Saturday, July 17, 2010

Dhala Hai Chand Lo Akhir-E-Shab Hai Ab So To Jayein


Dhala Hai Chand, Lo Akhir-E-Shab Hai Ab So To Jayein,
Kaho In Bolti Aankhon Se Ke Khamosh Ho Jayein,

Andheri Raat Mein Roshan Sitara Kisne Dekha Hia,
Samundar Ke Safar Mein Haan Kinara Kisne Dekha Hai,
Sambhal Jaa Aye Dil Ke Tumhe Samjhaaye Jaate Hai,
Kahin Aisa Na Ho Hum Inki Gehrayi Mein Kho Jayein,

Kaho In Bolti Aankhon Se Ke Khamosh Ho Jayein,

Ye Chaha Kab Tha Inki Aseeri Chhode Jana Hai,
Magar Kismat Mein Likha Tha So Likha Tha Humne Mana Hia,
Humein Aise Jo Dekhenge To Ab Bhi Na Paayenge,
Na Paas Aao Ke Jate Waqt Hum Qurbat Pe Ro Jayenge,

Kaho In Bolti Aankhon Se Ke Khamosh Ho Jayein,

Hamara Muskura Kar Alwida Kehna Inhe Bhaaya,
Magar Ye Kya Abhi Se In Mein Sawan Utar Aya?
Inhe Roko Hamare Dil Ka Yun Na Imtihaan Lein Ab,
Ye Baadal Ab Kahin Muh Ko Hamare Na Bhigo Jayein...

Kaho In Bolti Aankhonse Ke Khamosh Ho Jaayein...

Dua Hia Ye Sada Hasti Rahein Roshan Rahe Har Dum,
Zamane Bhar Ki Ho Khushiyan, Ye Na Dekhein Ab Koi Gam,
Meri Aankhon Ke Jugnoo Bhi Inhi Ki Shaam Mein Chamkein,
Khudaya! Saare Mausam In Mein Rang-O-Boo Sama Jayein...

Kaho In Bolti Aankhonse Ke Khamosh Ho Jaayein...

No comments:

Popular Posts