Saturday, July 17, 2010

Jin Raahon Par Chalta Hoga Meri Yaad Mein Tadapta Hoga



Jin Raahon Par Chalta Hoga,
Meri Yaad Mein Tadapta Hoga,

Zinda Ab Main Kaise Rahunga,
Shayad Ghar Mein Sochta Hoga,

Mujhse Jo Keh Na Saka Wo,
Ab Wo Khud Se Kehta Hoga,

Guzri Baatein Guzre Lamhe,
Yaad Wo Karke Rota Hoga,

Fursat Ise Ho Ke Na Ho,
Khat Wo Phir Bhi Likhta Hoga,

Udaas Dil Veeran Aankhein,
Rasta Mera Dekhta Hoga,

Sanjeeda Hogaya Hoga Shayad,
Ab Na Shararat Karta Hoga,

Mujhse Bichhad Kar Rota Hoga,
Gam Ko Kitna Samjhata Hoga...

Kaho Wo Dasht Kaisa Tha Jidhar Sab Kuch Luta Aaye

Kaho Wo Dasht Kaisa Tha,
Jidhar Sab Kuch Luta Aaye,
Jidhar Aankhein Ganwa Aaye,
Kaha 'Sailab Jaisa Tha',
Bahut Chaha Ke Bach Nikle
Magar Sab Kuch Baha Aye,
Kaho 'Wo Hijr Kaisa Tha,
Kabhi Chhu Kar Use Dekha,
To Tumne Kya Bhala Paya,
Kaha 'Bas Aag Jaisa Tha'
Use Chhu Kar To Apni Rooh Ye Tan Man Jala Aaye,
Kaho Wo Wasl Kaisa Tha,
Tumhe Jab Chhu Liya Usne To
Kya Ehsaas Jaga Tha,
Kaha 'Ek Raste Jaisa'
Jidhar Se Bas Guzarna Tha
Makaan Lekin Bana Aaye,
Kaho 'Wo Chand Kaisa Tha?
Falak Se Jo Utar Aya,
Tumhari Aankh Mein Basne,
Kaha, 'Wo Khwab Jaisa Tha'
Nahi Tabeer Thi Uski'
Use Ek Shab Sula Aaye,
Kaho 'Wo IshQ Kaisa Tha?
Bina Soche Bina Samjhe
Bina Parkhe Kiya Tumne',
Kaha 'Titli Ke Rang Jaisa'
Bahut Kachha Sa
Jabhi Usko Bhool Aaye,
Kaho 'Wo Naam Kaisa Tha?
Jaise Sehraon Aur Chanchal;
Hawaon Par Likhe Tumne,
Kaha, 'Bas Mausam Jaisa'
Na Jane Kis Tarah Kis Pal
Kisi Rooh Mein Mita Aaye...

Wo Mere Haal Pe Roya Bhi Muskuraya Bhi


Wo Mere Haal Pe Roya Bhi Muskuraya Bhi,
Ajeeb Shakhs Hai Apna Bhi Hai Paraya Bhi,

Ye Intezaar Sehar Ka Tha Ya Tumhara Tha,
Diya Jalaya Bhi Maine Diya Bujhaya Bhi,

Main Chahta Hoon Thaher Jaye Chashm-E-Darya Mein,
Larazta Aks Tumhara Bhi Mera Saaya Bhi,

Bahut Maheen Tha Parda Larazti Palkon Ka,
Mujhe Chhupaya Bhi Tune Mujhe Dikhaya Bhi,

Beyaz Bhar Bhi Gayi Aur Phir Bhi Saada Hai,
Tumhare Naam Ko Likha Bhi Aur Mitaya Bhi...

Chandni Chhat Pe Chal Rahi Hogi Ab Akeli Tahel Rahi Hogi


Chandni Chhat Pe Chal Rahi Hogi,
Ab Akeli Tahel Rahi Hogi,

Phir Mera Zikr Aa Gaya Hoga,
Wo Barf Si Pighal Rahi Hogi,

Kal Ka Sapna Bahut Suhana Tha,
Ye Udaasi Na Kal Rahi Hogi,

Sochta Hoon Ke Band Kamre Mein,
Ek Shama Si Jal Rahi Hogi,

Tere Gehno Si Khan Khanati Thi,
Baajre Ki Fasal Rahi Hogi,

Jin Hawaon Ne Tujhko Dular Aaya,
Un Mein Meri Gazal Rahi Hogi...

Lafzon Ki Kahani Hai Bas Yehi Zindagani Hai,


Lafzon Ki Kahani Hai,
Bas Yehi Zindagani Hai,
Kabhi Gam Ke Katahrey Mein,
Kabhi Khushiyon Ke Daayre Mein,
Hamein Bas Muskurana Hai,
Abhi To Muskurana Hai,

Zindagi Ki Raahon Mein,
Raahiyon Ke Milne Se,
Phir Bichhadne Ke Dar Se,
Abhi Dilko Behlana Hai,
Hamein Bas Muskurana Hai,
Abhi To Muskurana Hai,

Guzre Hue Lamhon Ki,
Yaadon Ko Bhulana Hai,
Abhi To AshQon Ko
Aankhon Mein Chhupana Hai,
Hamein Bas Muskurana Hai,
Abhi To Muskurana Hai...

Diye Ummidon Ke Bujha Gaya Hai Koi



Diye Ummidon Ke Bujha Gaya Hai Koi,
Andhere Zindagi Mein Badha Gaya Hai Koi,

Lafzon Ka Daaman Kabhi Itna Khali Na Tha,
Sochon Par Bhi Pehre Laga Gaya Koi,

Dil Ki Zameen Par Ek Gharonda Bana Kar,
Meri Zindagi Par Hukumat Kar Raha Hai Koi,

Zeest Ka Safar Itna Kathin Na Tha Kabhi,
Manzil Ke Nishan Bhi Mita Gaya Hai Koi,

Ujde Raste Par Tooti Deewar Ke Maanind
Pathrai Aankhon Se Tera Intezar Kar Raha Hai Koi...

Koi Hai Hamare Jaisa Shaher Mein Jo Utha Ke Khwab Ki Kirchiyan



Koi Hai Hamare Jaisa Shaher Mein,
Jo Utha Ke Khwab Ki Kirchiyan,
Yunhi Darbadar Se Phira Kare,
Na Dua Kare Na Dawa Kare,
Na Kabhi To Us Ka Pata Kare,
Jo Qarar Tha Dil-E-Zar Ka,
Jo Nazar Nazar Ki Talab Mein Tha,
Faqat Ek Khwab Jo Shab Mein Tha,
Jise Dhundna Tha Hujum Mein,
Jo Nahi Tha Apne Nujuum Mein,
Kisi Aasman Ka Chand Tha,
Jo Tha Dastaras Se Kahin Pare,
Usi Ek Shakhs Ke Waste,
Yunhi Sheher Sheher Phira Kare,
Har Ek Ajnabi Ko Taka Kare,
Na Dua Kare Na Dawa Kare,
Jo Utha Ke Khwab Ki Kirchiyan,
Yunhi Darbadar Sa Phira Kare,
Koi Hai Hamare Jaisa Sheher Mein...

Meri Zindagi Ka Har Lamha Tere Hi Naam Hai


Meri Zindagi Ka Har Lamha Tere Hi Naam Hai,
Kabhi Yaadon Mein To Kabhi Dil Mein Tera Ehsaas Hai,
Har Lamhe Ki Alag Kahani Hai,
Jasie Khushiyonki Rutt Suhani Hai,
Pyar Mein Tadap Pyar Mein Ehsaas Hai,
Kabhi Nami Hai In Aankhon Mein,
Kabhi Khushiyon Ki Bahar Hai,
Har Lamha Bas Tera Hi Khayal Hai,
Jo Mere Har Khushi Har Yaad Ki Shuruwat Hai...

Lamha Lamha Zindagi Ko Bator Raha Hai


Lamha Lamha Zindagi Ko Bator Raha Hai,
Bikhri Hui Duniyako Bator Raha Hai,

Khwaab Jo Kabhi Pure Nahi Ho Sakte,
Aaj Un Toote Khwab Ko Jod Raha Hai,

Geeli Aankhon Ke Behte Paani Se,
Apne Hi Daaman Ko Kar Sharabor Raha Hai,

Kitne Hi Raahon Pe Phool Pe Chal,
Aaj Kaanto Se Muh Mod Raha Hai,

Kalam Ki Siyahi Khatam Hone Par,
Katre Kel Iye Dil Nichod Raha Hai,

Kuch Hi Pal To Hai Zindagi,
To Aaj Maut Ka Farishta Ko Kyon Kar Door Raha Hai.

Aankh Se Aankh Mila Baat Banata Kyon Hai


Aankh Se Aankh Mila Baat Banata Kyon Hai,
Tu Agar Mujhse Khafa Hai To Chhupata Kyon Hai,

Gair Lagta Hai Na Apno Ki Tarah Milta Hai,
Tu Zamaneki Tarah Mujhko Satata Kyon Hai,

Waqt Ke Sath Haalaat Bhi Badal Jaate Hai,
Ye Haqeeqat Hai Magar Mujhko Sunata Kyon Hai,

Ek Muddat Se Jahan Kaafile Guzre Hi Nahi,
Aisa Raahon Par Chirag Jalata Kyon Hai...

Dhala Hai Chand Lo Akhir-E-Shab Hai Ab So To Jayein


Dhala Hai Chand, Lo Akhir-E-Shab Hai Ab So To Jayein,
Kaho In Bolti Aankhon Se Ke Khamosh Ho Jayein,

Andheri Raat Mein Roshan Sitara Kisne Dekha Hia,
Samundar Ke Safar Mein Haan Kinara Kisne Dekha Hai,
Sambhal Jaa Aye Dil Ke Tumhe Samjhaaye Jaate Hai,
Kahin Aisa Na Ho Hum Inki Gehrayi Mein Kho Jayein,

Kaho In Bolti Aankhon Se Ke Khamosh Ho Jayein,

Ye Chaha Kab Tha Inki Aseeri Chhode Jana Hai,
Magar Kismat Mein Likha Tha So Likha Tha Humne Mana Hia,
Humein Aise Jo Dekhenge To Ab Bhi Na Paayenge,
Na Paas Aao Ke Jate Waqt Hum Qurbat Pe Ro Jayenge,

Kaho In Bolti Aankhon Se Ke Khamosh Ho Jayein,

Hamara Muskura Kar Alwida Kehna Inhe Bhaaya,
Magar Ye Kya Abhi Se In Mein Sawan Utar Aya?
Inhe Roko Hamare Dil Ka Yun Na Imtihaan Lein Ab,
Ye Baadal Ab Kahin Muh Ko Hamare Na Bhigo Jayein...

Kaho In Bolti Aankhonse Ke Khamosh Ho Jaayein...

Dua Hia Ye Sada Hasti Rahein Roshan Rahe Har Dum,
Zamane Bhar Ki Ho Khushiyan, Ye Na Dekhein Ab Koi Gam,
Meri Aankhon Ke Jugnoo Bhi Inhi Ki Shaam Mein Chamkein,
Khudaya! Saare Mausam In Mein Rang-O-Boo Sama Jayein...

Kaho In Bolti Aankhonse Ke Khamosh Ho Jaayein...

Tere Pyaar Mein Ruswa Hokar Jaaye Kahan Deewane Log


Tere Pyaar Mein Ruswa Hokar Jaaye Kahan Deewane Log,
Jaane Kya Kya Puch Rahe Hai Ye Jaane Pehchane Log,

Jaise Tumhe Humne Chaha Tha Kuan Bhala Yun Chahega,
Maana Aur Bahut Bahut Ayenge Tumse Pyaar Jatane Log,

Kaise Dukhon Ke Mausam Aaye Kaisi Aag Lagi Yaaron,
Ab Saharon Se Laate Hai Phoolon Ke Nazraane Log,

Kal Maatam Beqimat Hoga Aaj Inki Tauqiir Karo,
Dekho Khoon-E-Jigar Se Kya Kya Likhte Hai Afsaane Log,

Jaante Hai Ye Ishq Musalsal Rog Hai Aah-O-Zaari Ka,
Phir Bhi Uske Kooche Mein Jaate Hai Umr Gawane Log...

Tujhse Main Pyar Karti Hoon Bandagi Ki Tarah,


Tujhse Main Pyar Karti Hoon Bandagi Ki Tarah,
Tu Mere Zaat Mein Shaamil Hai Zindagi Ki Tarah,

Mere Khayal Par Galib Hai Ek Teri Surat,
Tujhko Hi Sochti Rehti Hoon Shayri Ki Tarah,

Saja Ke Aankhon Mein Rakhein Hai Sab Tere Jalwe,
Andheri Raat Ke Lamho Mein Roshni Ki Tarah,

Tere Wajood Se Baaki Hai Meri Ummidein,
Tum Hi Base Ho Mere Dil Mein, Dhadkan Ki Tarah,

Isse Badh Ke Main Tumhe Chahun Kaise,
Nas Nas Mein Tum Sama Chuke Ho Lahoo Ki Tarah,

Aur Tumhe Kya Malum Tum Meri Zindagi Ho,
Humne Chaha Hai Tumhe Zindagi Ki Tarah...

Tassalsul Toot Jayega


Na Chhedon Khilti Kaliyon, Hanste Phoolon Ko,
In Udti Titliyon, Awara Bhanwaron Ko,

Tassalsul Toot Jayega,

Fiza Mehway Sama'at Hai,
Haseen Hothon Ko Naghma-Rez Rehne Do,
Nigahein Nichi Rakho Aur Mujassam Gosh Ban Jao,

Agar Junbish Labon Ko Di
Tassalsul Toot Jayega,

Hawa Se Pattiyan Sargoshiyon Mein Mehave Hai,
Aur Jhumti Shaakhon Ke Jhoolon Mein,
Parindonki Chahek Se Sara Sahil,
Sarmadi Ehsaas Mein Dooba Hua,
Sarshar-O-Shadaan Hai,
Agar Kankar Bhi Satah-E-Aab Pe Mara,
Tassalsul Toot Jayega,

Ufuq Mein Dubte Suraj Ka Manzar
Is Bulandi Se Zara Dekho,
Isi Rangeen Kinare Par,
Shafaq Sona Lutayegi,
Yunhi Tum Be-Hiss-O-Saakit Raho,
Aise Mein Palkein Bhi Zara Jhapkein,
Tassalsul Toot Jayega...

Wo Khwabeeda Hai, Khwabeeda Hi Rehne Do,
Na Jane Khwab Mein Kin Waadiyon Ki Sair Karti Ho,
Bulandi Se Phisalte Aabsharon Mein Kahin Gum Ho,
Falak-Asaar Choti Par Kahin Meh'way Tarannum Ho,
Agar Awaz Di Tumne,
Tassalsul Toot Jayega...

Main Shayad Hoon,
Meri Fikr-E-Rassa, Ehsaas Ki Uss Satah Par Hai,
Jis Mein Khushbu Rang Banti Hai,
Sada Ko Shakl Milti Hai,
Tasavvur Bol Uthta Hai,
Khamoshi Gungunati Hai,
Ye Wo Waqfa Hai..........Aise Mein,
Agar Daad-E-Sukhan Bhi Di,
Tassalsul Toot Jayega...

Ek Diya Dil Mein Jalana Bhi Bujha Bhi Dena


Ek Diya Dil Mein Jalana Bhi Bujha Bhi Dena,
Yaad Karna Bhi Isse Roz Bhula Bhi Dena,

Kya Kahoon Ye Meri Chahat Hia Ke Nafrat Uski,
Naam Likhna Bhi Mera Likh Ke Mita Bhi Dena,

Phir Na Milne Ko Bichhadti To Hon Tujhse Lekin,
Mud Ke Dekhun To Palatne Ki Dua Bhi Dena,

Khat Bhi Likhna Use Mayoos Bhi Rehna Usse,
Jurm Karna Bhi Magar Khudko Saza Bhi Dena,

Mujhko Rasmon Ka Takalluf Bhi Gawara Lekin,
Jee Mein Aaye To Ye Deewar Gira Bhi Dena,

Surat-E-Naqshe Qadam Me Rehna,
Apne Hone Se Na Hone Ka Pata Bhi Dena...

Guzarte Lamho Mujhe Batao Ke Zindagi Ka Asool Kya Hia


Guzarte Lamho Mujhe Batao,
Ke Zindagi Ka Asool Kya Hia,

Agar Tamam Haathon Mein Aaine Hain,
To Kyon Kisise Chhupa Hua Hai,

Agar Sada Ka Wajood Kanoon Se Munsalik Hia,
To Kaun Khushbu Mein Bolta Hai,

Agar Samundar Ki Had Hai Saahil
To Kyon Aankhon Mein Phailta Hai,

Agar Tamam Chizein Yehi Hai,
To Kyon Chizon Se Mavra Hia,

Kise Khabar Badalti Rut Ne,
Purane Patton Se Kya Kaha Hai,

Ye Kyon Baadal Se Jaa Ke Puchhe
Ke Itne Mausam Kahan Raha Hai,

Guzarte Lamho Mujhe Batao
Ke Zindagi Ka Usool Kya Hai,

Samay Samay Ki Khalish Mein Tera Malal Rahe


Samay Samay Ki Khalish Mein Tera Malal Rahe,
Judaiyon Mein Bhi Yun Aalam-E-Visaal Rahe,

Zindagi Ki Jang Mein Hum Jeet To Gaye Lekin,
Phri Uske Baad Bahut Der Tak Nidhaal Rahe,

Raah-E-Junoon Mein Yehi Zaad-E-Raah Hota Hai,
Ke Justuju Bade Diwangi Bahaal Rahe,

Haseen Raatein Bhi Mehkein Tumhari Yaadon Se,
Kade Dino Mein Bhi Pal Pal Tera Khayal Rahe,

Tu Ek Baar Zara Kishtiyan Jala To Sahi,
Hai Kya Majaal Ke Ek Lamha Bhi Zayaal Rahe...

Din Guzarte Hai Kahan Raat Kahan Hoti Hai


Din Guzarte Hai Kahan Raat Kahan Hoti Hai,
Dard Ke Maaron Se Ye Baat Kahan Hoti Hai,

Ek Se Chehre To Hote Hai Is Duniya Mein,
Ek Si Surat-E-Halaat Kahan Hoti Hai,

Zindagi Ke Kisi Mod Pe Wo Mil Gaye,
Mil To Jaate Hai Mulakat Kahan Hoti Hai,

Aasmano Se Koi Boond Nahi Barsegi,
Jalte Sehraon Mein Barsaat Kahan Hoti Hai,

Yun To Auron Ki Bahut Baatein Sunayi Unko,
Apni Jo Baat Hai Wo Baat Kahan Hoti Hai,

Jaise Aagaz-E-Mohabbat Mein Hua Karti Thi,
Wiase Phir Shiddat-E-Jazbaat Kahan Hoti Hai,

Pyaar Ki Aag Bana Deti Hai Kundan Jinko,
Unke Zehno Mein Bhala Zaat Kahan Hoti Hai...

Yaadon Ka Ek Jhonka Aya Humse Milne Barson Baad


Yaadon Ka Ek Jhonka Aya Humse Milne Barson Baad,
Pehle Itna Roye Nahi The Jitna Roye Barson Baad,

Lamha Lamha Ghar Ujda Hai Mushkil Se Ehsaas Hua,
Pathar Aaye Barso Pehle Sheeshe Toote Barso Baad,

Aaj Hamari Khaak Pe Duniay Rone Dhone Baithi Hai,
Phol Hue Kitne Sastejaane Kitne Barso Baad,

Bhool Bhi Jao Kisne Toda Kiase Toda Aur Kyon Toda,
Dhond Rahe Ho Galiyon Mein Kya Dilke Tukde Barson Baad,

Dastak Ki Ummid Laga Kar Kab Tak Yun Hi Jeete Hum,
Kal Ka Waada Karne Wale Milne Aaye Barson Baad...

Ye Zard Mausam Ke Khushk Patte Haya Jinhe Le Gayi Udakar


Ye Zard Mausam Ke Khushk Patte,
Haya Jinhe Le Gayi Udakar,

Agar Kabhi Inko Dekh Paao
To Soch Lena
Ke In Mein Har Barg Ke Namo Mein
Ziyan Gaya Arq Shaakh-E-Gul Ka
Kabhi Ye Sar-Sabz Konpalein Thi,
Kabhi Ye Shadaab Bhi Rahe Hai,
Khule Hue Honth Ki Tarah Narm Aur Shagufta
Bahut Dino Tak
Ye Sabz Patte
Hawa Ke Relon Mein Bebasi Se Tapad Chuke Hai,
Magar Ab Ye Khushk Ho Rahe Hai,
Magar Ye Ab Khushk Ho Chuke Hai,
Agar Kabhi Is Tarafse Guzro,
To Dekh Lena
Barahana Shaakhein Hawa Ke Dil Mein Gadi Hui Hai,
Ye Ab Tumhare Liye Nahi Hai...

Wo Keh Ke Chale Itni Mulakaat Bahut Ha


Wo Keh Ke Chale Itni Mulakaat Bahut Hai,
Maine Kaha Ruk Jao Abhi Raat Bahut Hai,

Aansu Mere Thum Jayein To Phir Shauk Se Jaana,
Aise Mein Kahan Jaoge Barsaat Bahut Hai,

Wo Kehne Lage Jaana Mera Bahut Zaroori Hai,
Nahi Chahta Dil Todun Tera Par Majboori Hai,

Gar Hoti Ho Koi Khata To Maaf Kar Dena,
Maine Kaha Ho Jao Chup Itni Kahi Baat Bahut Hai,

Samajh Gayi Hoon Sab Aur Kuch Kaho Zaroori Nahi,
Bas Aaj Ki Raat Ruk Jao, Jana Itna Bhi Zaroori Nahi Hai,

Phir Kabhi Na Aaungi Tumhari Zindagi Mein Laut Ke,
Saari Zindagi Tanhayi Ke Liye Aaj Ki Raat Bahut Hai...

Us Shakhs Ko Mera Halka Sa Ehsaas To Hai


Us Shakhs Ko Mera Halka Sa Ehsaas To Hai,
Be-Dard Sahi Wo Mera Humraaz To Hai,

Wo Aaye Na Aaye Mere Paas Lekin,
Shiddat Se Mujhe Uska Intezaar To Hai,

Abhi Nahi To Kya Hua Mil Hi Jayenge Kabhi,
Mere Dil Mein Usse Milan Ki Aas To Hai,

Pyaar Ki Gawahi Mere Rooh Ke Aansuon Se Maang,
Barasti Nahi Aankhein Magar Dil Udaas To Hai...

Na Raasta Sujhayi Deta Hai Na Manzil Dikhayi Deti Hai


Na Raasta Sujhayi Deta Hai,
Na Manzil Dikhayi Deti Hai,
Na Lafz Zubaan Par Aate Hai,
Na Dhadkan Sunayi Deti Hai...

Ek Ajeeb Si Kaifiyat Ne
Aan Ghera Hai Mujhe
Ke Har Surat Mein
Teri Surat Dikhayi Deti Hai...

Ye Milna Aur Bichhad Jana
Kab Apne Bas Ki Baat Hai,
Kismat Hi Milati Hai Humko,
Kismat Hi Judayi Deti Hai...

Har Baar Yehi Hota Hai,
Koi Hamein Bataye To Sahi,
Jo Tumse Nahi Keh Paate Hai
Dhadkan Se Sunayi Deta Hai...

Tum Jaante Ho Kya Tumse Kahein
Bechain Bahut Dil Hota Hai,
Jab Paas Nahi Ho
Door Saari Khudayi Hoti Hai...

Guzar Hi Jaate Hai Pal Uski Yaad Mein


Guzar Hi Jaate Hai Pal Uski Yaad Mein,
Jisne Milne Mein Sadiyon Ka Faasla Rakha,

Jhagadna, Bigadna, Milna Aur Phir Rooth Jana,
Teri In Saugaton Ko Humne Sambhale Rakha,

Jo Likhe The Tumne Kabhi Fursat Ke Lamho Mein,
Tere In Khataon Ko Humne Dil Se Lagaye Rakha,

Fursat Mein Kabhi Un Aansuon Ko Bhi Sochna,
Jin Ko Teri Berukhi Pe Aankhon Mein Chupaye Rakha...

Bheegi Hui Aankhon Ka Ye Manzar Na Milega


Bheegi Hui Aankhon Ka Ye Manzar Na Milega,
Ghar **** Ke Mat Jao Kahin Ghar Na Milega,

Phir Yaad Bahut Aayegi Zulfon Ki Ghani Shaam,
Jab Dhoop Mein Saaya Koi Sar Par Na Milega,

Aansu Ko Kabhi Os Ka Qatra Na Samajhna,
Aisa Tumhe Chahat Ka Samundar Na Milega,

Is Khwab Ke Mahol Mein Be-Khwab Hai Aankhein,
Jab Neend Bahut Aayegi To Bistar Na Milega,

Ye Soch Lo Ab Aakhri Saya Hai Mohabbat,
Is Dar Se Uthoge To Koi Dar Na Milega...

Aisa Kyon Hai K Ab Insaan Bhi Samajhte Nahi


Aisa Kyon Hai,
Ke Ab Insaan Bhi
Samajhte Nahi
Ek Dooje Ki Kahi
Aisa Kyon Hai...

Baat Sun Kar Bhi
Samajhte Nahi
Sun Kar Bhi Ansuni
Aisa Kyon Hai...

Dukh Dekh Kar Bhi
Samajhte Nahi
Use Mitate Nahi
Aisa Kyon Hai...

Har Insaan Ne
Gird Apne Hi
Ek Deewar Chun Li
Aisa Kyon Hai...

Koi Awaz Sunta Nahi,
Koi Bahar Dekhta Nahi,
Koi Sochta Nahi
Aisa Kyon Hai...

Ke Hamare Dilo Mein
Apne Siwa Kisike Liye
Koi Dard Nahi
Koi Aas Nahi
Aisa Kyon Hai...

Ke Hamari Soch Ka
Markaz Kam Hi
Aur Koi Fikar Nahi
Aisak Yon Hai...

Apni Awaz Sunta Har Koi
Apni Baat Samajhta Har Koi,
Apni Fikar Karta Har Koi
Aisa Kyon Hai...

Aisa Kyon Hai
Sab Galat Hai,
Sirf Main Sahi
Sirf Main Khara,
Khota Har Koi

Intezaar Karte Hai Hum Aapka Der Tak


Intezaar Karte Hai Hum Aapka Der Tak,
Aap Ko Na Aane Ki Aadat Si Ho Gayi Hai,

Baat Baat Pe Muskurate The Hum,
Ab To Rone Ki Aadat Si Ho Gayi Hai,

Kabhi Talab Karte The Tumhe Hum,
Ab To Berukhi Sehne Ki Aadat Si Ho Gayi Hai,

Kabhi Ek Humdard Chahte The Hum Bhi,
Par Ab To Tanha Gam Sehne Ki Aadat Si Ho Gayi Hai,

Jab Se Sochna Shuru Kiya Hai Tumko,
Saari Saari Raat Jaagne Ki Aadat Si Ho Gayi Hai,

Ab To Chahe Chhod Bhi Do Humein,
Tum Bin Rehne Ki Aadat Si Ho Gayi Hai,

Jise Bhi Chaha Hum Ne Wo Chhod Kar Chala Gaya,
Ab To Khone Ki Aadat Si Ho Gayi Hai,

Jab Se Tum Gaye Ho Hamein Chhod Kar,
Tab Se Chup Rehne Ki Aadat Si Ho Gayi Hai...

Tumse Na Koi Shikwa Na Koi Shikayat Hai Hamein,
Bas Khud Se Shikayat Karne Ki Aadat Si Ho Gayi Hai,

Malum Hai Ke Hamari Kismat Mein Tum Nahi,
Bas Kismat Se Ladneki Aadat Si Ho Gayi Hai,

Tum Jahan Bhi Raho Bas Khush Raho,
Ye Duwa Mangne Ki Aadat Si Ho Gayi Hai...

Ajeeb Shaam Khadi Hai Kahin Se Aa Jao


Ajeeb Shaam Khadi Hai Kahin Se Aa Jao,
Badi Udaas Ghadi Hai Kahin Se Aa Jao,

Kisise Milna So Milte Hi Phir Bichhad Jana,
Saza Ye Itni Badi Hai Kahin Se Aa Jao,

Bahut Kathin Hai Mere Dost Hijr Ka Mausam,
Judai Bol Padi Hai Kahin Se Aa Jao,

Zamana Jisko Samajhta Hai Motiyon Ki Chamak,
Wo Aansun Ki Ladi Hai Kahin Se Aa Jao...

maine dekha tha un dino mien usse jab wo khiltay gulab jesa tha


maine dekha tha un dino mien usse
jab wo khiltay gulab jesa tha
uski palkoon se neend chanti thi
us ka lahja sharab jesa tha
us ki zulfoon se bhegti thi ghatta
us ka rukh mahtaab jesa tha
log parhtay thay khal o khad us ke
wo adab ki kitab jesa tha
bolta tha zaban khushbu ki
log suntay thay dharkanooon mien usse
mien dekha tha un dino mien usse
sari ankhien thein aainay uske
saray chahroon mien intekhab tha wo
ye haqeqat hai ke koi khawab tha wo
sab se ghul mil ker ajnabi rahna
ek dariya numa serab tha wo
meri neendien bhi uski nazr hoein
meine paya tha ratjagoon mein usse
meine dekha tha un dino mien usse
jab wo hans hans ke raat karta tha
dil ke khemay mein raat karta tha
rang parhtay thay aanchaloon mien usse
miene dekha tha un dino mien usse
ye magar daer ki kahani hai
ye magar daer ka fasana hai
abh us ke aur mere milaap ke haail
sadiyon bhara zamana hai
abh ke haal apna bhi dasht e hijra ki shaam jesa hai
najanay in dino wo kesa hoga??
men dekha tha un dino mein usse

Dilpe Roshan Ek Dareecha Kya Hua Band Hum Par Gharka Darwaza Hua


Dilpe Roshan Ek Dareecha Kya Hua,
Band Hum Par Gharka Darwaza Hua,

Is Tarah Dekha Tujhe Kal Khwaab Mein,
Khwab Par Taabeer Ka Dhoka Hua,

Tak Raha Hai Aasman Ko Aasman,
Jheel Ki Aagosh Mein Simta Hua,

Raaste Lagte Hai Kyon Chalte Hue,
Kaarwan Kyon Lagta Hai Thehra Hua,

Aye Hawa-E-Gulistan Khush Aamdeed,
Yaad To Aaya Koi Bhoola Hua,

Jis Taraf Jaata Hai Dilka Raasta,
Us Taraf Bhi Kya Kabhi Jana Hua,

Wo Hawa-Ekoi Janan Kya Hui,
Wo Gubaar-E-Rahe Pema Kya Hua,

Zindagi Kitni Sabak Raftaar Hai,
Khudse Milke Aaj Andaza Hua,

Dekhiye Kya WaQt Ki Parchhaiya,
Jodiye Kya Aaina Tuta Hua,

Jaane Wale Dilse Jab Jaate Nahi,
Phir Yahan Aakhonse Ojhal Kya Hua,

Hai Zameen Odhe Hue Girdogubaar,
Aasman Pe Chand Hai Nikla Hua,

Is Tarah Basti Hai Koi Bastiyan,
Raasta Sunsaan, Dil Ujda Hua,

Bun Raha Hoon Jane Kis Lamhon Ke Khwab,
WaQt Ki Dehleez Pe Baitha Hua,

Ek Taraf Hai Naam-O-Nasab,
Ek Taraf TaQdeer Ka Likha Hua,

Aane Wale WaQt Ki Aawaz Hoon,
Main Nahi Lamha Koi Guzra Hua,

Ye Bhi Mumkin Hai Udhar Koi Na Ho,
Aur Ho Bas Aaina Rakha Hua...

Ab Ke Mausam Na Hi Kisi Rukh Se Roshni Hui


Ab Ke Mausam....
Na Hi Kisi Rukh Se Roshni Hui,
Na Koi Chirag Larza,
Na Koi Sitara Chamka,
Na Hi Koi Phool Khila Is Dil Mein...

Ab Ke Mausam....
Na Koi Rang Dikhaya Heena Ne,
Na Hawa Se Aanchal Sarsaraya,
Na Hi Kisi Khwab Se Ulajh Kar Chhudiyan Chhanki,

Ab Ke Mausam....
Na Kisi Aankh Mein Simat Kar Chand Hi Muskuraya,
Na In Baharon Ne Koi Geet Hi Sunaya,
Theher Gayi Kaayenaat Is Dard Ki Aagosh Mein,
Aur Bhigte Chale Gaye Hum Aansuon Ki Barish Mein....
Ab Ke Mausam.....

Tere Firaaq k lamhe shumar karte hoye


Tere Firaaq k lamhe shumar karte hoye,
Bikhar gaye hain Tera Intizaar karte hoye


To Main b Khush hoon koi us se ja k keh de,
Agar wo Khush hai Mujhe Be-Qarar karte hoye

Main Muskurata hua Aaine mein ubhrunga,
Wo Ro parega Achanak Singhaar karte hoye


Tujhe Khabar hi nahi Toot gaya hai koi,
Mohabbat ko boht Paaidar karte hoye

Wo Keh rahi thi Samandar nahin hai Aankhon mein,
Main un mein Doob gaya Aitbaar karte hoye

Palkon Pe Aansuon Ko Sajaya Na Jaa Saka,


Palkon Pe Aansuon Ko Sajaya Na Jaa Saka,
Usko Bhi Dil Ka Haal Bataya Na Jaa Saka,

Zakhmon Se Choor Choor Tha Ye Dil Mera,
Ek Zakham Bhi Usko Dikhaya Na Jaa Saka,

Jab Teri Yaad Aayi To Koshish Ke Bawajood,
Aankhon Mein Aansuon Ko Chhupaya Na Jaa Saka,

Kuch Log Zindagi Mein Aise Bhi Aaye Hain,
Jinko Kisi Bhi Lamhe Bhulaya Na Jaa Saka,

Bas Is Khayal Se Kahin Usko Dukh Na Ho,
Humse To Haal-E-Gam Bhi Sunaya Na Jaa Saka,

Wo Muskuraya Tha Mere Ru-Ba-Ru Magar
Chehre Ka Rang Usse Chhupaya Na Jaa Saka,

Tanhaiyon Ki Aag Mein Hum Jal Gaye,
Magar Faasla Jo Darmiya Tha Mitaya Na Jaa Saka..

Azeem Hai Ye Qurbat Ki Dooriyan Bhi



Azeem Hai Ye Qurbat Ki Dooriyan Bhi,
Saath Reh Kar Bhi Usko Na Pana Kaisa Lagta Hai,

Qismat Mein Nahi Phir Bhi Usko Chahte Hai,
Phool Samajh Kar Kaanton Par Chalna Kaisa Lagta Hai...

Ab To Mehfil Mein Bhi Hamare Liye Tanhayi Hai,
Gam Chhupa Kar Mehfil Ko Sajana Kaisa Lagta Hai,

Mehfil Mein Dusron Se Hans Hans Kar Milte Hai,
Tanhayi Mein Gam Ke Aansu Bahana Kaisa Lagta Hai...

Samajhne Par Bhi Samajhta Nahi Hai Ye Dil,
Uski Yaad Mein Raaton Ko Jagna Kaisa Lagta Hai,

Uski Berukhi Ne Itne Diye Hai Zakham Ke,
Zakham Kha Kar Bhi Muskurana Kaisa Lagta Hai...

Jab Wo Hans Hans Kar Baat Karein Dusron Se,
Tab Apne Ansoon Ko Chhupana Kaisa Lagta Hai,

Usse Kho Kar To Mere Paas Raha Kuch Bhi Nahi,
Phir Bhi Khudko Ameer Batana Kaisa Lagta Hai...

Khud Ko Anmol Samajhne Ka Tha Bada Ghamand,
Phir Bhi Be-Mol Bik Jana Kaisa Lagta Hai,

Khaye Hai Dhoke Mohabbat Mein Itne Ke
Phir Bhi Isko Chahna Kaisa Lagta Hai...

Malum Hai Is Deewane Ki Manzil Nahi Hai Koi,
Phir Bhi Safar Karte Rehna Kaisa Lagta Hai,

Wo To Aa Kar Bhi Kab Ke Jaa Chuke Hai,
Phir Bhi Iska Intezaar Karte Rehna Kaisa Lagta Hai...

Dost Kya Khoob Wafaon Ka Sila Dete Hain


Dost Kya Khoob Wafaon Ka Sila Dete Hain,
Har Naye Mod Par Ek Zakhm Naya Dete Hain,

Tum Se To Khair Ghadi Bhar Ki Mulakat Rahi,
Log Barson Ki Rafakat Ko Bhula Dete Hain,

Kaise Mumkin Hai Ke Dhuwan Bhi Na Ho Aur Dil Bhi Jale,
*** Padti Hai To Patthar Bhi Sada Dete Hain,

Kaun Hota Hai Musibat Mein Kisika Aye Sanam,
Aag Lagti Hai To Patte Bhi Hawa Dete Hain,

Jinpe Hota Hai Bahut Dilka Bharosa Jane Kyon,
WaQt Padne Pe Wohi Log Daga Dete Hain...

Kya Ummid Karein Hum Unse Jinko Wafa Malum Nahi


Kya Ummid Karein Hum Unse Jinko Wafa Malum Nahi,
Gam Dena Malum Hai Lekin Gam Ki Dawa Malum Nahi,

Jin Ki Gali Me Umr Ganwa Di Jivan Bhar Hairan Rahe,
Paas Bhi Aake Paas Na Aye Jaan Ke Bhi Anjaan Rahe,
Kaun Si Aakhir Ki Thi Humne Aisi Khata Malum Nahi,

Aye Mere Pagal Armaano Jhuthe Bandhan Tod Bhi Do,
Aye Meri Zakhmi Ummidon, Dil Ka Daaman Chhdo Bhi Do,
Tum Ko Abhi Is Nagri Mein Jeene Ki Saza Malum Nahi...

Ghum Bade Aate Hai Qaatil Ki Nigahon Ki Tarah


Ghum Bade Aate Hai Qaatil Ki Nigahon Ki Tarah,
Tum Chhipa Lo Mujhe Aye Dost Gunahon Ki Tarah,

Apni Nazron Mein Gunehgaar Na Hote, Kyon Kar
Dil Hi Dushman Hai Mujrimon Ke Gawahon Ki Tarah,

Har Taraf Zeest Ki Raahon Mein Kadi Dhoop Hai Dost,
Bas Teri Yaad Ke Saaye Hai Panahon Ki Tarah,

Jinki Khatir Kabhi Ilzaam Uthaye,
Wo Bhi Pesh Aye Hai Insaaf Ke Shaahon Ki Tarah...

Lutt Gaye Hum Kuch Is Tarah Ek Ek Kar Ke Har Koi Chhod Gaya,


Lutt Gaye Hum Kuch Is Tarah,
Ek Ek Kar Ke Har Koi Chhod Gaya,

Dost Bhi Aaj Tanha Chhod Gaye,
Dost Bhi Aaj Hamein Dushman Keh Gaye,

Hum Par YaQeen Karne Wale,
Aaj Humein Bewafa Keh Gaye,

Kitna Sakoon Se Sadiyon Ka Rishta
Ek Pal Mein Tod Gaye,

Hume Apni Jaan Kehne Wale
Aaj Hamein Anjaan Keh Gaye,

Ek Galati Ki Wajahse,
Wo Hume Khud Se Juda Kar Gaye,

Nadani Mein Ek Chhoti Si Galti Ki Thi Maine,
Kyon Wo Itni Badi Saza De Gaye...

Mere Wajood Ki Mujh Mein Talash Chhod Gaya



Mere Wajood Ki Mujh Mein Talash Chhod Gaya,
Jo Puri Na Ho Kabhi Aisi Aas Chhod Gaya,

Wo Chahaton Ki Talab Mann Ki Pyaas Chhod Gaya,
Mujhe Bana Ke Wo Ek Zinda Laash Chhod Gaya,

Yehi Karam Nawazi Uski Mujh Pe Kaam Hai Kiya,
Ke Khud To Door Hai Yaadein To Paas Chhod Gaya,

Jo Khwahishein Thi Kabhi Hasraton Mein Dhal Gayi Ab,
Mere Labon Mein Wo Ek Lafz "KAASH" Chhod Gaya,

Ye Mera Zarf Hai Ek Roz Usne Mujhse Kaha,
Ke Aam Logon Mein Ek Tujhko Khaas Chhod Gaya,

Baharon Se Mujhe Isi Liye To Nafrat Hai,
Inhi Raaton Mein Mujhe Wo Udaas Chhod Gaya,

Ye Zindagi Badi Ajeeb Si



Ye Zindagi Badi Ajeeb Si,
Kabhi Gulzaar Kabhi Bezaar Si,
Kabhi Khushi Hamare Sath Sath,
Kabhi Gamon Ki Barsat Si,
Ye Zindagi Badi Ajeeb Si...

Kabhi Toofan Mein Bhi Hai Raaste,
Kabhi Manzilon Ka Pata Nahi,
Kabhi Do Kadam Pe Zindagi,
Kabhi Sadiyon Tak Intezaar Si,
Ye Zindagi Badi Ajeeb Si...

Kabhi Har Pal Imtihaan Hai,
Kabhi Bin Maange Inaam Hai,
Kabhi Kuch Nahi,
Kabhi Sab Kuch Si
Ye Zindagi Badi Ajeeb Si,
Kabhi Gulzaar Si Kabhi Bezaar Si...

Jo Adhoori Reh Gayi Thi Kahani Sochna


Jo Adhoori Reh Gayi Thi Kahani Sochna
Beth Ker Tanha Faqat Baaten Purani Sochna

Jab Kisi Saahil Pe Aajaiy Meri Yaad Tumhen
Kion Jazeeron Ki Taraf Rehta Hai Paani Sochna

Tum Agar Bicharney Per Khush Ho To Yun He Sahi
Beth Ker Tanha Faqat Shaamen Purani Sochna

Jab Kabhi Likhna Kahani Zeest Ke Mozu Pe Tum
Kioun Badal Jaatey Hen Lafzon Ke Maa’yne Sochna

Mujhe Mat Batana Ke Tum Ne Mujhe Chodne Ka Irada Kiya Tha


Mujhe Mat Batana
Ke Tum Ne Mujhe Chodne Ka Irada Kiya Tha,
To Kyon
Aur Kis Wajahse
Abhi To Tumhare Bichhadne Ka Dukh Bhi Kam Nahi Hua,
Abhi To Main
Baaton Ke, Waadon Ke Sheher Mein
Aankh Par Khush Gumani Ki Patti Ke Liye
Tum Ko Pairon Ke Pichhe, Darakhton Ke Jhund
Aur Deewar Ki Push Par Dhoondne Mein Magan Hoon,
Kahin Par Tumhari Sada Aur Kahin Par Tumhari Mehek,
Mujh Par Hansne Mein Masroof Hai,
Abhi Tak Tumhari Hansi Se Dil Behlaye Hue Hoon,
Aur Is Jung Mein Mera Hathyaar
Apni Wafa Par Bharosa Hai Aur Kuch Nahi,
Ise Kam Karne Ki Koshish Na Karna,
Mujhe Mat Batana...

Guzar Jaate Hai Kitne Pal Kitne Suraj Jaate Hai Dhal


Guzar Jaate Hai Kitne Pal
Kitne Suraj Jaate Hai Dhal

Guzar Jaye Jitne Bhi Saal
Kuch Log Hamesha Rehte Hai Bekal,

Dekh **** Main Bas Ek Baar Aankehin Gayi Hai Taras,
Aati Hai Yaad Bahut Guzar Gaye Kitne Baras,

Ye To Hai Ilm Ki Mumkin Nahi MulaQat
Phir Bhi Hamesha Rahegi Sath Aap Ki Baat,

Shikwa Main Nahi Karungi Allah Se,
Kuch Lamhe Hi Likhe The Mere Sath Aap Ke Liye,

Aap Ke Sath Kitne Achhe Din Guzre Jab The Hum Bachhe,
Laut Aaye Wo Din Pal The Wo Bahut Hi Achhe,

Main Ro Jaati Thi Chhoti Chhoti Baat Par,
Has Jaati Thi Aap Ke Manane Par,

Chale Gaye Aap Chupke Se
Ke Na Ki Wafa Zindagi Ne Mujhse,

Jo Roungi Main Ab
To Kuch Pochhega Mere Aansu Tab,

Thi Na Bahut Jaldi Har Kaam Ki Aapko,
Mera Dil Todne Me 2 Pal Na Lage Aapko,

Yahan Nahi Miloge Lekin Miloge Wahan,
Khoob Main Ro Lungi, Kyon Chhod Gaye Aap Is Tarah...

Dil Nahi Chahta Mera Hasne Ka Israar Na Kar


Dil Nahi Chahta Mera Hasne Ka Israar Na Kar,
Aansu Bhi Tune Diye Chahe Tu IQraar Na Kar,

Ab To Dil Chahta Hai Din Raat Andhere Mein Rahoon,
Roshni Jhuth Ki De Kar Mujhe Bezaar Na Kar,

Ujde Ujde Se Manzar Ko Kahan Tak Dekhun,
Neend Aankhon Mein Bhari Hai Mujhe Bedaar Na Kar,

Kaun Baitha Hai Meri Raah Take, Yaad Kare,
Jaake Ab Kisse Kahoon Mera Intezaar Na Kar,

Saans Ka Bojh Uthaun Ya Use Samjhaun,
Zinda Rehne Ki Duwa De Ke Sharam Saar Na Kar...

Maine Tumse Pyaar Kiya Tha Dil-O-Jaan Tum Pe Nisaar Kiya Tha


Maine Tumse Pyaar Kiya Tha,
Dil-O-Jaan Tum Pe Nisaar Kiya Tha,

Chhodoge Na Saath Mera Saari Zindagi,
Wafa Ka Tumne Bhi Ikraar Kiya Tha,

Humne To Tumhari Raahon Par Phool Bichhaye The,
Un Raahon Ke Kaante Apne Haathon Se Uthaye The,

Magar Aye Bewafa Tune Meri Wafa Ka Kya Sila Diya,
Gair Ki Khatir Mujhko Dil Se Bhula Diya,

Main Kaun Hoon Tumhari Jo Mujhe Yaad Karo Tum,
Apne Do Aansu Bhi Mujhpar Barbaad Karo Tum,

Khudki Naav To Kinaare Par Laga Li,
Mujhe Bich Majhdhaar Me Hi Chhod Diya,
Is Dil Mein Jo Basa Tha Pyar Tera,
Maine Bhi Us Diko Hi Tod Diya,

Jo Gali Tere Ghar Tak Jaati Thi,
Us Gali Se Hi Maine Muh Mod Liya,
Badnaam Na Ho Jaye Tu Duniya Mein Kahin,
Isliye Tera Naam Lena Hi Chhod Diya,

Jab Kabhi Bhi Yaad Aayegi Tumhari,
Sochenge Tumhe Dekha Hi Nahi,

Tu Jahan Bhi Rahe Sada Khush Rahe,
Tujhe Dilse Main Bhula Rahi Hoon,
Tere Pyar Ki Jo Haseen Yaadein Hai Dil Mein,
Un Yaadonko Lauta Rahi Hoon,
Mujhe Tumhari Bewafai Se Koi Shikwa Nahi,
Main Tumhari Zindagi Se Jaa Rahi Hoon...

Pyaar Hi Wo Jazba Hai Jo Sabke Dil Me Basta Hai


Pyaar Hi Wo Jazba Hai Jo Sabke Dil Me Basta Hai,
Pyaar Hi Ke Dam Se Insaan Rote Rote Hasta Hai,
Pyaar Hi Apni Kamzori, Pyar Hi Apni TaQat Hai,
Pyaar Hi Har Ek Ki Manzil Ko Jane Wala Rasta Hai,
Pyaar Hi Khel Hai, Pyar Hi Zaroorat Hai,
Pyaar Hi Anmol Hai Sab Se, Pyar Hi Sabse Sasta Hai,
Pyaar Kisike Jeene Ka MaQsad, Kisike Jeewan Ka Amrit Hai,
Pyaar Hi Kisi Ko Naag Ki Maanind Baar Baar Dasta Hai,
Pyaar Hi Wo Jazba Hai Jo Sabke Dil Me Basta Hai,
Pyaar Hi Ke Dam Se Insaan Rote Rote Hasta Hai...

Ye Mojazaa Bhi Mohabbat Kabhi Dikhaye Mujhe


Ye Mojazaa Bhi Mohabbat Kabhi Dikhaye Mujhe,
Ke Patthar Tujhpe Gire Aur Zakham Aaye Mujhe,

Wo Meherbaan Hai To IQraar Kyon Nahi Karta,
Wo Badgumaan Hai To Sau Baar Aazmaye Mujhe,

Main Apne Paanv Tale Kuchalti Hoon Saaye Ko,
Badan Mera Hi Bhari Dopaher Na Bhaye Mujhe,

Main Ghar Se Teri Tamanna Pehen Ke Jab Niklun,
Saare Shaher Mein Koi Nazar Na Aaye Mujhe,

Wo Mera Dost Hai Saare Jahan Ko Hai Malum,
Daga Kare Wo Kisise To Sharam Aaye Mujhe,

Main Apni Zaat Mein Nilam Ho Rahi Hoon,
Gam-E-Hayaat Se Keh Do Khareed Laye Mujhe...

Zindagi Mein Meri Ye Ajab Mod Hai Aaya



Zindagi Mein Meri Ye Ajab Mod Hai Aaya,
Wo Shakhs Bhi Kho Gaya Jise Tha Muddaton Mein Paya,

Uska Masoom Sa Chehre Meri Nigahon Ko Bhaya,
Is Chehre Ne Hi To IshQ Ka Hai Rog Lagwaya,

Kabhi Jo Hans Hans Ke Baat Karta Tha Mujhse,
Aaj Uski Narazgi Ne Mujhe Betahasha Rulaya,

Wo Na Mana To Pal Mein Bikhar Jaungi Main,
Dil Hota Hai Wo Ghar Jo Ujda To Kisine Na Basaya,

Uski Udasi Par Dilko Na Kyon Udas Karun,
Dil Ne Mere Bhi To Hai Use Shiddat Se Chaha,

Is Qadar Aadat Hogayi Hai Mujhe Uski,
Kaano Mein Aahat Ati Hai, Nazar Aata Hai Deewar Par Saya,

Khayalon Mein Khauf, Baaton Mein Zeher Aa Gaya Hai,
Darr Lagta Hai Mann Ko Kahin Wo Ho Jaye Na Paraya,

Samne Labb Uske Khamosh Ho Jate Hai Mere,
Warna Tasavvur Mein Tha Maine Use Khoob Manaya...

Kitni Mushkilon Se Usne Mujhe Bhulaya Hoga


Kitni Mushkilon Se Usne Mujhe Bhulaya Hoga,
Meri Yaadon Ne Use Bhi Khoob Rulaya Hoga,

Baat Be Baat Aankh Uski Jo Chhalki Hogi,
Usne Chehre Ko Haathon Mein Chupaya Hoga,

Socha Hoga Usne Din Mein Kitni Baar Mujhe,
Naam Hatheli Par Likh Likh Ke Mitaya Hoga,

Jahan Usne Mera Zikar Suna Hoga Kisise,
Uski Aankhon Mein Koi Aansu To Aaya Hoga,

Raat Ke Bheegne Tak Neend Na Aayi Hogi,
Usne Takiye Ko To Seene Se Lagaya Hoga,

Ho Ke Majboor Meri Yaadon Se Usne Kabhi
Meri Tasveer Par Apna Sar Tikaya Hoga...

Ek Muddat Se Zamane Mein Bhatakte Hue Hum


Ek Muddat Se Zamane Mein Bhatakte Hue Hum,
Khud Se Gar Mil Hi Gaye Hai To Koi Baat Karein,
Aao Khwaabon Se Mulakat Karte Hai...

Aao Sapno Se Sune Apni Kahani Dilki,
Apna Izhaar Karein Inki Zubani Dilki,
Khudse Izhaar Jo Karna Hai To Yun Karte Hai,
Dil Mein In Jalte Charagon Ke Isharaat Karte Hai,

Aao Khwabon Se Mulakat Karein,
Khud Mein Doobe Hue Logonke Ishare To Karein,
Aa Hi Jayenge Chalo Inko Pukara To Karein,
Dil Me Lehrate Hue Zakhmo Ka Chara To Karein,
Din Guzrein Kisi Khushbu Mein,
Kisi Roshni Ki Rimjhim Me Kahin Raat To Karein...

Aao Khwabon Se Mulakat Karein,
Husn Aur Aman Ke Liye Mare Saare Logon
Ek Nayi Duniya, Naye Din Ki Shuruat Karein,
Aao Khwabon Se Mulakat Karein,
Aao Khwabon Se Mulakat Karein...

Toote Hue Khwabon Mein HaQeeQat Dhundti Hoon


Toote Hue Khwabon Mein HaQeeQat Dhundti Hoon,
Patthar Ke Dilon Mein Mohabbat Dhundti Hoon,

Nadaan Hoon Main Ab Tak Ye Bhi Nahi Samjhi,
Bejaan Baaton Mein Ibaadat Dhundti Hoon,

Mere Jazbaaton Ki Keemat Yahan Kuch Bhi Nahi,
Be-Imaani Ke Bazaron Mein Sharafat Dhundti Hoon,

Is Ajnabi Duniya Mein Koi Bhi Apna Nahi,
Gairon Ki Aankhon Mein Apni Surat Dhundti Hoon,

Ummid Ki Thi Pyar Ki Bas Yehi Bhool Thi Meri,
Girte Hue AshQon Mein Apni Hasrat Dhundti Hoon...

Dukh Dard Ke Maaron Se Mera Zikar Na Karna

.Dukh Dard Ke Maaron Se Mera Zikar Na Karna,
Ghar Jao To Yaaron Se Mera Zikar Na Karna,

Wo Zabt Na Kar Payeinge Aankhon Ke Samandar,
Tum Gum Guzaro Se Mera Zikar Na Karna,

Phoolon Ke Nasheman Main Rahi Hoon Sada Se,
Dekho Kabhi Gairon Se Mera Zikar Na Karna,

Shayad Ye Andhere Hi Mujhe Raah Dikhaye,
Ab Chaand Sitaron Se Mera Zikar Na Karna,

Wo Meri Kahani Ko Galat Rang Na De De,
Afsana Bananewalo Se Mera Zikar Na Karna,

Shayad Wo Mere Haal Pe Be-Sakhta Ro De,
Is Baar Baharon Se Mera Zikar Na Karna,

Le Jayenge Gehrayi Me Tum Ko Bhi Baha Kar,
Dariya Ke Kinaro Se Mera Zikar Na Karna,

Wo Shakhs Mile To Usse Har Baat Batana,
Tum Sirf Isharon Se Mera Zikar Na Karna!!!

Dost Milte Hai Dilko Dukhane Ke Liye



Dost Milte Hai Dilko Dukhane Ke Liye,
Ungliyan Rakhte Hai Wo Humpe Uthane Ke Liye,

Kya Kasoor Unka Ye Rasam Chali Aayi Hai,
Tohmatein Hoti Hai Duniya Mein Lagane Ke Liye,

Hum Khuda Maan Ke Baithe Hai Jinki Kashti Mein,
Wo Hamein Maujon Mein Laaye Hai Dubane Ke Liye,

Wo Hawaon Ki Tarah Rukh Ko Badal Lete Hai,
Hum Naseebon Se Lade Jinhe Paane Ke Liye...

Chahat Ke Is Dhere Par Dariya Aur Kinare Par


Chahat Ke Is Dhere Par,
Dariya Aur Kinare Par,
Dil Ko Aaj Aazad Kiya,
Maine Tumhko Yaad Kiya!!!

Tanhayi Ki Raaton Mein,
Khud Hi Baaton Baaton Mein,
Is Dilko Yun Shaad Kiya,
Maine Tumhko Yaad Kiya!!!

Jab Se Tumko Dekha Hai,
Jab Se Tumko Chaha Hai,
Har Ek Pal Fariyaad Kiya,
Maine Tumhko Yaad Kiya!!!

Is Jeewan Ke Nisaabon Mein,
Aur Raaton Ke Khwabon Mein,
Jaag Ke Bhi Dil Shaad Kiya,
Maine Tumhko Yaad Kiya!!!

Phool Ke Khilne Se Pehle,
Tumko Milne Se Pehle,
Khud Ko To Barbad Kiya,
Maine Tumhko Yaad Kiya!!!

Musafir Ke Raste Badalte Rahe


Musafir Ke Raste Badalte Rahe,
MuQaddar Me Chalna Tha Chalte Rahe,

Mere Raasto Me Ujala Raha,
Diye Uski Aankhon Me Jalte Rahe,

Mohabbat Adawat Wahan Berukhi,
Kiraye Ke Ghar The Badalte Rahe,

Suna Hai Unhe Bhi Hawa Lag Gayi,
Hawaon Ke Rukh Jo Badalte Rahe,

Wo Kya Tha Jise Humne Thukra Diya,
Magar Umar Bahr Bahar Hath Milate Rahe...

Is Zamane Se Na Hum Koi Gila Rakhenge


Is Zamane Se Na Hum Koi Gila Rakhenge,
Dil Lagayenge To Na Shart-E-Wafa Rakhenge...

Na Dikhayenge Kabhi Dilpe Lage Zakham Unhe,
Dard Uthega Magar Dilko Daba Rakhenge...

Jaan De Denge Agar Ek Ishara Kar De,
Hum Use Apne Liye Bhi Na Bacha Ke Rakhenge...

Sab Hata Denge Teri Raah Ki Rukawat Saathi,
Ghar Ke Darwaze Ko Har WaQt Khula Rakhenge...

Unki Har Baat Ko Bhoole Se Na Bhulenge Kabhi,
Unki Yaadon Ko Bhi Seene Se Laga Rakhenge...

Toot Bhi Jayegi Ummeed Jo Tere Aane Ki,
Ek Diya Phir Bhi Hawaon Mein Jala Rakhenge...

Hum Apni Wafaon Ka Sila Kisse Maangte


Hum Apni Wafaon Ka Sila Kisse Maangte,
Hum Ba-Wafa The Lekin Wafa Kisse Maangte,

Khud Hi To Ki Thi Humne Apne Rab Se Bagawat,
Phir Hum Jo Dua Mangte To Kisse Maangte,

Jo The Dhadkan Dil Ke Wo Bhi Dushman-E-Jaan The,
Is Dil Ki Dua Mangte To Kisse Maangte,

Mehboob Jo Tha Wo Bhi To Naraz Tha Humse,
Koi Shokh Ada Mangte To Kisse Maangte,

Jo WaQt Guzar Jaaye To Wapas Nahi Aata,
Wo WaQt Gaya Maangte To Kisse Maangte,

Hum Uski Justajoo Mein Hue Khud Se Begane,
Hum Ghar Ka Pata Maangte To Kisse Maangte...

Haan Abhi Soch Le Faislon Ka Safar


Haan Abhi Soch Le
Faislon Ka Safar
Lafz Ki Narm Chaanv Mein Katta Nahin
Aur Sun
Faislon Ki Nadamat Se TaQleef Deh Koi Bhi Dukh Nahin
Jitne Khadshe Mere Saath Chalne Mein Hain
Is Dorahe Pe Ruk
Aur Inhe Apni Aankhon Mein Tarteeb De
Jaan Le
WaQt Ke Dasht-E-Bey Barg Mein Wapsi Ke Liye Koi Rasta Nahin
(Manzaron Ka Naya Pan Puraani Ruton Ke Liye Maut Hai)
Jo Hawaa Mere Jumley Ke Aghaaz Mein
Tere Baalon Ko Chhute Hue Chal Rahi Thi Usi WaQt Se
Mar Chuki Hai Ke Ab
Us Ka Hona Na Hona Tere Waste Ek Hai
(Aur Tujh Ko Pata Hai Kisi Ki Zindagi Us Ta'aluQ Se Hai Jo Kisi Zaat K

Rabtey Se Bane
Haan Yehi WaQt Hai
Rabte Aur TaaluQ Ke Mayne Samajh
Jitney Khadshey Merey Saath Chalne Mein Hain
Is Dorahe Par Ruk
Aur Inhein Apni Aankhon Mein Tarteeb Dey
Ke Abhi Tere Haathon Ka Har Rabta
Tere Haathon Mein Hai!!!

Jeete Rehne Ki Saza De Aye Zindagi


Jeete Rehne Ki Saza De Aye Zindagi
Ab To Marne Ki Dua De Aye Zindagi

Main To Ab Ukta Gayi Hoon Kya Yehi Hai Kaayenaat,
Bas Ye Aaina Hata De Aye Zindagi,

Dhundne Nikali Tha Tujhko Aur Khudko Kho Diya,
Tu Hi Ab Mera Pata De Aye Zindagi,

Ya Mujhe Ehsaas Ki Is Qaid Se Kar De Rihaa,
Warna Deewana Bana De Aye Zindagi...

Mera Dil Bahut Udaas Hai Ye Raatein Be-Sukoon Ha



Mera Dil Bahut Udaas Hai,
Ye Raatein Be-Sukoon Hai,
Ye Din Be-Araam Hai,
Mujhe Mohabbat Ki Pyaas Hai,
Mera Dil Bahut Udaas Hai...

Ab Jo Tu Mujhse Bichhad Gaya,
Mera Chain Bhi Mujhse Kho Gaya,
Na Jane Kyon Phir Teri Aas Hai,
Mera Dil Bahut Udaas Hai...

Tujhe Bhulneki Jab Koshish Kari,
HaQeeQat Ko Samajhneki Koshish Kari,
Yun Laga Tu Kahin Aas Paas Hai,
Mera Dil Bahut Udaas Hai...

Zindagi Aise Daurahe Par Aayi Hai,
Ke Sirf Main Aur Meri Tanhayi Hai,
Na Jaane Ye Kaisa Ajeeb Ehsaas Hai,
Mera Dil Bahut Udaas Hai...

Popular Posts