Saturday, May 14, 2011

Teri Bewafai Ka AashiQui Ka Matam Hai


Teri Bewafai Ka AashiQui Ka Matam Hai,
Zindagi Ki Raahon Mein Zindagi Ka Matam Hai,

Mujhko Dass Gaye Dekho Saanp Aastino Ke,
DushMano Ka Shikwa Kya Dosti Ka Matam Hai,

Ro Rahe Hai DushMan Bhi Aaj Meri Hayat Par,
Aa Ke Dekh Le Teri Berukhi Ka Matam Hai,

Ho Gayi Khata HuMse TuMko Toot Kar Chaha,
Jo HaMein Na Raas Aayi Us Khushi Ka Matam Hai,

Kal Ujale Baante The HuMne Saari Duniya Ko,
Aaj Khud Mere Ghar Mein Roshni Ka Maatam Hai,

Dilke Tukde TuM ZaliM Chunke Bhar Lo Daman Mein,
Puchhe Koi Keh Dena Dillagi Ka Matam Hai...

Bhid Mein Rishton Ki Is Dilko Akele Dekha


Bhid Mein Rishton Ki Is Dilko Akele Dekha,
Zindagi Aisi Bhi HuMne Tera Chehra Dekha,

Ab To Band Hone Ki Aankhon Ko Ijaazat De De,
Barson Aankhone Tera Jaag Ke Rasta Dekha,

UMar Bhar Saath Chale Phir Bhi Rahe HuM Tanha,
HuMne Qurbat Mein Bhi Faasla Aisa Dekha,

Usne Baahon Mein SaMa Rakhe The Dariya Lekin,
HuMne Saahil Ko Jo Dekha Bhi To Pyaasa Dekha...

Dareeche Se Jhankti Wo Ladki Ajab Dukh Se Bhari Hui Hai


Dareeche Se Jhankti Wo Ladki Ajab Dukh Se Bhari Hui Hai,
Ke Uske Aangan Mein Phool Par Ek Titli Mari Hui Hia,

Kabhi Azano Mein Khoyi Khoyi, Kabhi NaMazon Mein Royi Royi,
Wo Aise Duniya Ko Dekhti Hia Ke Jaise Usse Dari Hui Hia,

Dard Se Mehki Mehki Saansein, Wazeefa Padhti Hui Wo Aankhein,
Ke Wo ShaMa UMMid InMein Kayi Baras Se Dhari Hui Hia,

Wo Dukh Ki Chadar Mein Lipti Lipti, Wo Kaale Kapdon Mein SiMti SiMti,
Mohabbat Usne Kisi Se Shayad Meri Tarah Hi Kari Hui Hia,

Bade ZaMano Ke Baad Barsi Hia Meri Aankhein Kisi Ki Khatir,
Bade ZaMano Ke Baad Dil Ki ZaMeen Phir Se Hari Hui Hia...

Aye Ho To Thoda Baitho, Ek Raaz Ki Baat Batate Hai


Aye Ho To Thoda Baitho, Ek Raaz Ki Baat Batate Hai,
TuM SaMjho Ya Na SaMjho Phir Bhi TuM Ko SaMjhate Hai,

Jee Kar Ke NaaM KaMana To Aksar Logon Ko Ata Hai
Kuch Aise Log Bhi Hote Hain Jo Mar Kar NaaM KaMate Hai

Pehle To Pyar Ki Baatein Wo SharMa SharMa Batlate The,
Ab Haal-E-Dil Ka Afsana Batla Kar Ke SharMate Hai,

Pehle Wo Gusse Mein Aksar Ruk Ruk Karke Chal Padte The
Ab Mere Khayalon Mein Shayad Chalte Chalte Ruk Jate Hai,

MaluM Nahin Dil Ki Dhadkan Seene Mein Hai Ya Mehfil Mein,
Lekin HuM Unke Jaate Hi Bechain Bahut Ho Jate Hai,

Koi Dhundo Us Shayar Ko Jisne Chand Achhe Sher Likhe
Likhte Likhte Waise Aksar Khud Mein Hi GuM Ho Jate Hai

Main mar mita to wo samjha ye inteha thi meri




Main mar mita to wo samjha ye inteha thi meri
Usay khabar hi na thii, khaak kimiya thi meri

MaiN chup hua to wo samjha k baat khatam hui
Phir us k baad to aawaaz ja ba ja thi meri

Jo taa’na zan tha meri poshish E dardidaa par
Usi ke dosh pay rak_khi houi qaba thi meri

MaiN us ko yaad karuN bhi to yaad ata nahiN
MaiN us ko bhool gaya huN, yahi saza thi meri

Shikast de gaya apna Ghoroor hi us ko
Wagarna us k muqabil basaat kya thi meri

KahiN dimaGh kahiN dil kahiN badan hi badan
Har ek se dosti yaari juda juda thi meri

Koi bhi koo E muhabbat say phir nahin guzra
To shahr E ishq maiN kya akhri sada thi meri

Jo ab ghamand say Sar ko uThaaye phirti hai
Isi tarah ki to makhlooq khaak E pa thi meri

Har aik shair na tha dar khor E qaseeda dost
Aur us say tab’ae E rawaaN khub aashna thi meri

MaiN usko dekhta rahta tha hairatoN se ‘Faraz’
Ye zindagi se ta’aaruf ki ibtedaa thi meri

Tum apni ranj-o-ghum apni pareshaani mujhe de do


Tum apni ranj-o-ghum apni pareshaani mujhe de do
Tumhe gam ki kasam is dil ki veerani mujhe de do

Ye mana main kisi qaabil nahi hoon, in nigahon main
Bura kya hai, ye hairaani, ye dukh, mujhe de do

Main dekhoo to sahi duniya tumhe kaise satati hai,
Koi dil ke liye apni nigehbaani mujhe de do

Wo dil jo maine maanga tha magar gairon ne paaya hai,
Badi sahi hai agar pareshaani mujhe de do

Agar mujhse mohabbat hai



Agar mujhse mohabbat hai
Mujhe sab apane ghum de do
In aankhon kaa har ek aansoo
Mujhe meri kasam de do
  **** Agar mujhse mohabbat hai ****

Tumhaare gam ko apanaa gam banaa lo
To karaar aaye
Tumhaaraa dard seene mein chhoopaa lo
To karaar aaye
Woh har shay jo
Tumhe dukh de
Mujhe mere sanam de do

  **** Agar mujhse mohabbat hai ****

Shareek-e-zindagi ko kyon
Shareek-e-ghum nahi karate
dukhon ko baatakar kyon
In dukhon ko kaam nahi karate
Tadap is dil ki thodee see
Mujhe mere sanam de do
  **** Agar mujhse mohabbat hai ****

In aakhon mein naa ab mujh ko kabhi aasoo nazar aaye
Sadaa hasatee rahe aankhe
Sadaa ye honthh musakaye
Mujhe apani sabhi aahein
Sabhi dard-o-alam de do
 
  **** Agar mujhse mohabbat hai ****
Mujhe sab apane gam de do
In aankhon kaa har ek aansoo
Mujhe meri kasam de do

Meri Soch Musafir Mera Qalam Rahgir Hai


Meri Soch Musafir Mera Qalam Rahgir Hai,
Mera Andaz-E-Bayan Mera ZoQ-E-Aagahi Ki Tafseer Hai,

Khaak Hoon Manzil Bhi Meri Khak Magar Sach Hai,
Duniya Kuch Nahi FaQat Mere Khwabon Ki Tafseer Hai,

Main Rond Gaya Hota Kab Se Dar-E-Washet,
Meri Wafa Magar Mere Paanv Ki Zanjeer Hai,

Mere Andaz-E-Bayan Se Nalayan Na Hona Ke
Mera Sach Hi Mera MujaseM Meri Tasveer Hia,

Bhatakti Chahat Par Pehre Bithana Kab Aasan Hua,
Ye Chahat Ye Ulfat To Zindagi Ka Safar Hai,

Mere Warson Mein Warset Ka Zikr Hai Asfer,
Kya Bataun? Chahat Poonji Chahat Hi Jagir Hia...

Hum Jab Apne Dard Ko Dilse Juda Karne Lage


Hum Jab Apne Dard Ko Dilse Juda Karne Lage,
Ye ZakhM HaMare Marne Ki Duwa Karne Lage,

HuMne Jaan De Di Unhe Aaya Na Pyar Phir Bhi,
Upar Se Mere Baad Gairon Se Wafa Karne Lage,

KaMbakht Zubaan Ko Ab Koi Aur Shay Bhaati Nahi,
HuM Jabse Apne AshQon Ka Naksha Karne Lage,

Mere DushMan Khat Unhe Pahucha Rahe Hai,
Unke Dost Mere ZakhMonki Dua Karne Lage,

Rote Hai HuM To GaM Ke Mare Aye Jaan-E-ChaMan,
Kyon Aankhein Aap Maili Bewajah Karne Lage,

Abhi Likha Tha Bewafa Likhne Lagta Tha,
Mere KalaM Mere Hathon Se Gila Karne Lage...

Kuch Kehne Ko Jee Chahta Hai



Kuch Kehne Ko Jee Chahta Hai,
Aaj Rone Ko Jee Chahta Hai,

Jaagte Mein Sab Dekh Liya Yaaron,
Ab Sone Jo Jee Chahta Hai,

Teri Aankh Mein Apna AQs Dekh Kar,
Kajal Hone Ko Jee Chahta Hai,

Chandni Dekhkar HaMein Bhi
Chaand Hone Ko Jee Chahta Hai,

Subah Se Bahut Hans Liya Kya,
Aankh Bhigone Ko Jee Chahta Hai,

Wo Bahut Pyara Hai Magar Ab
Juda Hone Ko Jee Chahta Hai,

Tere Daag-E-Dil Dekhkar Mohsin Apne
Daag Dhone Ko Jee Chahta Hai...

Ye Aarzu Hi Rahi Koi Aarzu Karte


Ye Aarzu Hi Rahi Koi Aarzu Karte,
Khud Apni Aag Mein Jalate Jigar Lahoo Karte,

Tere JaMaal Ka Paratao Nigaah Mein Hota,
Kabhi Saba Se Kabhi Gulse Guftagu Karte,

Tere Khayal Mein GuM Hoke Ek Gazal Kehte,
Aur Us Gazal Ko Na Ruswa Kubakoo Karte,

HuM Ahl-E-Dil Ko Bahut Tha Ye Nasha-E-GaM Bhi,
Usi Sharab Se Raushan Subu-Subu Karate,

Ye EhtaraaM-E-Junoon Hai Ke See Liya DaaMan,
Wagarna Ek TaMasha-Sa Kubakoo Karte,

HaMein Yakeen Hai Ke Gar Tu Kareeb Bhi Hota,
To Door Jaake Kahin Teri Justaju Karte...

Bas Ek Jhijhak Hai Yahi Haal-E-Dil Sunane Mein


Bas Ek Jhijhak Hai Yahi Haal-E-Dil Sunane Mein
Ki Tera Zikr Bhi Aayega Is Fasaane Mein

Baras Padi Thii Jo Rukh Se NaQaab Uthane Mein
Vo Chandni Hai Abhi Tak Mere Gareeb-Khaane Mein

Isi Mein IshQ Ki QisMat Badal Bhi Sakti Thi
Jo WaQt Beet Gaya Mujh Ko AazMaane Mein

Ye Keh Ke Toot Pada Shaakh-E-Gul Se Aakhri Phool
Ab Aur Der Hai Kitni Bahaar Aane Mein

Dil Ki Meri BeQarari Mujhse Kuchh Puchho Nahi


Dil Ki Meri BeQarari Mujhse Kuchh Puchho Nahi,
Shab Ki Meri Aah-O-Zaari Mujhse Kuch Puchho Nahi,

Baar-E-GaM Se Mujh Pe Roz-E-Hijr Mein Ek Ek Ghadi,
Kya Kahun Hai Kaisi Bhaari Mujhse Kuch Puchho Nahi,

Meri Surat Hi Se Bas MaluM Kar Lo Doston,
TuM HaQeeQat Meri Saari Mujhse Kuchh Puchho Nahi,

ShaaM Se Taa-Subah Jo Bistar Pe TuM Bin Raatko,
Maine Ki Akhtar-ShuMaari Mujhse Kuchh Puchho Nahi,

Aye SanaM Jo Haal Hai Mera Karungi Gar Bayan,
Hogi Unki SharM-Saari Mujhse Kuch Puchho Nahi...

Pareshan Raat Saari Hai Sitaron TuM To So Jao


Pareshan Raat Saari Hai Sitaron TuM To So Jao,
Sakoot Marg Tari Hai Sitaron TuM To So Jao,

Hanso Aur Haste Haste Doobte Jao Khayalon Mein,
HuM Hi Par Raat Bhari Hai Sitaron TuM To So Jao,

HaMein To Aaj Ki Shab Pau Phatne Tak Jagna Hoga,
Yehi KisMat HaMari Hai Sitaron TuM To So Jao,

TuMhe Kya Aaj Bhi Koi Agar Milne Nahi Aaya,
Ye Baazi HuMne Haari Hai Sitaron TuM To So Jao,

Kahe Jaate Ho Ro Ro Kar HaMara Haal Duniya Se,
Ye Kaisi Raazdari Hai Sitaron TuM To So Jao,

HaMein Bhi Nind Aa Jayegi HuM Bhi So Hi Jayenge,
Abhi Kuch BeQarari Hai Sitaron TuM To So Jao...

Ek Gazal Uspe Likhoon Dilka Takaza Hai Bahut


Ek Gazal Uspe Likhoon Dilka Takaza Hai Bahut,
In Dino Khudse Bichhad Jaane Ka Dhadaka Hai Bahut,

Raat Ho Din Ho Gaflat Ho Ke Bedaari Ho,
Usko Dekha To Nahi Hai Use Socha Hai Bahut,

Tashnagi Ke Bhi MuQaaMaat Hai Kya Kya Yaani,
Kabhi Dariya Nahi Kaafi, Kabhi Qatraa Hai Bahut,

Mere Haathon Ki LaQeeron Ke Izaafe Hai Gawah,
Maine Paththar Ki Tarah Khudko Taraasha Hai Bahut...

Har Baat Pe Ab To Hasna Acha Nahi Lagta



Har Baat Pe Ab To Hasna Acha Nahi Lagta.
GhaM-E-AshiQi Se Hatna Acha Nahi Lagta.

Khidki Me Mera Koi Intezar Nahi Karta Ab.
Tere Ghar Se Ab Guzarna Acha Nahi Lagta.

Rahon Me Teri Yaad Ke Jugnoo Hain Ja Baja.
Ab Saath Kisi Ke Chalna Acha Nahi Lagta.

Aye Jaan TuMhe Kab Tak Har Baar Manaun Main
Har Baat Pe Bigadna Acha Nahi Lagta.

Sono Kabhi Ankhoon Ko Kahe Deti Hain Yeh Bahut Kuch.
Har Baat Zubaan Se Kehna Acha Nahi Lagta.

Sawan Ki Ruto Ko Chup Chap Ganwa Deta Hun.
Darakhton Se Ab Lipatna Acha Nahi Lagta.

Dastor_E_Zaban Bandi Seekhi Hai *** Kha Kar.
Haal-Dil Sabhi Se Kehna Acha Nahi Lagta.

Ab Kisi Nigah-E-ShoQ Ko Intezar Nahi Hai Mera.
Ab Yaad Kisi Ki Rakhna Acha Nahi Lagta.

Mai Janta Hun Wafa Ki Manzil Nahi Hai Koi.
Par Is Ab Rah Se Palatna Acha Nahi Lagta...

Dil Nahi Hai Ye Jaan Hai Pyaare



Dil Nahi Hai Ye Jaan Hai Pyaare,
Is Mein Ek MehMaan Hai Pyaare,

HuM Wafa Karte TuM Jafa Karte,
Kaisa Tera IMaan Hai Pyaare,

Paas Reh Ke Bhi Door Hoon Tujhse,
IshQ Ka IMtehaan Hai Pyaare,

Chah Par Bas Nahi Arha Mera,
Hasratein Be-IMaan Hai Pyaare,

Ho Ke Haasil Bhi Tu Nahi Haasil,
Faasle DarMiyan Hai Pyaare,

Muskurane Se Dard Hota Hai,
Dard Dil Ki Hi Shaan Hai Pyaare,

Toote Dil Rehte Hai Jahan SanaM,
Ghar Nahi Wo Makaan Hai Pyaare

Agar Taaron Ki Roshni Chura Li Jaye


Agar Taaron Ki Roshni Chura Li Jaye,
To Wo HaMesha Ke Liye Andheron Mein Kho Jayein,

Agar Chand Se Chandni Na Mile
To Wo Banjar ZaMeen Ke Siwa Kuch Bhi Nahi Hai,

Ye Nazuk Phool Rangon Aur Khushbuon Ke Bina Kuch Bhi To Nahi,
Pani Jo Pyaas Na Bujha Paye Wo Pani Hi Kya,

Ek JisM Rooh Ke Bagair Bejaan Hai,
Bas Ek Khaak Hai, Bas Mitti Hai,

TuMhare Bina Meri Zaat Aise Hi Hai,
TuM Bin Ye Ehsaas, Ye Jazbaat, Ye Lagan
Sab Be Maani Hai, Be Sood Hai,

Mera Dil Aur Meri Rooh Bechain Hai,
Mujhe Sukoon Nahi, Mujhe Qarar Nahi Hai...

Kitni Baatein Hai Jo Chhupaye Baithe Hai HuM Dil Mein Apne


Kitni Baatein Hai Jo Chhupaye Baithe Hai HuM Dil Mein Apne,
Kitne ArMaan Hai Jo Dabaye Baithe Hai HuM Dil Mein Apne,

Kabhi Puchho Un Aankhon Se Jo Raat Bhar Jaagi Ho Intezar Mein,
Kitne Khwab Hai Jo Sajaye Baithe Hai HuM Dil Mein Apne,

Wo Raaste Se Aankh Bachate Guzar Jaate Hai Bekhabar,
Kitne Phool Hai Jo Bichhaye Baithe Hai HuM Dil Mein Apne.

Aur Kaanto Ko Lahoo Kisine Pilaya Hoga



Aur Kaanto Ko Lahoo Kisine Pilaya Hoga,
HuMsa Diwana Koi Is ChaMan Mein Aaya Hoga,

Besabab Bhala Kaun Kab Ulajhta Hai Kisise,
Aapne Guzra Hua Kal Yaad Dilaya Hoga,

Na Aaya Hai HuMsa Na Aayega Koi Is Duniya Mein,
VaheM Ne Yaad Karke Pardon Ko Hilaya Hoga

Ye Bhi Nahi BeeMar Na The


Ye Bhi Nahi BeeMar Na The,
Itne Junoon Aasaar Na The,

Logonka Kya Zikr Karein,
HuM Bhi KaM Ayaar Na The,

Ghar Mein Aur Bahut Kuch Tha,
Sirf Dar-O-Deewar Na The,

Sab Par Hansa Sheva Tha,
Jab Tak Khud Us Par Na The,

Teri Khabar Mil Jaati Thi,
Sheher Mein Jab Akbaar Na The,

Pehle Bhi Sab Kuch Bikta Tha,
Khwabon Ke Bazaar Na The,

Maut Ki Baatein Pyaari Thi,
Marne Ko Taiyaar Na The...

Na Jee Bhar Ke Dekha Na Kuch Baat Ki


Na Jee Bhar Ke Dekha Na Kuch Baat Ki,
Badi Aarzu Thi MulaQaat Ki,

Kayi Saal Se Kuch Khabar Hi Nahi,
Kahan Din Guzarna Kahan Raat Di,

Main Chup Tah To Chalti Hawa Ruk Gayi,
Zubaan Sab SaMajhte Hai Jazbaat Ki,

Sitaron Ko Shayad Khabar Hi Nahi,
Musaafir Ne Jaane Kahan Raat Ki..

Aarzu Hai Wafa Kare Koi


Aarzu Hai Wafa Kare Koi,
Jee Na Chahe To Kya Kare Koi,

Gar Marz Ho Dawa Kare Koi,
Marne Wale Ka Kya Kare Koi,

Koste Hai Jale Hue Ko Kya,
Apne HaQ Mein Dua Kare Koi,

Unse Sab Apni Apni Kehte Hai,
Mera Matlab Ada Kare Koi,

TuM Saraapa Ho Soorat-E-Tasveer,
TuMse Phir Baat Kya Kare Koi,

Jin Mein Laakhon Baras Ki Hoorein Ho,
Aisi Jannat Ko Kya Karein Koi.

Hum To Mitti Hai Mitti Mein Mil Jayenge


Hum To Mitti Hai Mitti Mein Mil Jayenge,
Ruswa Honge Wo Jo Bewafa Kehlayenge,

HuM To Roz Kabar Khodte Hai Dilke Khwabon Ki,
Ye Maut Ke Farishte HaMein Kya Darayenge,

Phir Taiyar Kar Lo Apni Andhiyon Ko TuM,
Bahar Mein HuM Aashiyana Phir Banayenge,

TuMne To Dikha Di Hai Farebon Ki Inteha,
Mohabbat Ki Inteha TuMhe HuM Dikhayenge,

Bichha Do Meri Raah Mein Kaante Bhi Chahe TuM,
HuM TuMse Milne Nange Paanv Chalke Aayenge,

Dhal Jayegi Jab TuMhare Husn Ki Ye ShaaM,
HaMare Paas Aana Seene Se Lagayenge

Wo Kuch Bhi Nahi Keh Kar Sab Kuch Keh Jaati Hai


Wo Kuch Bhi Nahi Keh Kar Sab Kuch Keh Jaati Hai,
Belafz Subaan Se Wo HuM Ko BharMaati Hai,

Wo Labse Nahi Kehti Kehti Hai Isharo Se,
Kya Keh Ke Na Jaane Wo Khud Hi SharMati Hai,

Ek Pal Mein Wo Hansti Hai, Duje Pal Roti Hai,
In Naaz-O-Adaon Par HuM Jaan Lutate Hai,

Kuch Khaas Unhe Shayad AshQon Se Mohabbat Hai,
Pehle Khud Roti Hai, Phir HuMko Rulati Hai,

Kuchh To Pehle Hi The HuM Pyaar Mein Deewane,
Kuch JaaM Pila Ke Wo Deewana Banaati Hai,

Inkaar Zubaan Pe Hai IQraar Aankhon Mein,
Lachaar Hai Fitrat Se Ulfat Mein Satati Hai,

HuM Ko Ye Ganwara Hai Sab SitaM Mohabbat Ke,
Shukriya Khalish HuMse Wo Dil To Lagati Hai

Chaak-E-DaMan Ko Jo Dekha To Mila EID Ka Chaand


Chaak-E-DaMan Ko Jo Dekha To Mila EID Ka Chaand,
Apni Tasveer Kahan Bhool Gaya EID Ka Chaand,

Unke Abroey-KhaMeeda Ki Tarah Teekha Hai,
Apni Aankhon Mein Badi Der Chubha EID Ka Chaand,

Door Veeran Basere Mein Diya Ho Jiase,
GaM Ki Deewar Se Dekha To Laga EID Ka Chaand,

Leke Haalaat Ke Seraon Mein Aa Jaata Hai,
Aaj Bhi Halat Ki Rangeen Fiza EID Ka Chaand,

Talhiyaan Badh Gayi Jab Zeest Ke PaiMaane Mein,
Gholke Dard Ke Maaron Ne Piya EID Ka Chaand,

ChashM To Wusat-E-AflaaQ Mein Khoyi,
Dil Ne Ek Aur Jagah Dhoond Liya EID Ka Chaand

Logon ka Na Jane Kya Hota Jaa Raha Hai


Logon ka Na Jane Kya Hota Jaa Raha Hai,
Har Koi Apna ZaMeer Khota Jaa Raha Hai,

Koi Bhi To Kisi Ka Nahi Raha Ab,
Bhai Bhai Se Bichhadta Jaa Raha Hai,

Azis Ek Dusre Se Bhagne Lage,
Nafrat Ka Ehsaas Mohabbat Ko Nigalta Jaa Raha Hai,

Khushiya Jaane Kyon Rooth Si Gayi Hai "AMIR"
Har Koi GuM Mein Doob Kar Pighalta Jaa Raha Hai.

Teri Tasveer Ko Tasavvur Mein Banata Raha


Teri Tasveer Ko Tasavvur Mein Banata Raha,
Ek Musaver Raat Bhar Aansu Bahata Raha Hai,

Tune Thukraya Bhi To Us Shakhs Ko,
Jo Tere Dar Pe Sajde Lutata Raha Hai,

Usko Khushiyon Ka Intezar Nahi Hota,
Jo GaM Ka Saath UMar Bhar Nibhata Raha Hai,

Wo Shakhs To Ek Pal Ko Bhi Tera Na Hua,
Tu Jiski Yaadon Ke Charag Jalata Raha Hai

Baandh Lein Haath Se Seene Pe Saja Lein Tumko


Baandh Lein Haath Se Seene Pe Saja Lein TuMko,
Jee Mein Aata Hai Ke Taveez Bana Lein TuMko,

Phir TuMhe Roz Sawarein TuMhe Badhta Dekhein,
Kyon Na Aangan Mein ChaMeli Sa Laga Lein TuMko,

Kya Ajab Khwahishein Uthti Hai HaMare DIL Mein,
Kar Ke Munna Sa Hawa Mein Uchhalein TuMko,

Kabhi Khwabon Ki Tarah Aankh Ke Parde Mein Raho,
Kabhi Khwaahish Ki Tarah Dil Mein Bula Lein TuMko,

Is Qadar Toot Ke TuMpe HaMein Pyaar Aata Hai,
Apni Baahon Mein Bharein Maar Hi Daalein TuMko...

Uljhano Ka Maza Bhi Teri Baat Hi Mein Tha


Uljhano Ka Maza Bhi Teri Baat Hi Mein Tha,
Tera Jawab Tere Sawalat Mein Hi Mein Tha,

Saya Kisi YaQeen Ka Bhi Jis Par Na Pad Saka,
Wo Ghar Bhi Sheher Ke Muzafat Hi Mein Tha,

IlzaaM Kya Hai Ye Bhi Na Jana TaMaM UMar,
MulziM TaMaaM UMar Hawalaat Hi Mein Tha,

Mujhko To Qatl Karke Manaata Raha Hai Jashn,
Wo Zilihaaz Shakhs Meri Zaat Hi Mein Tha...

Mujhko Ab Tak Tere Aane Ka Woh Manzar Yaad Hai


Mujhko Ab Tak Tere Aane Ka Woh Manzar Yaad Hai,
Dil Pe Mere Nazar Se Khanjar Chalna Yaad Hai,

Main Teri Yaadon Ko Dil Mein Le Ke Phirta Hoon,
Maazi Ka Guzra ZaMana Tujhko Bhi Kuch Yaad Hai,

Chilchilati Dhoop Mein Wo Surkh Jode Ki ChaMak,
Aatishein Kirno Ka Rukhsaaron Pe Aana Yaad Hai,

Alwida Hote Hue Nazron Se Dete Kya PayaaM,
Wo Tere Nazuk Labon Ka Kapkapana Yaad Hai...

Dekha Hua Sa Kuch Hai To Socha Hua Sa Kuch


Dekha Hua Sa Kuch Hai To Socha Hua Sa Kuch,
Har WaQt Mere Saath Hai Uljha Hua Sa Kuch,

Hota Hai Yun Bhi Raasta Khulta Nahi Kahin,
Jangal Sa Phail Jaata Hi Khoya Hua Sa Kuch,

Saahil Ki Geeli Ret Par Bachhon Ke Khel Sa,
Har LaMha Mujh Mein Banta Bikharta Hua Kuch,

Fursat Ne Aaj Ghar Ko Sajaya Kuch Is Tarah,
Har Shay Mein Muskurata Hai Rota Hua Sa Kuch,

Dhundhli Si Ek Yaad Kisi Qabr Ka Diya,
Aur Mere Aas Paas ChaMakta Hua Sa Kuch

Kuch Ye Ke Muddaton Se HuM Bhi Nahi Roye The


Kuch Ye Ke Muddaton Se HuM Bhi Nahi Roye The,
Kuch Zeher Mein Bujha Tha Ehbaab Ka Dilaasa,

Phir Yun Hua Ke Sawan Aankhon Mein Aa Base The,
Phir Yun Hua Ke Jaise Dil Bhi Tha Aabla Sa,

Ab Sach Kahein To Yaaron HuMko Khabar Nahi Thi,
Ban Jayega QayaMat Ek WaQiya Zara Sa,

Tewar The Berukhi Ke Andaz Dosti Ke,
Wo Ajnabi Tha Lekin Lagta Tha Aashna Sa,

HuM Dasht The Ke Dariya HuM Zeher The Ke AMrat,
NahaQ Tha Zo'aM HuM Jab Wo Nahi Tha Pyaasa,

HuMne Bhi Usko Dekha Kal ShaaM IttefaQan,
Apni Bhi Haal Hai Ab Logon Faraz Ka Sa...

Zara Si Baat Pe Har RasM Tod Aaya Tha


Zara Si Baat Pe Har RasM Tod Aaya Tha,
Dil-E-Tabaah Ne Bhi Kya Mizaaj Paaya Tha,

Maaf Karna Saki Meri Zindagi Mujhko,
Wo Ek LaMha Ki Main Tujhse Tang Aaya Tha,

Shagufta Phool SiMat Kar Kali Bane Jaise,
Kuchh Is Tarahse Tune Badan Churaya Tha,

Guzar Gaya Hai Koi LaMha-E-Sharar Ki Tarah,
Abhi To Main Use Pehchan Bhi Na Paaya Tha,

Pata Nahi Ke Mere Baad Unpe Kya Guzri,
Main Chand Khwaab ZaMane Mein Chhod Aaya Tha

Kisi Ki Qurbaton Mein Bhula Diya Ho Ga


Kisi Ki Qurbaton Mein Bhula Diya Ho Ga
Naqash Mera Uss Ne Mita Diya Ho ga

Jo Mere Sath, Meri Yad Se Wabasta Tha
Uss Ne Har Woh Lamha Jala Diya Ho Ga

Sard Shamon Ki Bichari Hoyi khushbo Ne
Us Ki Tanhyion Ko Mehka Diya Ho ga

Berukhi k Samander Mein Uss Ne Akhir
Mera Har ik Khawab Baha Diya Ho ga

Zard Musam Ki Udaas Ahaton ne Usay
Yonhi Chup Chaap Baithe Rula Diya Ho Ga..

Popular Posts