Wednesday, November 2, 2011

suna hai teray shaher may nazool-e-wafa ka mousam


suna hai teray shaher may nazool-e-wafa ka mousam
muhabat ka sawan aur rang-o-noor ka aalam hota hai

suna hai wahan diloon ka milan hota hai
rohoon ka visal aur hijar ka inkar hota hai

wahan zulf bikhray tu raat ka aalam
jo simtay tu savera hota hai

suna hai ashk jab koi bahaiy tu
wahan sawan ka mousam hota hai

taara jab bhi tootay kaheen asmaan may
nazuk hatoon may kushkool-e-dua hota hai

suna hai wahan kalaam karti hain muabtain
nafratoon ka qatal-e-aam hota hai

suna hai wo bhi makeen hai teri basti ka
jo sadiyun se rooh-e-jaan hamari hota hai

usko salam-e-muhabat kehna
jiski ankh may ashk meray naam ka hota hai

wo bhi sahiyad mehsoos karta ho
dard jo firaaq may yahan hota hai

uski muskaan ka bhi aalm kuch biyaan ho
kia ab bhi usay dekh kar chandni ka guman hota hai

suna hai ab bhi wo nazar jhuka kar milta hai
kaheen ankh may uski piyar ka rang hota hai

chalo us basti ki janib chaltey hain
jahan rang-e-qos-qazah, aur raqs ishq may hota hai

Sub kitabain jhotti niklien dastan-e-wafa ki

Sub kitabain jhotti niklien dastan-e-wafa ki
Sub ghazlain be-maani niklien unwaan-e-wafa ki

Kaisa iztirab machal raha hai kisi kahna-e-dil mein
Ye kis ka piyam layi hain hawain ehad-e-wafa ki

Kahan se milta hai sira barson ki uljhanon ka
Shayed key kuch karishma kar jayen zulfain ba-wafa ki

Chalo zameen ki wusaaton may talash kartey hain
Koi tu basti hogi jahan mil jayen soortain ahl-e-wafa ki

Hum tu roz dil key dasht may ghulab chunna kartey hain
Hum ne dekh rakhain hain sub kiramatain dard-e-wafa ki

Shab-e-zulmat ka andehra barh raha hai

Shab-e-zulmat ka andehra
barh raha hai
Talash-e-masieha ka
shour uth raha hai
Khalqat-e-khudawand may
toofan-e-karb-o-balla hai
aye Rab-e-Muhammad* ye kaisa
shour-e-mehasher teray koocha may
macha hai

khair-ul-ummat jisey Quran ne
pukara hai
wo aaj kiyun dunya may
be-sahara hai
aye Rab-e-kainat
kashti-e-islam ko aap bacha
ke iske nakhuda bhi doob gaye hain
aur
patwaar bhi toot gaye hain

sun le hum gunahgar ummat ki
fariyad aye moula
ke tujh ko phir zakhmi rooh se pukara hai

Kal raat yunhi Nikal gaya tha

Kal raat yunhi
Nikal gaya tha
Raaston ki bhol bhuliyan may
Ulajh gaya tha bisat-e-waqt ki
uljhanon may
ukta gaya tha mer mann
mehfilon may
isi liye nadaan mujhe le aya
veeraniyun may
had-e-nigah tak they fasle hi fasle
dor talak phelay they dhund lakey

ye fasle ye dhund lakey
sub chunida rahain
hain meri apni
mai kaise na chunta
ye zehmatain
ke adohri reh gayen hain
meri chahatain

Chahaton ke alm hum ne dekhe hain

Chahaton ke alm hum ne dekhe hain
Qismaton ke sitm hum ne dekhe hain

Mafhom-e-dastan badl jatey hain
Lafzon ke jurm hum ne dekhe hain

Aashiyan jala kar muskaratey hain
Doston ke karam hum ne dekhe hain

Aye ujalo kiyun itna hanste ho
Andehron ke ghum hum ne dekhe hain

Chala tu uss nagar mai jaon
Raston ke khum hum ne dekhe hain



_________________

Saza kia detay

Saza kia detay

Kuch be-naam jazbon ko
Rait se dehtay rishton ko
Anjan manzil ke raston ko
Jo na mil sakien vasl raaton ko
Tum hi batao jaanan
Inko
Saza kia detay

Kuch un-kehi batain
Kuch raakh hoti wazahatain
Kuch dard sehti chahatain
Kuch aabla pa musafatian
Tum hi batao jaanan
In hasil-e-hiyat ko
Saza kia detay

Ye sub kiyunkr sehan hota
Dil-e-parishan may kiyunkr chein hota
Bhaut sooch kar qalam uthaya tha
Zakhmon ko kaghaz pe sajaya tha
Soocha
Shayed koi satar marham hojaye
Shidat-e-dard kisi tor kam hojaye

Phir
Kuch bhi tu hasil houa nahi jaanan
Phir soochtey hain ke
Khud ko saza kia detay
Kaise khud ko mitta detay

Koi tu batlaye ke
Hum tujh ko
Saza ki detay
Saza kia detay
_________________

Kabhi aisa ho Kay Hawaon kay hath tum Sandesa bhejo

Kabhi aisa ho
Kay
Hawaon kay hath tum
Sandesa bhejo
Usmay likh kar hal-e-dil ka
Har qissa bhejo


Kia guzarti hai shab-e-tarsaan may
Kaise khulti hai aankh subah-e-veeran may
Kaise kat-te hain pal sham-e-heraan may
Ye sub
Khoon-e-dil ki siyahi se
Bana kar palkon ko qalam
Kooray kaghaz per likh bhejo

Aur
Mai jaanan
Bana kar aankh dil ko apney
Parhon ye anmol sandesa
Mehsos ho mujhey

Teri saanson ki mehak
Teri chahaton ki jhalak
Teri qurbaton ki kasak

Kabhi aisa ho
Tu jaanan
Khata-e-ashk-e-nadaan
Darguzr kar dena
Kay
Iss prem sandesay kay
Kisi koney per
Chand hurf mit-tey tum dekhogi
Kay do qatray chalak jayen ge
Mujhey ruswa kar jayen ge
Kabhi aisa ho
Kabhi aisa ho……..

Kal raat chair gayi zikar jo wafaon ka



Kal raat chair gayi zikar jo wafaon ka
wo yaad aaya jo paiker tha jafaon ka

usay zoum tha mujhe mitane ka
kuch shouq-e-safar tha humain sehraon ka

hum ne jalna pasand kiyea dhoop me
wo shedaie tha ghane chahaoon ka

Hum griftar rahe uske sehar me
wo punchi raha azad fizaon ka

Usay aitabar tha zamane bhar pe
mai raha mujrim uski nigahon ka

Aik bar pocha tu hota sabab khataon ka
main tu muntizar hi raha uski sadaon ka

Bus ajnabi kar gayea aik pal mein
jo maan tha meri annaon ka

yaad ata hai dard ka aik aik lamha

yaad ata hai dard ka aik aik lamha
koi muskraie tu ashk ankh se utar ata hai

waqt-e-judaie uski ankh bhi pur num thi
saat pardon may jazbaat chupana usay ata hai

khud pather ki moorat banna betha raha sadaa
moom ki mannind mujhe pighlana usay ata hai

phelay taamer may raha wo meri lamha lamha
phir muskara kar mitana bhi usay ata hai

nighaoon se kaie baar sawal karta per
khud se jawab sooch leena khoob usay ata hai

palkoon pe betha kar pojte rehna
nazroon se giraana bhi usay ata hai

mai samjha jeet gayea piyar uska
maat dena khoob usay ata hai

 baat karna tu sanbhal kar karna
dil tornay ka har tareeq usay ata hai

raat teri yaad ki ridaa oorh kar soo rahey thay



raat teri yaad ki ridaa oorh kar soo rahey thay
goyea kay sukoon-e-dil koh kar soo rahey thay

gaye dinoon kay azaab hotey lamhay
ajab andaz se dil ke taar choo rahey thay

behtay aansu meray tuloo-e-sehar talak
nakardah jurm-e-wafa ke daagh dhoo rahey thay

waqt-e-judaie bheegi palkoon taley wo muskayea tha
uss husn-e-adda pe sung meray taare bhi roo rahey thay

jaan-e-jaanan tujhe kia khabar baad teray
slug slug kar misl-e-koyela rakh hoo rahey thay

aaj ju insan aafaton may giraftar hai us pe chand satoor kehi hain

aaj ju insan aafaton may giraftar hai us pe chand satoor kehi hain,


Barsat baras rehi hai
Matti key gharondon per
Bhipre houay hain darya
Matti kay puttlon per
Aafat-dar-aafat ka ho raha hai zahoor
Chaharsu
Mitt rehi hai khalqat-e-khuda
Chaharsu

Aastana-e-ilaahi pe kiyun jhukta nahi
Sar tumhara
Kis bat ka hai fakhar tumko
Kis bot ki hai aas tumko
Koun hai mushkil kusha tumhara
Koun hai haajit rawa tumhara

Aye ghafil insaan
Jag utho kay waqt
Hai bhari
Dua se tu tul gaye thi
paishangoi Yunas nabi ki
maayus mat hona
ummat ho Aakhir-uz-Zamaan ki
raaton ko karo girya-o-zaari
tul jaye gi ye aafat bhi qahari
hogi subah-e-roshan har su sari

Howa to kuch bhi nahi

Howa tu kuch bhi nahi

Bus kaheen door kisi
Benam sanatey may
Shesha-e-dil tootney ki sadaa ayi hai
Uss sadaa may kaheen nihaan hain
Kuch zakhm harey
Zakhm wo jo miley

Sahra-e-muhabbt ki musafaton may
Kuch vasl lamhon ki chahatoon may
Fasana-e-dil ki kitabaton may
Per ab
Be-naam si kasak jag uthi hai
Aik nai fikr jag uthi hai
Koun chunnay ga
Kirchiyan bhikhri hoi si
Koun karega rangeen haath
Apney
Lahoo se
Bus itni hi si tu baat hai jaanan
Aur tu
Howa kuch bhi nahi

Bus yaad banker
Kuch khaar lamhey
Aankhon may chubh gaye hain
Aur
Zara si palkain hi tu num hoi hain
Aur tu
Howa kuch bhi nahi

Muhabtoon ka ab naam na lo dar lagta hai

Muhabtoon ka ab naam na lo dar lagta hai
aalam-e-ishq ki shokhiyun se dar lagta hai

Uski zulf-e-meharban se juda jo houay
din ke roshan ujaloon se dar lagta hai

Firaaq-e-sanam may ashkoon se ishq kar bethay
muskurate neenon se ab hamain dar lagta hai

ankh se ankh mila kar kalaam kiyea karo
jukhi jukhi si palkon se jaanan dar lagta hai

ghum apne tamam soonp do mujhe
apni khushiyun se tu hamain dar lagta hai

kia khouf tumhey meri veraniyun ka
mujhe tu basti se teri dar lagta hai

Wo aatish-e-hijr ka shikwa karte hain
humain tu khiyal-e-vasl se dar lagta hai

Wo do hath Bhaut yaad atey hain

Wo do hath
Bhaut yaad atey hain
Sanbhala tha jinhon ne
Mera bachpan
Sakht dhoop jab bhi padi
Saya bankr chah gaye meray sar pe
Mai royea jab bhi
Ashk meray le liye hatheli pe apne
Mujh ko
Wo do hath bhaut yaad atey hain
Jab yaad atey hain
Ashk aankh se nikal kr
Chasm-e-tasawar may
Ja girtey hain unn
Do hathon pe
Na janey kiyun
Wo do hath bhaut yaad atey hain
Bhaut yaad atey hain

Usay kehna! abhi din nikalta hai

Usay kehna!
abhi din nikalta hai
surmaie sham dhalti hai
rat ki tareeki may
taare bhi chamakte hain,

Usay kehna!
sub gardish-e-mah-o-saal wohi hain
bus aik tum nahi ho
jab chalti hai thandi purwa
jab chatakhti hain kaliyaan chaman may
jab yadoon ke gehray sagar may
koi pata girta hai kisi shakh se
tum yad ati ho bhaut

Usay keha!
rim jhim barasti boondain
bhaut shoor machati hain
asmaan pe phelay rang-e-qos-e-qazah
teri ankh ke sub rang chura kar
mujhe bhaut rulate hain

Usay kena!
ay jaane wafa
sub manzar wohi hain
bus
aik tum nahi ho
bus aik tum nahi ho

Ladki Wo aik masoom si Bholi bhali si

Ladki
Wo aik masoom si
Bholi bhali si
Komal komal haton se
Sahil ki rait pe
Sapnon ke gharondey bana rehi hai
Unko phr saja kar muskara rehi hai
Bekhabr hai pagli
Nahi janti
Mouj-e-sagar aik pal may
Sub sapney uske
Baha le jaye gi
Aur
phir dair talak
Ye pagli
Ashk bahaye gi
Aur thak kr
Ghar lout jaye gi
Kia yehi kahani uski zindagi
Ka hissa ban jaye gi……

Kia likhon chahat ke dard

Kia likhon chahat key dard
Lafz-e-dard tu apne maani
Koh chukka hai
Kisi ki jafaon ka
Hum rang ho chukka hai
Mujh may zinda rehta tha
Mera ho kar
Ab teri tara be-wafa ho chukka hai
Tum hi batao
Kia likhon chahat key dard
Muskaraon tu dil pe chott
Padti hai
Teray sang betay lamhon ko
Soochon tu
Aankh roo padti hai
Ab tu ye alam hai
Jaanan
Likhon tera naam
Tu
Kaghaz pe siyahi
Roo padti hai
Koi bataye mujhey
Key
Kia likhon chahat key dard

Lafz gum ho jate hain youn aksar jannan

Lafz gum ho jate hain youn aksar jannan
jaise sagar me chah jaye sakoot achanak
jaise mouj-e-rawan tham jaye yakdum
jaise koi chup ho jaye kuch kehte kehte

Lafz tu lafz hain jane baharan
teray hon ya meray
chalo aj in munjamid jazbon ko kkuch lafz ata karain
lafz aise jo pighla dain undekhi zanjeron ko
aur
giran dain har dewar
chalo ab k jannan kuch aisa karain
ke
ye lafz gum hi na houa karain
chalo apne ehad-o-pemaan ko
ye lafz ata karain

Chehray hamarey udass rehtay hain

Chehray hamarey udass rehtay hain
Khawab hamarey udass rehtay hain

Libas-e-lafz atta kiye thay jinko
Ashaar hamarey udass rehtay hain

Jahaan-e-nou ki justujo kia karain
Insiraam sarey udass rehtay hain

Pal bhr jo hans letay hain ahl-e-dard
Barson sarey udass rehtay hain

Shajar be-libas kar diye tum ne
Saye becharey udass rehtay hain

Ghar ki chhat pe leta Yunhi aasman ko takta rehta hon

Ghar ki chhat pe leta
Yunhi aasman ko takta rehta hon
Taaron se tera naam
Likhta rehta hon
Kaisa pagal hon mai
Hawaon se tera pata pochta rehta hon
Yaadon key kaie jhonkey
Chalay atey hain
Bazm-e-khalwat may
Saja kr unko taaq-e-dil may
Tujhey soochta rehta hon
Ghar ki chat pe leta
Mai aksr
Teray aangan ki
Surmai sham
May dhalta rehta hon

_________________

Bad-e-saba ka jhonka Phir se chala aya hai

Bad-e-saba ka jhonka
Phir se chala aya hai
Meray ghar key dareechon se
Saath may laya hai
Uss hina ki mehak
Jisey sajna tha teri hatheli pe
Likhna tha mera naam
Haathon ki lakeeron may
Pehan kr aroosi joda
Bankr mera humsafar
Chalna tha dor talak
Per
Toot gaya ye sapna
Koh gaya koi apna
Hina ki wo thaali
Aaj bhi saji rakhi hai
Ghar key kisi udas kone may
Mashghol rehti hai wo bus roney may
Aur mai
Soochta rehta hon
Kiyun
Bad-e-saba ka jhonka
Phir se chala aya hai
Phir se chala aya hai

ujri hoi bastiyun ka ghum kia karna

ujri hoi bastiyun ka ghum kia karna
khoon hoti dastanoon ka ghum kia karna

kabhi khilte thay gulistaan may laala-o-gul
ab khaak udaati hawaon ka ghum kia karna

tum tu khafa ho gaye anjaani si khata pe
ab guzray houay lamhon ka ghum kia karna

tumhari muskarahat ka tilasm aaj bhi hai qaim
apni pur num palkoon ka ghum kia karna

tofaan may ghir kar dor se pukara unko
nameharbaan thi hawa unsuni sadaoon ka ghum kia karna

tum thay chahaon ki manind kadi dhoop may
baad firaq ab jaltay paoon ka ghum kia karna

dartay thay kahan jayen ge us ke qadmon se uth kar
ab shikayat kaisi ab sehraon ka ghum kia karna

Ajnabi kehta hai ashna jo tha bhaut

Ajnabi kehta hai ashna jo tha bhaut
meri har baat ka razdaan tha bhaut

Yunhi aik roz roo padey dekh kar chehra uska
muskrahaton pe apni guroor jisey tha bhaut

Mai usay sunwar tu deta kisi suljhan ki tarah
meray hath pe magar muhabat ka lahoo tha bhaut

Mehaktey houay ghulaab sa hai wo
per khushboon se gurezaan mai tha bhout

Usay shikwa hai meri jafaoon ka
magan mai muhabaton may tha bhaut

Nazar churaie thi jis pal tum ne jaanan
mai moutabr teri nigahoon may tha bhaut

Chaolo soo jain oorh kar mati ki chadar
ke teri duniyea may bewoqaut mai tha bhaut

UTH TOO JATEY TERI MEHFIL-E-SHAB SE JAANAN

UTH TOO JATEY TERI MEHFIL-E-SHAB SE JAANAN
TERI ANKHOON MAY JALTAY DEEP MUJHE ROKTEY RAHEY

TERI MASOOM ADAOON KA SEHAR KUCH ISTARAH TARI RAHA
HATHOON MAY LE KAR BHI TERA HATH KHATAIN ROKTEY RAHEY

PAEECH-O-KHUM TERI ZULFOON KE BECHAIN KIYE RAHEY
CHAH KAR BHI SULJHANYEN KI KAWISHAYEN ROKTEY RAHEY

BHAUT ARMAAN HAI TERI BASTI SE GUZRAIN KABHI
KUCH ADAB KUCH LEHAZ MAGAR RAHAIN ROKTEY RAHEY

TERAY ANCHAL MAY CHUPI HAIN KAYI BAHARAIN
HUM TU JEEVAN KI TERI KHAZAIN ROKTEY RAHEY

YAQEEN AJAYE MERI JAFAOON PE TUJHEY
ISI KHOSHISH MAY JAANAN APNI WAFAYEN ROKTEY RAHEY

JURM TU AISEY THAY KE SOOLI CHAR JATAY QAIS
KAANPTAY LUB KISI KE MAGAR SAZAIN ROKTEY RAHEY

kahan milta hai dil-e-nashaad ko qaraar bataye koi

kahan milta hai dil-e-nashaad ko qaraar bataye koi
kahan bharti hai jazbon me padi daraar bataye koi

namaz-e-ishq adda kartey rahay aanchal pe jinkey sadaa
kab hoga qaboliyat-e-sajda ka unhain iqraar btaye koi

chalo tasleem hain humain sub khatain sub sazain
koun hai khatakar koun sazawar kb tak rahe ye israar btaye koi

wo jo parhta tha teri hamd ki tasbeeh
houa dargah mandah kiyun tehra gunahgar btaye koi

aik roz bhaut sataye ga usay aihsaas-e-jurm Qais
zamaney bhar me jab na paye ga humsa talabgar btaye koi

Wo subah ka alamnaak savera

Wo subah ka alamnaak savera
Kaise mai bhool paoon ga jaanan
Jis subah ki raat guzri thi
Ashkon ki barsat may
Ashk meray aur teray
uss saahil ki rait pe
Aaj bhi sulagti hai zameen
Aaj bhi be-karaan hokar tarpti hai mouj-e-sagar
Teray hath ka lums aaj bhi zinda hai
Meri be-muraad hatheli pe jaanan
Wo subah ka alamnaak savera
Kaise mai bhool paoon ga jaanan

Bisat-e-waqt pe tehri thi zindagi ki baazi
Na tu shikast ka khuwahan
Na mai mutamani tha ruswai ka
Phr bhi taqdeer banai tu ney hamari
Uljhi hoi muhabbt ki
Phr chahaya andehra meray ujaalon may
Tu koh gaye anjaan be-nishaan veeranon may
Mai aur meri tanhai
Ab yehi pochte hain jaanan
Wo subah ka alamnaak savera
Kaise bhool paon ga jaanan
Kaise bhool paon ga jaanan

Silsila wafa ka waheen se jodain ge jaanan

Silsila wafa ka waheen se jodain ge jaanan
Jahan se moor tum mur gayen thein
Aaftab ki pehli kiran ko
Tanha tum choor gayen thein
Kalaam-e-ashk key
Be-karaan tasalsul ko tum tor gayen thein
Silsila wafa ka waheen se jodain ge jaanan

Tumhey yaad hai wo
Samandar ka kinara
Chand tanha aur sitara
Meray haathon may haath tumhara
Phir
Hatheli pe meri ashk gira kr jana tumhara
Chalo ab key December may jaanan
Jo zindagi ne ki wafa
Tu
Silsila wafa ka waheen se jodain ge jaanan



_________________

Kuch raatain sulagti si Kuch baatain bilakti si

Kuch raatain sulagti si
Kuch baatain bilakti si
Kuch moti bhikrey se
Kuch khat jaley se
Kuch khwab tootey se
Kuch azaab roothey se
Ye sub sanbhal rakhain hain
Teray jaaney k baad jaanan
Teri yaad key jazeeron se
Aati hain ajab sargoshiyan si
Kia tujhey yaad agayea koi fassana adhora sa
Ya
Yaad agaye wo soghatain jo
Sanbhal rakhien hain
Teray jaaney key baad jaanan
Teray jaaney key baad jaanan

Ye mery aangan may kaisi chaap hai

Ye mery aangan may kaisi chaap hai
Kia teray qadmon ki hai
Ya
Meray khiyal-e-peham ki
Aangan ki zameen kachi tu hai
Magar
Khiyal ho ya teray qadam
Dono hi sunai detay hain
Barson se ye azab sehtey hain
Barson se ye ashk behtey hain
Na janey
Kiyun phr tera khiyal
Qaba-e-wahm oorh kr
Chupkey se meray aangan may utar aata hai
Na janey kiyun
Na janey kiyun

Yun aadmi ko aazmati hai zindagi

Yun aadmi ko aazmati hai zindagi
Dekar do haath khali reh jati hai zindagi

Bar-haa azmaya hai haathon ki lakeeron ko
Har bar na janey kiyun maat de jati hai zindagi

Rasmoon kay touq galey may daley ghissat rahe hain
Nafs key in bojhoon se naveed-e-nijat dillati hai bandage

Din key ujaalon may musaaib-o-allam se ghabra kr
Qabai-e-shab key sajdon may behlaati hai bandigi

Wo nabz pe meray haath rakh kr ye booley
Kia yehi be-rabt saanson ki rawaani kehlati hai zindagi

Ye simat-te saye na janey kia piyam laye hain

Ye simat-te saye na janey kia piyam laye hain
Lagta hai band gali may dhalti shaam laye hain

Poocha tha kal mai ney shab key andheraypan se
Kiyun utar key meri rooh may sar-e-shaam aye hain

Safr tu kat sa gayea justujo-e-laa-haasil may
Ab baalon may dhoop saja kar koun se muqaam aye hain

Ujratoon pe wafaon ka soda tu kabhi na kiyea
Tu phir ye shab-e-hijr ki tawaalat kia likhwa kar taqdeer-e-mubaram laye hain

Humain ishq tha sadaa tarapne se sisakney se jaanan
Kuch sooch kar hi kehanch kr sazaon ko dar-o-baam laye hain

Raat usay dekha Talaash may tha kisi ki

Raat usay dekha
Talaash may tha kisi ki
Poocha kia koh gayea
Bola WAFA
Mai hansa aur kaha
Pagal wafa koh jaye
Tu
Be-wafai ban kr nafraton k dasht may
Misl-e-khak udti hai
Zakhmi wafa ab nahi milti
Uski taalash may zakhm milte hain
Sirf zakhm,
Dehaktey sisaktey taraptey
Zakham……..

Aarzo thi teri zulfon ko sanwara kartey

Aarzo thi teri zulfon ko sanwara kartey
Saamney bitha key tujhey ghulabon ko istiaara kartey

Barbadi-e-umr key asbab per kiyun kr gour-o-fikr kartey
Kiyun na teri gheri aankhon ko neharaa kartey

Yun tu kaie aye hain anjuman may teri
Hum tu faqt aik tujhey pehroon pukara kartey

Dil dukhatey hain tera kisi sabab key tehat
Pagal si tamana hai key teray ashkon ko sitara kartey

Qais itna tu yaqeen hai moujza-e-muhabbt pe humain
Teri rahoon may beech jatey jo phoolon ko ishara kartey

Jo do qadam behak jatey

Jo do qadam behak jatey
Jo hum bhi maikadey ho atey
Jo hum bhi pi kar do jam madhosh ho jatey
Tu
Kia hi acha hota
Ye hosh walon ki duniya kahan hai
Yahan tu ahl-e-aqal khuda ban bethey hain
Aqal-e-kul ka dawa kar key raaziq ban bethey hain
Taqat-e-sarab may gum hokar
Zindagi mout key maalik ban bethey hain
Is se acha hai behak jayen
Gum kar key hosh-o-hawaas apney
So jayen oorh kar rida taghafal ki
Key
Hum
Insan hain kamzor se
Kuch sust kuch naabkar se
Chalo behak jayen
Do jam pi ayen



_________________

Suno jaanan Sarghoshiyan kiya keh rehi hain



Suno jaanan
Sarghoshiyan kiya keh rehi hain
Dil-e-betaab ki
Tarsti hain tarapti hain sisakti hain
Machalti hain
Un lamhoon ko
Ju guzray thay
Teri sayea-e-zulf may
Teri madhosh si nazron may
Teri mehakti saansoon may
Lout aao
Kay sarghoshiyan thakney lagi hain
Dharkanain dam-e-akhir pe tehrien hain
Lout aao
Kay phr wo bahar aye
Jis may judaa houay thay
MAIN AUR TUM

Yun kabhi ashkon se hall-e-dil bataa dena

Yun kabhi ashkon se hall-e-dil bataa dena
Chilmilati dhoop may barasti ghataa dekha dena

Mujhey fursat nahi hansnay hansaney se jaanan
Zakhm meri rooh kay mujhey tum dekha dena

Khiyal-e-yaar may koh kr raastey bhool jata hon aksr
Mil jaye awara gard tu ghar ka pata bataa dena

Darya bhi akhir samandron ki nazr ho jatey hain
Mai mar jaon tu nishaan meray sub mita dena

Silsilaa wo rafaqaton ka kaisey badlaa
Kia hoi chahatain raaz-e-ulfat ye sunaa dena

Saqi agaye hain teri mehfil may larkrahtay qadmoon
Jo zara aye hoosh tu jam aur pilla dena

Silaa milta hai wafaoon ka WAFA parha tha kaheen
Mil jaye wo haamil-e-tehreer tu bataa dena

Yun bhi tum ne judaa hona hi tha

Yun bhi tum ne judaa hona hi tha
Yun bhi tum ne khafaa hona hi tha
Phr jaanan
Kiyun wo ehad-e-wafaa kiyea tha
Kiyun khawb firdoos ka dekhaye tha
Tum ne
Hum tu mit hi chukay they
Teri rah-e-wafaa may
Phr kiyun
Tasveer bana kr mita di tum ne
Sahil pe likh kr naam mera ruswaie di tum ne
Kiyun
kiyun

Kal sham wo shajr bhaut tanha sa tha

Kal sham wo shajr bhaut tanha sa tha
Uspe likha mera naam bhaut tanha sa tha

Kal chandni ko udaas zameen pe utartey dekha
Ashk gira kr wo boli chaand bhaut tanha sa tha

Aik shakhs jisey kamal tha tanhai mittane may
Aaj shehar-e-khamooshan may wo khud bhaut tanha sa tha

Mujhey rook kar rah may ghulaab thamaa dya jisney
Phoolon se gurezaan wo bhaut tanha sa tha

Wo maangtey thay anjumanain mujh se Qais
Kia deta main tu apni zaat may bhaut tanha sa tha

Jis qadar jurm baqi hain meray naam kardo

Jis qadr jurm baqi hain meray naam krdo
Har bewafa kahani ka intisaab meray naam krdo

Aik lamhey ki khata ney kardi rayegaan sub riyazatain
Ab sazaoon ka har baab meray naam kardo

Dhalti sham may chiragh jala diye teray intizar kay
Aahat-e-qadmoon kay sub saraab meray naam kardo

Suna hai meri yaad may neendain toot jati hain uski
Kehdo usay bilaktey wo sub khawab meray naam kardo

Teri aankhon kay muskratay ashk mujhey qabool nahi
Lelo meri hansi apney gohar-e-nayab meray naam kardo

Tum ko ahl-e-zameen pe bhorosa nahi kia

Tum ko ahl-e-zameen pe bhorosa nahi kia dastan-e-kehkashan sunain tumhe
Guzri hain jo dard-o-alm ki raatain yahan kia dastan-e-shabistan sunain tumhe

Waqt-e-namaz safon may behta hai ab tu lahoo
kat ke girtien hain gardanain munmbr-e-rasool pea b kia dastan-e-shehedan sunain tumhe

raakh ke dhair may mai dhondta hon apna aashiyan
barbadi-e-shehar ki kaisi chali hawa kia dastan-e-veeraniyan sunain tumhe

zulmaton ka ye kaisa dor chala chahai hai har soo verani yahan
aasman bhi heeran hai taarey bhi timtimatey nahi kia dastan-e-nohaan sunain tumhe

chunn kr har kanta bana saktey they tujh ko chamman
sharminda hain aye arz-e-pak tujh se teray sapoot kia dastan-e-shikastan sunain tumhe

Main raat key pardey per aik naqsh banata hoon

Main raat key pardey per aik naqsh banata hoon
Phir waqt-e-fajr aap ussey mitata hoon

Na janey kab loaut aye wo dil ka bhoola punchi
Aangan ki toti kamand pe hr sham aik diya jalata hoon

Meri talwarain zung aalood hain mai madad-e-gaib ka mutlashi hoon
Deekh meri sadgi-e-dil kaise kaise bot banata hoon

Aik bhorasa tha teri chahat per wo bhi chikna choor houa
Chunn kr inn tukroon ko aik naya lafz banata hoon

Qasmey wadey ehad-o-peymaan sub batain hain purani si
Kuch dair ko tehro kuch naya hurf dhoodh key laata hoon

Lagta hai phir se koi saaneha honey ko hai

Lagta hai phir se koi saaneha honey ko hai
Kisi gareeb ki beti raheeba honey ko hai

December ki bheegi raaton may aag bhi mushkil jalti hai
Kacchi chhat key makeenon may koi haadsa hone ko hai

Aaj phir shehar key dasterkhwan sajey sajaye rakhain hain
Pass hi gareeb si basti may bhook se koi saaneha honey ko hai

Suna hai daryeaon may tughyini ka aalm hai
Koi piyasa lub-e-darya mar jaya shayed ye saaneha honey ko hai

Talash-e-rizq may sargardaan hai mazdoor meray watan ka
Khali haath louta tu maasom hatheli pe ashkon ka koi saaneha honey ko hai

Sawan ki hawaon may zakhm jag uthtey hain

Sawan ki hawaon may zakhm jag uthtey hain
Shehar-e-dil ki fizaaon may alm jag uthtey hain

Surgazisht likhney ko jab bhi kagaz uthata hon
Khiyal ki zameenon may talatum jag uthtey hain

Baazecha-e-atfaal may nanhey nanhey phool mehakte dekhon tu
Dard key sehraaon may marhan rog bantey hain

Meri basti may kabhi mehfilain saja karti thein
Khoon-e-insan ki khusboun se ab sar-e-sham soog biliktey hain

Ghar se nikalna chaho tu ujaalon may hi nikalna
Meray arz-e-pak ki galiyun may har sham naag nikaltey hain

Suna tha zakhm harey hon Tu

Suna tha zakhm harey hon
Tu
dard detey hain
kanta ban kr chubhtey hain
har pal aik mout martey hain
per
jaanan
jo zakhm tu ney diye
wo tu
jaltey hain shama ki mannind
ehsas shabnam ka bunkr rehtey hain meray man may
jb mai tanha hota hoon tu kalaam kartey hain
jb mai rota hoon tu tera aks bun kar dil lubhatey hain
tu jaanan
ye teh hai
jo hum suntey they
wo sb hurf-e-ghalat tehra
sirf hurf-e-ghalat



_________________

Jabeen sajdey may rakhon tu roo padta hon

Jabeen sajdey may rakhon tu roo padta hon
Dastan kisi ke ujarney ki sunon tu roo padta hon

Ye kia ho gayea hai hazrt-e-insaan ko
Halt-e-zaar pe iski aik hurf bhi likhon tu roo padta hon

Yaad aatey hain aslaaf ki fatuhaat key zamaaney
Aulad-e-adam ko bebus-o-bekus aaj dekhon tu roo padta hon

Waada tha Khuda ka momin rahega ghalib sadaa kufr pe
Aaj kufr ko daakhil qalb-e-momin jo dekhon tu roo padta hon

Jis ummat ki bakhsish key liye sir na uthayea Muhammad ne
Uss muslim ko gharq-e-gunnah jo dekhon tu roo padta hon

Kabhi tu shehar-e-tilassm se yun guzro

Kabhi tu shehar-e-tilassm se yun guzro
Kari dhoop key sawan se tum guzro

Aye bd-e-saba kuch dair tehar jana
Jab kabhi meray aangan se tum guzro

Wo gali bhaut mautabr hai kaie hawalon se
Do ashk baha dena jab uss ujrey maskan se tum guzro

Hasrat-o-yaas se takti hain titliyan baghban ko
Naveed-e-bahaar bunkr khizaan raseeda chamman se tum guzro

Suna hai Qais ghazlain uski pani me bhi aag jaisi hoti hain
Sardiyun ki udas shamon may thodi aag le lena jo shehar-e-sukhan se tum guzro

sahil udaas tha k samundar udass tha

sahil udaas tha k samundar udass tha..
lagta tha jaise sara manzar udass tha..

loti falak se to bari dilgeer thi dua..
ek khuwb tootne per mqadarr udass tha..

phir chaand ko laga ker gale ro pardi ghata..
aisa laga tofaan bhi falak per udass tha..

meri tabahiyon per use bhi malal tha..
aaina khud ka torr ker pathar udass tha..

jo shakhas shaher bhar main hansi banta raha..
yah dil uski bazam main ja ker udass thaa

Hum ne apne mazi ki sab yaadain bech dali hein

Hum ne apne mazi ki sab yaadain bech dali hein
Nafratain khareed kar muhabtain bech dali hein

Na guzro ban sanwar kar hmare samne se tum
K hasrat se jo takti thein, wo ankhain bech dali hein

Hmain awaz dene se pehle bas itna soch lena tum
K maujon se jo larti thein, wo kashtiyan bech dali hein

Andhera dekh kar kyon hairan ho rahe ho tum
K raaton ko jo jalti thein, wo shamaein bech dali hein.

Aye chand Tu kiyun tanha safar karta hai

Aye chand
Tu kiyun tanha safar karta hai
Sung sitaroon key rehta hai
Phr bhi tu isqadr kiyun akela hai
Kiyun teri chandni bhi udass udass lagti hai
Jaise bheegi hon palkain kisi ki
Na jane kiyun ye akelapan
Hum ahl-e-wafa
Ki taqdeer tehraa hai
Na janey kiyun

Zikr-e-khuda may gr lazzat nahi ati

Zikr-e-khuda may gr lazzat nahi ati
Phr tu kisi rah se dil ki sakinat nahi ati

Sajdon may bhi jo gharq-e-duniya ho
Aise momin ko kabhi basharat nahi ati

Bandoon ko khuda ke jo takleef deta rahey
Aise sarkash ko kabhi hawa-e-jannat nahi ati

Islam naam hai hukm-e-Allah-o-nabi pe mitt janey ka
Wo momoin hi kahan jisey kaamil kabhi attaat nahi ati

Bebus teray bande zulm ki chaki may pis rahey hain aye Rab-e-Muhammad
Qalb-e-momin parishan hokar mehav-e-iltijaa hai key kiyun teri nusrat nahi ati

Popular Posts