Wednesday, November 2, 2011

Jo do qadam behak jatey

Jo do qadam behak jatey
Jo hum bhi maikadey ho atey
Jo hum bhi pi kar do jam madhosh ho jatey
Tu
Kia hi acha hota
Ye hosh walon ki duniya kahan hai
Yahan tu ahl-e-aqal khuda ban bethey hain
Aqal-e-kul ka dawa kar key raaziq ban bethey hain
Taqat-e-sarab may gum hokar
Zindagi mout key maalik ban bethey hain
Is se acha hai behak jayen
Gum kar key hosh-o-hawaas apney
So jayen oorh kar rida taghafal ki
Key
Hum
Insan hain kamzor se
Kuch sust kuch naabkar se
Chalo behak jayen
Do jam pi ayen



_________________

No comments:

Popular Posts