Mohabbat harf-e-awwal hai
Mohabbat harf-e-aakhir hai
yeh hai ik aisa jazba jo
zahoor main apney mahir hai
zamane main udasi b
mohabbat baant sakti hai
kisi k dil se nafrat ko
mohabbat chaant sakti hai
mohabbat ba-wafa b hai
mohabbat dil-ruba b hai
mohabbat karne walon ko
mohabbat se gila b hai
mohabbat main jo hote hain
giley woh sub mohabbat hain
lagan chahat wafadari
yeh saare dhabb mohabbat hain
mohabbat aan jesi hai
mohabbat maan jesi hai
mohabbat phool jesi hai
mohabbat jan jesi hai
mohabbat jan leti hai
mohabbat jan deti hai
mohabbat sarfaroshi ko
hamesha man leti hai
mohabbat ik tabbasum hai
jo pholoon main b khilta hai
kabi titli k pankhoon main
kabi mumta main milta hai
mohabbat sans leti hai
mohabbat dekh sakti hai
mohabbat sath chalti hai
mohabbat rah badalti hai
kisi ki shadmani ko
mohabbat soch sakti hai
ye sari zidgaani k
ghamon ko noch sakti hai
mohabbat ik nageena hai
yeh jeene ka qareena hai
kabi jo nah doob paye
mohabbat wo safeena hai
jahan k sub mazahib main
mohabbat ka taqqadus hai
yehi insan k jazbon main
ataa sub se muqqadus hai
mohabbat ka yeh jazaba abb
bara pamaal hota hai
yeh jis k dil main bus jaey
bahut be-haal hota hai
mohabbat kal b hoti thi
mohabbat abb b hoti hai
magar apne muqqadar per
mohabbat aaj roti hai ...!!!
_________________
No comments:
Post a Comment