Kisi haath nay kisi loh pay jo nahi likha
Wohi aik hurf-e-guman hain hum
Khat-e-gumshuda main likhi gaiee
Koi ajnabi si zuban hain hum
Kisi aur khita-e-dard par jo guzar gaya
Usi waqt ki tag-o-taaz ka
Koi be nishan sa nishan hain hum
Kabhi apnay wahimay say nikal k dunia ko deakha
To na khul sakay k kahan hain hum
Meri jaan humari yeh dastaan
Isi aasmaan ki chat talay
Isi kahkashaan k darmiyan
Kaien baar likhi gaiee kaien bar suni gaiee
Yeh hadees naghm-e-be sada
Kabhi surkh phoolon ki taiz khushbo'on main ruk gaiee
Kabhi aanso'on main rawan huwee
Yeh woh shame-e-sham-e-wisal ha
Jo tamaam raat jali kabhi
Kabhi aik pal main dhuwan huwee
Kabhi roshni ka yakeen bani
Kabhi tarikee ki gumaan huwee
To jo hogaya usay maan lay
K wo daagh wo hain jo saath behroon
K panioon say na dhul sakain gain
Hwa k rastay main urnay walay udas lamhay
Na ruk sakay hain na ruk sakain gain
Tu jo hogaya usay maan lay...........!!
No comments:
Post a Comment