Sunday, April 4, 2010

Yaad aata hay

Chalo khatam hoi aaj say dastaan-E-muhabbat

Ab hum tareekh-e-wafa main tera naam kanda kertey hain





Chalo aaj say hum chahat k zanda'n main muqeed huy

Teri yaad k sehra main dard-E-maazi ki wa'eed huy





Chalo ab kitaab-e-zeest se awraq-e-wafa palat'tay hain

K ab hum "wafa" ko jafa likhaingay , saza likhaingay







K ab hum apni bheegi january ki shuru'aat

Teray bakhsay huy azaab-e-tanhai se kertaY hain





Chalo ab teri muhabbat ki umar qaid muqaddar hoi

(k hum ko wafa nibhanay ki saza to milni thi)





Chalo ab hum apney haathon ki lakeero'n say

Tera aks-e-jaa'n mita daingay





Qalb-e-jaa'n main saji tasveer-E-muhabbat . . ..

Shab ki tanhai main chupke say hata daingay





Is per bhi sehar koi gham nahi hota

K hum ko zamane main teri ruswai manzoor nahi

Shayad isi liye yeh lehja gham nahi hota





Mgr jab faseel-E-jaa'n say saans ukharti hay to

Aise main hum Aseer-E-muhabbat

Phir say ahd-E-wafa duhranay lagtay hain





Itneay zakhm kha kar bhi

nishtar jaan ko teri ankhon ka

Surmai samandar yaad aata hay





Aisay main hum dair tak mazar-E-muhabbat per

Noha giri kertay hain , aahain bhartay hain





Aise main yaad-E-maazi ki her yaad

Nakhl-E-yada'n say mehev hojati hay





aisay main bas december ki

Siskiyan leti hoi sard tareek yaad ka

alvidaii manzar yaad aata hay





aisay main humain tu bhi nahi teri chahat bhi nahi

Bass woh muabbat ka aakhri december yaad aata hay

Haan bass woh aakhri december .........Yaad aata hay ..!!



*.*.*.*.*.*.*.*.*.*.*.*.*.*.*.*.*.*.*.*.*.

No comments:

Popular Posts