Wednesday, November 2, 2011

Kabhi aisa ho Kay Hawaon kay hath tum Sandesa bhejo

Kabhi aisa ho
Kay
Hawaon kay hath tum
Sandesa bhejo
Usmay likh kar hal-e-dil ka
Har qissa bhejo


Kia guzarti hai shab-e-tarsaan may
Kaise khulti hai aankh subah-e-veeran may
Kaise kat-te hain pal sham-e-heraan may
Ye sub
Khoon-e-dil ki siyahi se
Bana kar palkon ko qalam
Kooray kaghaz per likh bhejo

Aur
Mai jaanan
Bana kar aankh dil ko apney
Parhon ye anmol sandesa
Mehsos ho mujhey

Teri saanson ki mehak
Teri chahaton ki jhalak
Teri qurbaton ki kasak

Kabhi aisa ho
Tu jaanan
Khata-e-ashk-e-nadaan
Darguzr kar dena
Kay
Iss prem sandesay kay
Kisi koney per
Chand hurf mit-tey tum dekhogi
Kay do qatray chalak jayen ge
Mujhey ruswa kar jayen ge
Kabhi aisa ho
Kabhi aisa ho……..

No comments:

Popular Posts