Wednesday, November 2, 2011

Usay kehna! abhi din nikalta hai

Usay kehna!
abhi din nikalta hai
surmaie sham dhalti hai
rat ki tareeki may
taare bhi chamakte hain,

Usay kehna!
sub gardish-e-mah-o-saal wohi hain
bus aik tum nahi ho
jab chalti hai thandi purwa
jab chatakhti hain kaliyaan chaman may
jab yadoon ke gehray sagar may
koi pata girta hai kisi shakh se
tum yad ati ho bhaut

Usay keha!
rim jhim barasti boondain
bhaut shoor machati hain
asmaan pe phelay rang-e-qos-e-qazah
teri ankh ke sub rang chura kar
mujhe bhaut rulate hain

Usay kena!
ay jaane wafa
sub manzar wohi hain
bus
aik tum nahi ho
bus aik tum nahi ho

No comments:

Popular Posts