Wednesday, August 11, 2010

IDHER DEKHO YEH KHAMOSHI ZARA ACHI NAHI LAGTI


IDHER DEKHO YEH KHAMOSHI
ZARA ACHI NAHI LAGTI
KAHO!!!
KUCH TU KAHO JANA'N
RUTEIN KAISAY BADALTIEN HAIN
BAHAREIN GUM HOI KAISAY
KHIZAAN KA RAAJ KAISA HAI ??????
CHALO IK LAFZ GHALAT FEHMI
YA IK RISHTEY KI SACHAAIEE
MUHABBAT, DOSTI NAFRAT
KISI MAUZO KO CHAREIN HAM
KOI TU RAEY DO APNI
KOI TU SILSILA NIKLAY
MERAY IN SOOKHEY BALOO'N PER
MERI BANJAR SI AANKHOON PER
MERAY IN MAILAY DANTOO'N PER
CHALO TANQEED KAR DALO
SITAREY AISI PALKOO'N PER
NAHI JANA NAHI ACHAY
TUMHARI TU YE! AADAT THI
MERI HAR BAAT PAR HANSNA
ZAMEEIN PER APNI UNGLI SAY
AREY KYA LIKH RAHEY HO TUM
SUNO TUM SAY MUKHATIB HOON
MUJHEY DEKHO MAIN KAISAY HOON
AGARCHEY MAR GYA HOON MAIN
TUMHARA HUKM MANA HAI
TU PHIR KIS BAAT KA RONA
TUMHEY TU MUSKURANA HAI
INHI IK DO DINOO'N MAIN TU
MUJHEY BAS BHOOL JANA HAI..!!

Ghoom Raha Hay Peet Ka Piyasa


Ghoom Raha Hay Peet Ka Piyasa
Daikh To Gori Kaisay Pukaray
Basti Basti Dawaray Dawaray
Bar Main Jholi Hath Main Kaasa
Ghoom Raha Hay Peet Ka Piyasa

Dil Main Aag Dabi Hay, Darna
Ankhon Main Ashkon Ka Jharna
Lab Par Dard Ka Bara Maasaa
Ghoom Raha Hay Peet Ka Piyasa

Kanton Say Chalni Hain Paaon
Dhoop Mili Chahray Par Chaaon
As Mili Ankhon Main Nirasa
Ghoom Raha Hay Peet Ka Piyasa


Bat Hamari Man K Gori
Sab Duniya Say Chori Chori
Ghon'Ghat Ka Pat Khol Zara Sa
Ghoom Raha Hay Peet Ka Piyasa


Surat Hay Insha Je Ki Se
Baal Paraishan Ankhien Neechay
Naam Bhi Kuch Insha Je Sa
Ghoom Raha Hay Peet Ka Piyasa

Soch Nahi Saajan Ko Bula Lay
Agay Barh, Seenay Say Laga Lay
Tujh Bin Day Isay Kun Dilasa
Ghoom Raha Hay Peet Ka Piyasa

Humari simat na dekho kay koi Dair Mein


Humari simat na dekho
kay koi Dair Mein
Hum Kabila-e-Dil-O-Jaan se guzarnay walaay hain
Bay basaye huay shehar apni Ankhon kay
Misal-e-Khana-e-Veraan Ujaarnay walay hain
Hawa ka shoor yehi hai
tau Dekhtay Rehna
Humari Umaar Kay Khaemay Ukharanay Walay Hain.......

Dil k verane main Ek shama hay ab tak roshan



Dil k verane main
Ek shama hay ab tak roshan
Koi parwana magar ab na idhar aye ga
Zindagi beet gayi piyar main jalte jalte
Koi umeed bar ayi na koi baat bani
Jagmagaya na setara koi armanoon ka
Ham ne dil ko bhi jalaya to seya raat bani
Diljaloon par koi mahshar sa guzar jaee ga
Jin ki dharkan main suni
Ham ne wafaoon ki sada
Akhar_e_kaar wohi ban gaye
Pathar k sanam
Na saji hathoon pe mahndi
Na baji shyhnai
Ab to karta huwa apni hi wafa ka matam
Piyar maksal ki taraf khaak basar jaee ga
Kitne gate huwe armanoon ki barsaat k baad
Aas ki jheel main lahraee the kuch neel kanwal
Kiya khabar thi k woh mahfel hi ujar jaee gi
Jis main gai thi kabhi ham ne mohabbat ki ghazal
Apna har nagma flahoon main bikhar jaye ga
Kitna behes huwa karte naheen ahlewafa
Jane kiya soch k toheen_e_wafa ki tu ne
Koi jhonka bhi jise chou na saka tere bagair
Apne hathoon se wohi shama bujha de tu ne
Kiya khabar thi tera ahsaas bhi mar jaye ga
Ban k parwana kabhi tu na idhar aye ga

Humara kia hai Hum to chiraag-e-shab ki tarha


Humara kia hai,
Hum to chiraag-e-shab ki tarha....
Agar Jalay bhi to buss itni roshni ho gi....
Kay jaisay Tuund andheron mein koi Jugno Zara se dair ko....
chamakay,Chamaak kay kho jaye....
Phir uss k baad na kuch dekhaii de....
Na shab katay na chirga-e-sahar dekhaii de....
Humara kia hai hum to puss ..
Ghubar-e-Safar....
Agar chalay bhi to buss itni raah teh ho gi.....
Kay jaisay tund hawaoon ki zud mei Naqsh-e-Qadam....
Zara se dair ko ubhray ubhar k mit jayen....
Phir uss k baad na manzil na rah guzar milay....
Hadh-e-Nigah talaak Dasht-e-Be-Keenar milay

jisse pather bhi pighal jaye bilkul mom ki tarah



jisse pather bhi pighal jaye bilkul mom ki tarah,
kisi ko muhabbat main asi purkashish hasil hi nahi

sabke dilon main rang-e-armaan hain bharne k liye zindagi,
dayre main khade hue hum aaj bhi in rango main bheege hi nahi

ro kar duaen manbte hue ab to khushk ho gayi neegahe bhi,
per khuda hai ya pather dil ab bhi pighalta hi nahi

har pal waqt-e-bereham se mili johaar wo to mita di maine,
per fir bhi majhdhaar se nikalne ki koshish mujhmain dafan hoti hi nahi

kya sachmuch maan lun use bereham ya hai ye kudrat ka usul,
kubul ker le mere dil tere sawalon k javab is jahan-e-fani main hain hi nahi

us halat main aa gayi hoon jab mout aa jati hai,
fir bhi jine ki KEFIYAT zehan(dimagh) se juda hoti hi nahi

shayd in akhri lamhon main koi gham or lakleef na mile,
lekin wo pal kahan se lau jinmain ashqon ka shumar hi nahi

agar mile khuda to wapis magungi usse apni khushiyan,
per suna hai wo bhi hai bereham marne se pehle milta hi nahi.

jab hijar ki aag jalatay hain kuch log bohat yaad aatay hain


jab hijar ki aag jalatay hain
kuch log bohat yaad aatay hain

ankhon mai raakh sajatay hain
kuch log bohat yaad aatay hain

mausam k rang badaltay hain
lahraa kar jhonkay aatay hain

shaakhon say boor uratay hain
kuch log bohat yaad aatay hain

yaadon ki garam havaon say
ankhon ki kaliyan jalty hain

jab aanso dard batatay hain
kuch log bohat yaad aatay hain

baydard havain sah sah kar
suraj k dhaltay saaon main

jab panchi laut k aatay hain
kuch log bohat yaad aatay hain

jab log jahan k qison main
dam bhar ka mauqa miltay hain

lafzon k teer chalatay hain
kuch log bohat yaad aatay hain

yah ishq mohabat kuch b nahi
fursat ki kaar satani hay

jab log mujhay samjhatay hain
kuch log bohat yaad aatay hain

jab kaalay badal ghir aay
aur barish zor ki hoty ho

darwazay shor machatay hain
kuch log bohat yaad aatay hain

jab aangan mai khamoshi
apnay hont pay ungli rakhty ho

sanaatay jab dar aatay hain
kuch log bohat yaad aatay hain

jab sard hava ka bistar ho
aur yaad say us ki liptay hon

tab naghma sa lahraatay hain
kuch log bohat yaad aatay hai

Qurb K Na Wafa K Hote Hain


Qurb K Na Wafa K Hote Hain
Saray Jhagray Ana K Hote Hain

Baat Niyat Ki Sirf Hai Warna
Waqt Saray Dua K Hote Hain

Bhool Jate Hain, Mat Bura Kehna
Log Putlay Khata K Hote Hain

Wo Bazahir Jo Kuch Nahi Lagte
Un Se Rishtay Bala K Hote Hain

Wo Humara Hai Is Tarah Se Faiz
Jaisay Banday Khuda K Hote Hain

Bicharrne wale Tujhe khabar hai?



Bicharrne wale...!

Tujhe khabar hai?

K tere jaane se mera jeevan,

Hazaar khanoun main batt gaya hai,

Tujhe khabar hai bicharrne wale...!

K meri khushian he kho gai hain,

Main kitna tanha sa ho gaya hoon,

Wajood mera tou is safar main ,

Ye dekh zakhmoun se att gaya hai,

Main sochta hoon...

Magar yeh sochen,

Kyon aik nuqte pe jamm gai hain,

Mujhe yeh mahsoos ho raha hai,

K Jese saansen he thamm gai hain...

Mujhe bata de bichrrne wale...!

K khud ko kese sambhalna hai,

Hijar k rastouN pe chalte chalte,

Ye mere paaon lahoo main tarr hain,

Yaqeen ker le main thakk gaya hoon...

Bicharrne wale...! Tujhe Khabar hai?

Main kub ka khud se bicharr chuka hoon...!!!

Park Ki Puraani Seaton Par Baitay Baitay Do Saaye Thay


Park Ki Puraani Seaton Par
Baitay Baitay Do Saaye Thay
Un Saayon Ke To Dil Bhi Thay
Wo Saaye To Hum Tum Hee Thay

Kiya Bhool Gaye Un Baaton Ko
Jo Bait Ke Hum Kiya Karthay Thay

Wo Teri Hansi Ki Aawazein
Wo Mere Zakhmo Par Jaise Marham
Wo Tere Waaday Aur Dillasay Bhi
Mein Jin Pe Umeed Ki Dorain Bandtta Tha

Wo Tera Mil Ke Bicharna Phir
Mujhe Yaad Hai Wo Haqeeqat Bhi
Aur Phir Tera Na Mujh Se Kabhi Milna
Mera Un Seaton Par Bait Kar Akelay Rona

Phir Yaadon Ki Ghatlee Nikal Kar
Un Mein Kuch Achi Yaadein Chunna
Kuch Pagalpan Ki Baatein Thee
Kuch Chahat Ke Sapnay Bunna

Aur Phir Khatam Hoye Saaray Qissay
Jab Kaghaz Par Tehreer Banay
Mein Bhoola Nahi Hoon Saari Baatein
Magar Kiya Karon inhain Yaad Kar Ke

ik pagli mera naam jo le sharmaye bhi ghabraye bhi



ik pagli mera naam jo le sharmaye bhi ghabraye bhi
galion galion mujh se milne aye bhi ghabraye bhi

raat gaye ghar jane wali gum sum ladki rahon mein
apni uljhi zulfon ko suljhaye bhi ghabraye bhi

kon bichad kar phir lotey ga kiun awara phirte ho
raton ko ik chand mujhey samjhaye bhi ghabraye bhi

ane wali rut ka kitna khof hai us ki ankhon mein
jane wala door se hath hilaye bhi ghabraye bhi

kiya jane woh kon hai mohsin jis ki khatir raton ko
tez hawa pani par naqsh banae bhi ghabraye bhi

kon Is Raaz Ki Sadiyon Puranii Kaifiyet Sey Aashna hai


kOn Is Raaz Kii SadiyOn Puranii Kaifiyet Sey AaShna hAi
Yeh Meray CharOn Traf kyOun Eik SakOot e Be-Sada hAi
Main Kisey KhOn?
Meri Ujrii hOii AankhOn Key Khaalii RoznO Key Us Paar Kya hAi
Khala hAi Yeh Sitarey Phainktii Andhi Hawa hAi
Kis Pey KhUl Saka hAi
K Jisam Key Khaali KhandrOn Mein Kon Ab Tak Bas Rha hAi
tUm mUjhey Dekho
Main KhUd Sey Darta hOn Shab Ko
Jab Andhaira bOlta hAi
Dil Ka Sanata Puraanii DaaStaanOn Sey Attey BhaidOn Kii Girhien KhOlta hAi
LahOo Kii Aag Sey Lat-Pat KawaarOn Sey Ulajhtii hAin Meri Cheekhien
kOii Sunta Nahii hAi mUjh Ko
Bikhartey tOot-tey KhwaabOn Mein jAb TaQseem hOta hOn
kOii Chunta Nahi hAi mUjh Ko
tO Aisa hAi
tUm Apni Mehaktii Neend Sey Khailo
Na Dukh Jhailo
Merii tAnhAii Key Israar Mat POocho
Khien Aisa Na Ho K
tUm Bhi Apney Ko Ganwa Baitho
mUjhey SadiyOun Puraanii Andhii Hawa Key Saath Pur-Asraar Rehney dO
mUjhey ..... Rehney dO

US KO BHI BACHANA HAI, KHUD KO BHI BACHANA HAI


US KO BHI BACHANA HAI, KHUD KO BHI BACHANA HAI
IK SIMT HAI ZAAT APNI, IK SIMT ZAMANA HAI

HUM SE NA KOI ULJHAY HUM LOG HAIN DEEWANEY
AANDHI SE HAMAIN ZID HAI IK DEEP JALANA HAI

HUM DONON KO BANTA HAI DARYA KAY KINARON NEY
IS SIMT BHI REHNA HAI, US SIMT BHI JANA HAI

YEH ISHQ TOH FITRAT HAI KAISEY HO JUDA MUJH SEY
YEH ROG HAI MATTI KA AUR SADDION PURANA HAI

KEHNAY KO BUHAT KUCH HAY SAAD MAGAR HAM NE
IK WADA NIBHANA HAI IK DARD CHUPANA HAI

zindagi ke naey hawalooN se



zindagi ke naey hawalooN se
hum ne seekha na kuch misalooN se

khaak kyoN chaaNte haiN balooN se !
poochte kya ho khasta haalooN se

khatm kab hoga zindagi ka safar!
khoon risne laga hai chaalooN se

cheen kar ley gaya mujhe khud se
kis qadar dil.nasheen chaalooN se

kaheiN mit.tee hai dil ki tareeki!
maaNge taaNge ke in ujaalooN se

kab nikal paaya khud se koi kabhi
khud.sari ke bichaaey jaalooN se

ghaaou gehray diye haiN nazrooN ne
aise chubhtay howay sawalooN se

jis ko apna kaheiN hum bhi
din voh nikla nahi hai saalooN se

Suno Jaana! Judai Mout Hoti Hay


Suno Jaana!
Judai Mout Hoti Hay
kabhi fursat milay tto daikhna
paton ka girna tum
kay jab yeh shajar say kat ker
zameen per aan girtay hain
tto kesay ronday jatay hain
kabhi qatar say bichri huvi
kunjon kay nohon per nigah kerna
kay kesay aik doojay ki judai per
tarap kar bain kerti hain
kabhi rukhsat kay lamhon main
kisi ki aankh say larakhtay huvay
aansoo ko daikho gay
tto shayed jaan jao gay
Judai Mout Hoti Hay
abhi tum nay muhabbat kay
barastay' bheegtay mosam nahin daikhay
abhi tum titliyon kay rang muthi main chupatay ho
abhi tum muskuratay ho
Suno Jaana!
kabhi jo zindagi nay
ajnabi' viraan raahon per
tumhari yeh hansi cheeni
tto phir aansoo bahao gay
tum itna jaan jao gay
Judai Mout Hoti Hay

Na fiker-e-ferda na yaad-e-mazi


Na fiker-e-ferda na yaad-e-mazi
Na Chain dil Ko na be-qarari
Na wasal Ki lerzishain nazer main
Na be-basi hijer K samay Ki
Na had se Guzera hua Junoon woh
Na be-Kali woh pahlie jaise
Bass aaK uddasi Se dheemi dheemi
Bass aaK Khamoshi Se be-keran Se
Bass aaK be-naam Se jalan hay
Bass aaK be-derd se thakan hay
Jo zindgi K udhoray pan Ko
Hadon Se agay berha rahe hay

Duniya waloo tumari duniya main



Duniya waloo tumari duniya main
Yun guzari hay zindagi hum ne

Har qadam par freeb khaya hay
Lute dekhi hay har khushi hum ne

Phool koi na aarzo ka khela
Jab khushi ka kaheen pata na mila

Apni tanhaiyon se gahbra kar
Gham se kar li hay dosti hum ne

Jooth ko sach main dhaal lete hain
Loog matlab nikaal lete hain

Aisa lagta hay jasey duniya main
Jena sekha naheen abhi hum ne!!!

Chalo Tum Sath Mat Dena Mujhe Beshak Bhula Dena


Chalo Tum Sath Mat Dena

Mujhe Beshak Bhula Dena

Naye Sapney Saja Lena

Naye Rishtey Bana Lena

Nayiii Dunya Basa Lena

Bhula Dena Sabhi Wadey

Sabhii Kasmein ... Sabhii Naatay

Tumhe Jaana Ijazat hai

Jo Dil Chahey Wo Sab Karna

Magar Ab Tum Kisi Se Bhi

Adhuuri Mohabbat Mat Karna !!

Usi Ko Apne Dil Mein Basaya Aur Basaya Kuch Bhi Nahi



Usi Ko Apne Dil Mein Basaya Aur Basaya Kuch Bhi Nahi,
Jidhar Dekha Udar Woh Nazar Aya Aur Nazar Aya Kuch Bhi Nahi,

Duniyaan Walon Ne Bewaja Badnaam Kardiya Mujhe,
Maine Bas Uska Dil Churaya Aur Churaya Kuch Bhi Nahi,

Bas Aik Usi Ko Nahi Khona Chahtay Thay Hum Laikin,
Humne Bas Usi Ko Ganwaya Aur Ganwaya Kuch Bhi Nahi,

Woh Jisko Yaad Kiye Baghair Sotay Nahi Thay Hum,
Usne Bas Humein Hi Bhulaya Aur Bhulaya Kuch Bhi Nahi

Hum Hain Aam Se Log Humara Aam Sa Lehja



Hum Hain Aam Se Log,
Humara Aam Sa Lehja,
Humara Aam Sa Chehra,
Aam Si Baatein,

Aam Se Chahatein,
Aam Se Din,
Aam Se Raatein,
Hum Mein Toh Kuch BHi
Khaas Nahi,

Phir,
Tum Kaise Humein Yaad Rakh Pao Gay,
Shayad Is Tarah,


K Woh Shakhs Kitna Aam Sa Tha........!!!!!

Kuch bacha hi naheen k kisi yaad k


Nishani kuch bacha hi naheen
Kuch bacha hi naheen k kisi yaad ki
koy uljhi huy gahira kholty!
Woh sara dhundhty!
Aik bheidoon bhara aur
Zamanoon pe phela huwa
Woh sara dhundhty!
Jo kaheen khawab aur us ki
Thabir k darmiyan kho gaya!
Ho chuki hain bohot hijar ki barshen
Din bohot ja chuke!
khawab mere jahan dafan mati main hain
Ab wahan har taraf ghaas hi ghaas hay
Aur is ghaas main sarsarata huwa
Saanp sa aik dar hay,
kaheen yeh na ho!
Dhundty dhundty woh sara mil bhi jaye!
Woh gahira khul bhi jaye!
To lamhon ki uljhi huy dour k us taraf
Kuch na ho......!!!

Chalo ab hum bichhartey hain




Chalo ab hum bichhartey hain

Sulagti dhoop mein ghum ki
Bhari aankhon ke saawan mein
Kaho tum alvida mujh ko
Khudha hafiz kahoon main bhi

Chalo ab hum bichhartey hain…

Safar yeh mukhtasar hoga
Yeh hum ko bhi khabar to thhi
Yeh tum bhi jaanti thhi ke
Koi din ka safar hai yeh
Kisi ek moor par ek din
Bichhar jaayen ge hum yun hi
Tumhari raah ki zid par
Mere raste khulenge

Yehi wo moor hai jis pe
Bichharna hai hamein hans ke
Alag raste pe chalna hai
Alag manzil ki jaanib ab

Chalo ab hum bichhartey hain…

Magar jaane se pahle
Aakhri darkhaast hai tum se
Safar lamba hai mujh ko dedo
Apni yaad ki poonji
Khanakte bool ke sikkey…
Ke kal jab khaamushi dar pe
Kabhi aa ke sadda dede
To dhar doon uske kaanse mein
Khanakte bol ke sikkey
Tumharey bol ke sikkey

Koi bhi atpata jumla Ke jis me ho
Quran-e-zeest ke aayat ka jaadu
Tum apni pyaari ungli se
Hamari peeth par likh do
Ke kal jab lafz dab Jaayen
Kitaabon ki imaarat mein
Yehi jumla parhunga main
Tumhara atpata jumla!!

Jaga do lams ke jugnu
Mere saare badan par tum
wo jugnu jo karein roshan
Tumhari yaad ko har dum
Ke kal jab bhi andhere se guzar hoga
Yehi jugnu to chamken ge
Tumhaare lams ke jugnu!

Bithaa do pyaar ki titli
Alag qismon ki rangon ki
Meri har shaakh pe chun ke
Ke kal jab zindagi berang hogi to
Yehi titli main dekhun ga
Tumhare pyaar ki titli!

Baha do aankh ka dariya
Mere kaandhe pe sir rakh ke
wo dariya jiss mein hon apne
Bitaaye sab ke sab saawan
Ke kal jab tashnagi meri
yeh jism-o-jaan jalayegi
Yehi dariya piyun ga main
Tumhari aankh ka dariya!!

Tum apne khushnuma naakhun
Chubho do mere seene par
Jhapat kar is qadar gahre
Ke rahti zindagi tak ek bhali si tees rah jaaye


Chalo ab hum bichhartey hain
Magar jaane se pahle
Aakhri darkhaast hai tumse
Safar lamba hai mujhko dedo
Apni yaad ki poonji
Khanakte bol ke sikkey
Koi bhi atpata jumla
Tum apne lams ke jugnu
Aur apne pyaar ki titli
Aur apni aankh ka dariya
Vohi ek tees laafaani!!!!
__________________

Khawab Toot Jatay Hain



KHAWAB TOOT JATAY HAIN

Khawab Toot Jatay Hain
Bheer Main Zamanay Ki Hath Choot Jatay Hain
Dostdar Lehjay Main Silwatain Si Parti Hain
Ek Zara Si Ranjish Say
Shak Ki Zard Tehni Pay Phool Badgumani K
Is Tarhan Say Khiltay Hain
Zindagi Say Pyaaray Bhi
Ajnabi Say Lagtay hain
Ghair Ban K Miltay Hain
Umar Bhar Ki Chahat Ko Asra Nahin Milta
Khamoshi K Waqfon Main
Baat Toot Jati Hai
Aur Sira Nahin Milta
Ma'zirat K Lafzon Ki Roshni Nahin Milti
Lazzat Pazeerai Ki Phir Kabhi Nahin Milti
Phool Rang Wadoon Ki Manzilain Sukartin Hain
Rah Murnay Lagti Hai
Berukhi K Gherai Say Bedili Ki Mitti Say
Faslon Ki Eenton Say Eent Jurnay Lagti Hai
Wehmon K Sai Say
Umar Bhar Ki Mehnat Ko Pal Main Loot Jatay Hain
Ek Zara Si Ranjish Say Sath Choot Jatay Hain
Bheer Main Zamanay Ki Hath Choot Jatay Hain

Khawab Toot Jatay Hain
Khawab Toot Jatay Hain

Popular Posts