Dard phail jaye tu aik waqat aata hay
Dil dharakta rehta hay
Arzoo gazidoon kay hoslay nahi chaltay
Dasht-e-bay yaqeeni main
asray nahi chaltay
Rah-ro-on ki ankoon main
Manzilen na jab tak hoon,
qaflay nahi chaltay,
Ik zara tavajo say daikhiye tu khulta hay
Log in per chaltay hain,
rastay nahi chaltay
Sochnay samajhnay say,
saath saath chalnay say
Doriyan smat’ti hain, faslay nahi chaltay
Khwab khwab aankoon main ratjagay nahi chaltay
Darguzar kay halqay main masalay nahi chaltay
Do diloon ki qurbat main teesra nahi hota
Vastay nahi chaltay
Bakht sathh chalta hay taal-e-azmaon kay
Waqat raam kernay main tujzeeon kay dao kya
Tajrabay nahi chaltay
Ishaq kay ilaqay main hukm-e- yar chalta hay
Zaabtay nahi chaltay
Husan ki adalat main aajzi tu chalti hay
Mertabay nahi chaltay
Dosti kay rishtoon ki perwarish zarori hay
Silsalay ta’aluq kay,
khud say ban tu jatay hain
Lakin in shagofoon ko totnay bikharnay say
Rokna bhi perta hay
Chahatoon ki matti ko,
arzo kay poday ko
Senchna bhi perta hay
Ranjishon ki baton ko
bolna bhi perta hay
Dard phail jaye tu aik waqat aata hay
Dil dharakta rehta hay
Arzoo gazidoon kay hoslay nahi chaltay
*******************
No comments:
Post a Comment