Saturday, April 24, 2010

ai ishq hame.n barbaad na kar

ai ishq hame.n barbaad na kar
***************************
ai ishq na chhe.D aa aa ke hame.n
ham bhuule huo.n ko yaad na kar
pahale hii bahut naashad hai.n ham
tuu aur hame.n naashaad na kar
qismat kaa sitam hii kam nahii.n kuchh
ye taazaa sitam ijaad na kar
yuu.N zulm na kar bedaad na kar
ai ishq hame.n barbaad na kar
jis din se mile hai.n dono.n kaa
sab chain gayaa aaraam gayaa
cheharo.n se bahaar-e-subah ga_ii
aa.Nkho.n se faroG-e-shaam gayaa
haatho.n se Khushii kaa jaam chhuuTaa
ho.nTho.n se ha.Nsii kaa naam gayaa
GamGii.n na banaa naashaad na kar
ai ishq hame.n barbaad na kar
raato.n ko uTh uTh rote hai.n
ro ro kar duaaye.n karate hai.n
aa.Nkho.n me.n tasavvur dil me.n Khalish
sar dhunate hai.n aahe.n bharate hai.n
ai ishq ye kaisaa rog lagaa
jiite hai.n na zaalim marate hai.n
ye zulm to ai jallaad na kar
ai ishq hame.n barbaad na kar
ye rog lagaa hai jab se hame.n
ranjiidaa huu.N mai.n biimaar hai vo
har vaqt tapish har vaqt Khalish
be-Khvaab huu.N mai.n bedaar ha vo
jiine se idhar bezaar huu.N mai.n
maranbe pe udhar tayyaar hai vo
aur zabt kahe fariyaad na kar
ai ishq hame.n barbaad na kar
bedard zaraa insaaf to kar
is umr me.n aur maGmuum hai vo
phuulo.n kii tarah naazuk hai abhii
taaro.n kii tarah masuum hai vo
ye husn sitam ye ranj Gazab
majabuur huu.N mai.n mazaluum hai vo
mazaluum pe yuu.N bedaad na kar
ai ishq hame.n barbaad na kar
ai ishq Khudaaraa dekh kahii.n
vo shoKh hasii.n badanaam na ho
vo maah-e-laqaa badanaam na ho
vo zohraa-jabii.n badanaam na ho
naamuus kaa us ko paas rahe
vo pardaa-nashii.n badanaam na ho
us pardaa-nashii.n ko yaad na kar
ai ishq hame.n barbaad na kar
ummiid kii jhuuThii jannat ke
rah rah ke na dikhalaa Khvaab hame.n
aa_iindaa ke farzii ishrat ke
vaade se na kar betaab hame.n
kahataa hai zamaanaa jis ko Khushii
aatii hai nazar kaamayaab hame.n
chho.D aisii Khushii ko yaad na kar
ai ishq hame.n barbaad na kar
do din hii me.n ahad-e-tifalii ke
maasuum zamaane bhuul gaye
aa.Nkho.n se vo Khushiyaa.N miT sii ga_ii.n
lab ke vo taraane bhuul gaye
un paak bahishtii Khvaabo.n ke
dilchasp fasaane bhuul gaye
un Khvaabo.n se yuu.N aazaad na kar
ai ishq hame.n barbaad na kar
aa.Nkho.n ko ye kyaa aazaar huaa
har jazb-e-nihaa.N par ro denaa
aahang-e-tarab pe jhuk jaanaa
aavaaz-e-fuGaa.N par ro denaa
barbat kii sadaa par ro denaa
mutrib ke bayaa.N par ro denaa
ehasaas ko Gam buniyaad na kar
ai ishq hame.n barbaad na kar
jii chaahataa hai ik duusare ko
yuu.N aaTh pahar ham kare.n
aa.Nkho.n me.n basaaye.n Khvaabo.n ko
aur dil ko Khayaal aabaad kare.n
Khilvat me.n bhii jo jalvat kaa saamaa.N
vahadat ko du_ii se shaad kare.n
ye aarazuue.n ijaad na kar
ai ishq hame.n barbaad na kar
vo raaz hai ye Gam aah jise
paa jaaye ko_ii to Khair nahii.n
aa.Nkho.n se jab aa.Nsuu bahate hai.n
aa jaaye ko_ii to Khair nahii.n
zaalim hai ye duniyaa dil ko
yahaa.N bhaa jaaye ko_ii Khair nahii.n
hai zulm magar fariyaad na kar
ai ishq hame.n barbaad na kar
duniyaa kaa tamaashaa dekh liyaa
GamGii.n sii hai betaab sii hai
ummiid yahaa.N ik vaham sii hai
taskiin yahaa.N ik Khvaab sii hai
duniyaa me.n Khushii kaa naam nahii.n
duniyaa me.n Khushii nayaab sii hai
duniyaa me.n Khushii ko yaad na kar
ai ishq hame.n barbaad na kar
>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>

aaj puranii rahoon se

aaj puranii rahoon se
koi mujhe awaaz na de
dard mein duube geet na de
gam ka sisaaktaa saaz na de

biite dinoN ki yaad thi junameiN
maiN vo taraane bhuul chukaa
aaj nayee manzil hai meri
kal ke thikaane bhuul chukaa
na vo dil na sanam
na von din-dharam
ab duur huuN saare gunaahoN se

aaj purani rahon se...

jeevan badala duniya badali
maan ko anokha gyaan milaa
aaj mujhe apne hi dil meiN
ek nayaa insaan mila
pahouNchaa huuN vaahaN
nahi duur jahaN
bhagavaan ki nek nigaahoN se

aaj purani raho se...

Tuut chuke sab pyaar ke bandhan
aaj koi zanjiir nahi
sheesha-e-dil meiN armaanoN ki
aaj koi tasveer nahi
ab shaad huuN main
azaad huuN main
kuch kaam nahi hai hai aahoN se

aaj purani raho se...

dasht-e-tanhaai mein, ai jaan-e-jahaan, larzaan hain

dasht-e-tanhaai mein, ai jaan-e-jahaan, larzaan hain
teri avaaz ke saaye,
tere honthon ke saraab
dasht-e-tanhaai mein,
duri ke khas-o-khaak tale
khil rahe hain tere pehlu ke saman aur gulaab
uht rahi hai kahin qurbat se
teri saans ki aanch
apani khushbuu mein sulagti hui
maddham maddham
dur ufaq par chamakati hui
qatra qatra
gir rahi hai teri dil daar nazar ki shabnam
is qadar pyaar se hai jaan-e jahaan rakkhaa hai
dil ke rukhsaar pe
is vaqt teri yaad ne haath
yun guman hota hai
garche hai abhi subah-e-firaaq
dhal gaya hijr ka din
aa bhi gaye vasl ki raat
*****************************************

Sadaa Detii Hai Khushbuu Chaand Taare Bol Padate Hain

Sadaa Detii Hai Khushbuu Chaand Taare Bol Padate Hain
Nazar Jaisii Nazar Ho To Nazaare Bol Padate Hain

Tumhaari Hii Nigaahon Ne Kahaa Hai Ham Se Ye Aksar
Tumhaare Jism Par To Rang Saare Bol Padate Hain

Zabaan Se Baat Karane Me Jahaan Rusvaaii Hotii Hai
Vahaan Khaamosh Aankhon Ke Ishaare Bol Padate Hain

Chhupaanaa Chaahate Hain Un Se Dil Ka Haal Ham Lekin
Hamaare Aansuon Me Gam Hamaare Bol Padate Hain

Terii Paabandiyon Se Ruk Nahin Sakatii Ye Fariyaaden
Agar Ham Chup Rahe To Zakhm Saare Bol Padate Hain.

Manzilon Ki Khoj Me Tum Ko Jo Chalna Sa Laga

Manzilon Ki Khoj Me Tum Ko Jo Chalna Sa Laga
Mujh Ko To Wo Zindagi Bhar Ghar Badalna Sa Laga

Dhoop Aayi To Hawa Ka Dum Nikal Na Sa Laga
Aur Sooraj Bhi Hawa Ko Dekh Jalna Sa Laga

Jhoot Jabse Chandni Ban Bheed Ko Bharma Gaya
Sach Ka Sooraj Jhoot Ke Paon Pe Chalna sa Laga

Mere Khwabon Par Zameeni Sach Ki Bijli Jab Giri
Aasmani Barf Ka Bhi Dil Dahal Na Sa Laga

Chand Katre Thande Kagaz Ke Badan Ko Tab Diye
Khoon Jab Apni Rangon Me Kuchh Ubal Na Sa Laga.

Khizaan Key mOusam Sey Gulaab Maang Rha hAi

Khizaan Key mOusam Sey Gulaab Maang Rha hAi
Phir Apney Liye kOii Azaab Maang Rha hAi

JAan Mangta tO Main Zara TaGhafUl Na Karta
Magar wO mUjh Sey Mera Khwaaab Maang Rha hAi

Atta Kar Key Merii Zeest Ko Hijjr Kii Aziyatien
Aur mUjh Sey Visaal Rutt Key HiSaab Maang Rha hAi

Khataaien Karna Hii Raha MaShGhala Us Ka
Main Kya dOon Silla Usey wO Sawaab Maang Rha hAi

Apni Samajh Mein Uss Kii gUftagOo Bhi Nahii Aatii
Aur wO Un-Kahey SawaalOn Key Jawaab Maang Rha hAi

mUjh Ko Apney WajOod Pey Bhi Dastras Nahii Haasil
Aur Dil e Nadaan hAi Mahtaab Maang Rha hAi

kOii Zindgi Sey Ghabra Gya Is Qadar
Kashtii Ka mUsafir hAi Aur Gardaab Maang Rha hAi

Zindagii Tujh Ko Jiyaa Hai Koii Afsos Nahiin

Zindagii Tujh Ko Jiyaa Hai Koii Afsos Nahiin
Zehar Khud Maine Piyaa Hai Koii Afsos Nahiin

Maine Mujarim Ko Bhii Mujarim Na Kahaa Duniyaa Me
Bas Yahii Jurm Kiyaa Hai Koii Afsos Nahiin

Merii Qismat Me Likhe The Ye Unhii Ke Aansuu
Dil Ke Zakhmon Ko Siyaa Hai Koii Afsos Nahiin

Ab Gire Sang Ki Shiishon Kii Ho Baarish
Ab Kafan Ood Liyaa Hai Koii Afsos Nahiin.........

Agar ham kahen aur vo muskuraa den

Agar ham kahen aur vo muskuraa den
Ham unake liye zindagaanii lutaa den

Har ek mod par ham gamon ko sazaa den
Chalo zindagii ko mohabbat banaa den

Agar Khud ko bhuule to, kuchh bhii na bhuule
Ki chaahat me unakii, Khudaa ko bhulaa den

Kabhii Gam kii aandhii, jinhe chhuu na paaye
Vafaaon ke ham, vo nasheman banaa den

Sazaa den, silaa den, banaa den, mitaa den
Magar vo koii faisalaa to sunaa den ...

Andheri Raat Me Jab Chaand Khilne Lagata Hai

Andheri Raat Me Jab Chaand Khilne Lagata Hai
Tumhare Pyar Ke Deepak Jalake Rotaa Hun

Tumhare Aane Ki Jab Aas Jaane Lagati Hai
Main In Chiraagon Ko Khud Hi Bujha Ke Rotaa Hun

Sochte Sochte Jab Soch Bhi Mar Jaati Hai
Waqt Ke Qadmon Ki Aahat Ko Suna Karta Hun

Ashk Tham Jate Hain To Aahon Ka Dhuaan Uth ta Hai
Raat Raat Bhar Yuun Hi Tadapta Hun Jala Kartaa Hun

Zindagi K Safar Main Gardishon Ki Dhuop Main

:Zindagi K Safar Main Gardishon Ki Dhuop Main Jab Koi Saya Nahin Milta To Yad Ati Hai Maa
- Piyaar Kehtey Hain Kisey Our Mamta Kya Chiiz Hai Koi Un Bachon Say Puche Jin Ki Marr Jati Hai Maa
- Dair Ho Jati Hai Ghar Ane Main Aksar Jab Humain Rait Par Machali Ho Jaisey Aisey Tarapti Hai Maa Martey Dum Jab Bacha Na Aye Agar Pardes Say To Apni Dono Putliyan Chokhat Pe Rakh Jati Hai Maa
- Fikar Main Bachon Ki Kuch Is Tarha Ghul Jati Hai Maa Nujawaan Hote Huway Bhi Bhuri Nazar Ati Hai Maa
- Samney Bachon Ke Khush Rehti Hai Har Haal Main Rat Ko Chup Chup Ke Ansoo Bahati Hai Maa
- Sal Bahr Main Ya Kabhi Hafte Main Jum-e-Rat Ko Zindagi Bhar Ka Sila Aik “Faat-e-Haa” Pati Hai Maa

**................................................ **

ik aisa ahsas hai maa

ik aisa ahsas hai maa;
mery sans ka dusra naam hai maa;
khud ko mera wajood dekhlaya;
jisnay mujh ko chalna seekhlaya;
achay aur buray main farq samjhaya;
janat ki basharat hai jahan;
ik aisa ahsas hai maa;
zamanay kay sardo_garam say bachaya;
halaat say jisnay larna seekhlaya;
dil meray ka sakoon jahan;
mery ratoon ka chain jahan;
ik aisa ahsas hai maa;
dukh to sabkay aik say hain;
phir sukh kun sabkay parayee hain;
meray dukhon ki intha jahan ;
meray sukhon ki ibtada jahan;
ik aisa ahsas hai maa;
gher say kabhi jab routh kay jaon;
ya ratoon ko gher der say aoon;
apna har dam usko main muntazir paoon;
phir bhi main bazz na aoon;
har ahat pay jo chonkay;
khary hai jo intzar main meray;
raat bhar tak preeshan wahan;
ik aisa ahsas hai maa;
jab bhi main kisi safar pay jaoon;
maa say dheron duayen main paoon;
dor jakay uski kami main paoon;
jaisay jissam yahan ho aur rooh wahan;
ik aisa ahsas hai maa;
mery sans ka dusra naam hai maa
**.........................................**

~Chand~ Chehra Sitara AnkhaiN

~Chand~ Chehra Sitara AnkhaiN


Meray Khudaya! maiN zindagi kay azaab likhooN ke khawab likhooN
Ye mera chehra, ye meree ankaiN
Bujhe hu-ay say charagh jaysay
Jo pher say jalnay kay muntazir hauN

Vo chand chehra, sitara AnkhaiN
Vo meharbaaN sayadaar zulfaiN

JinhouN nay paymaN key-ye thay mujh say
rafaqatoN kay, mohabatoN kay
Kaha tha mujh say ke ay musafir rahe vafaa kay
JahaN bhee ja'ay ga hum bhee AiaN gay saath tere
BanaiN gay raatoN maiN chandni hum toe din maiN saa'ye bakhair daiN ge

Vo ~Chand~ chehra, sitara AnkhaiN
Vo meharbaaN sayadaar zulfaiN

Vo apnay paymaN rafaqatoN kay mohabatoN kay
Shikast kar kay
Na jaanay ab kiss key rehguzar ka minara roshni hu'ay haiN
Magar Musafir koe kya khabar hay
Vo ~Chand~chehra toe bujh gaya hay
Sitara AnkhaiN toe so ga'eey haiN
Vo zulfaiN bay sayaah ho ga'eey haiN
Vo roshni or voh saa'ye meree ata thay
So meree raahoN maiN Aaj bhee haiN
ke maiN musafir ra-hey vafaa ka

Vo~Chand~ chehra, sitara AnkhaiN
Vo meharbaaN sayadaar zulfaiN

HazaaroN chehroN hazaaroN ankhaiN
HazaaroN zulfoN ka aik selaab-e-tund lay kar
mere ta'aqub maiN Aa-ra-hey haiN
Her aik chehra hay chand chehra
HaiN saary ankhaiN sitara ankhaiN
Tamaam haiN
Meharbaan saayah daar zulfaiN
MaiN kiss ko chahooN, maiN kiss ko choomoN
MaiN kiss kay saa'ye maiN bait jaaoN
bachooN ke toofaN maiN doob jaaoN
Ke mera chehra, na meree ankhaiN
Mera Khudaya! maiN zindagi kay azaab likhooN ke khawab likhooN

zindagi ka safar maine jaana abhi

zindagi ka safar maine jaana abhi
poora ho sakta yeh tere bina nahi
teri yaadein satayee,
din raat humko jalayee
pyaar ki shamma mere gulistaan mai jal sakti nai
guzra hua pal laut ke aasakta nai
tumko kho diya waapis paa sakta nai
kaise bhulaao wo manzar
kaanto bhara wo bistar
sukooon se koi raat mai so sakta nai
dil ko to mere aisa lagne laga abhi
kab se thay tanha, tha tumhara nishaan kahi nahi
bikhri huee daastan
is aasman talay hum zinda
kis dar pe jayee hum, milta kahee koi saaya nahi

Ishq junoon bhi, sanjeedgi bhi hai

ISHQ

Ishq junoon bhi, sanjeedgi bhi hai
Yeh hawas bhi hai, pakeezagi bhi hai
Shokhi bhi hai ishq
Baanki adaaon pe lutnay ka naam bhi hai
Rooh-e-irtaqa-e-dil-o-dimaagh bhi hai
Zindagi ko samajhnay ka naam bhi hai
Ishq masrufiat bhi, fursat bhi hai
Ishq qurbat bhi aur furqat bhi hai
Ishq riff'at bhi aur wuss'at bhi hai
Aur ishq kabhi faqt chahat bhi hai
Yeh maasoomyat bhi, rakhshandgi bhi hai
Bosa hai to kabhi bandgi bhi hai
Zameen bhi hai aur aasmaan bhi hai
Magar ufaq ka iss main nishaan bhi hai
Kabhi bistar ki salwaton se
To kabhi mandir ki moorton se
Kabhi uryaaniyon ka shai'da
To kabhi meera-o-mariam ki moorton se
Ishq rog bhi hai magar madaawa bhi hai
Ishq parstish bhi, magar da'awa bhi hai
Rishton say sadaa judaa hai ishq
Isliye hi bana khuda hai ishq

ik baat kahon gar sunte ho

ik baat kahon gar sunte ho...
tum mujh ko achay lagte ho...
kuch chanchal say kuch chup chup say...
kuch pagal pagal lagte ho...
hain chahne wale aur bohat...
per tum mein hai ik baat bohat...
tum apne apne lagte ho...
ik baat kahon gar sunte ho...
tum mujh ko achay lagte ho...
yeh baat baat pe kho jana...
kuch kehte kehte ruk jana...
yeh kis uljhan mein rehte ho...
kya baat hai hum say keh dalo...
ik baat kahon gar sunte ho...
tum mujh ko achay lagte ho...

Khud ko iss dil main basane ki ijazat de do

Khud ko iss dil main basane ki ijazat de do
Mujhko tum apna banane ki ijazat de do 

Tum meri zindagi ka haseen lamha ho
Pholon se khud ko sajany ki ijazat de do 

Main kis tarha chahta hon kis tarha bataon tumko
Mujhay ye aaj batane ki ijazat de do 

Tumhari raat si zulfon main chand sa chehra
Mujhay ye shaam sajane ki ijazat de do 

Mujhay qaid karlo apne ISHQ main
Ye jaan tum pe lutanay ki ijazat de do 

Nahi hai shoaq HUM ko bhoolne ka magar
Mujhay ye Dunya bhulne ki ijazat de do
............*...........

Mere Khawabon ke jharokon ko sajane walee

Mere Khawabon ke jharokon ko sajane walee
Tere Khawabon may kahin mera guzar hay ke nahi ?

Pooch ker apni nigahon se bata de mujh ko
meri Raton ke muqadar may sehar hay ke nahi ?

Zindagee yun to hamesha se pareshan hi thee
Ab to her sans gira bar huee jatee hay

Meri Ujree huee neendon ke shabistanon may
Tu kisi khawab ke pekar ki tarha ayee hay

Kabhi apni si kabi gair nazar atee hay
Kabhi ikhlas ki soorat kabhi harjayee hay

Pyar pe bas to nahi hay mera phir bhi
Tu bata de ke tujhe pyar karon ke na karoon ?

Tu kisi aur ke daman ki kali hay lekin
Meri raten teri khushboo se basi rehtee hain

Tere daman may gulistan bhi hain weerane bhi
Mera hasil meri taqdeer bata de mujh ko

Dard phail jaaye to

Dard phail jaaye to
aik waqt aata hai
dil dharakta rehta hai
aarzoo gazeedo'n ke
hosley nahii chaltey,
dasht-e-be yaqeenii main
aasrey nahii chaltey,
raahrawo'n kii aankhon main
manzilain na jab tak ho'n
qaafley nahii chaltey!
Ik zara tawajjuh se
dekhiye to khulta hai
log un pe chaltey hain
raastey nahii chaltey!
Sochney samajhney se
saath saath chalney se
dooriyaa'n simat'tii hain
faasley nahii chaltey!
Khwaab khwaab aankho'n main
ratjagey nahii chaltey!
Darguzar ke halqey main
masley nahii chaltey!
Do dilo'n ki Qurbat main
teesra nahii hota
waastey nahii chaltey!
Bakht saath chalta hai,
taale'y aazmaawn ke
waqt raam kerney main
tajziyo'n ke daaw kya
tajarbey nahii chaltey!
Ishq ke ilaaqey main
hukm-e-yaar chalta hai
zaabtey nahii chaltey!
Husn kii adaalat main
aajzii to chaltii hai
martabey nahii chaltey!
Dostii ke rishto'n kii
parwarish zaroorii hai
silsiley ta'alluq ke
khud se ban to jaatey hain
lekin in shagoofo'n ko
tootney, bikharney se
rokna bhii parta hai!!
Chaahto'n kii mattii ko
aarzoo ke podey ko
senchna bhii parta hai!!
Ranjisho'n ki baao'n ko
bhoolna bhii parta hai~


khubsoorat hain woh lub

khubsoorat hain woh lub
jo pyari batein kartey hain
khubsoorat hai woh muskurahat
jo doosron ke chehron per bhi muskan saja de
khubsoorat hai woh dil
jo kisi ke dard ko samjhey
jo kisi ke dard mein tadpey
khubsoorat hain woh jazbat
jo kisi ka ehsaas karein
khubsoorat hai woh ehsaas
jo kisi ke dard ke me dawa baney
khubsoorat hain woh batein
jo kisi ka dil na dukhaein
khubsoorat hain woh ankhein
jin mein pakezgi ho
sharm o haya ho
khubsoorat hain woh ansoo
jo kisi ke dard ko
mehsoos kerke beh jae
khubsoorat hain woh Hath
jo kisi ko mushkil
waqat mein tham lein
khubsoorat hain woh kadam
jo kisi ki madad ke liye
aagey badhein !!!!!
khubsoorat hai woh soch
jo kisi ke liye acha sochey
khubsoorat hai woh insan
jis ko KHUDA ne ye
khubsoorati adaa ki

Barsoon Kay Intizaar Ka Anjaam Likh Dia

Barsoon Kay Intizaar Ka Anjaam Likh Dia
Kaaghaz Pay Shaam Kaat Kay Phir Shaam Likh Dia

Bikhri Pari Thi Toot Kay Kaliyaan Zameen Per
Tarteeb Day Kay Mein Nai Tera Naam Likh Dia

Aasan Nahi Thi Tark-E-Mohabbat Ki Dastaan
Jo Aansoon Nay Aakhri Paighaam Likh Dia

Allah! Zindagi Say Kahan Tak Nibhaoon Mein
Kiss Bewafa Kay Saath Mera Naam Likh Dia

Taqseem Ho Rahi Thi Khudai Ki Naimatein
Ik Ishq Bach Gaya So Mere Naam Likh Dia

Kisi Ki Dain Hai Yeh Shairi Meri
Iski Ghazal Pay Jiss May Mera Naam Likh Dia

.......... *...........

Wo kaisa shakhs hai ke her roz saza deta hai

Wo kaisa shakhs hai ke her roz saza deta hai,
Phir hansta hai wo itna ke bhula deta hai,

Kabhi jo ro de to mujhko bhi bhool jata hai,
Or phir bhool ke mujhko bhi rula deta hai,

Us se poochon ke bata kis se muhabbat hai tumhen,
Naam sargoshi main mera hi suna deta hai,

Khud hi kehta hai naa dohrao purani yaaden,
Main naa dohraon to phir khud hi suna deta hai,

khud hi likhta hai ke jazbat main halchal naa karo,faysal
Or phir khud hi nayee aag laga deta hai.......!!!!

Ik shaks udass beata hai !

Ik shaks udass beata ha!

bahaar kay mossam main;

logon kay hajoom main;

bagh main batha huwa;

ik shaks udas batha hai;

chup aur badhuwas batha hai;

yahi soochta hai mera dil;

aksar tanha ratoon main;

dar sa mujh ko lagta hai;

phool har soo mahak rahay hain;

prinday darkhtoon pay chahak rahay hain;

har taraf khushyan hi khushyan hain;

phir wo kun beqrar hai batha;

dunyan ki ranginyon say bezar hai batha;

yahi sochta hai .............

bagh main khailtay bachay;

sab ko achay lagtay hain;

jo apni massom harqaton say;

zindagy main rang bhartay hain;

phir wo kun heeran huwa batha hai;

apnay wajood say anjan bana batha hai;

yahi sochta hai .....

phr wohi sham hai aur andheri raahain

Kab tak muskarayen!

phr wohi sham hai aur andheri raahain;

ghum humaray dil kay phir say jaag jayen;

her soo udasy ki he lahrain chaa jayen;

yaad qisay hum ko jab tumharay ayen;

kun chalay gaye ho chor kay humain tum;

kbhi to ro........oo gay,yaad kr kay ya samay tum;

per ab bhi dil ko meray ya intzar kaisa ha?

mom jisko samjha tha wo to pathar jaisa ha;

aao phir dobara muskura kay daikhain hum;

din kay ujalay main dukh chupa kay daikhain hum;

shyed kah!khushyan hum ko raas hi ajayen;

derd sab kay lay kr kab tak hum muskurayen?
.................................................. ...........................

us simt ko chaltay ho to usay kehna

***~usay kehna~***
us simt ko chaltay ho to usay kehna
ab koyii nehen harf e tamana usay kehna

tum nay hi kaha tha to yakeen mujh ko hoa tha
chahat nehen hoti kabhi ruswa usay kehna

dunya to kisi hal men jeenay nehen deti
umeed pe qayem hay ye dunya usay kehna

zar khaiz zameen kabhi banjar nehen hoti
darya hi badal letay hen rasta usay kehna

kuch log safar keliye mozu nehen hotay
kuch rastay kat tay nehen tanha usay kehna

Aik Rah Per Sari Umer Chaley

***** TANHA *****

Aik Rah Per Sari Umer Chaley
Ek Dojey Ko Na Samjh Sakey
Jeevan Ka Safer Anjaan Safer
Bay_Khahish Bay_Araam Safer
Jevan K Kissi Bhi Dukh Sukh Main
Woh Meray Saath Shareek Nahin
Hum Dono Main Ek Rishta Hai
Per Jazboon Ki Tehreek Nahin
Jari Hai, Mager Anjaan Safer
Main Sochta Hoon Aik Din Yunhi
Woh Mujh Sey Juda Ho Jayega
Ya Pehlay Main Mar Jaon Ga
Ya Shaid Woh Mar Jayega
Phir Loug Kahin Gay Inka
Yeh Rishta Kitna Sacha Tha
Per Kiss Ko Khaber, Sara Jeevan
Main Tanha Tha...
Woh Tanha The..

Becharney se zara pheley

****BICHER NEY SEY ZARA PEHLEY****

Tumhey bhi sochna chay tha
k unki chahat ko thukraya nahi kartey
k un betey dino ko bhulna acha nahi hota
k un say anjan ban kar chain sey jina
humarey wastey mumkin nahi hoga
Tumhey bhi yeh sochna chay tha
k wo batain jo hum ek dusrey sey kar chuky hain
ab kahi wapis na aayen gee
k wo lamhey jo hum ek dosry main ji chuky hain
pher kabhi zinda nahi hoon gay
Becharney se zara pheley
Tumhey bhi sochna chahiye tha
...........*...........

Usey Main Bhool Jana Chahta Hoon

****MAIN BHOOL JANA CHAHTA HOON****

Usey Main Bhool Jana Chahta Hoon
Suno ! Main Muskurana Chahta Hoon 

Dukhi Rehnay Ki Aadat Ho Gai Hai
Mager Ab Gungunana chahta Hoon 

Puraney Sab Taluq Toor Ker Ab
Nai Duniya Basana Chahta Hoon 

Woh Nazmen Paaon Se Lipti Hain Lakin
Main Un sey Jaan Churana Chahta Hoon 

Woh Sab Tohfey Woh sookhey Phool Sarey
Main Ab Un Ko Jalana Chahta Hoon 

Main Utna Pass Aata Hoon Tumharey
Main Jitna Door Jana Chahta Hoon 

Maery Hamdam, Haqeeqat Hai Yeh Meri
Main Teray Pass Aana Chahta Hoon 

Ubhrney Ki Koi Khahish Nahin Hai
Ke Ab Main Doob Jana Chahta Hoon

waqt kaatay na kaata hai,na kaatay ga jaana

waqt kaatay na kaata hai,na kaatay ga jaana
waqt rookay na ruka hai,na rukay ga jaana

jo tou nay bhi mujhay youn beech rah chor diya
tou phir kya khoob zamana yah hasay ga jaana

teray khayaaloon tak rasayi nahi hamari meger
maray tasaver main bus tou hi basay ga jaana
......................*.......................

Ehl-E-Dil Aur Bhi Hain, Wafa Aur Bhi Hain

Ehl-E-Dil Aur Bhi Hain, Wafa Aur Bhi Hain
Ek Hum Hi Nahin Duniya Say Khafa, Aur Bhi Hain

Hum Par Hi Khatam Nahin Maslak-E-Shoridah Sari
Chaak Dil Aur Bhi Hain, Chaak Qabah Aur Bhi Hain

Kia Hua Agar Merey Yaaroon Ki Zabanain Chup Hain
Merey Shahid Merey Yaaroon K Siwa Aur Bhi Hain

Sar Salamat Hai Tu Kia Sang-E-Malaamat Ki Kami
Jaan Baaki Hai Tu Paikaan-E-Qazzah Aur Bhi Hain

Munsif-E-Shehar Ki Wahdaat Pay Haraf Aa Jaye
Loog Kehtay Hain K Arbaab-E-Jaffa Aur Bhi Hain.

Jahan Bhi Rahain Aik Hi Baat Hai

Jahan Bhi Rahain Aik Hi Baat Hai
Tum Pass Nahin Aik Hi Baat Hai 

Kabhi Bin Tumhare Roya Karte They
Ab Tum Dhur Ho Aik Hi Baat Hai 

Dil Main Pehle wali Baat Nahin
Sou Jathan Karo Aik Hi Baat Hai 

Dil Ke Aaine Main Tumain Dekh Liya
Ab Jo Bhi Roop Dharo Aik Hi Baat Hai 

Bharam Sare Ab Tum Ne Kho Diye
Baher Ho Ya Khizaan Aik Hi Baat Hai 

Woh Waqat Tha Jab Hum Mila Karte They
Wade Sare Wafa Ke Kiya Karte They 

Rishta Chah Ka Tha Jho Tum Ne Mita Diya
Ab Subha Ho Ya Shaam Aik Hi Baat Hai 

Ab Na Hi Woh Dil Hai Na Hi Tum
Jaisi Bhi Ruth Ho Aik Hi Baat Hai 

Bin Tumhare Jeena Bhi Kiya Jeena Hai
Zindagi Ho Ya Mout Ho Aik Hi Baat Hai
................*..................

Na Jaaney Kyu

Na Jaaney Kyu !
Mujahy us se aab bhi Mohabbat hai
Mager na jaanay kuo
Aub is Mohabbat mian
Pehly si shiddat nahi rahi
Mujay us ka aab bhi intezaar rehta hai
Mager na jaanay kuo
Aub us ki yaad main
Sitaro k sath haal-e-dil
Kehnay ki Aadat nahi rahi
Mujhay wo aab bhi yaad ata hai
Mager na jaanay kuo
Aab us se milnay ki
Tarrap nahi rahi
Soochti hoon kitni badal gayi hoon main
BILKUL
Us jaisi ho gayi hoon main

AY ! JANAY WALAY

Ay! JANAY WALAY.......
TERAY SATH HAI SIRMAIYAN MERI YAADON KA,
JAB KABHI TUM HUMSE RUTH JANA ZINDAGI K KISI MOR PER HUM SAY NATA TOR LAINA,
LAIKIN!
ITNI GUZARISH HAI MERI TUM SAY KE!
KUCH BHI KEH LENA KOI BHI NAM DAY DENA YE MAT KEHNA KE,
HUMAY TUM SAY MUHABBAT NAHI HAY........

Udaasi Ka Ye Phater Aansoun Sey Naam Nahi Hota

Udaasi Ka Ye Phater Aansoun Sey Naam Nahi Hota,
Haazaroun Jognoun Sey Bhi Aandhera Kaam Nahi Hota,

Kabhi Barsaat Main Shadab Beylain Sookh Jati Hain,
Haarey Peyroun Key Girney Ka Koi Moosam Nahi Hota,

Boohat Sey Loog Dil Ko Is Terhan Maahfooz Rakhtey Hain,
Koi Baarish Ho,ye Kaagaaz Zara Bhi Naam Nahi Hota,

Bichertey Waqat Koi Badgumani Dil Main Aajaati,
Usey Bhi Gum Nahi Hota,mujhay Bhi Gum Nahi Hota..!!

Mohabaton ka diya jala ker kabhi to dekho

Mohabaton ka diya jala ker kabhi to dekho
Tum mery dil main jhank ker kabhi to dekho

Mery dil ki raahain teri muntazir hain
Kabhi in rahoon main a ker to dekho

Meri mohabat sipion ki manind bekimat perhi hai
Kabhi barish ka pehla katrah ban ker to dekho

Mujhy meri mohabat mily gi zaroor !
Isy yakeen ka bharam rakh ker to dekho

Mery saber ka imtihan aur na lo
Bas aik..! aik bar mery samny a ker to dekho

Milain gay tujhy wafaon ke naghmay
Mery dil ki dharkan ban ker to dekho

Tujhy door asmano pe chand ki manand chamakta dekhta hun
Kabhi asman se is dil ki zamin pe uter ker to dekho

Ye wadhay ye wafaian ,ye khushian ye ansu, tarap ye kasak!
Mohabbat ka mafhoom samajh ker to dekho

Main apni mohabbat ki sachaion ka yakeen dilaon to kaise?
Kabhi Khuda se meri mohabat ke bary main poch ker to dekho

Najany wo meri manzil benishan karna chahta hai

"Najany wo meri manzil benishan karna chahta hai
Wo judai mang kar meri zindge wirran karna chahta hai 

Na nazar say bat karay Na sansoon say koi kalam
Shayed WO mujh ko apnay say anjan karna chahta hai 

Wo mujh say Na bhoolnay ka wada kar chala hai
Yeh keh kar wo mujh par koi ehsan karna chahta hai 

Na shidat say chahat mujh say ba shidat say nafrat
Ghaliban wo koi Rasta darmiyan karna chahta hai 

Badal raha hai wo, badal rahin hain siftain us ki
Meri nazar main Farishtay say khud ko insane karna chahta hai 

Meri sari ebadtoon ka sila Na day mujhay
Keh day buss aik gharri meri zindge gulistann karna chahta hai 

Jis KO toot k chaha USS ki zatt k badd
Yeh dil khwahish Na koi arman karna chahta hai 

Akash tu hi bata day meray muqadar ka sitara
Ab kis ka muqam-e-gardish zaman karna chahta hai 

Kisi k khayal main ghazal likh kar ay Rehan
Namm meray WO unvann karna chahta hai

Bhoola Deya Usne Humhey

Bhoola Deya Usne Humhey
Badalte Waqt Ki Tarha

Kasam Day Di Bhool Jane Ki
Yeh Saza Hai Umer-E-Qaei Ki Tarha

Dua Da Di Umer-E-Hayat Ki Usne Humhey
Yeh Dua Hai Baduwah Ki Tarha

Khush Rehna Tum Humesha Mere Baghair
Yeh Khushi Bhi Ban Gaye Aansouon Ki Tarha

Baatain Rah Gaye Us Ki
Mere Dil Mein Yaadon Ki Tarha

Tohfa Usne Kya Da Deya
Umer Bhar Ke Leya Dard-E-Dil Ka Rog Da Deya

Hum Ko To Hansi Bhi Milee
To Dard Ki Tarha

Bhoola Deya Us Ne Rehan Ko Badalte Waqt Ki Tarha
Per Rehan Usey Bhoola Na Saka Badalte Mosamo Ki Tarha

December ab ke aao tou

December ab ke aao tou
tum us shehr-e-tammana ki khabar laana
ke jismein jugnuon ki kai kehkashaan jhilmilaati hain
jahan titli ke rangon se fazaaein muskuraati hain
wahan chaaron taraf khusbhu wafa ki hai
aur jo usko nazar se choo gaya
pal bher mehek utha
December ab ke aao tou
tum us sheher-e-tammana ki khabar lana
jahan pe rait ke zarrey sitaarey hain
gul-o-bulbul, mehr-o-anjum, wafa ke ista'aarey hain
jahan dil wo samander hai, kai jiske kinaarey hain
jahan qismat ki devi muthiyon mein jagmagati hai
jahan dharkan ki lay per bay-khudi naghma sunati hai
December mat pooch humse hamarey sheher ke baarey
yahan aankhon mein guzrey kaarwan ki
gard thehri hai .. muhabbat barf jaisi hai yahan ...
aur dhoop ke khaiton mein ugti hai
yahan jab subha aati hai to .. shub ke
saarey sapney raakh ke dhair ki soorat mein dhaltey hain
yahan jazon ki tooti kirchiyan aankhon mein chubhti hain
yahan dil ke lahu mein apni palkon ko
dabo ker hum sunehrey khuab buntey hain
un khuabon mein jeetay hain
unhi khuabon mein martey hain
dareeda rooh ko lafzon se
seena go nahi mumkin
magar phir bhi
December ab ke aao tou
tum us shehr-e-tamanna ki khabar laana


Kash Kisi Kee Maayen Na Marteen

Kash Kisi Kee Maayen Na Marteen

Mujhay raat gay tak bahir rahnay per rokti rahti thi
Main us ki baatain sun kar hansi say uchaal daita tha
Kal say jaldi aaon ga kah ker taal daita tha
Who mujhay daikh kar muskra daiti thi

Aur pyaar say chapat laga daiti thi
Main usay bohat satata tha bohat nakhray dekhata tha
Who her baar meray naaz uthati thi
Who meray sadkay wari jati thi
Raat kay kisi pehar b ghar jo ata us ko apna muntazir pata
Din raat us kay pyaar ki barsat hoti
Us ki duyain hameesha meray saath hotin

PER ABB

Zindagi main woo baat nahi hai
Kioon k woo meray saath nahi hai
Us kay pyaar bina dil ki zameen sookhi hai

Ek wohi mukhlis thi sari duniya rokhi hai
Ghar jab loton woo nigahain dhoondta hoon
Samaa jaon jin main woo bahain dhoondta hoon
Un jaghoon ko deekhta rehta hoon
Jahan beth k woo mera intzaar karti thi

Main ghantoon apna chahra deekhta hoon
Jahan woo mujhay pyaar karti thi
Teri dua kay bagair sarkon per nikal jata hoon
Her kadam her rastay per thoker khata hoon
Tu lout aa k mujhay abhi teri zaroorat hai
Main ghar jaldi lout aaoon ga
ALLAH kasam tujhay kabhi na sataon ga
Teri khidmat subha shaam karoon ga
jo kahay gi woo her kaam karon ga

Meray kaan phir say muntazir hain
Eik baar phir woo lori suna day
Ek arsa hua main soya nahi
Tu apni goud main mujhay sula day
Kaash kabhi aisi duaain na martyin


Kaash kisi ki MAAYEN na martyin

December Mujhay Raas Aata Nahi

*** DECEMBER MUJHAY RAAS AATA NAHI ***

Kayii Saal Guzrey
Kayii Saal Beetey
Shab-o-Roz Ki Gardishon Ka Tasalsul
Dil-o-Jaan Mein Saanson Ki Partein Ultatey Hue
Zalzalon Ki Tarah Haanpta Hay!
Cheekhtey Hue Khuwab
Aankhon Ki Nazuk Ragein Cheeltey Hain
Magar Main Har Ik Saal Ki Goud Mein
Jagti Subah Ko
Bey Karaan Chahton Se Atti Zindagi Ki Dua Dey Kar
Ab Tak Vohi Justaju Kar Raha Hoon
Safar Zindagi Hay
Safar Aagahi Hay
Safar Aabla Payii Ki Dastan Hay
Safar,Umer Bhar Ki Sulagti Hui Khuwahishon Ka Dhuwan Hay
Kayii Saal Guzrey
Kayii Saal Beetey
Musalsal Safar k Kham-o-Paich Mein
Saans Leti Hui Zindagi Thak Gayii Hay
k Jazbon Ki Geeli Zameenoo Mein
Boye Hue Roz-o-Shab Ki Har Ik Fasal Ab Pakk Gayii Hay
Guzarta Hua Saal b Aakhrii Hichkiyaan Ley Raha Hay
Mery Paish-o-Pass
Khauf, Dehshat, Ajal,Barood Ki Mouj
Aabadian Noch Kar Apney Jabrron Mein Jhakrri Hui Zindagi Ko
Darindoo Ki Surat
Nigalney Ki Mashqon Mein Masroof Tar Hain
Har Ik Rasta, Maut Ki Rahguzar Hay
Guzarta Hua Saal Jaisy b Guzra
Magar Saal k Aakhri Din
Nihayet Kathin Hain
Har Ik Simt Laashon k Anbaar
Zakhmi Janazon Ki Lambii Qitarein
Kahan Tak Koi Dekh Paye?
Hawaon Mein Barood Ki Baas
Khud Aman Ki Noha Khuwan Hay
Koi Chara Gar, Asr-e-Hazir Ka Koi Maseeha Kahan Hay?
Mery Milney Walon!
Naye Saal Ki Muskuratii Subah Gar Haath Aye
To Milna!!
k Jatay Hue Saal Ki Saaton Mein
Yeh Bujhta Hua Dil
Dharakta To Hay
Muskurata Nahi
December Mujhay Raas Aata Nahi...!!!

ADHORE KHWAB ANKHOON KO

ADHORE KHWAB ANKHOON KO BHT TAKLEEF DAITE HAIN
ADHORI YAD KO DIL KI ZAMEEN PAY TUM NHI BONA
ADHORI YAD!!!!
DHRKANOON MAI NBHT CHUBHTI SISKTI KAHLISH BAN K KAHTAKTI HA
LAHO MAIN BIJLIAN BAN K BHRAKTI HA
ADHORE PAYAR KO!!!!!!
CHALO JANY DO ISS KO TUM
MOHAB PAYAR CHAHAT AUR ISHAQ
SAB HOTE HI ADHORE HAIN.........

muskura na sakoge

muskura na sakoge ..

Chah Kar bhee dard tum chupa na sakoge..

Aur kire ko taqleefe bata na sakoge…

Gar toot gayi teri sachhi mohabbat..

Dikhane ke liye bhee tum muskura na sakoge..

Jo mukar gaye apne kiye hue wado se kabhi..

Aiine me khud se nazre kabhi mila na sakoge..

Mat todna kise chahne wale ka dil..

Uska toota to apna bhee bacha na sakoge

Ek chota sa sapna tha

Ek chota sa sapna tha
is sapny mai koi apna tha
is sapny mai kuch sukoon tha
jo zindagi ka janoon tha
janoon mai ek rahat thi
jo sirf teri chahat thi
is chahat main ek andaz tha
jo meri dharkanon ka raz tha
is raz mein ek khushbo thi
jo meri soch ki justojo thi
is justojo ki ek hararat thi
jo meri khushyon ki shararat thi
is shararat mein ek ehsaas tha
kay tu jo mere pas tha
is pas me jo ek arman tha
wo bas sirf ek tera naam tha

barish ki tarha ankhein bhi moti barsati hain

barish ki tarha ankhein bhi moti barsati hain,
jab yaadeinn teri mere dil par ghata si chhaa jati hain,

ankhon ke sare manzar dhundla se jate hain,
jab barish mein har sama dhul se jate hain,

is hava mein bhi shayad meri ankhon ki nami hai,
tanhayi mein yaadon ke panno ko bhigo jati hain,

kudrat ke har manzar mein kitni dilkashi hai,
kyon mere dil par ye dhund si jami hain,

teri yaadein bhi is mousam ki tarha hain,
phool ban kar aati hai patto ki tarha jhad jati hain,

yaar teri yaad mein kuch to baat hai aisi,
kuch pal ke liye hi sahi tera saath de jati hain

mohabbat bhi gunnah hoti hai us ki bhi saza hoti hai
yeh ajab rishta hai jis mein bewafaye bhi wafa hoti hain

talib hai yeh dil us ka pyase hein yeh nain us ke
usey koi toh sumjha de shamma kyun fana hoti hain

chupaya hai khud ko mein ne lakh pardoon mein lekin
meri har baat mein buss wohi soorat ayan hoti hai

luta aye hoon jis par mein upne dil ki har dharkan
mein zinda hoon yahan lekin meri rooh toh wahan hoti hain

dar lagta hai har shakhs se keh mujhko koi na samjhe ga
mere jaise hazaroon ki yeh duniya sathi kahan hoti hain

Bahut mushqil hai sach baat chupaa kar rakhnaa

Bahut mushqil hai sach baat chupaa kar rakhnaa,
dil mein uthte hue jazbaat chupaa kar rakhnaa..!!

~*~*~*~~*~*~*~~*~*~*~

Zindagi kahne ko do pal ki numayish hi sahi,
hai zaroori magar haalaat chupaa kar rakhnaa..!!

~*~*~*~~*~*~*~~*~*~*~

Ro ke bhikre to ye bujhdilee ho jaayegi,
tute insaan ki ye zaat chupa kar rakhnaa..!!

~*~*~*~~*~*~*~~*~*~*~

Zindagi jang hai , lad kar hi ise jeena hai,
milenge aur bade ghum ke ye saugaat chupaa kar rakhnaa..!!!

~*~*~*~~*~*~*~~*~*~*~

Koi Bhoola sakta nahi kisi ko Bhool jane ke baad

Koi Bhoola sakta nahi kisi ko Bhool jane ke baad
Koi Saamne aa jaye kisi ko Yaad karne ke baad

Kyun chorr diya Hamara sath, kya Hum ne Khata ki
Khuda bhi Maaf ker deta hai Gunaah hone ke baad

Kyun aate ho Hamein Yaad, kyun Tarpate ho Mujhe
Aadmi Khush hota nahi her Ek Khushi milne ke baad

Mohabbat ke Safar mai kitne Door chale gaye hain jab Hum
Kyun wapis pukarte ho Manzil ke qareeb aane ke baad

Aansoo hai kamzor Sahara Mere Jeewan ka
Kyun aate ho pouchne, Aankhein sukh jane ke baad

Na mana karo Hamein Pyaar karne se Tujh ko
Kyun log Bagawat karte hain Pyaar kerne ke baad

Karle Deedar apne Mehboob ka Ji bhar ker
Koi aata nahi milne Qabar mai jane ke baad

Koi kisi ka Haal-e-Dil jaan nahi sakta
Murda Jism hi janta hai Qabar mai jane ke baad

Izzat, Zillat, Gunah, Sawaab kya hai koi bata de?
Na ana chahta koi Dunya me Qayamat dekhne k baad

Koi Bhoola sakta nahi kisi ko Bhool jane ke baad
Koi Saamne aa jaye kisi ko Yaad karne ke baad

Dil main phir dard howa dair talak


Dil main phir dard howa dair talak
Na mili iss ko dawa dair talak  

Mein nay khoshboo ki haqeqat poochi
Phool khamosh raha dair talak  

Tum nay to sirf suna hee ho ga
Mein nay jo dard saha dair talak  

Shab ko phir mein nay sulgata paya
Mun ka khamosh diya dair talak  

Uss nay kuch aur kaha tha shayed
Mein nay kuch aor suna dair talak  

Uss nay poocha k mujhe yaad kiya?
Mein nay tab hans k kaha dair talak  

Janay wala nahi ek pal bhi ruka
Aks aankhoon main raha dair talak  

Maslahat reh gaee hontoon pay  
Rooh main shor macha dair talak

yahi wafa hay

yahi wafa hay!
ke meri ankhon main tera chehra
ke mere honton pe naam tera
ke dil ki dharkan pukaray tujhko
ke rooh main apni utaray tujhko
yahi wafa hay!
hawa ke rukh per pyam bhejon
mein chahaton ka slam bhejon
ke itney chehrey hain gird mere
ke mene tujhko chuna hai jana
yehi wafa hay!
yehi wafa hay!

Mein ne Poocha kesey ho

Mein ne Poocha kesey ho
Badley Ho ya wesey ho
Roop wohi, Andaaz wohi
ya phir is mein koi kami
Hijr ka kuch ehsaas to hoga
koi tumharey pass to hoga
mein Bichra ye majboori thi
kab manzoor mujhey Doori thi
saath Humara kab choota hai
Rooh ka Rishta kab Toota hai
Aankh se jo aansu Behtey hain
Tum ko khabar hai kia kehtey hain
mein ne kaha aawaz tumhari
aaj Bhi hai Humraaz Hamari
Phool wafa k khil jaain ge
ik Din Phir Ham mil jaain ge

Ghum unko bhi naseeb hote hain

Ghum unko bhi naseeb hote hain
Jo log khush naseeb hote hain

Hota hai aik hee koi apna
Warna saare raqeeb hote hain

Daulat-e-zindagi ki khuwahish hai
Log kitne ghareeb hote hain

Zakhm hum ko jo atta kerte hain
Wo humare habeeb hote hain

Hum ko dushman samajh rahe hain jo
Wohi dil ke kareeb hote hain

Dilon mein dard chupaney waley
Khuwahishon ke saleeb hote hain

Ishq mein mar ke bhi fana na hue
Silsiley yeh bhi ajeeb hote hain

Yun Dill Ko Her Ek Shakhs Pe Wara Nahi Karte

Yun Dill Ko Her Ek Shakhs Pe Wara Nahi Karte
Ankhon Mein Her Ek Aks Utara Nahi Karte

Honi Hai To ik Bar Hi Ho Jaey Muhabat
Ye Bhool Hai Aisi Ke Dobara Nahi Karte

Acha Huwa Meine Hi Faqat Dekha Magar Yun
Mehfil Mein Kisi Ko Bhi ishara Nahi Karte

Mil Jaey Sar-e-Rah Jo Bichra Huwa Koi
Chup chap hi Takte Hain Pukara Nahi Karte

Kiyun Piyar Ki Bazi Se Ho is Darja Gurezan
Kihte Hain Ke Dill Har Ke Bhi hara nhi karte

Popular Posts