Wednesday, August 11, 2010

Chalo ab hum bichhartey hain




Chalo ab hum bichhartey hain

Sulagti dhoop mein ghum ki
Bhari aankhon ke saawan mein
Kaho tum alvida mujh ko
Khudha hafiz kahoon main bhi

Chalo ab hum bichhartey hain…

Safar yeh mukhtasar hoga
Yeh hum ko bhi khabar to thhi
Yeh tum bhi jaanti thhi ke
Koi din ka safar hai yeh
Kisi ek moor par ek din
Bichhar jaayen ge hum yun hi
Tumhari raah ki zid par
Mere raste khulenge

Yehi wo moor hai jis pe
Bichharna hai hamein hans ke
Alag raste pe chalna hai
Alag manzil ki jaanib ab

Chalo ab hum bichhartey hain…

Magar jaane se pahle
Aakhri darkhaast hai tum se
Safar lamba hai mujh ko dedo
Apni yaad ki poonji
Khanakte bool ke sikkey…
Ke kal jab khaamushi dar pe
Kabhi aa ke sadda dede
To dhar doon uske kaanse mein
Khanakte bol ke sikkey
Tumharey bol ke sikkey

Koi bhi atpata jumla Ke jis me ho
Quran-e-zeest ke aayat ka jaadu
Tum apni pyaari ungli se
Hamari peeth par likh do
Ke kal jab lafz dab Jaayen
Kitaabon ki imaarat mein
Yehi jumla parhunga main
Tumhara atpata jumla!!

Jaga do lams ke jugnu
Mere saare badan par tum
wo jugnu jo karein roshan
Tumhari yaad ko har dum
Ke kal jab bhi andhere se guzar hoga
Yehi jugnu to chamken ge
Tumhaare lams ke jugnu!

Bithaa do pyaar ki titli
Alag qismon ki rangon ki
Meri har shaakh pe chun ke
Ke kal jab zindagi berang hogi to
Yehi titli main dekhun ga
Tumhare pyaar ki titli!

Baha do aankh ka dariya
Mere kaandhe pe sir rakh ke
wo dariya jiss mein hon apne
Bitaaye sab ke sab saawan
Ke kal jab tashnagi meri
yeh jism-o-jaan jalayegi
Yehi dariya piyun ga main
Tumhari aankh ka dariya!!

Tum apne khushnuma naakhun
Chubho do mere seene par
Jhapat kar is qadar gahre
Ke rahti zindagi tak ek bhali si tees rah jaaye


Chalo ab hum bichhartey hain
Magar jaane se pahle
Aakhri darkhaast hai tumse
Safar lamba hai mujhko dedo
Apni yaad ki poonji
Khanakte bol ke sikkey
Koi bhi atpata jumla
Tum apne lams ke jugnu
Aur apne pyaar ki titli
Aur apni aankh ka dariya
Vohi ek tees laafaani!!!!
__________________

No comments:

Popular Posts