Sunday, April 4, 2010

khiza'n ki udaas subha mein

khiza'n ki udaas subha mein

sardion ki shaamon mein...

Aas barhnay lagti hai

un-kahay say jazbon ki

piyaas barhanay lagti hai

baykali udaasi si

baychain kiyey rakhti hai

kissi kay sath ki, Dil ko

tamanna honay lagti hai

yoonhi qadam say qadam mila kar...

kissi kay sath chalnay ko

kissi ka hath thamay...

dheeray say,

Dil ki baat karnay ko,

apna yaqeen dilanay ko

kissi ka yaqeen karnay ko

kissi kay garam hathon ka...

haseen sa lamas panay ko

kissi ki mohabbat bhari ankhoon mein

khud ko khoj laynay ko

kissi ki narm muskurahat mein

khud ko bhool janay koo...

kissi ki mehekti khushboo mein

yoon masroor honay ko

kisi kay Dil mein khud ko

dhondnay ko... jhaank laynay ko

kisi ki ankhoon ki gehri jheel mein,

Dil kay samander mein...

yaqeen ki lahar pay

aahista say... dheeray, dheeray say

tamaam gahraaiyo'n ko...

jaan laynay ko

Mohabbat ki seep mein Apna...

Ghar banaanay ko

Wafa kay noor say roshan aik

sacha mooti paanay ko

kissi kay naam pay sadiyaa'n bitaanay ko

kissi ki aas ka bin-baas lainay koo

kissi kay saarey jazbay jaan laynay ko

kissi ko saray jazbay soonp daynay ko

kissi kay gird apna

hisaar baandh daynay ko

kissi kay saath ka paband honay ko...

khawaahish honay lagti hai

Tamanna barhnay lagti hai

Sardiyo'n ki shaamon mein

narm garm jazbon ki

talab barhnay lagti hai

aas barhnay lagti hai

un-kahay jazbon ki

piyaas barhanay lagtti hai



*******************

No comments:

Popular Posts