dafn seene meN rakheN wasl ke armaaN kab tak
aatish e hijr jalayegi miri jaan kab tak
tangi e zeest ka ho jaye use kaash ahsaas
ghaflat e yaar kahaN tak shab e hijraaN kab tak
aaeenah bandi e dil kaGHzi gul se kijaaye
aik seHraa meN tamanna e gulistaaN kab tak
aoj per aaj he tuGHyani e beHr e jazbaat
aik kooze meN daba rakkhenge toofaaN kab tak
her ghaRi dil pay diye jaate heN dastak aalaam
bin bulaye chale aayenge yeh mehmaaN kab tak
ab woh KHamosh he , tha shab meN shareek e maatam
saath deta mira aaKHir dil e naalaaN kab tak
daafa e naar e shikam Arq e badan he jiska
pet per bandhega patthar wahi dehqaaN kab tak
le liya qatl ka ilzaam hameeN ne sar per
husn ko dekhte ab aur paraishaaN kab tak
jo nah milti hameN GHurbat meN husaini manzil
koo ba koo phirte younhi be sar o saamaaN kab tak
No comments:
Post a Comment