Saturday, April 24, 2010

dasht-e-tanhaai mein, ai jaan-e-jahaan, larzaan hain

dasht-e-tanhaai mein, ai jaan-e-jahaan, larzaan hain
teri avaaz ke saaye,
tere honthon ke saraab
dasht-e-tanhaai mein,
duri ke khas-o-khaak tale
khil rahe hain tere pehlu ke saman aur gulaab
uht rahi hai kahin qurbat se
teri saans ki aanch
apani khushbuu mein sulagti hui
maddham maddham
dur ufaq par chamakati hui
qatra qatra
gir rahi hai teri dil daar nazar ki shabnam
is qadar pyaar se hai jaan-e jahaan rakkhaa hai
dil ke rukhsaar pe
is vaqt teri yaad ne haath
yun guman hota hai
garche hai abhi subah-e-firaaq
dhal gaya hijr ka din
aa bhi gaye vasl ki raat
*****************************************

No comments:

Popular Posts