Woh jiske chehre mein mujhe chaand dikha karta thaa
Woh shakhs jo meri her baat pe maraa karta thaa
Apni hatheli mein mera naam padha karta thaa
Uss per phir sapno ka ik mahal khada kerta thaa
Haan usske mere beech akser aisa hua karta thaa
Woh bewajah hee apni zidd pe adhaa kerta thaa
Har baat per mujhko shaq-e-nigaah se dekha karta
Waise Woh mujh pe yakeen badaa kerta thaa
Jab bhee usko meri shakl ki yaad aaya kerti
Chaand dekhne ko Woh raaton mein utha kerta thaa
Usske saath sadak per aksar chalte chalte
Main duur kaheen badalon per udaa kerta thaa
Woh kabhi mujhse ek pal ki duuri na saha kerta thaa
Woh jo mere liye saari duniya se ladaa kerta thaa
Aaj Woh shakhs mere bin hee jiye jaata hai
Ye baat aur hai ke humko yaad bada aata hai
Ye na poocho ke sanam kitna yaad aata hai
Hum toh kehte hain ke khuda jitna yaad aata hai
"Kacchi kaliyon ki aashiqi se phool ki dillagi behtar
Phool maraa kerte hain,badla nahi karte"
No comments:
Post a Comment