Friday, September 11, 2009

Barishain rooth jatee hain

Barishain rooth jatee hain
Kisee ko naa mananey par

Kisee kay yaad aney par
Yeh phir rimjhim barastee hain
Bohat nuqsaan kartee hain
Tab pale kuch nahee rahtaa

Tabhee to tum say kahtaa hoon
Mohabbat tum nahee karnaa
Tum es qazye main mat parnaa

Agar tum ruk na pao to
Khud ko mohaan mat karnaa
Mohabbat ko anaa kay but pay
Tum qurbaan mat karnaa

Kyunkay

Mohabbat zindagee kay dukh kaa
Dil ko baar daytee hay
Agar tum jeetana chaho
Tumhain yeh haar daytee hay
Jo sar ko tum jhukaa do gay
Tumhain yeh piyaar daytee hay

FAYSAL rakhnaa tum yeh yaad
Mohabbat mar nahee saktee
Mohabbat maar daytee hay

BAHARON KA YEHI KEHNA MUHABBAT MAR DETI HAI

BAHARON KA YEHI KEHNA MUHABBAT MAR DETI HAI
KAY MUJH SE DUR NA REHNA MUHABBAT MAR DETI HAI

TERI YADOON MAI TERAY KHAT KO PARHNA AUR PHIR KHUD KO
YEHI TU HAI KABHI LIKHNA MUHABBAT MAR DETI HAI

KABHI JAB DIL KAY ZAKHMON KO NEEND AA JAI TU
YEH AA KAY KHUAB MAI KEHNA MUHABBAT MAR DETI HAI

TERAY DILMAI NIBHANAY KA KHAYAL AAIYE KISI PAL TU
MUJHAY BASS ITNA LIKH DENA MUHABBAT MAR DETI HAI

KHIZAOON MAI KABHI PATTO'N KA GIRNA SOOKH KER AUR PHIR
HASSE'N PHOOLON SE YEH KEHNA MUHABBAT MAR DETI HAI

Ek arsa hua e dost mili thi teri tehreer mujhe

Ek arsa hua e dost mili thi teri tehreer mujhe
Khoobsurat they sabhi lafz mager kya jane
Kesa ek derd tha un mein ke abhi tak saathi
Jaan-o-dil rooh ki gahrai mein badhta hi chala jata hai
Laakh chaha tera likha hua her lafz mita dun lekin
Mein ne jab haath badhaya hai to roka hai tassavur ne tere
Aakhir in lafzon se kya hoga mere dost bata de mujhko
Lafz ab khoon jalane ke siva kuch bhi nahin
Lafz bas derd badhane ke liye hote hain
Jane kitne hain hamari hi tarah
Waqt ke maare hue log
Woh bhi barson inhin alfaaz se kheley honge
Yun to kehne ko sabhi kuch hain ye alfaaz mager
Ye to mumkin nahin bhook mita dein alfaaz
Ye bhi mumkin nahi alfaaz mita dein aflaas
Aur ye bhi nahin alfaaz tere gham ki dawa ban jayen
Lafz daulat hain na shohrat hain na izzat e dost
Ek zara socho to alfaaz me kya rakha hai
Koi musarrif nahi alfaaz ka mere sathi
Meri mano to in alfaaz ka chakkar choro

Waqt ke saath chalo
Waqt ka daman pakro
Waqt be rahem nahin,zakhm ka marham bhi to ban sakta hai
Waqt rahzan nahin ,rahber bhi to ban sakta hai
Waqt zalim nahin ,insaaf bhi ker sakta hai
Waqt ki dhoop mein chalne ki tamanna rakho
Waqt ki dhoop ager tum pe padegi e dost
Kuch bigaregi nahin aur sanwaregi tumhein
Waqt rona nahi hansna bhi sikha sakta hai
Waqt marna nahin jeena bhi sikha sakta hai....!!

zindagi k safar main koi

zindagi k safar main koi
rasta nhi deta....
zameen vakif nhi banti.,
falak saaya nhi deta.......
udaasi jin ki kismat ho
usse ki neend urtihai....
kisi ko apni ankhon sy koi sapna nhi deta...........
uthana khud hi parta hai
thaka hara badan apna
k jab tak saans chalti hai
koi kandha nhi deta............

Yoon be_kal be-kal lamhoon main

Yoon be_kal be-kal lamhoon main
Jab bojhal bojhal qadmoon sey
Sahil ki taraf main jati hoon
Tumhain saath main aksarSahil ki taraf main jati hoon
Tumhain saath main aksar paati hoon
Jab aati jati mojoon sey
be-rabt si baatain karti hoon
Tab yaad tumhain main karti hoon

Kabhi aadhi raat ko uth kar jab
Be-wajha tehla karti hoon
Ya apney kamrey ki khirki sey
Chand ko dekha karti hoon
Aur uss ki thandi roshni ko
Ang ang main samoya karti hoon
Tab yaad tumhain main karti hoon

Sabhi sY In dinOon rOotha hUa Sa Lagta hoOn Main

Sabhi sY In dinOon rOotha hUa Sa Lagta hoOn
Main
ApnY Aap Ko BY-Wafa Sa Lagta hOon

Tamam Raat
Mein Girti hui Hawailii Mein
DilOon sY NiKli
hui Bad-dUa Sa Lagta hOOn

Main Woh Khazana hOon
Haqdaar Jis Ki duniYa hY
Hazar HissOn Mein
Baanta hUa Sa Lagta hoOn

Meri Talash Badsatoor Ab
Bhi jaari hY
Woh Mil GaYa hY ' Main KhOYa hUa Sa
Lagta hOon

Meri Hansi sY Udaasi K PhOol
KhiltY hain
Main Sab K Saath hoOn LeKin juda Sa
Lagta hOon

ChamaK Raha Tha wOh Chehra Kisi Ki
AanKhOon Mein
Main AaiyenY Mein KoYi dOosra Sa
Lagta hOon

Tamam Raat Barasti hY Rait Par
Shabnam
Main ApnY Chaand sY jab Bhi Khafa Sa
Lagta hOon.....!
__________________

yun he do pal sahi ghamgeen dil ko shaad karte hain

yun he do pal sahi ghamgeen dil ko shaad karte hain
ameer-e-shehar k agay koe faryad karte hain

thikana dhondhtay hain ab kise ujray hoey dil main
cholo aao koe veraan ghar aabaad karte hain

tumharay ye jahan wale hamain pagal samjhtay hain
bhola detay hain khud ko ham tumhain jab yaad karte hain

unhain fursat kahan betaab dil ka haal sunnay ki
hamaray waste kab wqt wo barbaad karte hain

porani baat hai toufan k rukh ko palat dena
jo dil ko phair day aisa hunar ejaad karte hain

ye khamoshi se barson in ki bunyadon main palte hain
gharoun ko nafratoun k zalzalay barbaad karte hain

tumhari goud main sar rakh k sona chahte tu hain
magar kab rizq k zindaan hamain aazaad karte hain

Popular Posts