Saturday, July 10, 2010

Juda honay k mosam mai juda hona zaruri tha


Juda honay k mosam mai juda hona zaruri tha.
Na jane q kisi ka bewafa hona zaruri tha.

Mere dil ne usay jo pujhne ki inteha krdi.
To phir us bewafa ka b khuda hona zaruri tha.

Kisi se koi b shikwa na koi b shikayat hy
Jo mere sath chahat mai hua hona zaruri tha.

Boht nazdeek thy dil is liye ab duriyan b hain.
Dilon k beech b kuch faasla honay zaruri tha.

Usay b dard denay ka boht he shoq tha
Humey b dard-o-gham se aashna hona zaruri tha

jab koi baat kerta hon tera khayyal aata hay



jab koi baat kerta hon tera khayyal aata hay
jab kuchh sochnay lagta hon tera khial aata hay

meri aankhon meri nazar main tum aisay samaai ho
jab kuch dekhnay lagta hon tera khial aata hay

koe bhi kaam mujh se abb tu kia nahi jaata
jaabb kuchh kernay lagta hon tera khial aata hay

main saari raat tujhay sochtay bita deta hon
main jabb bhi sonay lagta hon tera khial aata hay

kabhi jabb hansi aati hay tu dil ronay lagta hay
main jabb bhi hasnay lagta hon tera khial aata hay

main pall pall merta rehta hon nahi abb jia jata
main jabb bhi jeenay lagta hon tera khayyal aata hay

Pather bana diya mujhey rooney nahi diya


Pather bana diya mujhey rooney nahi diya
Daman bhi terey gham ne bhigoney nahi diya

Tenhaiyaan tumharra pata pouchti rahi
Shab bhar tumhari yaad ne soney nahi diya

Ankhoon mein aa k beth gayi ashkoon ki laher
Palkoon pe koyi khuwab paroney nahi diya

Dil ko tumharrey ansoo aziz they
Duniya ka koyi dard samoney nahi diya

Na sirf uss ki yaad chali haath thaam k
Mailay mein iss jahaan k khoney nahi diya

Kisi aur say koi wasta, na sawal tha na malaal tha


Kisi aur say koi wasta, na sawal tha na malaal tha
Mujhay abh bhi us ka khayal hai mujhay kal bhi us ka khayal tha

Wohi jis kay chehray ki roshni mera rung thi mera roop thi
Wohi shaks tha meri aarzoo wohi mera husn-o-jamal tha

Wohi chandni wohi chand tha magar raat dard bhi mand tha
Teri yaad thi meray robaro mera rabta bhi bahaal tha

Jo zuban-e-khalq pay aam thi woh tumhari meri kahaniyan
Mujhay aaj tak na khabar hoi woh urooj tha ya zawal tha

Mere Saath Tum Bhi Dua Karo Yun Kisike Haq Mein Bura Na Ho


Mere Saath Tum Bhi Dua Karo Yun Kisike Haq Mein Bura Na Ho,
Kahin Aur Ho Na Ye Haadsa Koi Raaste Mein Juda Na Ho,

Mere Ghar Se Raat Ki Sej Tak Wo Ek Aansu Ki Lakeer Thi,
Zara Badh Ke Chand Se Puchhna Wo Isi Taraf Se Gaya Na Ho,

Sar-E-Shaam Thehri Hui Zameen, Aasman Hai Jhuka Hua,
Isi Mod Par Mere Waaste Wo Charaag Le Kar Khada Na Ho,

Wo Farishte Aap Hi Dhundiye Kahaniyon Ki Kitaab Mein,
Jo Bura Kahein Na Bura Sune Koi Shakhs Unse Khafa Na Ho,

Wo Visaal Ho Ke Firaaq Ho Teri Aag Mehkegi Ek Din,
Wo Gulaab Ban Ke Khilega Kya Jo Charaag Banke Jala Na Ho,

Mujhe Yun Laga Ke Khamosh Khushbu Ke Honth Titli Ne Chhu Liye,
Inhi Zard Patton Ki Ot Mein Koi Phool Soya Hua Na Ho,

Isi Ehtiyaat Mein Main Raha, Isi Ehtiyaat Mein Wo Raha,
Wo Kahan Kahan Mere Sath Hai Kisi Aur Ko Ye Pata Na Ho

Yunhi Faaslon ko sajaye rakh yehi intezar rehne de


Yunhi Faaslon ko sajaye rakh yehi intezar rehne de
Mere zehan-o-dil ke sukoon Par mera ikhteyaar rehne de

Teri chahaton ke jo dard hain Yeh sab khushi se qubool hain
Meri chasham-e-num ka Gumaan na kar mujhe ashk baar hi rehne de

Teri bebasi baja sahi meri khush fehmi bhi ghalat nahi
Tujhe har qadam pe khushi mile mujhe sogwaar hi rehne de

Meri guftugoo main jo dard hai wohi dard mera naseeb hai
Main bhula chuka hoon qaraar ko mujhe be-qaraar hi rehne de

Koi To Merey Rastey Hoye Zakhmon Ka Marham Kar De


Koi To Merey Rastey Hoye Zakhmon Ka Marham Kar De
Baar-e-Taqdeer Uthaa Sakoon Aisa Mujasam Kar De

Khudaraa Koi To Mujhey Meri Pehchaan Bata De
Ya Phir Apni Hi Zaat Mein Mujhey Gum Kar De

Toot-ti Hoyi Saanson Ko Jeeney Ka Armaan De De
Merey Seeney Mein Lagi Aag Ko Madham Kar De

Kiya Meri Qismat Mein Khushiyon Ki Barsaat Nahee
Koi To Merey Piyaasey Hoton Ko Num Kar De

Sitam Dar Sitam Zindagi Ka Hasil Hai
Koi Maseeha Nahee Jo Dawaa-e-Gham Kar De

Sar Se Le Kar Paaon Tak Lahoo Lahoo Hoon Mein
Aye Khuda Ab To Merey Haal Pe Reham Kar De

Maloom Ho Chuka Zindagi Ki Haqeeqat Kiya Hai
Bohut Jee Chuka Elaahi Ab Isey Kam Kar De

Jeena nahi teray bin, jayain tau kahan jayain


Jeena nahi teray bin, jayain tau kahan jayain
manzil tau meree tu ha, rasta kahan se layain

kyoon sansain ye thamee hain, mehsoos ho raha hai
jab dil hi nahi apna dharkan kahan se layain

ehsas ko liye hum kab tak karain guzara
jeevan ha mera soona tumko kahan se layain

har pal meri nigahain bus dhoondatee hain tujhko
har soo ho tera chehra wo manzar kahan se layain

din main bhi ha andhera, andheri ha raat meree
jagoon tau tujhe paoon wo ujala kahan se layain

Tum Marasim Main Bhi Mousam Ki Ada Rakhte Ho


Tum Marasim Main Bhi Mousam Ki Ada Rakhte Ho
Kabhi Baraste Ho To Kabhi Boond Ko Tarsatay Ho

Pal Main Kehte Ho Zamane Main Faqat Tere Hain
Pal Main Izhar-E-Muhabbat Se Mukar Jaatay Ho

Bhari Mehfil Main Dushmano Ki Tarhaa Milte Ho
Aur Her Dua'aon Main Mera Naam Liye Jaatay Ho

Diyar-E-Ghair Main Mujhko Talaash Karte Ho
Milo To Paas Se Chup Chaap Guzar Jaatay Ho

Laakh Mausam Ki Tarhan Rang Badalte Raho
Aaj Bhi Toot Ke Shiddat Se Mujhe Chaahtay Ho

Woh meri zaat mein jab tak raha likhna nahe bhooli



Woh meri zaat mein jab tak raha likhna nahe bhooli
Koi bhi dard jo mein ne saha likhna nahe bhooli

Woh jo mehvar thaa likhne ka, juda ho kar mila ek din
Mila tu yeh kaha us ne suna likhna nahe bhooli

Suna hai ab bhi chaahat mein tumhara naam ‘Saail’ hai
Suna hai ab bhi tum mujh ko Khuda likhna nahe bhooli

Suna hai ab bhi tum mujh ko mere Saahir bulati ho
Suna hai mujh ko rag rag mein basa likhna nahe bhooli

Kaha ke bhool bethi hoon hatheli per hina likhna
Magar mein aasmanoo per dua likhna nahe bhooli

Samay ke uth’tay mathay per tujhe dhoonda, bahut dhoonda
Samay ke jhuktay shanoo per sada likhna nahe bhooli

Mujhe ek din mere kaatib ne likha thaa juda tujh se
Mein tujh ko aaj bhi khud se juda likhna nahe bhooli

Chupane ke leye sab dukh abhi bhi muskurati hoon
Mein ab bhi chehre per chehre naya likhna nahe bhooli

Mein ab bhi is judai mein kae dukh dard sehti hoon
Mein ab bhi teri aankhoon ko shifa likhna nahe bhooli

Kiya thaa tarq-e-taaluq ka iraada aik pal mein ne
Mein ab bhi us iraaday ko saza likhna nahe bhooli

Batao tum mujhe Janaan! mein kaise bhool sakti hoon
Abhi qudrat mera jeevan numa likhna nahe bhooli

Judaee kaat li mein ne magar marnay se kuch pehle
Mein zindaan ke darechoon per saba likhna nahe bhooli

Meri Baat Baat Main Roshni Mere Harf Harf Main Dilkashi



Meri Baat Baat Main Roshni Mere Harf Harf Main Dilkashi
Tu Mere Shareek-E-Wisaal-E-Jaan Meri Her Kitaab Main Reh Gaya

Koi Phool Khil K Bikhar Gaya Koi Baat Ban K Bigar Gai
Na Sawal Koi Labon Pe Hai Na Gila Jawab Main Reh Gaya

Dil Khush-Gumaan Teri Khair Ho Tu Hai Phir Yaqeen Ki Saleeb Per
Tujhey Phir Kisi Se Shikayaten Tu Isi Azab Main Reh Gaya

Tujhey Kya Mila Dil-E-Mubtila Na Koi Dua Na Kahin Wafa
Magar Ik Arsa-E-Raigaan Jo Tere Hisaab Main Reh Gaya

Woh Jo Mera Aehd-E-Jamal Tha Woh Jo Mera Shehr-E-Khyaal Tha
K Ab Us Ka Zikr-E-Kamaal Bhi Kahin Harf-E-Khwaab Main Reh Gaya

Nahi mil raha hai yahaaN kaheiN meri zaat ka hi nishaaN mujhey


Nahi mil raha hai yahaaN kaheiN meri zaat ka hi nishaaN mujhey
sun aey jus’tuju de jawaab tu ke ley aai hai ye kahaaN mujhey!

wo sabaq meiN parrh ke bhula chuka ke usool banatey heiN zindagi
mujhey mantaqi si daleel de, ye muhawarey na suna mujhey

tujhey kya khabar meiN dil meiN dard, leeye phi raha hooN ajab ajab
teri mashq puraani hai yaar tu, kya ghaao de ga naya mujhey

nahi kuch gila ke ye sab hai kya, bhala kuch ajab hai ye maajra
ke merey aik jurm pe baar baar, koi de raha hai sazaa mujehy

ye jo chaahatoN ke bazaar heiN yahaaN bik raha hai sabhi magar
yahaaN kon ley ga wafaa ki jins, bhala kya miley ga nafaa mujhey!

merey hum’nawa bhala meiN kahaN, terey waastey mujhey bhool ja
tu ne khuwahishoN ke aoraaq par, kaheeiN likh dia to mitta mujhey

yuN diye na rakh merey haath pe ke katteiN ge nahi phir raastey
kabhi rok leiN gi baarisheiN to kabhi tang karey gi hawaa mujhey

kattaa zindagi ka katthin safar, meiN muflisi meiN maraa magar
meiN gulshanoN ka makeen tha, zara khushbuweiN to laga mujhey

Huzoor Aap ka bhi aihteRaam karta chaloon


Huzoor Aap ka bhi aihteRaam karta chalooN
Edhar se ghuzra tha sooch salam karta chalooN

Nigah o Dil ki yahi akheri tamanna hai
Tumhari Zulf kay sa’ay main shaam karta chalooN

Un’hain yeh zid, keh mujhay daikh kar kisi ko na daikh
Mera yeh shooq keh sub say kalaam karta chalooN

Yeh meray khwabooN ki Duniya nahein sahi laykin
Ab aaga’ya hoon to dau din qayaam karta chalooN

ek ek qatare kaa mujhe denaa para hisaab



ek ek qatare kaa mujhe denaa para hisaab
Khuun-e-jigar vadii_at-e-mishagaan-e-yaar thaa

ab mai.n huu.N aur maatam-e-yak shahar-e-aarazuu
to.Daa jo tuu ne aa_iinaa timasaal daar thaa

galiyo.n me.n merii naash ko khe.nche phiro ki mai.n
jaa.N daad-e-havaa-e-sar-e-rahaguzaar thaa

mauj-e-saraab-e-dasht-e-vafaa kaa na puchh haal
har zarraa misl-e-jauhar-e-teG aabadaar thaa

kam jaanate the ham bhii Gam-e-ishq ko par ab
dekhaa to kam hue pa Gam-e-rozagaar thaa

diyaa hai dil agar us ko, bashar hai kyaa kahiye



diyaa hai dil agar us ko, bashar hai kyaa kahiye
huaa raqiib to ho, naamaabar hai, kyaa kahiye

ye zid, ki aaj na aave aur aaye bin na rahe
qazaa se shikavaa hame.n kis qadar hai, kyaa kahiye

rahe hai yuu.N gah-o-begah ke kuu-e-dost ko ab
agar na kahiye ki dushman kaa ghar hai, kyaa kahiye

zih-e-karishma ke yuu.N de rakhaa hai hamako fareb
ki bin kahe hii u.nhe.n sab Khabar hai, kyaa kahiye

samajh ke karate hai.n baazaar me.n vo pursish-e-haal
ki ye kahe ki sar-e-rahaguzar hai, kyaa kahiye

tumhe.n nahii.n hai sar-e-rishtaa-e-vafaa kaa Khayaal
hamaare haath me.n kuchh hai, magar hai kyaa kahiye

u.nhe.n savaal pe za_om-e-junuu.N hai, kyuu.N la.Diye
hame.n javaab se qat_a-e-nazar hai, kyaa kahiye

hasad sazaa-e-kamaal-e-suKhan hai, kyaa kiije
sitam, bahaa-e-mata_a-e-hunar hai, kyaa kahiye

kahaa hai kisane ki "Ghalib" buraa nahii.n lekin
sivaay isake ki aashuftaa_sar hai kyaa kahiye

dard minnat_kashe-davaa na huaa



dard minnat_kashe-davaa na huaa
mai.n na achchaa huaa, buraa na huaa

jamaa karate ho kyo.n raqiibo.n ko
ik tamaashaa huaa gilaa na huaa

ham kahaa.N qismat aazamaane jaaye.n
tuu hii jab Kha.njar aazamaa na huaa

kitane shiirii.n hai.n tere lab ke raqiib
gaaliyaa.N khaake bemazaa na huaa

hai Khabar garm unake aane kii
aaj hii ghar me.n boriyaa na huaa

kyaa vo namaruud kii Khudaaii thii
ba.ndagii me.n meraa bhalaa na huaa

jaan dii, dii huii usii kii thii
haq to yuu.N hai ke haq adaa na huaa

zaKhm gar dab gayaa lahuu na thamaa
kaam gar ruk gaya ravaa na huaa

rahazanii hai ki dil_sitaanee hai
leke dil, dil_sitaa.N ravaa na huaa

kuchch to pa.Dhiye ki log kahate hai.n
aaj 'Ghalib' Gazal_saraa na huaa

guraiz shab se,sahar se kalam rakhtay thay


guraiz shab se,sahar se kalam rakhtay thay
kabhi wo din thay k zulfon mein sham rakhte thay

tumhare haath lage hain tou jo karo so karo
wagarna tum se tou ham sau ghulam rakhtey they

hamain bhi gher liya ghar k zaam ne tou khula
kuchh aur log bhi uss main qayam rakhte thay

yeh aur baat hamain dosti naa raas aayi
hawa thi sath tou khushbu maqam rakhte thay

na jaane kaun si rut mein bichhar gaye wo log
jo apne dil mein bohot ehteram rakhtay thay!!

kabhi saya hai kabhi dhoop muqaddar mera


kabhi saya hai kabhi dhoop muqaddar mera
hota rehta hai yunhi qarz barabar mera

toot jate hain kabhi mere kinare mujh main
doob jata hai kabhi mujh main samandar mera

kisi sehra main bichhar jayenge sab yaar mere
kisi jungle main bhatak jayega lashker mera

baawafa tha to mujhe poochhne wale bhi na thay
bewafaa hun to hua naam bhi ghar ghar mera

kitne hanste hue mausam abhi aate lekin
aik hi dhoop ne kumhla diya manzar mera

bhool jata hoon milney walon ko


bhool jata hoon milney walon ko
khud se phirta hoon bekhabar kitna

usne aabaad ki hai tanhai
warna sunsaan tha ye ghar kitna

kaun ab arzoo kare uski
ab dua main bhi hai asar kitna

wo mujhay yaad kar ke sota hai
us ko lagta hai khud se dar kitna

aadatain sub buri hain Mohsin ke
acha lagta hai wo magar kitna

Ik shakhs k kho janay ka darr kyun nahin jata


Ik shakhs k kho janay ka darr kyun nahin jata
ye bojh meray DiL se utar kyun nahin jata

manzil pe pohnch kar bhi usay khona paray ga
ye tay hai to phir shauq-e-safar kyun nahin jata

main jab bhi tarashon, tera paikar hi tarashon
ye zauq-e-nazar, ye shauq-e-hunar kyun nahin jata

ye waqt tujhay mujh se juda kar to raha hai
ye waqt issi waqt thehar kyun nahin jata

gar tujh se bicharnay ka hay ranj mujhay itna
to main shiddat-e-jazbaat se mar kyun nahin jata

jab aasman pe bikhri shafaq ko takti hun


jab aasman pe bikhri shafaq ko takti hun
tujhay main bheegti palkon se yaad karti hun

tu mere ghar mein jo mehman ban k aay kabhi
teri shareer aankhon se chupti phirti hun

najane kabse tere hath ki lakeeron mein
main apnay naam ki rekha talash karti hun

jo mere saamne tere badan ko choo jaaye
main ab to aisi hawa se bhi jalnay lagti hun

ajeeb rut hai k sab manzaron k chehrey par
main ik khuwab k manzar ka naqsh takti hun

utar gya hai badan mein judaai ka sooraj
yehi sabab hai andheron mein bhi chamakti hun

woh daairon mein ghira hai yeh mere ilm mein hai
magar milan k liye seedhi rah chalti hun

Qurbat ka imtihaan buhat door le gaya


Qurbat ka imtihaan buhat door le gaya
thehray tou saaibaan buhat door le gaya

gum gushta raah thay tou koi faaslaa na tha
manzil ka ik nishaan buhat door le gaya

ik aadmi k chaand ka paiker laga mujhe
phir us ko aasmaan buhat door le gaya

wo tha k rabt e khaatir e ehbaab main tha gum
our mujh ko khaandaan buhat door le gaya

ye chaand agr kabhii taaro`N se kissi roz larray tu kia ho ga


ye chaand agr kabhii taaro`N se kissi roz larray tu kia ho ga
kissii roz yunhii zid mien aa ker na raat dhallayy tu kia ho ga

tera naam hii aaya tha labb per ke sarii halQatt cheekh parii
tera haath pakaR ker sarko`N pe tere saath chalayy tu kia ho ga

yahan har koii mujh se kehta haii tujhe hargiz bhii na sochun main
per phir bhii merii ankho`N mien tera khwaab pallayy tu kia ho ga

terii chahat kii sarii shammieN main ne ik ik ker ke bhuja dii hien
gar phir bhee dil k dareecho`N pe koii deep jallayy tu kia ho ga

tere saamne beykhud ho jaoun yehii soch ke tu main darta hoon
koii aisa lamha pagal sa aa ker na tallayy tu kia ho ga

main akser sochne lagta hoon akaash kii neelii bastii mien
tera taara mere taarayy se agar aaN milayy tu kia ho ga

hijar k moasmooN ki ab kahani hum na likhaiN gaiN


hijar k moasmooN ki ab kahani hum na likhaiN gaiN
koi bhi baat pehli se puraa’ni hum na likhaiN gaiN

wo har ik lufz k jis per koi sawal uth’taa ho
safah-e-qurtaas per hargiz zabani hum na likhaiN gaiN

tha’thartey sard moasam tu sadaa dil he dukha’eiN gaiN
tujhay aiey shaam-e-gham ab k suhani hum na likhaiN gain

ye moasam beet jaNa ab k chupkay se dabay paa’ooN
rehi hooN maiN kabhi teri dewani hum na likhaiN gaiN

tu muj pe mehrbaa’N rehna kabhi naraz na hoNa
aiey meri zindghi tuj ko be-gaNi hum na likhaiN gaiN

wo bus ik shaam jo apNi tumharay saath guzri thei
hamaiN chupkay se thei ik diN chura’ni hum na likhaiN gaiN

thakaN hum ne sumaiti hai bohat raa’hey mohabat maiN 
dil ki KARI keemat chu’kaaNi hum na likhaiN gaiN

Dil Pay Ek Sakhat See Shaye Chahii Hui Lagti Hai


Dil Pay Ek Sakhat See Shaye Chahii Hui Lagti Hai
Koi Khawish Hai Jo Pathraii Hui Lagti Hai

Aaj Roshan Hain Mere Gher Main Izaafi Shamain
Aaj woh Zohra Jabeen Aaii Hui Lagti Hai

Meri Tanhaii Pe Makhmoom Hai Khaali Kursi
Mujh Ko Yeh Shaam Bhe Guhnaii Hui Lagti Hai

Gher K Halaat Pe MAA Khush Nahi Lagti Shayad
Apni Tasweer Main Jhunjhulaii Hoi Lagti Hai

Chaal Dushman Ke Kisi Taur Nahi Hai Apni
Yeh Kisi Apnay Ke Sujhaaii Hui Lagti Hai

Qoum K Qissay Main Kirdaar Sabhi Hain Maskook
Yeh Kahanaii Hamain Likhwaii Hui Lagti Hai

Tum Nay SALMAN Bohat Dair Say Samjha Jis Ko
Wohi Shaazish Hai Jo Rang Laii Hui Lagti Hai

mohabbat meiN hume tum kyoN yuN hi barbaad karti ho



mohabbat meiN hume tum kyoN yuN hi barbaad karti ho
naa humse baat karti ho naa humko yaad karti ho

ye kaisa shauk hai tumko tumhari kaisi fitrat hai
kutar ke par parindoN ke unhe azaad karti ho

tumhi ko shauk tha behad humi se dil lagaane kaa
aur ab milna naa ho baabat issi fariyaad karti ho

khuda jane ki humse chup ke milne kis se jati ho
kis se phone pe bateiN humare baad karti ho

tumhari yaad meiN aksar ye aakheiN bheeg jati haiN
wafa ke silsile kyoN iss Qadar bedaad karti ho

vo aalam bhi nazar aa jayega tumko bahut jaldi
kahenge log ab bekaar kyoN roodaad karti ho

Aankh Main Hay Jo Bhi Manzar Wo Nisab-E-Khuwaab Hay



Aankh Main Hay Jo Bhi Manzar Wo Nisab-E-Khuwaab Hay
Zindagi Kya Hay Haqiqat Main Kitaab-E-Khuwaab Hay

Jaagty Main Bhi Nahi'n Aankhoo'n Ko Fursat Khuwaab Say
Jaisay Aankhoo'n Kay Muqadar Main Azaab-E-Khuwaab Hay

Khuwaab-Gahoo'n Main Bichi Hain Roshni Ki Chaadarai'n
Aanganoo'n Main Saans Laita Aaftaab-E-Khuwaab Hay

Khuwaab Hi Say Umar Bhar Apni Rahi Hay GUftugoo
Hum Say Aa Kar Pooch Laina Kya Jawaab-E-Khuwaab Hay

Jo Mairay Aainaa-E-Ehsaas Main Hay Zu'Fishaa'n
Teyri Aankhoo'n Main Froozaa'n Wo Gulaab-E-Khuwaab Hay

Qarya Qarya Jisko Palkoo'n Say Main Chunta Tha
Mairi Basti Main Pohan'ch Kar Wo Saraab-E-Khuwaab Hay

Shash-Jihaat Larnay Main Ahtiyaat Lazim Hay



Shash-Jihaat Larnay Main Ahtiyaat Lazim Hay
Aag Say Guzarnay Main Ahtiyaat Lazim Hay

Ungliyo'n Pe Kachay Rang Naqsh Chor Jaati Hain
Titliyaa'n Pakarnay Main Ahtiyaat Lazim Hay

Munjamid Kinaroo'n Par, Aitbaar Mat Karna
Na'o Say Utarnay Main Ahtiyaat Lazim Hay

Yun To Wakt Ka Marham Saray Zakhm Bharta Hay
Zakham-E-Hijar Bharnay Main Ahtiyaat Lazim Hay

Lehjay Say Bhi Lafzo'n Ki Hiyaatai'n Badalti Hain
Us Say Baat Karnay Main Ahtiyaat Lazim Hay

Kaho, aaj kyon hai nazar sahmee-sahmee



Kaho, aaj kyon hai nazar sahmee-sahmee?
Jawaan justajoo ki dagar sahmee-sahmee?

Gulaabee guloun sey ladaa hai gulistaan;
Sabhee khushbuyen hain magar sahmee-sahmee?

Bataayen, huzoor, aa rahey hain kahaan sey?
Thahariye, ki, hai rahguzar sahmee-sahmee?

Tumhain dekh, chup-chaap hain kyon parindey?
Chahakney kee kyon hai umar sahmee-sahmee?

Kidhar, aandhiyoun mein, bhataktey rahey ho?
Mukhaatib hai kis key, sahar sahmee-sahmee?

Kinaarah hai soonaa, kahaan hai safeenaa:
Chalee aa rahee har lahar sahmee-sahmee?

Kahaan hai nihaan aaj khush aamdeedee?
Gazal ki hai, kyon, har bahar sahmee-sahmee?

Yeh saaraa jahaan aaj ghamgeen kyon hai;
Ki, hai zindagee darbadar sahmee-sahmee?

Huaa kyaa, ki, baad-e-sabaa jaa rahee hai,
Abhi sey palat, apney ghar sahmee-sahmee?

yoonii ishaarah thaa har kaargar; ab,
'Abd' lahz hai bey asar sahmee-sahmee?

Rang pairahan ka, khushboo zulf lehrane kaa naam



Rang pairahan ka, khushboo zulf lehrane kaa naam
Mousam-e-gul hai tumhare baam par aane ka naam

Doston us chasm-o-lab ki kuch kaho, jiske bagair
Gulistaan ki baat rangeen hai, na mehkhane ka naam

Phir nazar mein phool mehke, dil mein phir shamayen jali
Phir tasavvur ne liya us bazm mein jane ka naam

Dilbari thehra zabaan-e-khalk khulwane ka naam
Ab nahin lete pari-roo zulf bikhrane ka naam

Ab kisi laila ko bhi ikraar-e-mehboobi nahin
In dinon badnaam hai har ek deewane ka naam

Muhatsib ki khair, uncha hai usi ke faiz se
Rind ka, saaki ka,may ka, khum ka, paimane ka naam.

Hum se kehte hain chaman vale, gareebane chaman
Tum koi accha sa rakh lo apne veerane ka naam

Faiz unko hai takazaa-e-vafa humse jinhe
Aashna ke naam se pyaara hai begaane ka naam

khushboo ka kya poochatay ho tum, bhala hui hai ye kiski


khushboo ka kya poochatay ho tum, bhala hui hai ye kiski?
koocha koocha ghoomti hai ye, manzil hai phir kya iski?

dost meray kiaadat b hai milti julti khushboo se...
jahan b rang-o-boo dekhay, kahay woh hai dagar uski!

koi naada'n jo kerna chahay apni qaid main khushboo
to her soorat hi reh jayen gi khali muthiyaa'n uski..

kisi khushboo k hamrahi se dil ka muamla nah ho,
k woh to be-wafa thehri, nibhaye gi wafa kiski??

agarchay dair-pa hoti nahi khushboo, magar janan!
mohabbat esa jaadoo hai k abdi hai mehek iski..

Rahe hazaar baras ham-kanaar khushbu ka


Rahe hazaar baras ham-kanaar khushbu ka
Koi bhi rabt bane ga na khaar, khushbu ka

Bacha k laakh rakhein, hai nira zeyaaN is mein
Kise hai raas bhala kaarobaar khushbu ka !

Wo ap kam hai k baaloN mein gul liye ghoome !
Kise hai taab k jheile ye vaar khushbu ka

Meri zubaaN ko to jurrat kabhi nahi ho gi
Payaam-e-dil ! tu zara roop dhaar khushbu ka

Wo gul-azaar raha sair-e-baagh par jab tak
Kiye raha wo jia be-qaraar khushbu ka

Mehek jo tayre nafas se mere nafas aaee
Wohi raha hai safar yaadgaar khushbu ka

HawaayeN dil k kHanDar ki hui hain kaafoori
Ye zaayeqa hai kisi sogavaar khushbu ka

Sambhaal rakkhi hui pattiyaaN hain gajre ki
Meri bayaaz kahaaN ! hai mazaar khushbu ka

Mehek uThe hain tere she'r kis tarha Zaamil
Hua hai tujh pe asar khush-gavaar khushbu ka

Dost gairon ko banate aap to aise to na the


Dost gairon ko banate aap to aise to na the,
aur humko bhool jaate aap to aise na the,

ye mohabbat ki gali jo ishq se mansoob hia,
iska rasta bhool jaate aap to aise na the,

husn par nazaan hia beshak naaz kijiye husn par,
ishq se daman bachate aap aise to na the,

bewafayi ka nateeja hai ke aankhein jhuk gayi,
sharm se nazrein jhukate aap to aise na the,

ye hamara dil nahi ye aapka ghar hai huzoor,
aap is dil mein na aate aap to aise na the,

raat mein furqat ki maine pukara tha bahut,
aap sunkar bhi na aate aap to aise na the...

Kyon Khilwat-E-Ghum Mein Rehte Ho



Kyon Khilwat-E-Ghum Mein Rehte Ho, Kyon Gosha Nasheen Bekaar Hue,
Aakhir Tumhe Sadma Kya Pahuchna, Kya Soch Ke Khud Azaar Hue,

Kyon Saaf Kushadaa Raaston Par Tum Thokarein Khate Phirte Ho,
Kyon Teer-O-Taar Si Galiyon Mein Tum Aan Ke Khush-Raftar Hue,

Kyon Rasta Chhod Ke Chalte Ho, Kyon Logon Se Katrate Ho,
Kyon Chalte Phirte Apne Liye, Tum Aap Hi Ek Deewar Hue,

Kya Uthte Baithte Sochte Ho, Kya Likhte Padhte Rehte Ho,
Is Umr Mein Ye Be-Kaifi Kyon, Kis Waste Nek Atwaar Hue,

Kyon Aise Safar Pe Nikle Ho Manzil Nahi Jiski Koi Bhi,
Kyon Raah Pe Aisi Chalte Ho, Saya Bhi Jahan Deewar Hue,

Kyon TarQ-E-AlaiQ Ko Tumne Samjha Hai Ilaaj-E-Gam Aakhir,
Dekho To Wali Sofi Bhi Yahan Kis Thaath Ke Duniya-Daar Hue,

Mayoosi-E-Paihum Se Tumne Yarana Ye Kaisa Ghantha Hai,
Undoh Alam The Jitne Bhi, Aakhir Wo Gale Ka Haar Hue,

Is Kalba-E-Ehzaan Se Hargiz, Ubhrega Na Suraj Koi Bhi,
Kab Khaak Sitara Baar Hui, Kab Saaya Sahr Asaar Hue,

Kab Subah Ke Nale Kaam Aaye, Kya Garyaa-E-Neem Sabhi Se Mila,
Is Qarya-E-Khwaab-E-Faroshaan Mein Tum Kiske Liye Bedaar Hue,

Bekaar Ulajhte Rehte Ho Kyon Ulti Sidhi Baaton Mein,
Ye Marhale Wasl-O-Hijraan Ke Ab Aise Bhi Kyon Dushwaar Hue,

Us Kuche Ki Raah To Samjhao, Jis Kooche Mein Jaan Mushkil Hai,
Us Shakhs Ka Naam To Batlao, Tum Jiske Liye Bimaar Hue,

MashfaQ Ne Ye Baatein Sunke Kaha, Baatein Na Hui Ashaar Hue,
Ye Dard Batanewale Bhi Kis Shaan Ke Khush Guftaar Hue,

Sad Shukar Ke Khush Usloobi Se Takmeel Ko Pahuchi Ruswayi,
Mohtaj-E-Dua The Jo Khud Hi Aakhir Wo Mere Gamkhwaar Hue...

Mast-e-haal kabhi thi k na thi bhool gaey


Mast-e-haal kabhi thi k na thi bhool gaey
yaad apni koi halat na rahi bhool gaey

u mujhay bhaijj k tanha sar-e-bazaar-e-faraib
kia meray dost meri sada dili bhool gaey

main tu be-his hun mujhay dard ka ehsaas nahi
chara-gar keun rawish-e-chara-giri bhool gaey

ab meray ashk-e-muhabbat bhi nahi aapko yaad
aap tu apnay he daman ki nami bhool gaey

ab koi mujhko delaey na muhabbat ka yaqeen
jo mujhay bhool na saktay thay wohi bhool gaey

aur kia chahti hai gardih-e-aaiyaam k hum
apna ghar bhool gaey uski gali bhool gaey

kia kahain kitni he batain theen jo ab yaad nahi
kia karain hum se badi bhool hui, bhool gaey

Wo chandni ka badan khushbuon ka saya hay


Wo chandni ka badan khushbuon ka saya hay
Bohat aziz hamen hay, magar paraya hay

Utar bhi aao kabhi aasmaan k zeenay say
Tumhain Khuda nay hamaray liyen banaya hay

Mehak rahi hay zameen chandni k pholon say
Khuda kisi ki mohabbat pay muskraya hay

Usay kisi ki mohabbat ka aitabar nahin
Usay zamanay nay shayad bohat sataya hay

Tamam umar mera dam usi dhoen say ghuta
Wo ik chiragh tha main nay usay bujhaya hay

Na dil naya hai na dil kaa afsaana nayaa


Na dil naya hai na dil kaa afsaana nayaa
choRo dhuNdo koii behaana nayaa

na tera ruThna na meraa manaana naya
na mera aana naya aur na tera jana naya

waqt kat'ta nahin, hai ghamm unko
es liay chaiRaa shaakhisaanah nayaa

jabb ghamoN kaa ghubaar chat'taa hai
lagay gulshan kaa lehlehaana nayaa

shokh-o-chanchall hawaa kii taal naee
aur prindoN kaa chehchehaana nayaa

hamm dikhaatae haiN jab zakhm unko
nahiN unkaa yeh muskuraana nayaa

es a'hadd kii pukaar dooseri hai
ab rah-o-rasm kaa teraanah nayaa

ab riwaayat ki kiya baat kereiN
ham puraanay haiN aur zamaanah nayaa

aaj aqdaar aisay badli haiN
ab sheraafat kaa hai paimaanah nayaa

dil meraa aaj pur sakooN hai bohatt
Tum lagaa dau ikk taaziyaana nayaa

es bheri duniya say bher gaya ab jii
Tahira Dhondo ab Thikaanah nayaa...

koi baat aisi kiya karo, koi lafz aisa likha karo



koi baat aisi kiya karo, koi lafz aisa likha karo
miley jis se dil ko qaraar sa, koi she'r aisa paRha karo

sada dukh ma hi na rakha kro, kabhi sukh bhi is ko diya karo
ye udaas hai kaii roz se, merey dil ma aa ke raha karo

jo kathin kathin se haiN raastey, ye sabhi haiN kyuN merey waastey
ye jo jal raha hooN ma aag ma, kabhi tum bhi is ma jala karo

mujhey ab tumhaari hi aas hai, mera dil tumhaarey hi paas hai
hai ye jaan terey hisaar ma, issey meri jaan rihaa karo

mera din ho ya meri raat ho, terey haath ma mera haath ho
abhi jaisey tum merey saath ho, yuN'hi merey saath chala karo

Pyaar ko Pyaar hi Rahne Do Koi Naam Na Do


Hum ne Dekhi Hai in Aankhon ki Mahekti Khushboo
Haathh se Chhoo ke Ise Rishton ka ilzaam Na Do

Sirf Ehsaas Hai Ye Rooh se Mahesoos Karo
Pyaar ko Pyaar hi Rahne Do Koi Naam Na Do


Pyaar koi Bol Nahi Pyaar Aawaaz Nahi
Ek Khaamoshi Hai Sunti Hai Kahaa Karti Hai

Na Ye Boojhti Hai Na Rukti Hai Na Thhaheri Hai Kahin
Noor ki Boond Hai Sadeeyon se Bahaa Karti Hai

Sirf Ehsaas hai Ye Rooh se Mahesoos Karo
Pyaar ko Pyaar hi Rahne Do Koi Naam Na Do


Muskoorahat si Khili Rahti Hai Aankhon mein Kahin
Aur Palkon pe Ujaale se Chhoope Rahten Hai

Honthh Kuchh Kahte Nahi Kaanpte Honthho pe Magar
Kitne Khaamosh se Afsaane Rooke Rahten Hai

Sirf Ehsaas hai Ye Rooh se Mahesoos Karo
Pyaar ko Pyaar hi Rahne Do Koi Naam Na Do..

Mujh ko yaqeen hai sach kehti thiin


Mujh ko yaqeen hai sach kehti thiin jo bhi ammi kehti thiin
jab mere bachpan ke din the chaand mein pariyaan rehti thiin


Ik ye din jab apnon ne bhi hum se naataa tod liya
Ik vo din jab pe.D ki shaakhein bojh hamaaraa sehti thiin


Ik ye din jab saari sadkein roothi roothi lagti hain
Ik vo din jab aao khelein sari galiyaan kehti thiin

Ik ye din jab jaagi raatein divaaron ko takti hain
Ik vo din jab shaamon ki bhi palkein bojhal rehti thiin


Ik ye din jab laakhon Gham aur kaal padaa hai aansoo kaa
Ik vo din jab ek zaraa si baat pe nadiyaan behti thiin....

Baahon main teri ajj bikhar janay do


Baahon main teri ajj bikhar janay do
Mehki saanso main mujhe utar janay do


Raat tanha or sard mosam hai
ajj apni saanson main mehak janay do


Shoq nazrOn ko sharam aati hai
Thartharatay lab ko lab se sil janay do


Bikhra huye gaisuu bikhra hua kajal hai
Ajj rooh ko rooh main samaa janay do

Raat thori aarman dil main baqi hain
Ajj bahOn main hi teri raat ko kat janay do....

Kaha Us Nay Bharoosa Dil Par Nahi Kartay


Kaha Us Nay Bharoosa Dil Par Nahi Kartay
Kaha Mein Nay Mohabbat Mein Soocha Nahi Kartay

Kaha Us Nay Bahut Khush Rang Dunya Kay Nazaray Hain
Kaha Mein Nay Jab Tum Ho Tu Kuch Daikha Nahi Kartay

Kaha Us Nay Kah Mein Tum Say Door Hoon Lakin Tumhary Hon
Kaha Mein Nay Kah Sapnay Dil Ko Bahlaya Nahi Kartay

Kaha Us Nay Tumhari Chahat Tumhain Ruswaiyaaan Day Gi
Kaha Mein Nay Shohrat Say Ghabraya Nahi Kartay

Kaha Us Nay Samjho Samjho Aye Meray Dewanay
Kaha Mein Nay Kah Dewanay Ko Samjhaya Nahi Kartay...

Barson ke baad dekha Aik shakhs Dilruba saa


Barson ke baad dekha Aik shakhs Dilruba saa
Ab zehen mein naheen hai per naam tha bhala saa

Ubroo khichey khichey sey Aankhain jhuki jhuki see
Baatein ruki ruki see Lehja thaka thaka saa

Alfaaz thay ke Jugnoo awaaz ke safar mein
Bun jaaey jungalon mein jaisey ke Raasta saa

Khawabon mein khawab Uss ke Yaadon mein yaad uss ki
Neendon mein ghul gaya ho jaisey ke rat-jaga saa

Pehley bhi zindagi mein kitney hee loug aaey
Woh her tarha sey lekin auron sey tha juda saa

Agli muhabboton ne woh na-muraadian deen
Taaza Rifaaqaton sey Dil tha dara dara saa

Ab such kahein tou yaaro Hum ko khaber naheen thi
Bun jaaey ga qayamat Aik waaqaya zara saa

Taywer thay berukhi key andaaz dosti ke
Woh ajnabi tha laikin lagta tha Aashna saa....

Main tera ajj hoon kal par nah dekh taal mujhe


Main tera ajj hoon kal par nah dekh taal mujhe
main tera roop hoon joban main hi sanbhal mujhe

mere hi dum se hain teri yeh dharkanai'n zinda
main tera qalab hoon siney se mat nakal mujhe

main tere bakhat ka sika hoon yeh khayal rahe
yunhi faqeer ki jholi main tu nah daal mujhe

milain gay mujh main mohabat ke goher tujh ko
main teri chah ka sagar hoon kuch khangal mujhe

tu dharkanoo'n ko chorane ke fun se waqaf hai
tu dil ka chor hai itna nah tha khayal mujhe

usse khabar hai mere ghum hi maal hain mera
naye ghum se woh rakhta hai mala maal mujhe

main jin ko ley gaya bam-e-arooj par
woh muntazir hain ke kab aaye ga zawal mujhe...

Zikr-e-shab-e-feeraaq se wehshat usse bhi thi


Zikr-e-shab-e-feeraaq se wehshat usse bhi thi
Meri tarah kisi se mohabbat usse bhi thi

Mujh ko bhi shauq tha naye chehron ke deed ka
Raastya badal ke chalne ki aadat usse bhi thi

Sunata tha wo bhi sab ko puraani kahaniyan
Taza rafaqaton ki zaroorat usse bhi thi

Mujh se bichhad ke shehar mein ghul mil gaya wo shaks
Halaan ke shehar bhar se raqaabat usse bhi thi

Wo mujhse badh ke zabt ka aadi tha jee gaya
Warna har ek saans qayaamat usse bhi thi.

Aaye dil na jaan khud ko nakaam ke bad-zauq
Wo mana nahi par mujhse mohabbat usse bhi thi...

Vahashat-e-dil silaa-e-aabalaapaai le le



Vahashat-e-dil silaa-e-aabalaapaai le le
Mujh se yaa rab mere lafzon ki kamaai le le

Aql har baar dikhaati thi jale haath apane
Dil ne har baar kahaa aag paraai le le

Main to us subah-e-daraKhshaaN ko tavangar jaanuun
Jo mere shahar se kashkol-e-gadaai le le

Tuu Gani hai magar itani hain sharaayat meri
Ye mohabbat jo hamen raas na aai le le

Apane divaan ko galiyon me liye phirataa huun
Hai koi jo hunar-e-zaKhmnumaai le le

Khatm shab-e-qissaa-e-muKhtasir na huii



Khatm shab-e-qissaa-e-muKhtasir na huii
shamaa gul ho gaii sahar na huii

roii shabanam jalaa jo ghar meraa
phuul ke kam haNsii magar na huii

hashr mein bhii vo kyaa milenge mujhe
jab mulaaqaat umr bhar na huii

aaiinaa dekh kar ye kiijiye shukr
aap ko aap kii nazar na huii

sab the mahafil mein un kii mahv-e-jamaal
ek ko ek kii Khabar na huii

saiNkaron raat ke kiye vaade
un kii raat aaj tak "Qamar" na huii

chaman kii bahaaron mein thaa aashiyaanaa


chaman kii bahaaron mein thaa aashiyaanaa
na jaane kahaaN kho gayaa vo zamaanaa

tumhen bhuulane kii main koshish karuuNgaa
ye vaadaa karo ke na tum yaad aanaa

mujhe mere miTane kaa Gam hai to ye hai
tumhen bevafaa kah rahaa hai zamaanaa

Khudaaraa merii qabr pe tum na aanaa
tumhen dekh kar shak karegaa zamaanaa

Gham-E-Hayat Ka Jhagra Mitta Raha Hay Koi


Gham-E-Hayat Ka Jhagra Mitta Raha Hay Koi
Chale Aao Key Duniya Sey Jaa Raha Hay Koi

Azal Se Keh Do K Ruk Jaaye Do Ghaari....!!!!
Sunna Hay Aane Ka Waada Nibha Raha Hay Koi

Woo Is Naaz Se Behte Hyn Laash Key Pass
Jesse Roothe Howe Ko Manna Raha Hay Koi

Palat Kar Na Aa Jaaye Saans Nabzoon Mein
Itne Haseen Hathon Se Mayyat Saja Raha Hay Koi

Dhuup ke saath gayaa saath nibhaane vaala


Dhuup ke saath gayaa saath nibhaane vaala
ab kahaan aayegaa vo laut ke aane vaala

ret par chhorh gayaa naqsh hazaaron apne
kisii paagal kii tarah naqsh mitaane vaala

sabz shaakhen kabhii aise to nahiin chikhtii hain
kaun aayaa hai parindon ko daraane vaala

safar-e-shab kaa taqaaza hai mere saath raho
dasht pur_haul hai tuufaan hai aane vaala

mujh ko dar_pardaa sunaata raha qissa apna
agale vaqton kii hikaayaat sunaane vaala

shabnamii ghaas ghane phuul laraztii kirnein
kaun aayaa hai khazaanon ko lutaane vaala

ab to aaraam karen sochtii aankhen merii
raat kaa aakhrii tara bhii hai jaane vaala

Ik Baar Kar Key Aetibaar Likh Do


Ik Baar Kar Key Aetibaar Likh Do
Kitna Hay Mujh Say Payar Likh Do

Kat'ti Nahi Yeh Zindgai Ab Tere Bin
Kitna aur Karoon Intizaar Likh Do

Taras Rahe Hain Barri Muddat Sey
Is Baar Apni Mohabbat Ka Izhaar Likh Do

Deewane Ho Jayen Jisay Parh K Hum
Kuch Aisa Tum Mere Yaar Likh Do

Ziyada Nahi Likh Sakte To Mat Likho Tum
Mohabbat Bharre Lafz Do Chaar Likh Do

Ik Baar Likho Mohabbat Hay Mujhe Tum Se
Phir Yahi Jumlla BAAR , BAAR Likh Do

Koi To Aisa Mairey Dard Ka Darmaan Hota


Koi To Aisa Mairey Dard Ka Darmaan Hota
Jo Mujh ko Zakhm Lagata Woh Meharbaan Hota

Mujhey Woh Loot Gaya Go Thay Haath Khali Mairey
Sitam Kya Karta Agar Saath Mein Samaan Hota

Sehra Mein Dafan Mujhey Kar Diya Tum Ne Logo
Baad Marney Ke To Qismat Mein Saaibaan Hota

Khuli Kitaab Ki Maanind Ho Jhoot Kehti Ho
Ager Jo Raaz Na Hotey, Kyun Raazdaan Hota

Agar Ye Gharz Na Shamil Humari Chaah Mein Ho
Humara Ishq Mairi Jaan Jawidaan Hota

Mairey Asool Zamaney Say Maail Kha Na Sakey
Wagarna Saath Mairey Aaj Karwaan Hota

Main Tum Ko Yaad Jo Aata To Aankh Nam Hoti
Ikk Aisi Bhooli Huyi Kaash Dastaan Hota

Teri Jo Talb Thi Woh Mujh Say Mangti To Sahi
Terey Kashkol Mein Janaan Tera Jahaan Hota

Sakoon Ki Mot 'Tanha' Kab Safar Mein Milti Hai
Palat Main Jaata Agar Koi Aashiyaan Hota …!

Ankhon mein jal raha hai kyun, bujhta nahin dhuaan


Ankhon mein jal raha hai kyun, bujhta nahin dhuaan
Uth'taa tu hai ghtaa sa, barasta nahin dhuaan

Chulhaa nahin jalaye ya basti hi jal gayi
Kuch roz ho gaye hain ab, uth'ta nahin dhuaan

Ankhon se ponchane se laga aanch ka pata
Yun chehra phair leney se chuptaa nahin dhuaan

Ankhon se ansu'on k maraasm puranay hain
Mehman yeh ghar mein ayein tu chubtaa nahin dhuaan

Ya Rab gham-e-hijraan mein, itna tu kiya hota


Ya Rab gham-e-hijraan mein, itna tu kiya hota
Jo haath jiger per hai, woh dast-e-dua hota

Ik ishq ka gham afat aur uss oe yeh dil afat
Yan gham na diya hota, yan dil na diya hota

Nakaam tammana,dil iss soch mein rehta hai
Yun hota tu kya hota, yun hota tu kya hota?

Umeed tu bandh jaati, taskeen tu ho jaati
Waada na wafaa karte ,waada tu kya hota

Ghairoon se kaha tumne, ghairoon se suna humne
Kuch humse kaha hota, kuch humse suna hota

to woh kya hamko har ek jurm kii sazaa dega


to woh kya hamko har ek jurm kii sazaa dega
phir apne rahm-o-karam ka sabuut kyaa dega

mai roz-e-hashr ka qayal hun phir bhi hansta hun
ke ek bandaa Khudaa ko hisaab kyaa degaa

hamen tumharii tarah shaikh ilm-e-Ghaib nahii
na jaane kaun amal kisko bakhshvaa degaa

bas ek sholaa jalaa jo kisii sadaaqat kaa
zamaana aap hii sadion talak havaa degaa

ham ek hain mutawaazii khutut ho kar bhii
judaa kiyaa hai azal ne, abad milaa degaa

bas aj ilm-e-bayaan kaa kahin muqam nahin
jahaan zubaan rukii mera dil sadaa degaa

Soz-e-gham dey kay mujhe iss ne yeh irshaad kiya


Soz-e-gham dey kay mujhe iss ne yeh irshaad kiya
Jaa tujhe kashmakash dahar se azaad kiya

Woh karain bhi tu kin alfaaz mein tera shikwa
Jin ko teri nigah-e-lutf ne barbaad kiya

Dil ko chotton ne kabhi chain se rehne na diya
Jab chali sard hawa, maine tujhe yaad kiya

Ab mein so jaan se iss tarz taklam kay nisaar
Phir tu farmaye, kya aap ne irshaad kiya

Is ka rona nahi, kyun tum ne kiya dil barbaad
Is ka gham hai kay bohut dair mein barbaad kiya

Itna manoos hoon fitrat se kali jab khilli
Jhuk kay maine yeh kaha, mujhse kuch irshaad kiya?

Mujhko tu hosh nahin,tum ko khabar ho shayad
Log kehte hain kay tumne mujhe barbaad kiya

Socha nahin acha bura,dekha suna kuch bhi nahin


Socha nahin acha bura,dekha suna kuch bhi nahin
Mangaa Khuda se raat din tere siwa kuch bhi nahin

Socha tujhe,dekha tujhe,chaha tujhe,pooja tujhe
Meri khataa meri wafaa, teri khataa kuch bhi nahin

Jiss per humari ankh ney moti bichaye raat bhar
Bheja wohi kaghaz issey,hum ne likha kuch bhi nahin

Ik shaam dehleez per bethey rahe woh dair tak
Ankhon se kiin baatein bohut, moun se kaha kuch bhi nahin

Do chaar din ki baat hai dil khaak mein so jayega
Jab aag per kaghaz rakha, baqi baccha kuch bhi nahin

Dil gira hai ajab toofanoon mein


Dil gira hai ajab toofanoon mein
Dard hai, kasak hai armanoo mein

Peshemaniyaan dil se jaati nahin
Aise shaamil huwe hain gunaahgaron mein

Khabar hai kay ho jayege raakh hum
Dey rahe hain magar haath angaron mein

Chaley jayen kahin door duniya se hum
Yan ho jayen qaid inn deewaron mein

Paaon zakhmi huwa jaata hai gar
Kyun chalna hi hai phir un raahon mein

Dil kay moamlaat sey anjaan tu na tha


Dil kay moamlaat sey anjaan tu na tha
Iss ghar ka fard tha, koi mehmaan tu na tha

Thiin jin kay dum se ronaqein shehroon mein ja bassay
Warna humara gaaon yun veraan tu na tha

Banhoon main jab liya ouuse nadaan tha zaroor
Jab chhor kar gaya humein, nadaan tu na tha

Rasman hi aa kay poochta ' haal-e-dil
Kuch iss mein ous ki zaat ka nuqsaan tu na tha

Main sun kay iski sab baatein faqat itna hi kehti thi



Main sun kay iski sab baatein
faqat itna hi kehti thi
khafa hona, mana leina
yeh sadiyoon se riwayat hai
muhobbat ki alamat hai
giley shikwey karo mujhse
tumhein Janaa ijazat hai
magar ik baat meri yaad rakhna tum
Kabhi aisa bhi hota hai
Hawayen rukh badalti hain
Khizayen laut jati hain
khafa hona bhi mumkin hai
Khata hona bhi mumkin hai
magar haath se daaman
kabhi ch'oota nahi karte
hamesha yaad rakhna tum
taaluk rooth janay se
kabhi toota nahi karte

Yeh gham kya dil ki adat hai? nahi tu


Yeh gham kya dil ki adat hai? nahi tu
Kissi se kuch shikayat hai? nahi tu

Hai woh ik khwaab be'taabir iss ko
Bhula deine ki niyat hai? nahi tu

Kissi kay bin, kissi ki yaad kay bin
Jiye janay ki himmat hai ? nahi tu

Hum ahangi nahi duniya se teri
Tujhe iss per nadamat hai? nahi tu

Huwa jo kuch, yehi maqsoom tha kya?
Yehi saari haqayat hai? nahi tu

Muhobbat ka gumaan hota bohut hai



Muhobbat ka gumaan hota bohut hai
Kay ab yeh lafz ruswa bohut hai

Udaasi ka sabab main kya bataon
Galli kuchoon main sanata bohut hai

Tere gham ki fusoon kaari se pehle
Main samjha tha gham-e-duniya bohut hai

Tujhe maloom tu hoga meri jaan
Tujhe ik shukhss ney chaha bohut hai

Yeh ankhein aur kya kissi ko dekhein
Inn ankhon ney kissi ko dekha bohut hai

Na janay kyun baccha rakhein hain ansoo
Abhi shayed mujhe rona bohut hai

Rangat terii zulfon kii ghataaon ne churaaii


Rangat terii zulfon kii ghataaon ne churaaii
khushbu tere aanchal se havaaon ne uraaii

paimaane ka dil tuut na jaaye to kahun main
hai cheez ghazab kii jo nigaahon ne pilaaii

qaidii terii zulfon kaa hai aazaad jahaan se
mujh ko ye rihaaii to sazaaon ne dilaaii

maana kii bahaaron ne khilaayaa hai gulon ko
ulfat kii kalii dil mein vafaaon nay khilaaii

tham-tham ke barasna kabhi jham-jham ke barasna
saavan ko adaa ye mere ashkon nay sikhaaii

manzil pe pahunch kar 'nasiim' ehasaas huaa hai
jis raah se pohanchaa ye khataaon ne dikhaaii

Humari zaat se bichra huwa nahin milta


Humari zaat se bichra huwa nahin milta
Woh aik baar jo tanha huwa, nahin milta

Samandaroon main jo doobein woh mil hi jaatey hain
Tumhari ankhon main jo dooba huwa nahi milta

Humare saath musalsal safar main rehta hai
Hawa ka qafilaa tehra huwa nahin milta

Kabhi woh din thy kay rehta tha saath saath woh shukhss
Aur ab yeh waqt hai kay arsa huwa nahin milta

Dua ko haath uthayen tu kis liye
Kabhi bhi humko tu manga huwa nahi milta

Har koi wafaon ka talibgaar nahin hota


Har koi wafaon ka talibgaar nahin hota
Gham-e-hayat mein har pal tu yaadgaar nahin hota

Tanhayi main beth kar in ko parakh tu lein
Kay har chahne wala wafadaar nahin hota

Phool aur kali ki kya baat tum ne keh daali
Kali kali mandlaye banwra, yeh tu pyar nahin hota

Idher hum hain, idher tum ho beech main deewar hai
Yehi silsila rahe tu banda gunahgaar nahin hota

Ay dost! Anay janay walay main kuch tu bharam rahey baqi
Kay bekhudi main humse daaman taar nahin hota

Kahiin woh sargoshi main aisi baat na keh daalein
Abhi inki baaton pe humein aitbaar nahin hota

Tishnagi si baqi reh gayi har mulaqat kay baad
Ay shama!Besabab koi beqarar nahin hota

Hazar gardish shaam o seher se guzre hain



Hazar gardish shaam o seher se guzre hain
Woh qaafiley jo teri rehguzar se guzre hain

Abhi hawas ko mesar nahin diloon ka gudaaz
Abhi yeh log muqaam nazar se guzre hain

Har aik naqsh pey tha tere naqsh paa ka gumaan
qadam qadam pe tere rehguzar se guzre hain

Kuch aur phail gayiin dard ki kathin raahein
Gham firaaq kay maray jidher se guzre hain

Jahan suroor mesar tha jaam-o-mai kay baghair
Woh maykadey bhi humari nazar se guzre hain

Koi mausam bhi hum ko raas nahi


Koi mausam bhi hum ko raas nahi
Woh nahi hai tu kuch bhi paas nahi

Ik muddat se dil kay paas hai woh
Ik muddat se dil udaas nahi

Jab se dekha hai shaam ankhon mein
Tab se qaim mere khwass nahi

Mere lehje iss ki khushboo hai
Iss ki baaton mein meri baas nahi

Jitna shafaaf hai tera anchal
Itna ujlaa mera libaas nahi

Samne mere ik dariya hai
Honth sookhey hain phir bhi pyass nahi

Jiss ko chaha hai jaan-o-dil se 'Hassan'
Janay woh kyun nazar shanas nahi

Meri saari zindagi ko be'samar iss ne kiya


Meri saari zindagi ko be'samar iss ne kiya
Umar meri thi magar,isko basar iss ne kiya

Main bohut kamzor tha iss mulq main hijrat kay baad
Per mujhe iss mulq mein kamzor'tar iss ne kiya

Rehbar mera ban'na gumraah karne kay liye
Mujhko seedhey raste se darbadar iss ne kiya

Shehar mein woh moatbir meri gawahi se huwa
Phir mujhe iss shehar main na'moatbir iss ne kiya

Shehar ko barbaad kar kay rakh diya iss ne 'Munir'
Shehar per yeh zulm mere naam per iss ne kiya

Baad muddat issey dekha logo


Baad muddat issey dekha logo
Woh zara bhi nahi badla , logo

Khush na tha, mujhse bicchar kay woh bhi
Uske chehre per likha tha , logo

Uss ki ankhein bhi kehay deitiin thiin
Raat bhar woh bhi na soya, logo

Ajnabi ban kay jo guzra hai abhi
Tha kissi waqt main apna, logo

Dost tu khair koi kis ka hai?
Iss ne dushman bhi na samjha , logo

Raat woh dard mere dil mein utha
Subha tak chain na aya , logo

Pyass sehraon ki phir taiz huwi
Abr phir toot kay barsa, logo

Iss sey pehle kay ansoo muqaddar ban'ne


Iss sey pehle kay ansoo muqaddar ban'ne
Iss sey pehle kay koi sitam tor dey

Aa issi mor pe muskuratey huwe
Main tujhe chorr doon, tu mujhe chorr dey

Iss sey pehle kay veraan ho zindagi
Iss sey pehle kay aanhein ban'ne abley

Kyun na rakh lein muhobbat ka hum tum bharam
Main bhi zidd chorr doon, tu bhi kasam torr dey

Aa issi mor pe muskuratey huwe
Main tujhe chorr doon, tu mujhe chorr dey

Tujh se bichad kar bhi zinda tha


Tujh se bichad kar bhi zinda tha
mar mar ke zehar piya hai

chup rehna aasaaN nahi tha
barsoN dil ka khun kiya hai

apne haal pe khud roya hun
khud hi dil ka chaak siya hai

jo kuch guzri, jaisi guzri
tujh ko kab ilzaam diya hai

kitni jaankahi se maiN ne
tujh ko is dil se mehav kiya hai

SannaaTe ki jheel mein tu ne
phir kyuN paththar pheNk diya hai

kabhii to khul ke baras abr-e-meharabaaN kii tarah



kabhii to khul ke baras abr-e-meharabaaN kii tarah
meraa vajuud hai jalate hue makaaN kii tarah

bharii bahaar kaa siinaa hai zaKhm zaKhm magar
sabaa ne gaaye hain lorii shafiiq maan kii tarah

vo kaun thaa jo barahanaa badan chaTTaanon se
lipaT gayaa thaa kabhii bahr-e-bekaraaN kii tarah

sakuut-e-dil to jaziiraa hai barf kaa lekin
teraa Khuluus hai suuraj ke saayebaaN kii tarah

main ik Khvaab sahii aap kii amaanat huuN
mujhe sambhaal ke rakhiyegaa jism-o-jaaN kii tarah

kabhii to soch ke vo shaKhs kis qadar thaa bula.nd
jo bichh gayaa tere qadmo.n me.n aasmaa.N kii tarah

bulaa rahaa hai mujhe phir kisii badan kaa basant
guzar na jaaye ye rut bhii kahiin KhizaaN kii tarah

lahuu hai nisf sadii kaa jis ke aabagiine mein
na dekh use chashm-e-arGavaaN kii tarah

aaj kyaa dekhaa Khalaaon ke sunehare Khvaab mein


aaj kyaa dekhaa Khalaaon ke sunehare Khvaab mein
reg_zaaron ke sivaa kuchh bhii nahiin mah_taab mein

jab se pahanaa hai naye mausam ne zaKhmon kaa libaas
phuul se khilane lage hain diidaa-e-Khuunaab mein

nisf_shab ko niind mein chalataa huaa paikar koii
naqsh-e-paa kyon chhor jaataa hai dayaar-e-Khvaab mein

vo to Khud apane tajassus mein bhaTak kar rah gaye
tazakaraa thaa jin kii azamat kaa bahut ehabaab mein

chherataa hai saaz-e-shab ko yuuN samandar kaa sukuut
Duub jaatii hai fazaa sangiit ke sailaab mein

Niyaaz-o-naaz ke jhagaDe miTaaye jaate hain


Niyaaz-o-naaz ke jhagaDe miTaaye jaate hain
Ham un men aur vo ham men samaaye jaate hain

Ye naaz-e-husn to dekho ki dil ko taDapaakar
Nazar milaate nahiin muskuraaye jaate hain

Mere junuun-e-tamannaa kaa kuchh Khayaal nahiin
Lajaaye jaate hain daaman chhuraaye jaate hain

Jo dil se uThate hain shole vo ang ban ban kar
Tamaam manzar-e-fitarat pe chhaye jaate hain


Main apanii aah ke sadaqe ki merii aah men bhii
Terii nigaah ke andaaz paaye jaate hain

Ye apanii tark-e-muhabbat bhii kyaa muhabbat hai
Jinhen bhulaate hain vo yaad aaye jaate hain

ham dahar ke is viiraane mein jo kuchh bhii nazaaraa karate hain


ham dahar ke is viiraane mein jo kuchh bhii nazaaraa karate hain
ashkon kii zabaaNmen kahate hain aahon se ishaaraa karate hain

ai mauj-e-balaa, unako bhii zaraa do-chaar thapere halke se
kuchh log abhii tak saahil se tuufaaN kaa nazaaraa karate hain

kyaa jaaniye kab ye paap kaTe kyaa jaaniye vo din kab aaye
jis din ke liye is duniyaa mein kyaa kuchh na gavaaraa karate hain

kyaa tujhako pataa kyaa tujhako Khabar din raat Khayaalon mein apane
ai kaakul-e-getii ham tujahko din-raat saNvaaraa karate hain

Popular Posts