeh Apna Naqsh Dhoo Jaye

Ya Phir Say Mera ho Jaye....!!!!!!

Akelepan ke usi bekinaar seharaan mein

Akelepan ke usi bekinaar seharaan mein



uljhi bikhri huii taqdeer ki lakeeron mein ghiri



safed kapdon se zakhmon ko apne dhaampe huey



fir wohi mein,wohi chauraha,wohi benaam sakoot



duaan dhuaan si nazar aur wohi sanaanta



fir se ehsaas ne pehna hai behisi ka libaas



sawaal ban gayi bewajah zindagi fir se



jawaab jiska...wohi benaam si khamoshi hai...

Aakhri Baat

Toloo-e-shams-e-mufaaraqat hai

purani kirane'n naye makaano'n key Aangano'n me laraz rahi hen

Faseel-e-shehar-e-wafa ke rozaan chamakate zarro'n se bhar gai hen

gaye dino'n ki Aaziz baate'n, Nighaar subahe'n, gulab raate'n

Bisaat-e-Dil bhe ajeeb shay hai, hazaar jeete'n hazaar maate'n

Judaaiyo'n ki havaaye'n Lamho'n ki Khushmati uraa rahi hen

Gayee Ruto'n kaa malaal kab tak

chalo keh shaakhe'n to Tootati hen

chalo ke qabro'n pe Khoon rone se

Apni Aankhe'n hee phootatii hen

Ye mor wo hai jaha'n se mere tumhaare raste badal gaye hen

Puraani raaho'n ko Laotna bhe hamari taqdeer me nahee'n

keh Raaste bhe hamaare qadamo'n ke saath aage nikal gaye hen



Toloo-e-shams-e-mufaaraqat hai

Tum apni Aanko'n me Jhil_milaatay hoye sitaaro'n ko maot de do

Gayee Ruto'n ke tamaam phoolo'n, Tamam Khaaro'n ko maot de do

Naye safar ko hayaat baKhsho

keh pichhali Raaho'n pe sabt jitane Naqsh-e-paa hen

wo baar hon gey

Hawa uraaye keh tum uraao...!!!



***************

kabhi yon jo ho kisi din agar

kabhi yon jo ho kisi din agar

kabhi to jo sar E raah miley

mein hazar lamhon ko khench kar

ye jo chalta waqt hay...bandh don



ye jo gardishein hein zameen ki

isi aik lamhay pe ruki rahein



mein taka karon tujey jazab say

yonhi pyar say yonhi shoq say

teri har ada ko samet lon

mein hisar e jaan mein saja rakhon



to jo pas ho to mein je sakon

to jo door ho,, na jia karon...!!!



kabhi yon jo ho kisi din agr

merye humsafar to jo na milay



mein hazar dharkanon ko khench kar

ye jo chalta dill hay...bandh don



ye jo silslay hein meri sans k

teri doori mein he haar don



to jo paas ho to mein jee sakon

to jo door ho...na jia karon...!!!!



**************

ye ajeeb fasl-e-firaq hai

ye ajeeb fasl-e-firaq hai!

k na lab pe hurfe talab koi

na udasion ka sabab koi

na hujoom-e-derd k shoq main!

koi zakham ab k hara hoa

na kaman badast ado hoe

na malamat-e-saf-e-dostaan

pe ye dil kisi se khafa hoa



koi taar apne lebas ka

na hawa ne hum se talab kia

sar-e-rahguzer wafa berhi

na diya jalane ki arzoo

pe charha gham-e-do jahan

na koi maseeha na charager

na kisi kahayal ki justuju

na khalish kisi k wisaal ki

na thakan rah-o-mah-o saal ki



na dimagh rang rukh batan!

na talash lashker nasehan!!

wahi aik haal hai zabt ka

wahi aik chaal hai deher ki

wahi aik rang hai shoq ka

wahi aik rasm hai sheher ki,

na nazer main khof hai raat ka

na fiza main din ka hiraas hai



pe arz-e- haal sukhanwaran,

wahi humsukhan hai rafeeq-e-jan,

wahi hum shukhan jise dil kahen!

wo to youn bhi kub ka udas hai.





ye ajeb fasl-e-firaq hai,

ye ajeeb fasl-e-firaq hai





_________________

koi zangeer ho aahan ki, chandani ki

koi zangeer ho

aahan ki, chandani ki, riwayat ki

muhabbat tor sakti hai

yeh aisi dhaal hai jis per

zamanay ki kisi talwaar ka sika nahi chalta

agar chasm-e-tamasha may zara si milaawat ho

yeh aaiina nahi chalta

yeh aisi aag hai jis may

badan showlon may jaltay hain to rooheiN muskurati hain

yeh woh selaab hai jis ko

dilon ki bastiyaan aawaaz day kar khud bulaati hain

yeh jub chahay kisi bhi khuwab ko taabir mil jaye

jo manzar bujh chukay hain in ko bhi tanweer mill jaye

dua jo be thikaana thi usay taaseer mill jaye

kisi rishtay may raasta poochti taqdeer mill jaye

muhabbat rok sakti hai kisi girtay sitaray ko

yeh chakna choor aaiinay ki kirchein joR sakti hai

jidhar chahein yeh baagein mor sakti hai

koi zanjeer ho us ko muhabbat tor sakti hai





_________________

Popular Posts