Ik roz koi to soche ga
Farzanon ki is basti main
Ik shakhs tha pagal pagal sa
Par baten theek hi kehta tha
Barish ki tarah par shor na tha
Darya ki tarah chup rehta tha
Jin se use pyar bala ka tha
Taane bhi unhi ki sehta tha
Ik roz koi to soche ga
Dunya ne use kuch bhi na diya
Par us ne jag ko pyar diya
Jaan rote rote kho betha
Dil hanste hanste haar diya
Jo nazm likhi bharpoor likhi
Jo sher diya shahkar diya
Kyoon jite ji dargor hua
Kis chah pe tan man har diya
Tha dushman kon bechare ka
Kis ranj ne us ko maar diya
Ik rooz koi to soche ga
No comments:
Post a Comment