Saturday, September 19, 2009

Na jane kya kaha tha


Na jane kya kaha tha doobnay walayne samandar se "faysal"
k lehrain aaj tak sahil pe apna sar patakhti hain

tum ne dekha hai kabhi

tum ne dekha hai kabhi chand pe behta pani "faysal"
mein ne dekha haiye manzar uss k rukhsaar pe aksar

bhoat mushkil hai tere dil pe


bhoat mushkil hai tere dil pe apne Dard ki kahani likhna "faysal"
shayad utna hi jitna k behte hue pani pe pani likhna

raat darwazey pe

raat darwazey pe kitni dastakon kzakham thay "faysal"
phir wohi pagal hawa thi phir mujhedhoka hua

Mili saza jo mujhe

Mili saza jo mujhe wo kisi khata pe na thi faysal
Mujh pe jurm jo saabit howa wo wafaa ka tha

Unglian toot gaen

Unglian toot gaen pather tarashte tarashte ‘Faysal”!!
Aur jab bani soorat-e-yaar tu kharidar aa gaye..

Maine jis shahkas ko


Maine jis shahkas ko phoolon se sajaya tha “Faysal”!!
Meray seene main usee shahkas ka kanta utra

Kaat Kar Zuban Meri


Kaat Kar Zuban Meri Keh Raha Tha Wo FAYSAL,
Ab Tumhe Ejazat hai Hal-e-Dil Sunane Ki.

Ansoo Hansi Hansi Mein

Ansoo Hansi Hansi Mein Nikal Aaye Q Faysal??
Bethe Bethe Ye Kaunse Ghum Yaad Agaye…

Usey Taraash K Heera

Usey Taraash K Heera Bana Diya Hum Ne Faysal,
Magar Ab Ye Sochte Hain USey KHaridain Kaise ..

Sirf Chehre Ki Udasi

Sirf Chehre Ki Udasi Se Bhar Aye Ansoo Faysal,
Dil Ka Alam Tu Abhi Ap Ne Dekha Hi Nahi!!!!

Mujhe Kehta Hai

Mujhe Kehta Hai Jhooti Hain Teri Beykar Se Baatein Faysal,
Magar Lagta Hai Wo Meri Unhi Baaton Pe Marta Hai….

Iss Dafa Barshein

Iss Dafa Barshein Rukti He Nahi Faysal,
Hum Ne Ansu Kia Piye Sare Mosam Ro Pare !!!!

woh roz dobte hoe

woh roz dobte hoe suraj ko dekhta hai faysal
kash me bhi kisi sham ka manzar hota

chup chaap apni aag

chup chaap apni aag main jalte raho faysal
duniya to arz-e-haal se be-aabru karay.

Mery sajdoon main

~**~Mery sajdoon main kami to nahi the Faraz~**~
~**~mujsy bharh kr kisny usy manga tha Khuda sy~**~

Bondain giri to aankh main


~**~Bondain giri to aankh main aansu b aa gay Faraz ~**~
~**~ barish ka uss ki yaad say rishtaa zarroor hy~**~

Ab Neend Sy Kaho Hm


Ab Neend Sy Kaho Hm Sy Sulah Kr Ly FARAZ
Wo Daur Chala Gaya Hy Js K Liye Hm Jaga Krty Thy

fakat is dur sa


fakat is dur sa sona bhi chore dia ha faraz...
kahin wo khuwab main bhi bichra to mer jain gay

Teri bewafion par


~**~ Teri bewafion par mar jany ko ji chahy Faraz~**~
~**~ Tuj main wafa hoti too kiaa hoota ~**~

Kitni Nafrat thE ussE


Kitni Nafrat thE ussE Teri TasveeR sE FaraZ..
KE apnA haTh hi Jala DalA Teri TasveeR jalanE k bAAd

Apni nakami ka ik



~**~ Apni nakami ka ik yah bhi sabab hy Faraz ~**~
~**~cheez jo mangty hain sab say juda mangty hain~**~

toufan


Ye kehna humne hi toufan mai daal de kashti
Qasoor apna hai darya ko kia bura kehna

Umar bhar likhtay rahay


Umar bhar likhtay rahay phir bhi varq sada raha
jany wo kya lafaz thay jo hum se tehrer na hoay...

har aaib sahi mujh main


har aaib sahi mujh main magar aaj bhi mujh ko
apnon se khafa honey ka andaaz nahi aya

lakeerain bhi mit'ti hain


bhala haathon ki lakeerain bhi mit'ti hain "wasi"
kitna pagal hai mera naam mitanay wala

teri nafrat bhi ajeeb thi


teri nafrat bhi ajeeb thi
tera faiz bhi tha kamal per

kabhi sab kuch mila bin talab
kabhi kuch na mila sawal per

mujhe to apne kirdar


mujhe to apne kirdar pe itna to yaqeen hai"faraz"
koi mujhe chohr to sakta hai magar bhula nahi sakta

mat day kisi ko "DUA


mat day kisi ko "DUA" apni umar ki "faraz"
yahan aise log bhi hain jo tere jeene ki "DUA" karte hain

nadani ki hadd hay


nadani ki hadd hay dekho "faysal"
mujhe kho kar mujhe phir se talash karti hai

mohabbat k siwa

tum ne to phir bhi sekh liya zamaney key chalan faysal
hum to kuch bhi na kar sakey mohabbat k siwa

nazar ki Qaid mein hoon


ik aur baar dekh kar azaad kar day mujhe "faysal"
k main aaj bhi teri pehli nazar ki Qaid mein hoon

janaza mera rook kar


janaza mera rook kar wo iss andaaz se bole "faraz"
hum ne basti ka kaha tha tum to duniya hi choor gay

shikayat thi tum se


shikayat thi tum se gila na kar saktay "faysal"
Ijazat nahi zabaan ko tere khilaaf bolnay ki

Zamana Us k Jaisa hy


W0 samjta hy k hr Shaks badal jata hy
usay Lagta hy Zamana Us k Jaisa hy

Para hAi WaaSTa


Para hAi WaaSTa "faysal" MuhabbaT Ka YaZeedOn Sey!
Yahaan huM Apni AankhOn Mein Bhi Paani Rakh Nahi SakTey.~!

Hum say bichar kay



Hum say bichar kay us ka takabbur bikhar gaya
Har ek say mil raha hai bari aajzi k sath.

Meri Mohabbat Ka....


Me Apne AP Se Barh Ker Kis Ko Chahon FARAZ.......
Mujh Pe Khatam Hai Kisa Meri Mohabbat Ka....

tere bas ki baat nahi

ye mera pyar hai koi rait pe likha naam nahi
isse maut to mita sakti hai magar tere bas ki baat nahi

KITNE MAJBOOR

KITNE MAJBOOR HUE APNI ANA K HAATON..
REEZA REEZA BHI HUE AUR BIKRE BHI NAHIN.

wo shakhs jhoota hai

Chhipa raha hai kisi karb ko kisi gham ko
Jo hans raha hai musalsal wo shakhs jhoota hai

Gardishe waqt mera kuch

Gardishe waqt mera kuch bhi kar nahi sakti,
Maine har haal me jeene ki kasam khayi hai.

Zakhm huve honth to


Zakhm huve honth to mahsoos ye huva,
Chooma tha kisi phool ko deewangi ke saath.

teri chahat jaisa

jissy chaho ehsas-e-khudai day do
silsila pyar ka rakho tu ibadat jaisa

hum bhary shehar mein tanha tu na thay lakin
phir koi rishta na mila teri chahat jaisa

darguzar uski har khata kar di


darguzar uski har khata kar di
us k haq main phir bhi dua kar di

aik lamhe mein kho diya us ney hamein "faysal"
jis ko paney mein hum ney intaha kar di

maang lena khuda se agar


maang lena khuda se agar ho Aqeeda tumhara "faysal"
khuda too unko bhi deta hai jo patharon se maangte hain

shehr-e-Adaawat mein


mera us shehr-e-Adaawat mein basera hai "faraz"
jahaan log sajdon mein bhi logon ka bura chahtay hain

aankhon se pochen


wo miley ga to us ki aankhon se pochen gay "faysal"
kis ko abaad kia hai mujhe barbaad kar k

mohabbat muqadar hai


mohabbat muqadar hai ek khawab nahi
ye wo rishta hai jis mein sab kamyab nahi

jinhe saath mila unhein unglion per gin lo faysal
jinhe mili judai unka koi hisab nahi

Popular Posts