Monday, March 8, 2010

sabh log ye mugh say kehte hain

sabh log ye mugh say kehte hain
nazmo say ishq khuda jesa
ghazlo main kaif udhaasi ka
kis dost nay tum ko sonpa hai
mera ik jawab hamesha say
ik shakhs shehar mai aea tha
kuch roz woh mere sath raha
mughe lehje kay amrat ras main
is nay kuch esa rang dia
har nazuk dil moh lene ka
mere lafzo ko ahang dia
phir soch kay tane bane main
uljha kar mugh ko chor ghia
kuch din say us ki yaad yunhi
is dil par dastak deti hai
aur pao main zanjeer pari
kab hum ko jane deti hai
kabh dil main us ki aas nehi
ye baat alag woh pas nehi

Jub ankhaiN bujh kaR rakh huwi

Jub ankhaiN bujh kaR rakh huwi
Jub dil ka jawalA sarD huwa
Jub sham-o-shehr kay sehra maiN
Khuwa’boN kay sit’aray raiT huway
Jub umr-e-rawan kay medaa’n maiN
Sub zinda jazbay khait huway
Us waqt mujhay maHsoos huwa
Jub ishq maiN sari umr kati shaied woh nazaR ka dhoka tha
Kirnoo say kisi kay lehjay maiN tanveeR thi meri apni hi
Shab taaB badaN kay jadoo maiN khud meray lahoo ka nasha tha
Kal raat magaR jub khirki par
Mehtaab nay akar dastak di
Khushboo ki tarha lehranay lagi
Har simt koi sargoshi si
Jub ankhain bujhnay lagti haiN, jub dil ka jawala sard paray
Us waqt kisi ko kya malooM, kon apna kon paraya tha
Lehjay maiN nasha tha kis kay sabaB aur kis nay kisay mehkaya tha

Raat baaqi thi abhi sar-e-baaleeN aa kar

Raat baaqi thi abhi sar-e-baaleeN aa kar
chaand ney mujh sey kaha -
“jaag sehar aai hey
jaag is shab jo mey-khaab tera hissa thi
jaam ke lab sey tah-e-jaam utar aai hey”

aks-e-jaanaaN ko widaa kar ke utthi meri nazar
shab ke ttherey huwey paani ki siyah chaadar par
ja-bajaa raqs meiN aaney lagey chaandi ke bhaNwar
chaand ke haath sey taaroN ke kaNwal gir gir kar
doobtey, teyrtey, murjhaatey rahey, khiltey rahey
raat aur subh bohat deyr galey miltey rahey

Shehr-e-Dil ki Galiyoon main

Shehr-e-Dil ki Galiyoon main
Shaam se bhataktay hain
Chand k Taman-na-ee
Baiqarar Saudaii
Dil Gudaz Tarikii
Jan Gudaz Tanhai
Rooh-o-Jaan ko Dasti haii
Rooh-o-Jaan main Basti hai
Shehr-e-Dil ki Galiyoon maain

Taak-e-Shab ki bailoon per
Shabnami Sarshakoon ki
Beqarar Logon nay
Beshumaar Logon nay
yadgaar chorhi hay
Itni Baat Thori Hai ?

Sud-Hazar batain thin
Hela-e-Shakebaee
Soraton ki Zebai
Qamaton ki ranaii
In siah raton main
Aik bhi na yaad aae
Ja bja bhataktay hain
Kis ki rah taktay hain
Chand kay taman’naee

Ye Nagar Kabhi Pehlay
Is Qadar Na Veeran Tha
Kehnay walay kahte hain
Qarya-e-Nigaraan Tha
Khai apnay Jeenay Ka
Yeh bhi aik samaan tha

Aaj Dil main Veerani
Abr ban kay Ghiraaii
Aaj Dil ko kya Kahiyea
Ba-Wafa Na Haarjae
Phir Bhi Log Diwanay
Aa gayay hain samjhanay
Apni wehshat-e-dil k
Bun liyay hain afsanay
Khush khayal dunya nay

Garmiaan to Jaati hain
Woh rutaain bhi aati hain
Jab Maluul raton may
Doston ki baton may
Ji na chain payay ga
Aur oob jayay ga
Aahaton say Gonjain gi
Shehar-e-Dil ki Pinhaee
Aur chand raton main
Chandni kay Shedaii
Har bahanay niklain gay
Aarzoo ki Gairaii
Dhondnay ko Ruswaii
Sard Sard Raton ko
Zard Chand Bakhshay ga
Bay-Hisaab Tanhaii
Bay-Hijaab Tanhaii
Shehar-e-Dil Ki Galiyoon main………!!

Kya aah bharay koi

Kya aah bharay koi
Jab aah nahin jati
Dil say bhi zara gehri
Aur arsh say kuch oonchi

Kya nazm likhay koi
Jab khwab ki qeemat mein
Aadarsh ki soorat mein
Kashkoal gada’ei ka
Shaa’ir ko diya jaey
Aur roak liya jaey
Jab shair utarnay say
Badal say zara oopar
Taaron say zara neechay

Kya khaak likhay koi
Jab khaak kay medaan par
Ungli ko hilanay say
Toofan nahin uth’ta
Jab shakh pay imkan ki
Is dasht-e-tamanna mein
Ik phool nahin khilta
Rahbar nahin ruktay
Mohoam si manzil par
Aankhon kay isharay say
Aur noor ki boondon ki
Bochhar nahin hoti

Ik neelay sitaray say

Jab dil kay bulaway par
Iss jheel kanaray par
Peghaam nahin aata
Ik door ka bashinda
Ik khwab ka shehzada
Gulfaam nahin aata

Basti mein koi aurat
Raaton ko nahin soati
Jaagi huwi aurat ki
Soi hui qismat par
Jab koi bhi deewana
Be chain nahin hota
Dehleez kay pathar say
Takra kay jabeen apni
Ik shakhs nahin rota

Jab neend kay shedaei
Khwabon ko tarastay hain
Aur dekhnay kay aadi
Binaei say dartay hain
Reh reh kay andheray say
Aankhon mein utartay hain

Aankhon kay ujalon say
In phool say bachchon say
Keh do keh na ab nangay
Paa’on say chalein ghar mein
Is farsh pay mitti kay
Ab ghaas nahin ugti
Ab saamp nikaltay hain
Deewar say aur dar say

Ab noor ki boondon say
Mehki hui mitti mein
Anmol ujalay kay
Woh phool nahin khiltay
Ab jheel kanaray par
Bichhray bhi nahin miltay
Basti mein koi aurat
Raton ko nahin soti
Aur jagnay walon say
Ab nazm nahin hoti

Kya nazm likhay koi
Jab jagnay, sonay mein
Pa lenay mein, khonay mein
Jab baat kay honay mein
Aur baat na honay mein
Kuch farq na reh jaey
Kya baat karay koi !

Mai ne her-chand ghum-e-ishq ko khona chaha

Mai ne her-chand ghum-e-ishq ko khona chaha
ghum-e-ulfat ghum-e-dunya mai samona chaha

wohi afsaanay meri simt rawaan hain ab tak
wohi sholay mairay seenay mai nihaan hain ab tak
wohi bay-sood khalish hay mairay seenay mai hanooz
wohi bay-kaar tamannaein jawaan hain ab tak
wohi gaisu mairi raaton pai hain bikhray bikhray
wohi aankhain meri janib nigraan hain ab tak
kasrat-e-ghum bhi mairay ghum ka madawa na huwi
mairay bay-chain khayalon ko sakoon mil na saka
dil ne dunya kay her dard ko apna to liya
muzmahill ruh ko andaz-e-junoon mil na saka
mairay takhaiyyul ka sheraaza berhum hay wohi
mairay bujhtay huway ehsaas ka aalim hay wohi
wohi bay-jaan iraday, wohi bay-rang sawal
wohi bay-rooh kashakash, wohi bay-chain khayal
Aah iss kashmakish-e-subah-o-masa kaa anjaam
mai bhi nakaam, meri sai-e-amal bhi nakaam

Yeh kitabon ke Qissay, yeh fasano ki baatain

Yeh kitabon ke Qissay, yeh fasano ki baatain
Nigahon Ki Jhilmil Judai Ki Raatain.......

Muhabbat ki Qasmain, nibhane ke vaade
ye dhoka wafa ka yeh jhoote iraadey

Yeh batain kitabi ,yeh nazmain purani
na inn ki haqiqat na in ki kahani

Na likhna inhain, na mehfooz karna
yeh jazbay hain bass in ko mehsoos karna

Mere Likhe Mein Jin Logonko, Maayusi Dikhayi De

Mere Likhe Mein Jin Logonko,
Maayusi Dikhayi De,
Thakan Ka, Aarzuon Ki Shikasta Paayi Ka Ehsaas Hota Ho,
Safar Ki Raayegaani Ka,
FiraaQ-E-Zindagi Ka,
Vufoor-E-Dard-O-Gam Ka,
Aansuon Ko AQs Milta Ho,
Jinhe Lagta Ho
Main Iske Siwa Kuch Likh Nahi Sakta,
Unhe Bas Itna Kehna Hai,
Ye Maayusi, Thakan,
Ye Aaruzon Ki Shikasta-Pa Safar Ki Raayegani Ka,
FiraaQ-E-Zindagani, Dard-O-Gam Aur Aansuon Ki Be-Karaani Ka,
Jhalakta Aks Be-Maani,
Nahi Qaayam Kahin Par Bhi Wajood Iska,
Agar Kuch Hai To Bas Padhti Hui Aankhon Ke Pichhe Hai,
Inhi Padhti Hui Aankhon Ke Zehn-O-Dil Ke Neeche Hai,
Kayi Pardon Mein Posheeda,
Wohi Gard-E-Safar, Dard-O-Alam, FurQat, Thakan, Aansu,
Nazar Jinse Milate Inko Shayad Laaj Aati Hai,
Ye Sab Haare Hue Hai,
Lekin Apni Haar Ka Ailaan Karne Mein,
Jhijhakte Hai,
Reya Ki Bediyon Mein Apni Marzi Se MuQayyad Hai,
Mere Likhe Hue Mein Daastanein Dhoondne Wale,
Ye Khud Se Jhooth Keh Kar Chal Ke Sehra Mein Bhatakte Hai,
Samajhte Hai Jise MERA,
Mere Likhe Hue Lafzon Mein Apna AQs Takte Hai,
Mera Kya Hai,
Mera To Kaam Hai Alfaz Ki Baazigari Karna,
Kaho, Itna To Aakhir Maante Ho Na,
Main Shayar Hoon...

guzray dinoon ki yaad bersaati ghata lagay

guzray dinoon ki yaad bersaati ghata lagay
guzroon jo us gali se tu thandi hawa lagay

mehmaan ban k aay kisi roz ager wo shakhs
us roz bin sajai mera ghar saja lagay

main is liye manata nahi wasl ki khushi
mere rakeeb ki na mujhe bud dua lagay

wo qahat dosti ka para hai in dinoon
jo muskura k baat keray aashna lagay

tark-e-wafa kay baad ye uski adaa  
mujh ko sataye koi tu usko bura lagay

Tere badan se chura ker mehak hawa degi

Tere badan se chura ker mehak hawa degi,
Zakhm ko rang hara shokhi-e-saba degi.

Mujhe yaqeen hai jab mera tazkara ho ga,
Woh kuch kahe na kahe aankh muskura degi.

Mera her sher teri yaadon se aashna yun hai,
Meri her ghazal mere dard ka pata degi.

Main kuch kahon na kahon lab se magar yeh meri ghazal,
Dua ko aik naya tarz-e-iltija degi.

Jo khud ko bashar kahe or dare bashar se hi,
Khuda ki gaibi madad saath us ka kia degi.

Tere khayal ki khushbu tere lafzon ki mehak,
Mujhe yeh darr hai ke shayar mujhe bana degi.

Main Tanhaa tha to nahi jurm-e-muhabbat se qabal,
Kya khabar thi ke woh tanhayee ki sazaa degi...!!!

jism-o-jaaN par guzar gayiiN sadiyaaN

jism-o-jaaN par guzar gayiiN sadiyaaN
mujh ko paamaal kar gayiiN sadiyaaN

vaqt kii tez aaNdhiyoN meN kahiiN
gard ban kar bikhar gayiiN sadiyaaN

raf’atoN se giraa thaa ek lamhaa
pastiyoN meN utar gayiiN sadiyaaN

thii ajab inquilaab-e-vaqt kii maar
ek do pal meN mar gayiiN sadiyaaN

ham khaRe dekhte rahe  
sa’atoN meN guzar gayii sadiyaaN

us ko aanaa hai aur be-naqaab aayegaa

us ko aanaa hai aur be-naqaab aayegaa
jab tamannaa pe mere shabaab aayegaa


zulmato.n ke pujaarii kahaa.N jaaye.nge
jab chamakataa huaa aafataab aayegaa


aaj kal mujhase vo baat karataa nahii.n
aur ab kyaa zamaanaa Kharaab aayegaa


ra.ng laayegaa jab Khuun mazaluum kaa
vo zamaanaa bhii jaldii janaab aayegaa


maalik-e-maikadaa ri.nd ho jaaye.nge
maikade me.n nayaa i.nqalaab aayegaa


saath us ke sivaa ko_ii degaa nahii.n
jab faysal kaa zamaanaa Kharaab aayegaa

Hum To Nikle Hai Ghar Se Ek Dost Banane Ke Liye

Hum To Nikle Hai Ghar Se Ek Dost Banane Ke Liye,
Duniya Mein Ek Poodha Dosti Ka Ugane Ke Liye,
Suna Hai Es Raah Per Lakhoon Mar Mite,
Hum Chale Hai Lekar Tamnna Usi Raah Ko Apnane Ke Liye,
Zindagi Viraan Hai Bina Kisi Humsafar Ke,
Sang Le Lena Koi Humsafar Sath Nibhane Ke Liye,
Andheroon Ke Darmiyaan Ujala Bahut Kam Milta Hai,
Khud Ko Hai Mitana Unki Mahfil Ko Sajane Ke Liye,
Kaise Bhul Jayen Usko Jise Raat Din Pujte Hai,
Aayen Hai Jami Per Hum To Usko Pane Ke Liye,
Juthe Vadhoon Kasmoon Se Kabhi Dosti Nibhayi Nahi Jati,
Ye To Wo Rista Hai Jisme Sadiyan Beet Jati Hai Banane Ke Liye,
Amir Hoker Mahaloon Me Rahne Se Kya Fayda,
Chota Sa Dil Hi Khafi Hai Kisi Ko Dil Mein Basane Ke Liye,
Maykhanoon Me Jakar Logo Ko Pite Dheka Hai,
Aapki Ye Aakhen Hi Kafi Hai Umar Bhar Pilane Ke Liye,
Yun Nit Tadap-Tadap Kar Marne Se Accha Hai,
Ek Hi Baar Aaja Tu muj Ko Jalane Ke Liye !!

Kashkol Mairi Zeest Ka Haathon Mein Diya Hai

Kashkol Mairi Zeest Ka Haathon Mein Diya Hai
Ye Bhi Mairey Maabood Ka Andaaz-e-Ataa Hai

Aahat Jo Suni Wasl Ki Mainey, To Ye Samjha
Yaadon Ke Dareechey Mein Koi Aan Kharra Hai

Be-noor Huwa Aaj Mairi Shaam Ka Chehra
Shayad Ke Pas-e-Parda-e-Shab Koi Kharra Hai

Ekk Weham Hai Mairey Liye Taaron Ke Jazeerey
Ekk Dhool Mairey Saamney Manzil Ka Pata Hai

Kya Jaaniye Gum Karda Woh Kya Dhoond Raha Hai
Har Shakhs Ke Chehrey Ko Jo Woh Parrhta Raha hai

Jiss Shehar Ko Chorra Tha Woh Ye Shehar Nahin Hai
Khwabon Ka Woh Mosam Na Khayaalon Ki Fiza Hai

Har Roz Badalta Hai Kayi Rang Jo Chehra
Maloom Nahin Kiss Ke Ye Chehray Ki Adaa Hai !

Apney Khwabon Mein Kahin Maira Guzar Rahney Do

Apney Khwabon Mein Kahin Maira Guzar Rahney Do
Apni Aankhon Mein Kahin Maira Seher Rehney Do...

Dhiyaan Ke Taaq Say Yaadon Ko Hata Do
Lekin Inn Kitaabon Mein Kahin Maira Asar Rehney Do...

Apni Palkon Pey Sajaati Ho Jinhein Pichley Pehar
Unn Sitaaron Mein Kahin Maira Safar Rehney Do…

Apney Lehjey Say Mita Do Mairi Khushboo Chaahey
Apni Baaton Mein Kahin Maira Ziker Rehney Do…

Sab Sitaaron Ke Kayi Chaand Aur Sooraj Hain
Inn Qataaron Mein Kahin Maira Qamar Rehney Do...

Ikk Naya Shehar Basa Lo Dil-e-Barbad Mein Tum
Apni Raahon Mein Kahin Maira Nagar Rehney Do...!

Dua-e-Neem Shabi Ka Jawaab Kya Deta

Dua-e-Neem Shabi Ka Jawaab Kya Deta
Khud Aik Khawab Tha Woh Mujh Ko Khawab Kya Deta

Shaoor-e-Zindgi,Ehsaas-o-Aagahi, Pindaar
Mujhey Woh Iss Say Zyaada Azaab Kya Deta

Har Aik Harf Maira Waqf Tha Ussi Ke Liye
Main Uss Ke Naam Koi Intsaab Kya Deta

Na Gin Saka Jo Mairey Chehrey Ki Lakeerein Tak
Main Dil Ke Zakhmon Ka Uss Ko Hisaab Kya Deta

Maira Bhi Chehra Tha Katba Mitey Sawalon Ka
Thay Uss Ke Hont Bhi Pathar Jawab Kya Deta !

terii Khushbuu kaa pataa karatii hai

terii Khushbuu kaa pataa karatii hai

terii Khushbuu kaa pataa karatii hai
mujh pe ehasaan havaa karatii hai

shab kii tanhaa_ii me.n ab to aksar
guftaguu tujh se rahaa karatii hai

dil ko us raah pe chalanaa hii nahii.n
jo mujhe tujh se judaa karatii hai

zindagii merii thii lekin ab to
tere kahane me.n rahaa karatii hai

us ne dekhaa hii nahii.n varnaa ye aa.Nkh
dil kaa ehavaal kahaa karatii hai

beniyaaz-e-kaaf-e-dariyaa angusht
ret par naam likhaa karatii hai

shaam pa.Date hii kisii shaKhs kii yaad
kuuchaa-e-jaa.N me.n sadaa karatii hai

mujh se bhii us kaa hai vaisaa hii suluuk
haal jo teraa ana??? karatii hai

dukh huaa karataa hai kuchh aur bayaa.N
baat kuchh aur huaa karatii hai

abr barase to inaayat us kii
shaaKh to sirf duaa karatii hai

masalaa jab bhii uThaa chiraaGo.n kaa
faisalaa sirf havaa karatii hai

Popular Posts