Wednesday, November 2, 2011

Saza kia detay

Saza kia detay

Kuch be-naam jazbon ko
Rait se dehtay rishton ko
Anjan manzil ke raston ko
Jo na mil sakien vasl raaton ko
Tum hi batao jaanan
Inko
Saza kia detay

Kuch un-kehi batain
Kuch raakh hoti wazahatain
Kuch dard sehti chahatain
Kuch aabla pa musafatian
Tum hi batao jaanan
In hasil-e-hiyat ko
Saza kia detay

Ye sub kiyunkr sehan hota
Dil-e-parishan may kiyunkr chein hota
Bhaut sooch kar qalam uthaya tha
Zakhmon ko kaghaz pe sajaya tha
Soocha
Shayed koi satar marham hojaye
Shidat-e-dard kisi tor kam hojaye

Phir
Kuch bhi tu hasil houa nahi jaanan
Phir soochtey hain ke
Khud ko saza kia detay
Kaise khud ko mitta detay

Koi tu batlaye ke
Hum tujh ko
Saza ki detay
Saza kia detay
_________________

No comments:

Popular Posts