mUjhay Achi Trah MalOom hAi
Tera Kahien RaastOn Mein Milna mUmkin Nahien
In RaastOn Nay
jO jUda Likhay hAin hUm Nay KhUd Apnay Hi HaathOn Say
HazaarOn FasalOn Kii Teh hUmaray PaaOn Say Bandhi hAi
Bhala tOo Un Sabhi lOgon Mein Kab Tak rUk Saka hOga
K wO tO Khud tUjhay Apnay Barhana AastenOn Par
Zara Bas Jism Ki MajbOoriyon Tak hUmSafar iK AjnAbii Likh Aaya Kartay Thay
mUjhay Yeh Bhi Khabar hAi
tOo Wahaan Par Bhi Nahi hOga
Sulagtii DhOop Ki Rutt Mein
Ghari dO Bhar Kharay Rehnay Ka JahaaN Tak Irada Tha
K Ab Tak Soch Mein Fitrii TaQaazay Such Nahi hOtay
Iraday jhOot hOtey hAin
mUjhay Yeh Bhi Pata hAi
hUm Anna Kay mOar Par BiChray hOye hAin
Aur ZameenOn Par Kahien Asii gUzar-Gaah Raahien Nahi hAin
jO Kabhi Is mOar Par BiChray hOye lOgon Ko Phir Say Laa Milaatii hAin
mUjhay MalOom hAi Sab Kuch, mUjhay MalOom hAi Lekin
Na Janay kyOn Main Phir Bhi Roz tUjhay dhOondnay Ghar Say Nikalta hOn...!!
*************
No comments:
Post a Comment