jab hijar ki aag jalatay hain
kuch log bohat yaad aatay hain
ankhon mai raakh sajatay hain
kuch log bohat yaad aatay hain
mausam k rang badaltay hain
lahraa kar jhonkay aatay hain
shaakhon say boor uratay hain
kuch log bohat yaad aatay hain
yaadon ki garam havaon say
ankhon ki kaliyan jalty hain
jab aanso dard batatay hain
kuch log bohat yaad aatay hain
baydard havain sah sah kar
suraj k dhaltay saaon main
jab panchi laut k aatay hain
kuch log bohat yaad aatay hain
jab log jahan k qison main
dam bhar ka mauqa miltay hain
lafzon k teer chalatay hain
kuch log bohat yaad aatay hain
yah ishq mohabat kuch b nahi
fursat ki kaar satani hay
jab log mujhay samjhatay hain
kuch log bohat yaad aatay hain
jab kaalay badal ghir aay
aur barish zor ki hoty ho
darwazay shor machatay hain
kuch log bohat yaad aatay hain
jab aangan mai khamoshi
apnay hont pay ungli rakhty ho
sanaatay jab dar aatay hain
kuch log bohat yaad aatay hain
jab sard hava ka bistar ho
aur yaad say us ki liptay hon
tab naghma sa lahraatay hain
kuch log bohat yaad aatay hai
No comments:
Post a Comment